sab kuchh pa kar thoda sa kuchh kam bhi rehta hai in KHushiyon men ek tumhaara gham bhi rehta hai
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
kyuuñ darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa
Javed Akhtar
156 likes
koi dikkat nahin hai gar tumhein uljha sa lagta hooñ main pahli martaba milne men sabko aisa lagta hooñ zaroori to nahin ham saath hain to koi chakkar ho vo meri dost hai aur main use bas achha lagta hooñ
Ali Zaryoun
521 likes
kisi ko ghar se nikalte hi mil gaii manzil koi hamaari tarah umr bhar safar men raha
Ahmad Faraz
594 likes
ham vo hain jo KHuda ko bhool ga.e tum meri jaan kis gumaan men ho
Jaun Elia
563 likes
More from Ritesh Rajwada
chhua hai tumne bhi ikroz hamko ye KHushboo der tak mahka karegi tumhaare haath saalon tak ye duniya hamaare naam pe chooma karegi
Ritesh Rajwada
26 likes
har khushi muskuraa ke kahti hai dard bankar chhupe hue ho tum aaj aab-o-hawa men khushboo hai lag raha hai ghule hue ho tum
Ritesh Rajwada
30 likes
zyaada meetha ho to cheenta lag jaata hai sacche ishq ko akshar batta lag jaata hai hamne apni jaan ganwaai tab jaana bhaav mile to kuchh bhi satta lag jaata hai
Ritesh Rajwada
27 likes
teraa peecha karte karte jaane kyuuñ main duniyaadaari se peeche chhoot gaya tune to ai jaan mahaj dil toda tha tu kya jaane main andar tak toot gaya
Ritesh Rajwada
29 likes
jab bhi maanguun teri khushi maanguun aur duaaein KHuda talak jaayen KHvaab aayen to neend yuñ mahke aankh se khushbuen chhalk jaayen
Ritesh Rajwada
31 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ritesh Rajwada.
Similar Moods
More moods that pair well with Ritesh Rajwada's sher.







