tere badle mil jaa.e duniya phir bhi mujh...ko ghaata ye saari duniya miTTi hai teraa saath khazaana hai
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
Ham ne us ko itnaa dekha jitnaa dekha ja sakta tha lekin phir bhi do aankhoñ se kitnaa dekha ja sakta tha
Farrukh Yar
979 likes
kisi ko ghar se nikalte hi mil gaii manzil koi hamaari tarah umr bhar safar men raha
Ahmad Faraz
594 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
koi dikkat nahin hai gar tumhein uljha sa lagta hooñ main pahli martaba milne men sabko aisa lagta hooñ zaroori to nahin ham saath hain to koi chakkar ho vo meri dost hai aur main use bas achha lagta hooñ
Ali Zaryoun
521 likes
More from Divya 'Kumar Sahab'
man kii man men hi bhunane men lage ho haath men jo hai nikalta ja raha hai
Divya 'Kumar Sahab'
0 likes
main bharose ko bachaane par tula hooñ vo bahaanon par utarta ja raha hai
Divya 'Kumar Sahab'
0 likes
aazmaane men yahii khatra raha hai kal jo apna tha kahaan apna raha hai
Divya 'Kumar Sahab'
0 likes
tum to kahte the ki main rota nahin hooñ kab se itnaa muskuraya ja raha hai
Divya 'Kumar Sahab'
0 likes
aajkal apraadh jhoola ho gaya hai is qadar qaanoon lula ho gaya hai
Divya 'Kumar Sahab'
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Divya 'Kumar Sahab'.
Similar Moods
More moods that pair well with Divya 'Kumar Sahab''s sher.







