tumhari ankhon ki tauhin hai zara socho tumhara chahne vaala sharab piita hai
Related Sher
aapki saada dili KHud aapki tauheen hai husn waalon ko zara maghroor hona chahiye
Abbas Qamar
103 likes
tu naya hai to dikha subh nayi shaam nayi warna in aankhoñ ne dekhe hain naye saal kaii
Faiz Ludhianvi
70 likes
KHvaabon ko aankhoñ se minha karti hai neend hamesha mujhse dhokha karti hai us ladki se bas ab itnaa rishta hai mil jaa.e to baat wagaira karti hai
Tehzeeb Hafi
113 likes
hamaari hi tamannaa kyun karo tum tumhaari hi tamannaa kyun karen ham
Jaun Elia
69 likes
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
More from Munawwar Rana
KHaamushi kab cheekh ban jaa.e kise maaloom hai zulm kar lo jab talak ye bezbaani aur hai
Munawwar Rana
0 likes
saza kitnii badi hai gaav se baahar nikalne ki main miTTi goondhta tha ab double-roti banata hooñ
Munawwar Rana
19 likes
vo zalim meri har KHvaahish ye kah kar taal jaata hai december january men koi nainital jaata hai
Munawwar Rana
26 likes
inhen apni zaroorat ke thikaane yaad rahte hain kahaan par hai khilauno ki dukaaan bacche samjhte hain
Munawwar Rana
29 likes
jisne bhi is khabar ko suna sar pakad liya kal ek diye ne aandhi ka collar pakad liya
Munawwar Rana
25 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Munawwar Rana.
Similar Moods
More moods that pair well with Munawwar Rana's sher.







