us na-khuda ke zulm o sitam haae kya karun kashti miri duboi hai sahil ke as-pas
Related Sher
vo jispar uski rahmat ho vo daulat maangtaa hai kya mohabbat karne vaala dil mohabbat maangte hai kya tumhaara dil kahe jab bhi ujaala ban ke aa jaana kabhi ugta hua suraj izazat maangtaa hai kya
Ankita Singh
98 likes
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
vo jhooth bol raha tha bade saleeqe se main etibaar na karta to aur kya karta
Waseem Barelvi
105 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us..ko ki jo hua so hua KHush rakhe KHuda us..ko
Naseer Turabi
101 likes
kyuuñ darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa
Javed Akhtar
156 likes
More from Hasrat Mohani
she'r dar-asl hain vahii hasrat sunte hi dil men jo utar jaayen
Hasrat Mohani
23 likes
dekho to chashm-e-yaar ki jadoo-nigaahiyaan behosh ik nazar men hui anjuman tamaam
Hasrat Mohani
24 likes
paigham-e-hayat-e-javedaan tha har naghma-e-krishna baansuri ka
Hasrat Mohani
35 likes
nahin aati to yaad unki maheenon tak nahin aati magar jab yaad aate hain to akshar yaad aate hain
Hasrat Mohani
33 likes
ham kya karen agar na tiri aarzoo karen duniya men aur bhi koi tere siva hai kya
Hasrat Mohani
35 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hasrat Mohani.
Similar Moods
More moods that pair well with Hasrat Mohani's sher.







