zindagi chal mira qusoor bataa hijr kyuuñ kaatna pada mujh ko
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
kyuuñ darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa
Javed Akhtar
156 likes
mehrbaan ham pe har ik raat hua karti thii aankh lagte hi mulaqaat hua karti thii hijr ki raat hai aur aankh men aansoo bhi nahin aise mausam men to barsaat hua karti thii
Ismail Raaz
140 likes
hosh waalon ko khabar kya be-khu dii kya cheez hai ishq kijeye phir samjhiye zindagi kya cheez hai
Nida Fazli
145 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira
Fahmi Badayuni
150 likes
More from Parvez Shaikh
yahiin doob jaane ko jee chahta hai yuñ aañsu bahaane ko jee chahta hai nahin hai jahaan men hamaara koi ab ha men muskuraane ko jee chahta hai
Parvez Shaikh
0 likes
yaad men teri nahin jo kabhi soya hai main hooñ apne KHvaabon men tujhe jisne pirooya hai main hooñ
Parvez Shaikh
0 likes
vo koi aur hain udhar dhundho jee huzoori ha men nahin aati
Parvez Shaikh
0 likes
vo zalim zara kuchh to khof-e-khuda kar ki aa sakti hain ab qayamat kabhi bhi
Parvez Shaikh
0 likes
madine ki galiyon ka chakkar laga luun mile aap ki gar shafa'at kabhi bhi
Parvez Shaikh
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Parvez Shaikh.
Similar Moods
More moods that pair well with Parvez Shaikh's sher.







