roz taron ko numaish mein khalal padta hai
roz taron ko numaish men khalal padta hai chand pagal hai andhere men nikal padta hai ek divana musafir hai miri ankhon men vaqt-be-vaqt thahar jaata hai chal padta hai apni taabir ke chakkar men mira jagta khvab roz suraj ki tarah ghar se nikal padta hai roz patthar ki himayat men ghhazal likhte hain roz shishon se koi kaam nikal padta hai us ki yaad aai hai sanso zara ahista chalo dhadkanon se bhi ibadat men khalal padta hai roz taron ko numaish mein khalal padta hai chand pagal hai andhere mein nikal padta hai ek diwana musafir hai meri aankhon mein waqt-be-waqt thahar jata hai chal padta hai apni tabir ke chakkar mein mera jagta khwab roz suraj ki tarah ghar se nikal padta hai roz patthar ki himayat mein ghazal likhte hain roz shishon se koi kaam nikal padta hai us ki yaad aai hai sanso zara aahista chalo dhadkanon se bhi ibaadat mein khalal padta hai