jidhar jate hain sab jaana udhar achchha nahin lagta
jidhar jaate hain sab jaana udhar achchha nahin lagta mujhe pamal raston ka safar achchha nahin lagta ghhalat baton ko khamoshi se sunna haami bhar lena bahut hain faede is men magar achchha nahin lagta mujhe dushman se bhi khuddari ki ummid rahti hai kisi ka bhi ho sar qadmon men sar achchha nahin lagta bulandi par unhen mitti ki khushbu tak nahin aati ye vo shakhen hain jin ko ab shajar achchha nahin lagta ye kyuun baaqi rahe atish-zano ye bhi jala daalo ki sab be-ghar hon aur mera ho ghar achchha nahin lagta jidhar jate hain sab jaana udhar achchha nahin lagta mujhe pamal raston ka safar achchha nahin lagta ghalat baaton ko khamoshi se sunna hami bhar lena bahut hain faede is mein magar achchha nahin lagta mujhe dushman se bhi khuddari ki ummid rahti hai kisi ka bhi ho sar qadmon mein sar achchha nahin lagta bulandi par unhen mitti ki khushbu tak nahin aati ye wo shakhen hain jin ko ab shajar achchha nahin lagta ye kyun baqi rahe aatish-zano ye bhi jala dalo ki sab be-ghar hon aur mera ho ghar achchha nahin lagta