hamara dil sawere ka sunahra jam ho jae
hamara dil savere ka sunahra jaam ho jaae charaghhon ki tarah ankhen jalen jab shaam ho jaae kabhi to asman se chand utre jaam ho jaae tumhare naam ki ik khub-surat shaam ho jaae ajab halat the yuun dil ka sauda ho gaya akhir mohabbat ki haveli jis tarah nilam ho jaae samundar ke safar men is tarah avaz de ham ko havaen tez hon aur kashtiyon men shaam ho jaae mujhe malum hai us ka thikana phir kahan hoga parinda asman chhune men jab nakam ho jaae ujale apni yadon ke hamare saath rahne do na jaane kis gali men zindagi ki shaam ho jaae hamara dil sawere ka sunahra jam ho jae charaghon ki tarah aankhen jalen jab sham ho jae kabhi to aasman se chand utre jam ho jae tumhaare nam ki ek khub-surat sham ho jae ajab haalat the yun dil ka sauda ho gaya aakhir mohabbat ki haweli jis tarah nilam ho jae samundar ke safar mein is tarah aawaz de hum ko hawaen tez hon aur kashtiyon mein sham ho jae mujhe malum hai us ka thikana phir kahan hoga parinda aasman chhune mein jab nakaam ho jae ujale apni yaadon ke hamare sath rahne do na jaane kis gali mein zindagi ki sham ho jae