nae des ka rang naya tha
nae des ka rang naya tha dharti se akash mila tha duur ke dariyaon ka sona hare samundar men girta tha chalti nadiyan gaate nauke nokon men ik shahr basa tha nauke hi men rain-basera nauke hi men din katta tha nauka hi bachchon ka jhula nauka hi piiri ka asa tha machhli jaal men tadap rahi thi nauka lahron men uljha tha hansta paani rota paani mujh ko avazen deta tha tere dhyan ki kashti le kar main ne dariya paar kiya tha nae des ka rang naya tha dharti se aakash mila tha dur ke dariyaon ka sona hare samundar mein girta tha chalti nadiyan gate nauke nokon mein ek shahr basa tha nauke hi mein rain-basera nauke hi mein din katta tha nauka hi bachchon ka jhula nauka hi piri ka asa tha machhli jal mein tadap rahi thi nauka lahron mein uljha tha hansta pani rota pani mujh ko aawazen deta tha tere dhyan ki kashti le kar main ne dariya par kiya tha