main kashti mein akela to nahin hun mere hamrah dariya ja raha hai
Poetry Collection
Kashti
The images of boat, river, bank, waves, and sailor have always gone hand in hand. They together tell us the long and short story of life in symbolic terms. Here is a selection of verses on boat that brings about a variety of ideas and experiences together.
Total
20
Sher
19
Ghazal
1
Nazm
0
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
nae des ka rang naya tha
nae des ka rang naya tha dharti se akash mila tha duur ke dariyaon ka sona hare samundar men girta tha chalti nadiyan gaate nauke nokon men ik shahr basa tha nauke hi men rain-basera nauke hi men din katta tha nauka hi bachchon ka jhula nauka hi piiri ka asa tha machhli jaal men tadap rahi thi nauka lahron men uljha tha hansta paani rota paani mujh ko avazen deta tha tere dhyan ki kashti le kar main ne dariya paar kiya tha nae des ka rang naya tha dharti se aakash mila tha dur ke dariyaon ka sona hare samundar mein girta tha chalti nadiyan gate nauke nokon mein ek shahr basa tha nauke hi mein rain-basera nauke hi mein din katta tha nauka hi bachchon ka jhula nauka hi piri ka asa tha machhli jal mein tadap rahi thi nauka lahron mein uljha tha hansta pani rota pani mujh ko aawazen deta tha tere dhyan ki kashti le kar main ne dariya par kiya tha
achchha yaqin nahin hai to kashti duba ke dekh ek tu hi nakhuda nahin zalim khuda bhi hai

aata hai jo tufan aane de kashti ka khuda khud hafiz hai mumkin hai ki uthti lahron mein bahta hua sahil aa jae
dariya ke talatum se to bach sakti hai kashti kashti mein talatum ho to sahil na milega from the storms of the seas the ship might well survive but if the storm is in the ship, no shore can then arrive
ab naza ka aalam hai mujh par tum apni mohabbat wapas lo jab kashti dubne lagti hai to bojh utara karte hain my end is now upon me, take back your for when a ship is sinking, the burden is removed
kashti chala raha hai magar kis ada ke sath hum bhi na dub jaen kahin na-khuda ke sath
us na-khuda ke zulm o sitam hae kya karun kashti meri duboi hai sahil ke aas-pas
ye alag baat ki main nuh nahin tha lekin main ne kashti ko ghalat samt mein bahne na diya
kabhi meri talab kachche ghade par par utarti hai kabhi mahfuz kashti mein safar karne se darta hun
chamak raha hai khema-e-raushan dur sitare sa dil ki kashti tair rahi hai khule samundar mein
agar ai nakhuda tufan se ladne ka dam-kham hai idhar kashti na le aana yahan pani bahut kam hai
kashtiyan dub rahi hain koi sahil lao apni aankhen meri aankhon ke muqabil lao
kashti-e-e'tibar tod ke dekh ki khuda bhi hai na-khuda hi nahin
anginat safinon mein dip jagmagate hain raat ne lutaya hai rang-o-nur pani par
sarak ai mauj salamat to rah-e-sahil le tujh ko kya kaam jo kashti meri tufan mein hai
kabhi us ki maujon mein aflak bahte mile hain kabhi us ko kashti chalate hue dekhta hun
jise tum chah kar bhi par hargiz kar nahin pae mein tuti-phuti kashti se wo dariya par karta tha
ai fana tut sakegi na kabhi kashti-e-umr main kisi aur samundar mein utar jaunga
nakhuda hai maut jo dam hai so hai baad-e-murad azm hai kashti-e-tan ko bahr-e-hasti yar ka
You have reached the end.
Explore Similar Collections
Kashti FAQs
Kashti collection me kya milega?
Kashti se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.