dil ko sukun ruuh ko aram aa gaya maut aa gai ki dost ka paighham aa gaya jab koi zikr-e-gardish-e-ayyam aa gaya be-ikhtiyar lab pe tira naam aa gaya ghham men bhi hai surur vo hangam aa gaya shayad ki daur-e-bada-e-gulfam aa gaya divangi ho aql ho ummid ho ki yaas apna vahi hai vaqt pe jo kaam aa gaya dil ke muamlat men naseh shikast kya sau baar husn par bhi ye ilzam aa gaya sayyad shadman hai magar ye to soch le main aa gaya ki saaya tah-e-dam aa gaya dil ko na puchh marka-e-husn-o-ishq men kya janiye ghharib kahan kaam aa gaya ye kya maqam-e-ishq hai zalim ki in dinon aksar tire baghhair bhi aram aa gaya ahbab mujh se qat-e-taalluq karen 'jigar' ab aftab-e-zist lab-e-bam aa gaya dil ko sukun ruh ko aaram aa gaya maut aa gai ki dost ka paigham aa gaya jab koi zikr-e-gardish-e-ayyam aa gaya be-ikhtiyar lab pe tera nam aa gaya gham mein bhi hai surur wo hangam aa gaya shayad ki daur-e-baada-e-gulfam aa gaya diwangi ho aql ho ummid ho ki yas apna wahi hai waqt pe jo kaam aa gaya dil ke muamlat mein naseh shikast kya sau bar husn par bhi ye ilzam aa gaya sayyaad shadman hai magar ye to soch le main aa gaya ki saya tah-e-dam aa gaya dil ko na puchh marka-e-husn-o-ishq mein kya jaaniye gharib kahan kaam aa gaya ye kya maqam-e-ishq hai zalim ki in dinon aksar tere baghair bhi aaram aa gaya ahbab mujh se qat-e-talluq karen 'jigar' ab aaftab-e-zist lab-e-baam aa gaya
Related Ghazal
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain
Dagh Dehlvi
84 likes
teraa chup rahna mere zehan men kya baith gaya itni aawaazen tujhe deen ki gala baith gaya yuñ nahin hai ki faqat main hi use chahta hooñ jo bhi us ped ki chaanv men gaya baith gaya itnaa meetha tha vo ghusse bhara lahjaa mat poochus ne jis ko bhi jaane ka kaha baith gaya apna ladna bhi mohabbat hai tumhein ilm nahin cheeKHtii tum rahi aur meraa gala baith gaya us ki marzi vo jise paas bitha le apne is pe kya ladna fulan meri jagah baith gaya baat daryaon ki suraj ki na teri hai yahaañ do qadam jo bhi mere saath chala baith gaya bazm-e-jaanan men nashisten nahin hoti makhsoos jo bhi ik baar jahaan baith gaya baith gaya
Tehzeeb Hafi
203 likes
ye saath aath padosi kahaan se aa.e mere tumhaare dil men to koi na tha sivaae mere kisi ne paas bithaaya bas aage yaad nahin mujhe to dost vahaañ se utha ke l aa.e mere ye soch kar na ki.e apne dard uske supurd vo laalchi hai asaase na bech kh aa.e mere idhar kidhar tu naya hai yahaañ ki paagal hai kisi ne kya tujhe qisse nahin sun aa.e mere vo aazm aa.e mere dost ko zaroor magar use kaho ki tarike na aazm aa.e mere
Umair Najmi
59 likes
More from Jigar Moradabadi
kiya ta'ajjub ki mirii rooh-e-ravaan tak pahunchen pahle koi mire nagmon ki zabaan tak pahunchen jab har ik shorish-e-gham zabt-e-fughaan tak pahunchen phir KHuda jaane ye hangaama kahaan tak pahunchen aankh tak dil se na aa.e na zabaan tak pahunchen baat jis ki hai usii aafat-e-jaan tak pahunchen tu jahaan par tha bahut pahle wahin aaj bhi hai dekh rindaan-e-khush-anfaas kahaan tak pahunchen jo zamaane ko bura kahte hain KHud hain vo bure kaash ye baat tire gosh-e-giraan tak pahunchen badh ke rindon ne qadam hazrat-e-waaiz ke li.e girte padte jo dar-e-peer-e-mugaan tak pahunchen tu mire haal-e-pareshaan pe bahut tanj na kar apne gesu bhi zaraa dekh kahaan tak pahunchen un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanen meraa paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunchen ishq ki chot dikhaane men kahii aati hai kuchh ishaare the ki jo lafz-o-bayaan tak pahunchen jalwe betaab the jo parda-e-fitrat men jigar KHud tadap kar mirii chashm-e-nigaraan tak pahunchen
Jigar Moradabadi
1 likes
vo jo roothein yuñ manana chahiye zindagi se rooth jaana chahiye himmat-e-qaatil badhaana chahiye zer-e-khanjar muskurana chahiye zindagi hai naam zohd o jang ka maut kya hai bhool jaana chahiye hai inheen dhokon se dil ki zindagi jo haseen dhoka ho khaana chahiye lazzaaten hain dushman-e-auj-e-kamaal kulfaton se jee lagana chahiye un se milne ko to kya kahiye jigar KHud se milne ko zamaana chahiye
Jigar Moradabadi
1 likes
ishq ko be-naqaab hona tha aap apna javaab hona tha mast-e-jaam-e-sharaab hona tha be-khud-e-iztiraab hona tha teri aankhoñ ka kuchh qusoor nahin haan mujhi ko KHaraab hona tha aao mil jaao muskuraa ke gale ho chuka jo itaab hona tha koocha-e-ishq men nikal aaya jis ko khaana-kharaab hona tha mast-e-jaam-e-sharaab KHaak hote ghark-e-jaam-e-sharaab hona tha dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rangus ko saada kitaab hona tha ham ne naakaamiyon ko dhundh liya aakhirsh kaamyaab hona tha haaye vo lamha-e-sukoon ki jise mahshar-e-iztiraab hona tha nigah-e-yaar KHud tadap uthatii shart-e-avval KHaraab hona tha kyun na hota sitam bhi be-paayaan karam-e-be-hisaab hona tha kyun nazar hairaton men doob gaii mauj-e-sad-iztiraab hona tha ho chuka roz-e-awwaleen hi jigar jis ko jitna KHaraab hona tha
Jigar Moradabadi
1 likes
be-kaif dil hai aur ji.e ja raha hooñ main khaali hai sheesha aur pi.e ja raha hooñ main paiham jo aah aah ki.e ja raha hooñ main daulat hai gham zakaat diye ja raha hooñ main majboori-e-kamaal-e-mohabbat to dekhna jeena nahin qubool ji.e ja raha hooñ main vo dil kahaan hai ab ki jise pyaar keejie majbooriyaan hain saath diye ja raha hooñ main ruksat hui shabaab ke hamraah zindagi kehne ki baat hai ki ji.e ja raha hooñ main pahle sharaab zeest thii ab zeest hai sharaab koi pila raha hai pi.e ja raha hooñ main
Jigar Moradabadi
1 likes
aankhoñ ka tha qusoor na dil ka qusoor tha aaya jo mere saamne meraa ghuroor tha tareek misl-e-aah jo aankhoñ ka noor tha kya subh hi se shaam-e-bala ka zuhoor tha vo the na mujh se door na main un se door tha aata na tha nazar to nazar ka qusoor tha har vaqt ik khumaar tha har dam suroor tha bottle baghal men thii ki dil-e-na-suboor tha koi to dardmand-e-dil-e-na-suboor tha maana ki tum na the koi tum sa zaroor tha lagte hi thes toot gaya saaz-e-aarzoo milte hi aankh sheesha-e-dil choor choor tha aisa kahaan bahaar men rangeeniyon ka josh shaamil kisi ka khoon-e-tamanna zaroor tha saaqi ki chashm-e-mast ka kya keejie bayaan itnaa suroor tha ki mujhe bhi suroor tha paltee jo raaste hi se ai aah-e-na-muraad ye to bataa ki baab-e-asar kitnii door tha jis dil ko tum ne lutf se apna banaa liyaus dil men ik chhupa hua nashtar zaroor tha us chashm-e-may-farosh se koi na bach sakaa sab ko ba-qadar-e-hausla-e-dil suroor tha dekha tha kal jigar ko sar-e-raah-e-may-kada is darja pee gaya tha ki nashshe men choor tha
Jigar Moradabadi
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jigar Moradabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Jigar Moradabadi's ghazal.







