kab se nazar lagii thii darwaaza-e-haram se parda utha to ladiyaan aañkhen hamaari ham se soorat-gar-e-ajal ka kya haath tha kahe to kheenchi vo tegh-e-abroo faulaad ke qalam se sozish gaii na dil ki rone se roz-o-shab ke jalta hooñ aur dariyaa bahte hain chashm-e-nam se taa'at ka vaqt guzra masti men aab raz ki ab chashm-daasht us ke yaa hai faqat karam se kudhie na roiyie to auqaat kyoonke guzre rehta hai mashghala sa baar-e-gham-o-alam se mashhoor hai samaajat meri ki teg barsi par main na sar uthaya hargiz tire qadam se baat ehtiyaat se kar zaaeaa na kar nafs ko baaleedagi-e-dil hai maanind-e-sheesha dam se kya kya taab uthaaye kya kya azaab dekhe tab dil hua hai utna khugar tire sitam se hasti men ham ne aa kar aasoodagi na dekhi khultin na kaash aañkhen KHvaab KHush adam se paamaal kar ke ham ko pachtayoge bahut tum kamyab hain jahaan men sar dene waale ham se dil do ho meer sahab us bad-ma'ash ko tum khaatir to jama kar lo tak qaul se qasam se
Related Ghazal
kya kahega kabhi milne bhi agar aayega vo ab wafadari ki qasmen to nahin khayega vo ham samjhte the ki ham us..ko bhula sakte hain vo samajhta tha ha men bhool nahin paayega vo k itnaa socha tha par itnaa to nahin socha tha yaad ban jaayega vo khwaab nazar aayega vo sab ke hote hue ik roz vo tanhaa hogaa phir vo dhoondhega ha men aur nahin paayega vo ittifaqan jo kabhi saamne aaya ajmal ab vo tanhaa to na hogaa jo thehar jaayega vo
Ajmal Siraj
50 likes
ye saath aath padosi kahaan se aa.e mere tumhaare dil men to koi na tha sivaae mere kisi ne paas bithaaya bas aage yaad nahin mujhe to dost vahaañ se utha ke l aa.e mere ye soch kar na ki.e apne dard uske supurd vo laalchi hai asaase na bech kh aa.e mere idhar kidhar tu naya hai yahaañ ki paagal hai kisi ne kya tujhe qisse nahin sun aa.e mere vo aazm aa.e mere dost ko zaroor magar use kaho ki tarike na aazm aa.e mere
Umair Najmi
59 likes
teri har baat mohabbat men gawara karke dil ke bazaar men baithe hain khasaara karke aate jaate hain kaii rang mere chehre par log lete hain mazaa zikr tumhaara karke ek chingaari nazar aayi thii bastii men use vo alag hat gaya aandhi ko ishaara karke aasmaanon kii taraf fenk diya hai maine chand miTTi ke charaaghon ko sitaara karke main vo dariyaa hooñ ki har boond bhanwar hai jis kii tum ne achha hi kiya mujh se kinaara karke muntazir hooñ ki sitaaron kii zaraa aankh lage chaand ko chhat pe bula loonga ishaara karke
Rahat Indori
28 likes
abhii ik shor sa utha hai kahii koi KHaamosh ho gaya hai kahii hai kuchh aisa ki jaise ye sab kuchh is se pahle bhi ho chuka hai kahii tujh ko kya ho gaya ki cheezein ko kahii rakhta hai dhoondhta hai kahii jo yahaañ se kahii na jaata tha vo yahaañ se chala gaya hai kahii aaj shamshaan ki si boo hai yahaañ kya koi jism jal raha hai kahii ham kisi ke nahin jahaan ke siva aisi vo khaas baat kya hai kahii tu mujhe dhundh main tujhe dhundhun koi ham men se rah gaya hai kahii kitnii vehshat hai darmiyaan-e-hujoom jis ko dekho gaya hua hai kahii main to ab shahar men kahii bhi nahin kya mira naam bhi likha hai kahii
Jaun Elia
40 likes
ghar ban aanaa bahot zaroori hai qaidkhaanaa bahot zaroori hai phool khilne se phal utarte hain muskurana bahot zaroori hai mehfileen be-sabab nahin jamti ek fas aanaa bahot zaroori hai ab ke darwaaza KHud sajaaya hai teraa aanaa bahot zaroori hai aasmaan men zameen waalo ka ik thik aanaa bahot zaroori hai ab ke vo be-sabab hi rootha hai ab manana bahot zaroori hai kitne jinda hain ham pata to chala zahar kh aanaa bahot zaroori hai sar uthaane ke vaaste fahmi sar jhuk aanaa bahut zaroori hai
Fahmi Badayuni
29 likes
More from Meer Taqi Meer
kharaabi kuchh na poochho mulakat-e-dil ki imarat ki ghamon ne aaj-kal suniyo vo aabaa dii hi gharaat ki nigah-e-mast se jab chashm ne is ki ishaarat ki halaavat may ki aur buniyaad maykhaane ki gharaat ki sahar-gah main ne poocha gul se haal-e-zaar bulbul ka pade the baagh men yak-musht par udhar ishaarat ki jalaya jis tajallii-e-jalwa-gar ne toor ko ham-dam usii aatish ke par kaale ne ham se bhi sharaarat ki nazaakat kya kahooñ khursheed-roo ki kal shab-e-mah men gaya tha saa.e saa.e baagh tak tis par hararat ki nazar se jis ki yusuf sa gaya phir us ko kya sujhe haqeeqat kuchh na poochho peer-e-kan'aan ki basaarat ki tire kooche ke shauq-e-tauf men jaise bagoola tha biyaabaan main ghubaar meer ki ham ne ziyaarat ki
Meer Taqi Meer
0 likes
mehr ki tujh se tavakko thii sitamgar niklaa mom samjhe the tire dil ko so patthar niklaa daagh hooñ rask-e-mohabbat se ki itnaa betaab kis ki taskin ke li.e ghar se tu baahar niklaa jeete jee aah tire kooche se koi na fira jo sitam-deeda raha ja ke so mar kar niklaa dil ki aabaa dii ki is had hai kharaabi ki na pooch jaana jaata hai ki us raah se lashkar niklaa ashk-e-tar qatra-e-khoon lakht-e-jigar paara-e-dil ek se ek addad aankh se bah kar niklaa kunj-kaavi jo ki seene ki gham-e-hijraan ne is dafneene men se aqsaam-e-jawaahar niklaa ham ne jaana tha likhega tu koi harf ai meer par tira naama to ik shauq ka daftar niklaa
Meer Taqi Meer
0 likes
mustoojib-e-zulm-o-sitam-o-jaur-o-jafa hooñ har-chand ki jalta hooñ pe sargarm-e-wafa hooñ aate hain mujhe khoob se dono hunar-e-ishq rone ke tai aandhi hooñ kudhne ko bala hooñ is gulshan-e-duniya men shagufta na hua main hooñ ghuncha-e-afsurdah ki mardood-e-saba hooñ ham-chashm hai har aabla-e-paa ka mira ashk az-bas ki tiri raah men aankhoñ se chala hooñ aaya koi bhi tarah mire cheen ki hogii aazurda hooñ jeene se main marne se KHafaa hooñ daaman na jhatak haath se mire ki sitamgar hooñ khaak-e-sar-e-raah koi dam men hua hooñ dil khwaah jala ab to mujhe ai shab-e-hijraan main sokhta bhi muntazir-e-roz-e-jaza hooñ go taqat-o-aaraam-o-khor-o-khwaab ga.e sab baare ye ghaneemat hai ki jeeta to raha hooñ itnaa hi mujhe ilm hai kuchh main hooñ bahr-cheez ma'aloom nahin khoob mujhe bhi ki main kya hooñ behtar hai garz KHaamushi hi kehne se yaaraan mat poochho kuchh ahvaal ki mar mar ke jiya hooñ tab garm-e-sukhan kehne laga hooñ main ki ik umr jun shama' sar-e-shaam se ta-subh jala hooñ seena to kiya fazl-e-ilaahi se sabhi chaak hai waqt-e-dua meer ki ab dil ko laga hooñ
Meer Taqi Meer
0 likes
ab meer'-ji to achchhe zindeeq hi ban baithe peshaani pe de qashka zunnar pahan baithe aazurda dil-e-ulfat ham chupke hi behtar hain sab ro uthegi majlis jo kar ke sukhun baithe uryaan phiren kab tak ai kaash kahii aa kar ta gard biyaabaan ki baala-e-badan baithe paikaan-e-khadang us ka yuñ seene ke udhar hai jon maar-e-siyah koi kaadhe hue fan baithe juz khat ke khayal us ke kuchh kaam nahin ham ko sabzi pi.e ham akshar rahte hain magan baithe shamsher-e-sitam us ki ab go ka chale har-dam shoreeda-sar apne se ham baandh kafan baithe bas ho to idhar-udhar yuñ firne na den tujh ko naachaar tire ham ye dekhen hain chalan baithe
Meer Taqi Meer
0 likes
yaaro mujhe muaaf rakho main nashe men hooñ ab do to jaam khaali hi do main nashe men hooñ ek ek qurt daur men yuñ hi mujhe bhi do jaam-e-sharaab pur na karo main nashe men hooñ masti se darhami hai mirii guftugoo ke beech jo chaaho tum bhi mujh ko kaho main nashe men hooñ ya haathon haath lo mujhe maanind-e-jaam-e-may ya thodii door saath chalo main nashe men hooñ maazoor hooñ jo paanv mira be-tarah pade tum sargiraan to mujh se na ho main nashe men hooñ bhaagi namaaz-e-jumaa to jaati nahin hai kuchh chaltaa hooñ main bhi tuk to raho main nashe men hooñ nazuk-mizaj aap qayamat hain meer jee jun sheesha mere munh na lago main nashe men hooñ
Meer Taqi Meer
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Meer Taqi Meer.
Similar Moods
More moods that pair well with Meer Taqi Meer's ghazal.







