kis-kis ada se tune jalwa dikha ke maara azaad ho chuke the banda banaa ke maara awwal banaa ke putla putle men jaan daali phir us..ko KHud qaza ki soorat men aake maara aankhoñ men teri zalim churiyaan chhupi hui hain dekha jidhar ko tune palken uthaake maara gunchon men aake mahka bulbul men jaake chahka isko hansa ke maara us..ko rula ke maara sosan ki tarah akbar KHaamosh hain yahaañ par nargis men isne chip kar aañkhen lada ke maara
Related Ghazal
itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen
Mehshar Afridi
173 likes
kis tarah hogaa fakeeron ka guzaara soche usse kehna ki vo ik baar dobaara soche kaise mumkin hai use aur koi kaam na ho kaise mumkin hai ki vo sirf hamaara soche tere aflaak pe jaa.e to sitaara chamke mere aflaak pe aaye to sitaara soche toote patwaar ki kashtii ka muqaddar kya hai ye to dariyaa hi bataaye ya kinaara soche aisa mauka ho ki bas ek hi bach saka ho aur us waqt bhi ek shakhs tumhaara soche
Zahid Bashir
40 likes
gam ki daulat muft luta doon bilkul nahin ashkon men ye dard baha doon…..bilkul nahin tune to aukaat dikha dii hai apni main apna mayaar giraa doon bilkul nahin ek najoomi sabko KHvaab dikhaata hai main bhi apna haath dikha doon bilkul nahin mere andar ek khaamoshi cheekhti hai to kya main bhi shor macha doon…bilkul nahin
Mehshar Afridi
49 likes
munh zabaani na jataata ki mohabbat kya hai main tujhe kar ke dikhaata ki mohabbat kya hai kaise seene se lagaaun ki kisi aur ke ho mere hote to bataata ki mohabbat kya hai khoob samjhaata tujhe teri misaalen de kar kaash tu poochne aata ki mohabbat kya hai
Rana Saeed Doshi
34 likes
koi itnaa pyaara kaise ho saka hai phir saare ka saara kaise ho saka hai kaise kisi ki yaad ha men zinda rakhti hai ek khayal sahaara kaise ho saka hai tujh se jab mil kar bhi udaasi kam nahin hoti tere baghair guzaara kaise ho saka hai yaar hawa se kaise aag bhadak uthatii hai lafz koi angaara kaise ho saka hai kaun zamaane-bhar ki thokren kha kar KHush hai dard kisi ko pyaara kaise ho saka hai ham bhi kaise ek hi shaKHs ke ho kar rah jaayen vo bhi sirf hamaara kaise ho saka hai kaise ho saka hai jo kuchh bhi main chaahoon bol na mere yaara kaise ho saka hai
Jawwad Sheikh
39 likes
More from Akbar Allahabadi
har qadam kahtaa hai tu aaya hai jaane ke li.e manzil-e-hasti nahin hai dil lagaane ke li.e kya mujhe KHush aa.e ye hairat-sara-e-be-sabaat hosh udne ke li.e hai jaan jaane ke li.e dil ne dekha hai bisaat-e-quwwat-e-idraak ko kya badhe is bazm men aañkhen uthaane ke li.e khoob ummeedein bandhein lekin hui hirmaan naseeb badliyaan uthhiin magar bijli girane ke li.e saans ki tarkeeb par miTTi ko pyaar aa hi gaya KHud hui qaid us ko seene se lagaane ke li.e jab kaha main ne bhula do gair ko hañs kar kaha yaad phir mujh ko dilaana bhool jaane ke li.e deeda-baazi vo kahaan aañkhen raha karti hain band jaan hi baaki nahin ab dil lagaane ke li.e mujh ko KHush aayi hai masti shaikh jee ko farbahee main hooñ peene ke li.e aur vo hain khaane ke li.e allah allah ke siva aaKHir raha kuchh bhi na yaad jo kiya tha yaad sab tha bhool jaane ke li.e sur kahaan ke saaz kaisa kaisi bazm-e-saamaeen josh-e-dil kaafi hai akbar taan udaane ke li.e
Akbar Allahabadi
2 likes
hangaama hai kya barpa thodii si jo pee li hai daaka to nahin maara chori to nahin ki hai na-tajarba-kaari se wa'iz ki ye hain baatein is rang ko kya jaane poochho to kabhi pee hai us may se nahin matlab dil jis se hai begaana maqsood hai us may se dil hi men jo khinchti hai waan dil men ki sad men do yaa jee men ki sab sah lo un ka bhi ajab dil hai meraa bhi ajab jee hai har zarra chamakta hai anwaar-e-ilaahi se har saans ye kahti hai ham hain to KHuda bhi hai suraj men lage dhabba fitrat ke karish men hain but ham ko kahein kaafir allah ki marzi hai sach kahte hain shaikh akbar hai taat-e-haq laazim haan tark-e-may-o-shaahid ye un ki buzurgi hai
Akbar Allahabadi
1 likes
tiri zulfon men dil uljha hua hai bala ke pech men aaya hua hai na kyunkar boo-e-khoon naa men se aa.e usii jallaad ka likkha hua hai chale duniya se jis ki yaad men ham ghazab hai vo ha men bhoola hua hai kahooñ kya haal agli ishraton ka vo tha ik KHvaab jo bhoola hua hai jafaa ho ya vafaa ham sab men KHush hain karen kya ab to dil atka hua hai hui hai ishq hi se husn ki qadr humeen se aap ka shohra hua hai buton par rahtii hai maail hamesha tabeeyat ko khudaaya kya hua hai pareshaan rahte ho din raat akbar ye kis ki zulf ka sauda hua hai
Akbar Allahabadi
0 likes
zid hai unhen poora mira armaan na karenge munh se jo nahin nikli hai ab haan na karenge kyun zulf ka bosa mujhe lene nahin dete kahte hain ki wallaah pareshaan na karenge hai zehan men ik baat tumhaare mutalliq khilwat men jo poochoge to pinhaan na karenge waiz to banaate hain musalmaan ko kaafir afsos ye kaafir ko musalmaan na karenge kyun shukr-guzaari ka mujhe shauq hai itnaa sunta hooñ vo mujh par koi ehsaan na karenge deewaana na samjhe ha men vo samjhe sharaabi ab chaak kabhi jeb o garebaan na karenge vo jaante hain gair mire ghar men hai mehmaan aayenge to mujh par koi ehsaan na karenge
Akbar Allahabadi
2 likes
ummeed tooti hui hai meri jo dil mira tha vo mar chuka hai jo zindagaani ko talkh kar de vo vaqt mujh par guzar chuka hai agarche seene men saans bhi hai nahin tabeeyat men jaan baaki ajal ko hai der ik nazar ki falak to kaam apna kar chuka hai ghareeb-khaane ki ye udaasi ye naa-durusti nahin qadeemi chahal pehal bhi kabhi yahaañ thii kabhi ye ghar bhi sanwar chuka hai ye seena jis men ye daagh men ab masarraton ka kabhi tha makhzan vo dil jo armaan se bhara tha khushi se us men thehar chuka hai gareeb akbar ke gard kyun men khayal wa'iz se koi kah de use daraate ho maut se kya vo zindagi hi se dar chuka hai
Akbar Allahabadi
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Akbar Allahabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Akbar Allahabadi's ghazal.







