mohabbat ki duniya men mashhoor kar doon mirii saada-dil tujh ko maghroor kar doon tire dil ko milne ki KHud aarzoo ho tujhe is qadar gham se ranjoor kar doon mujhe zindagi door rakhti hai tujh se jo tu paas ho to use door kar doon mohabbat ke iqaar se sharm kab tak kabhi saamna ho to majboor kar doon mire dil men hai shola-e-husn raksaan main chaahoon to har zarre ko toor kar doon ye be-rangiyaan kab tak ai husn-e-rangeen idhar aa tujhe ishq men choor kar doon tu gar saamne ho to main be-khu dii men sitaaron ko sajde pe majboor kar doon siyah-khaana-e-gham hai saaqi zamaana bas ik jaam aur noor hi noor kar doon nahin zindagi ko vafaa warna akhtar mohabbat se duniya ko maamoor kar doon
Related Ghazal
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
More from Akhtar Shirani
la pila saaqi sharaab-e-arghwaani phir kahaan zindagaani phir kahaan naadaan jawaani phir kahaan do ghadi mil baithne ko bhi ghaneemat jaaniye umr faani hi sahi ye umr-e-faani phir kahaan aa ki ham bhi ik taraana jhoom kar gaate chalen is chaman ke taaeron ki hum-zabaani phir kahaan hai zamaana ishq-e-salma men ganwa de zindagi ye zamaana phir kahaan ye zindagaani phir kahaan ek hi bastii men hain aasaan hai milnaa aa milo kya khabar le jaa.e daur-e-aasmaani phir kahaan fasl-e-gul jaane ko hai daur-e-khizaan aane ko hai ye chaman ye bulbulein ye naghma-khwaani phir kahaan phool chun jee khol kar aish-o-tarab ke phool chun mausam-e-gul phir kahaan fasl-e-jawaani phir kahaan aakhiri raat aa gaii jee bhar ke mil len aaj to tum se milne dega daur-e-aasmaani phir kahaan aaj aa.e ho to sunte jaao ye taaza ghazal warna akhtar phir kahaan ye sher-khwaani phir kahaan
Akhtar Shirani
1 likes
kaam aa sakeen na apni vafaaayen to kya kareinus bevafaa ko bhool na jaayen to kya karen mujh ko ye e'tiraaf duaon men hai asar jaayen na arsh par jo duaein to kya karen ik din ki baat ho to use bhool jaayen ham naazil hon dil pe roz balaen to kya karen zulmat-b-dosh hai mirii duniya-e-aashiqi taaron ki mish'ale na churaayen to kya karen shab bhar to un ki yaad men taare gina ki.e taare se din ko bhi nazar aayen to kya karen ahad-e-tarab ki yaad men roya ki.e bahut ab muskuraa ke bhool na jaayen to kya karen ab jee men hai ki un ko bhula kar hi dekh len vo baar baar yaad jo aayen to kya karen wa'de ke e'tibaar men taskin-e-dil to hai ab phir vahii fareb na khaayen to kya karen tark-e-wafa bhi jurm-e-mohabbat sahi magar milne lagen vafaa ki sazaayen to kya karen
Akhtar Shirani
0 likes
gham-e-zamaana nahin ik azaab hai saaqi sharaab la mirii haalat KHaraab hai saaqi shabaab ke li.e tauba azaab hai saaqi sharaab la mujhe paas-e-shabaab hai saaqi utha piyaala ki gulshan pe phir barsne lagii vo may ki jis ka qadah mahtaab hai saaqi nikaal parda-e-meena se dukhtar-e-raz ko ghatta men kis li.e ye mahtaab hai saaqi tu waizoon ki na sun may-kashon ki khidmat kar gunah savaab ki khaatir savaab hai saaqi zamaane-bhar ke ghamon ko hai daawat-e-gharraa ki ek jaam men sab ka javaab hai saaqi kalaam jis ka hai me'raaj haafiz-o-khayyaam yahii vo akhtar-e-khaana-kharaab hai saaqi
Akhtar Shirani
0 likes
zamaan-e-hijr mite daur-e-wasl-e-yaar aa.e ilaahi ab to khizaan jaa.e aur bahaar aa.e sitam-zareefi-e-fitrat ye kya mu'ammaa hai ki jis kali ko bhi soonghoon main boo-e-yaar aa.e chaman ki har kali aamaada-e-tabassum hai bahaar ban ke mirii jaan-e-nau-bahaar aa.e hain tishna-kaam ham un baadlon se pooche koi kahaan bahaar ki pariyon ke takht utaar aa.e tire khayal ki be-taabiyaan ma'az-allah ki ek baar bhulaayen to laakh baar aa.e vo aayen yuñ mire aagosh-e-ishq men akhtar ki jaise aankhoñ men ik khwaab-e-be-qaraar aa.e
Akhtar Shirani
0 likes
mirii shaam-e-gham ko vo bahla rahe hain likha hai ye khat men ki ham aa rahe hain thehar ja zaraa aur ai dard-e-furqat hamaare tasavvur men vo aa rahe hain gham-e-aqibat hai na fikr-e-zamaana pi.e ja rahe hain ji.e ja rahe hain nahin shikwa-e-tishnagi may-kashon ko vo aankhoñ se may-khaane barsa rahe hain vo rask-e-bahaar aane vaala hai akhtar kanwal hasraton ke khile ja rahe hain
Akhtar Shirani
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Akhtar Shirani.
Similar Moods
More moods that pair well with Akhtar Shirani's ghazal.







