ghazalKuch Alfaaz

sar men sauda bhi nahin dil men tamannaa bhi nahin lekin is tark-e-mohabbat ka bharosa bhi nahin dil ki ginti na yagaano'n men na begaano'n men lekin us jalwa-gah-e-naaz se uthata bhi nahin meherbaani ko mohabbat nahin kahte ai dost aah ab mujh se tiri ranjish-e-beja bhi nahin ek muddat se tiri yaad bhi aayi na ha men aur ham bhool ga.e hon tujhe aisa bhi nahin aaj ghaflat bhi un aankhoñ men hai pahle se siva aaj hi khaatir-e-beemaar shakeba bhi nahin baat ye hai ki sukoon-e-dil-e-vahshi ka maqaam kunj-e-zindaan bhi nahin wusa'at-e-sehra bhi nahin are sayyaad humeen gul hain humeen bulbul hain tu ne kuchh aah suna bhi nahin dekha bhi nahin aah ye majma'-e-ahbaab ye bazm-e-khaamosh aaj mehfil men firaq'-e-sukhan-aara bhi nahin ye bhi sach hai ki mohabbat pe nahin main majboor ye bhi sach hai ki tira husn kuchh aisa bhi nahin yuñ to hangaa men uthaate nahin deewana-e-ishq magar ai dost kuchh aison ka thikaana bhi nahin fitrat-e-husn to ma'aloom hai tujh ko hamdam chaara hi kya hai b-juz sabr so hota bhi nahin munh se ham apne bura to nahin kahte ki firaq hai tira dost magar aadmi achha bhi nahin

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

More from Firaq Gorakhpuri

ab daur-e-aasmaan hai na daur-e-hayaat hai ai dard-e-hijr tu hi bataa kitnii raat hai har kaayenaat se ye alag kaayenaat hai hairat-sara-e-ishq men din hai na raat hai jeena jo aa gaya to ajal bhi hayaat hai aur yuñ to umr-e-khizr bhi kya be-sabaat hai kyun intiha-e-hosh ko kahte hain be-khu dii khurshid hi ki aakhiri manzil to raat hai hasti ko jis ne zalzala-samaan banaa diya vo dil qaraar paa.e muqaddar ki baat hai ye mushgaafiyaan hain giran tab-e-ishq par kis ko dimaagh-e-kaavish-e-zaat-o-sifaat hai toda hai la-makaan ki hadon ko bhi ishq ne zindaan-e-aql teri to kya kaayenaat hai gardoon sharaar-e-bark-e-dil-e-be-qaraar dekh jin se ye teri taaron bharii raat raat hai gum ho ke har jagah hain z-khud raftagaan-e-ishq un ki bhi ahl-e-kashf-o-karaamaat zaat hai hasti b-juz fana-e-musalsal ke kuchh nahin phir kis li.e ye fikr-e-qaraar-o-sabaat hai us jaan-e-dosti ka khuloos-e-nihaan na pooch jis ka sitam bhi ghairat-e-sad-iltifaat hai yuñ to hazaar dard se rote hain bad-naseeb tum dil dukhaao waqt-e-museebat to baat hai unwaan ghaflaton ke hain qurbat ho ya visaal bas fursat-e-hayaat firaq ek raat hai

Firaq Gorakhpuri

1 likes

kuchh na kuchh ishq ki taaseer ka iqaar to haius ka ilzaam-e-taghaful pe kuchh inkaar to hai har fareb-e-gham-e-duniya se khabar-daar to hai teraa deewaana kisi kaam men hushyaar to hai dekh lete hain sabhi kuchh tire mushtaqa-e-jamaal KHair deedaar na ho hasrat-e-deedaar to hai maarake sar hon usii barq-e-nazar se ai husn ye chamakti hui chalti hui talwaar to hai sar patkane ko patkata hai magar ruk ruk kar tere wahshi ko khayaal-e-dar-o-deewaar to hai ishq ka shikwa-e-beja bhi na be-kaar gayana sahi jaur magar jaur ka iqaar to hai tujh se himmat to padi ishq ko kuchh kehne ki KHair shikwa na sahi shukr ka izhaar to hai is men bhi raabta-e-khaas ki milti hai jhalak KHair iqaar-e-mohabbat na ho inkaar to hai kyun jhapak jaati hai rah rah ke tiri barq-e-nigaah ye jhijak kis li.e ik kushta-e-deedaar to hai kaii unwaan hain mamnoon-e-karam karne ke ishq men kuchh na sahi zindagi be-kaar to hai sehar-o-shaam sar-e-anjuman-e-naaz na ho jalwa-e-husn to hai ishq-e-siyahkaar to hai chaunk uthte hain firaq aate hi us shokh ka naam kuchh saraasimagi-e-ishq ka iqaar to hai

Firaq Gorakhpuri

1 likes

haath aa.e to vahii daaman-e-jaanaan ho jaa.e chhoot jaa.e to vahii apna garebaan ho jaa.e ishq ab bhi hai vo mehram-e-be-gaana-numa husn yuñ laakh chhupe laakh numayaan ho jaa.e hosh-o-ghaflat se bahut door hai kaifiyyat-e-ishqus ki har be-khabri manzil-e-irfaan ho jaa.e yaad aati hai jab apni to tadap jaata hooñ mirii hasti tira bhoola hawa paimaan ho jaa.e aankh vo hai jo tiri jalwa-gah-e-naaz bane dil vahii hai jo saraapa tira armaan ho jaa.e paak-baazaan-e-mohabbat men jo bebaki hai husn gar us ko samajh le to pashemaan ho jaa.e sahal ho kar hui dushwaar mohabbat teri use mushkil jo banaa len to kuchh aasaan ho jaa.e ishq phir ishq hai jis roop men jis bhes men ho ishrat-e-wasl bane ya gham-e-hijraan ho jaa.e kuchh mudaava bhi ho majrooh dilon ka ai dost marham-e-zakhm tira jaur-pashemaan ho jaa.e ye bhi sach hai koi ulfat men pareshaan kyun ho ye bhi sach hai koi kyunkar na pareshaan ho jaa.e ishq ko arz-e-tamanna men bhi laakhon pas-o-pesh husn ke vaaste inkaar bhi aasaan ho jaa.e jhilmilaati hai sar-e-bazm-e-jahaan sham-e-khu dii jo ye bujh jaa.e charaagh-e-rah-e-irfaan ho jaa.e sar-e-shooreeda diya dasht-o-bayaabaan bhi diye ye mirii khoobi-e-qismat ki vo zindaan ho jaa.e uqda-e-ishq ajab uqda-e-mohmal hai firaq kabhi la-hal kabhi mushkil kabhi aasaan ho jaa.e

Firaq Gorakhpuri

1 likes

bastiyaan Dhoondh rahi hain unhen veeraanon men vahshatein badh gaiin had se tire deewaanon men nigah-e-naaz na deewaanon na farzaanon men jaankaar ek vahii hai magar an-jaanon men bazm-e-may be-khud-o-be-taab na kyun ho saaqi mauj-e-baada hai ki dard uthata hai paimaanon men main to main chaunk u thii hai ye faza-e-khaamosh ye sadaa kab ki sooni aati hai phir kaanon men sair kar ujde dilon ki jo tabeeyat hai udaas jee bahl jaate hain akshar inheen veeraanon men wusaaten bhi hain nihaan tangi-e-dil men ghaafil jee bahl jaate hain akshar inheen maidaanon men jaan eemaan-e-junoon silsila jumbaan-e-junoon kuchh kashish-ha-e-nihaan jazb hain veeraanon men khanda-e-subh-e-azal teergi-e-shaam-e-abad dono aalam hain chhalakte hue paimaanon men dekh jab aalam-e-hoo ko to naya aalam hai bastiyaan bhi nazar aane lagin veeraanon men jis jagah baith ga.e aag laga kar utthe garmiyaan hain kuchh abhii sokhta-saamaanoń men vahshatein bhi nazar aati hain sar-e-parda-e-naaz daamanoń men hai ye aalam na garebaanon men ek rangeeni-e-zaahir hai gulistaan men agar ek shaadabi-e-pinhaan hai biyaabaanon men jauhar-e-ghuncha-o-gul men hai ik andaaz-e-junoon kuchh biyaabaan nazar aa.e hain garebaanon men ab vo rang-e-chaman-o-khanda-e-gul bhi na rahe ab vo aasaar-e-junoon bhi nahin deewaanon men ab vo saaqi ki bhi aañkhen na raheen rindon men ab vo saaghar bhi chhalakte nahin may-khaanon men ab vo ik soz-e-nihaani bhi dilon men na raha ab vo jalwe bhi nahin ishq ke kaashaanon men ab na vo raat jab ummeedein bhi kuchh theen tujh se ab na vo baat gham-e-hijr ke afsaano men ab tira kaam hai bas ahl-e-wafa ka paana ab tira naam hai bas ishq ke gham-khaanon men ta-b-kai waada-e-mauhoom ki tafseel firaq shab-e-furqat kahii kattee hai in afsaano men

Firaq Gorakhpuri

2 likes

waqt-e-ghuroob aaj karaamaat ho gaii zulfon ko us ne khol diya raat ho gaii kal tak to us men aisi karaamat na thii koi vo aankh aaj qibla-e-haajaat ho gaii ai soz-e-ishq tu ne mujhe kya banaa diya meri har ek saans munaajat ho gaii ochi nigaah daal ke ik samt rakh diya dil kya diya gareeb ki sougaat ho gaii kuchh yaad aa gaii thii vo zulf-e-shikan-shikan hasti tamaam chashma-e-zulmaat ho gaii ahl-e-watan se door judaai men yaar ki sabr aa gaya firaq karaamaat ho gaii

Firaq Gorakhpuri

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Firaq Gorakhpuri.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Firaq Gorakhpuri's ghazal.