waan vo to ghar se apne pee kar sharaab niklaa yaa sharm se arq men doob aftaab niklaa aaya jo waqie men darpaish aalam-e-marg ye jaagna hamaara dekha to KHvaab niklaa dekha jo os padte gulshan men ham to aaKHir gul ka vo roo-e-khandaan chashm-e-pur-aab niklaa parde hi men chala ja khurshid to hai behtar ik hashr hai jo ghar se vo be-hijaab niklaa kuchh der hi lagii na dil ko to teer lagteus said-e-naatwaan ka kya jee shitaab niklaa har harf-e-gham ne mere majlis ke tai rulaaya goya ghubaar dil ka padhta kitaab niklaa roo-e-arq-fishaan ko bas ponch garm mat hous gul men kya rahega jis ka gulaab niklaa mutlaq na e'tinaa ki ahvaal par hamaare naa men ka naa men hi men sab pech-o-taab niklaa shaan-e-taghaful apne nau-khat ki kya likhen ham qaasid mua tab us ke munh se javaab niklaa kis ki nigah ki gardish thii meer roo-b-masjid mehraab men se zaahid mast-o-kharaab niklaa
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
phir mirii yaad aa rahi hogii phir vo deepak bujha rahi hogii phir mire facebook pe aa kar vo KHud ko banner banaa rahi hogii apne bete ka choom kar maatha mujh ko teeka laga rahi hogii phir usii ne use chhua hogaa phir usii se nibha rahi hogii jism chadar sa bich gaya hogaa rooh silvat hata rahi hogii phir se ik raat kat gaii hogii phir se ik raat aa rahi hogii
Kumar Vishwas
53 likes
main bhi tum jaisa hooñ apne se juda mat samjho aadmi hi mujhe rahne do KHuda mat samjho ye jo main hosh men rehta nahin tumse mil kar ye mira ishq hai tum isko nasha mat samjho raas aata nahin sabko ye mohabbat ka marz meri beemaarii ko tum apni davaa mat samjho
Shakeel Azmi
51 likes
vo zamaana guzar gaya kab ka tha jo deewaana mar gaya kab ka dhoondhta tha jo ik nayi duniya laut ke apne ghar gaya kab ka vo jo laaya tha ham ko dariyaa tak paar akelaa utar gaya kab ka us ka jo haal hai vahii jaane apna to zakham bhar gaya kab ka khwaab-dar-khwaab tha jo sheeraza ab kahaan hai bikhar gaya kab ka
Javed Akhtar
62 likes
More from Meer Taqi Meer
mustoojib-e-zulm-o-sitam-o-jaur-o-jafa hooñ har-chand ki jalta hooñ pe sargarm-e-wafa hooñ aate hain mujhe khoob se dono hunar-e-ishq rone ke tai aandhi hooñ kudhne ko bala hooñ is gulshan-e-duniya men shagufta na hua main hooñ ghuncha-e-afsurdah ki mardood-e-saba hooñ ham-chashm hai har aabla-e-paa ka mira ashk az-bas ki tiri raah men aankhoñ se chala hooñ aaya koi bhi tarah mire cheen ki hogii aazurda hooñ jeene se main marne se KHafaa hooñ daaman na jhatak haath se mire ki sitamgar hooñ khaak-e-sar-e-raah koi dam men hua hooñ dil khwaah jala ab to mujhe ai shab-e-hijraan main sokhta bhi muntazir-e-roz-e-jaza hooñ go taqat-o-aaraam-o-khor-o-khwaab ga.e sab baare ye ghaneemat hai ki jeeta to raha hooñ itnaa hi mujhe ilm hai kuchh main hooñ bahr-cheez ma'aloom nahin khoob mujhe bhi ki main kya hooñ behtar hai garz KHaamushi hi kehne se yaaraan mat poochho kuchh ahvaal ki mar mar ke jiya hooñ tab garm-e-sukhan kehne laga hooñ main ki ik umr jun shama' sar-e-shaam se ta-subh jala hooñ seena to kiya fazl-e-ilaahi se sabhi chaak hai waqt-e-dua meer ki ab dil ko laga hooñ
Meer Taqi Meer
0 likes
shikwa karoon main kab tak us apne meherbaan ka al-qissaa rafta rafta dushman hua hai jaañ ka girye pe rang aaya qaid-e-qafas se shaayad khun ho gaya jigar men ab daagh gulsitaan ka le jhaadoo tokra hi aata hai subah hote jaarub-kash magar hai khurshid us ke haan ka dii aag rang-e-gul ne waan ai saba chaman ko yaa ham jale qafas men sun haal aashiyaan ka har subh mere sar par ik haadisa naya hai paivand ho zameen ka sheva is aasmaañ ka in said-afganoon ka kya ho shikaar koi hota nahin hai aaKHir kaam un ke imtihaan ka tab to mujhe kiya tha teeron se said apna ab karte hain nishaana har mere ustukhwaan ka fitraak jis ka akshar lohoo men tar rahe hai vo qasd kab kare hai is said-e-naatwaan ka kam-fursati jahaan ke maj men ki kuchh na poochho ahvaal kya kahooñ main is majlis-e-ravaan ka sajda karen hain sun kar obaash saare us ko sayyad pisar vo pyaara haiga imaam baanka na-haq shanaasi hai ye zaahid na kar barabar taa'at se sau baras ki sajda us aastaan ka hain dasht ab ye jeete baste the shahar saare veeraan-e-kuhan hai maamoora is jahaan ka jis din ki us ke munh se burqa uthega suniyous roz se jahaan men khurshid phir na jhaanka na-haq ye zulm karna insaaf kah piyaare hai kaun si jagah ka kis shahar ka kahaan ka saudaai ho to rakhe bazaar-e-ishq men pa sar muft bechte hain ye kuchh chalan hai waan ka sau gaali ek chashmak itnaa sulook to hai obaash khaana jang us khush-chashm bad-zabaan ka ya roye ya rulaaya apni to yuñ hi guzri kya zikr hum-safeeraan yaaraan-e-shaadmaan ka qaid-e-qafas men hain to khidmat hai naalgi ki gulshan men the to ham ko mansab tha rouza-khwaan ka poochho to meer se kya koi nazar pada hai chehra utar raha hai kuchh aaj us jawaan ka
Meer Taqi Meer
0 likes
kharaabi kuchh na poochho mulakat-e-dil ki imarat ki ghamon ne aaj-kal suniyo vo aabaa dii hi gharaat ki nigah-e-mast se jab chashm ne is ki ishaarat ki halaavat may ki aur buniyaad maykhaane ki gharaat ki sahar-gah main ne poocha gul se haal-e-zaar bulbul ka pade the baagh men yak-musht par udhar ishaarat ki jalaya jis tajallii-e-jalwa-gar ne toor ko ham-dam usii aatish ke par kaale ne ham se bhi sharaarat ki nazaakat kya kahooñ khursheed-roo ki kal shab-e-mah men gaya tha saa.e saa.e baagh tak tis par hararat ki nazar se jis ki yusuf sa gaya phir us ko kya sujhe haqeeqat kuchh na poochho peer-e-kan'aan ki basaarat ki tire kooche ke shauq-e-tauf men jaise bagoola tha biyaabaan main ghubaar meer ki ham ne ziyaarat ki
Meer Taqi Meer
0 likes
mehr ki tujh se tavakko thii sitamgar niklaa mom samjhe the tire dil ko so patthar niklaa daagh hooñ rask-e-mohabbat se ki itnaa betaab kis ki taskin ke li.e ghar se tu baahar niklaa jeete jee aah tire kooche se koi na fira jo sitam-deeda raha ja ke so mar kar niklaa dil ki aabaa dii ki is had hai kharaabi ki na pooch jaana jaata hai ki us raah se lashkar niklaa ashk-e-tar qatra-e-khoon lakht-e-jigar paara-e-dil ek se ek addad aankh se bah kar niklaa kunj-kaavi jo ki seene ki gham-e-hijraan ne is dafneene men se aqsaam-e-jawaahar niklaa ham ne jaana tha likhega tu koi harf ai meer par tira naama to ik shauq ka daftar niklaa
Meer Taqi Meer
0 likes
jab rone baithta hooñ tab kya kasar rahe hai roomaal do do din tak jun abr tar rahe hai aah-e-sehr ki meri barchi ke vasvase se khurshid ke munh u uupar akshar sipar rahe hai aagah to rahiye us ki tarz-e-rah-o-ravish se aane men us ke lekin kis ko khabar rahe hai un rozon itni ghaflat achchhii nahin idhar se ab iztiraab ham ko do do pahar rahe hai aab-e-hayaat ki si saari ravish hai us ki par jab vo uth chale hai ek aadh mar rahe hai talwaar ab laga hai be-dol paas rakhne KHoon aaj kal kisoo ka vo shokh kar rahe hai dar se kabhu jo aate dekha hai main ne us ko tab se udhar hi akshar meri nazar rahe hai aaKHir kahaan talak ham ik roz ho chukenge barson se waada-e-shab har subh par rahe hai meer ab bahaar aayi sehra men chal junoon kar koi bhi fasl-e-gul men naadaan ghar rahe hai
Meer Taqi Meer
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Meer Taqi Meer.
Similar Moods
More moods that pair well with Meer Taqi Meer's ghazal.







