vo sitam na dhaaye to kya kare use kya khabar ki vafaa hai kya tu usii ko pyaar kare hai kyun ye kaleem tujh ko hua hai kya tujhe sang-dil ye pata hai kya ki dukhe dilon ki sadaa hai kya k abhii chot tu ne bhi khaai hai k abhii teraa dil bhi dukha hai kya tu raees-e-shahr-e-sitam-garaan main gada-e-koocha-e-aashiqan tu ameer hai to bataa mujhe main gareeb hooñ to bura hai kya tu jafaa men mast hai roz-o-shab main kafan-b-dosh o ghazal-b-lab tire rob-e-husn se chup hain sab main bhi chup rahoon to mazaa hai kya ye kahaan se aayi hai surkh-roo hai har ek jhonka lahu lahu kati jis men gardan-e-aarzoo ye usii chaman ki hawa hai kya abhii teraa daur-e-shabaab hai abhii kya hisaab-o-kitaab hai abhii kya na hogaa jahaan men abhii is jahaan men hua hai kya yahii ham-nava yahii hum-sukhan yahii ham-nishaan yahii ham-watan mirii shaay'ri hi bataayegi mira naam kya hai pata hai kya
Related Ghazal
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen
Mehshar Afridi
173 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
More from Kaleem Aajiz
meri subh-e-gham bala se kabhi shaam tak na pahunche mujhe dar ye hai buraai tere naam tak na pahunche mere paas kya vo aate meraa dard kya mitaate meraa haal dekhne ko lab-e-baam tak na pahunche ho kisi ka mujh pe ehsaanye nahin pasand mujh ko teri subh ki tajalli meri shaam tak na pahunche teri berukhi pe zalim meraa jee ye chahta hai ki vafaa ka mere lab par kabhi naam tak na pahunche main fughan-e-be-asar ka kabhi motarif nahin hoon vo sadaa hi kya jo un ke dar-o-baam tak na pahunche vo sanam bigad ke mujh se meraa kya bigaad lega kabhi raaz khol doomain to salaam tak na pahunche mujhe lazzat-e-aseeri ka sabq padha rahe hain jo nikal ke aashiyaan-se kabhi daam tak na pahunche unhen mehrbaansamajh len mujhe kya garz padi hai vo karam ka haath hi kya jo awaam tak na pahunche hue faiz-e-may-kada se sabhi faizyaab lekin jo gareeb tishna-lab the vahii jaam tak na pahunche jise maine jagmagaya usii anjuman men saaqi meraa zikr tak na aa.e meraa naam tak na pahunche tumhein yaad hi na aaunye hai aur baat warna main nahin hoondoor itnaa ki salaam tak na pahunche
Kaleem Aajiz
1 likes
dhadakta jaata hai dil muskuraane waalon ka utha nahin hai abhii e'tibaar naalon ka ye mukhtasar si hai rudaad-e-subh-e-may-khaana zameen pe dher tha toote hue piyaalon ka ye khauf hai ki saba ladkhada ke gir na pade payaam le ke chali hai shikasta-haalon ka na aayen ahl-e-khirad vaadi-e-junoon ki taraf yahaañ guzar nahin daaman bachaane waalon ka lipt lipt ke gale mil rahe the khanjar se bade ghazab ka kaleja tha marne waalon ka
Kaleem Aajiz
0 likes
shaane ka bahut khoon-e-jigar jaa.e hai pyaare tab zulf kahii taa-b-kamar jaa.e hai pyaare jis din koi gham mujh pe guzar jaa.e hai pyaare chehra tira us roz nikhar jaa.e hai pyaare ik ghar bhi salaamat nahin ab shehr-e-wafa men tu aag lagaane ko kidhar jaa.e hai pyaare rahne de jafaon ki kaddi dhoop men mujh ko saa.e men to har shaKHs thehar jaa.e hai pyaare vo baat zaraa si jise kahte hain gham-e-dil samjhaane men ik umr guzar jaa.e hai pyaare har-chand koi naam nahin meri ghazal men teri hi taraf sab ki nazar jaa.e pyaare
Kaleem Aajiz
0 likes
mirii shaayeri men na raqs-e-jaam na may ki rang-fishaaniyaa vahii dukh-bharon ki hikaayaten vahii dil-jalon ki kahaaniyaan ye jo aah-o-naala-o-dard hain kisi be-vafa ki nishaaniyaan yahii mire din ke rafeeq hain yahii mirii raat ki raaniyaan ye mirii zabaan pe ghazal nahin main suna raha hooñ kahaaniyaan ki kisi ke ahad-e-shabaab par mittiin kaisi kaisi javaaniyaan k abhii aañsuon ko sukha gaiin mire soz-e-dil ki haraaratein k abhii dil ki naav dubo gaiin mire aañsuon ki ravaaniyaan abhii us ko is ki khabar kahaan ki qadam kahaan hai nazar kahaan abhii maslahat ka guzar kahaan ki nayi nayi hain javaaniyaan ye bayaan-e-haal ye guftugoo hai mira nichoda hua lahu abhii sun lo mujh se ki phir kabhu na sunoge aisi kahaaniyaan
Kaleem Aajiz
0 likes
mirii subh-e-gham bala se kabhi shaam tak na pahunchen mujhe dar ye hai buraai tire naam tak na pahunchen mire paas kya vo aate mira dard kya mitaate mira haal dekhne ko lab-e-baam tak na pahunchen ho kisi ka mujh pe ehsaan ye nahin pasand mujh ko tiri subh ki tajalli mirii shaam tak na pahunchen tiri be-rukhi pe zalim mira jee ye chahta hai ki vafaa ka mire lab par kabhi naam tak na pahunchen main fughan-e-be-asar ka kabhi mo'tarif nahin hooñ vo sadaa hi kya jo un ke dar-o-baam tak na pahunchen vo sanam bigad ke mujh se mira kya bigaad lega kabhi raaz khol doon main to salaam tak na pahunchen mujhe lazzat-e-aseeri ka sabq padha rahe hain jo nikal ke aashiyaan se kabhi daam tak na pahunchen unhen meherbaan samajh len mujhe kya garz padi hai vo karam ka haath hi kya jo awaam tak na pahunchen hue faiz-e-may-kada se sabhi faizyaab lekin jo gareeb tishna-lab the vahii jaam tak na pahunchen jise main ne jagmagaya usii anjuman men saaqi mira zikr tak na aa.e mira naam tak na pahunchen tumhein yaad hi na aaun ye hai aur baat warna main nahin hooñ door itnaa ki salaam tak na pahunchen
Kaleem Aajiz
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Kaleem Aajiz.
Similar Moods
More moods that pair well with Kaleem Aajiz's ghazal.







