nazmKuch Alfaaz

hariyaali mission kahaan woh dharti hai meri jaan thii jiski hariyaali pahchaan use main dhoondhta hooñ hawa men zehar ghuli hai aaj yah paani men bhi mila hai aaj bachaaun aaj yahaañ par ja use main dhoondhta hooñ vo sundar saaya apne gaav jahaan thii thandi thandi chaanv jahaan janmen ye saur armaan use main dhoondhta hooñ yahaañ thii koyliya ki kook yahaañ thii baansuriya ki phoonk fazaa men chaaya tha surataan use main dhoondhta hooñ kahaan khoya woh hindustan niraali jiski thii har-shaan ki jispar tha hamko abhimaan use main dhoondhta hooñ

Related Nazm

murshid murshid please aaj mujhe vaqt deejie murshid main aaj aap ko dukhde sunaaunga murshid hamaare saath badaa zulm ho gaya murshid hamaare desh men ik jang chhid gayi murshid sabhi shareef sharaafat se mar ga.e murshid hamaare zehan girftaar ho ga.e murshid hamaari soch bhi baazaari ho gayi murshid hamaari fauj kya ladti hareef se murshid use to ham se hi furqat nahin mili murshid bahut se maar ke ham KHud bhi mar ga.e murshid ha men zirh nahin talwaar dii gayi murshid hamaari zaat pe bohtan chad ga.e murshid hamaari zaat palandon men dab gayi murshid hamaare vaaste bas ek shaKHs tha murshid vo ek shaKHs bhi taqdeer le udri murshid KHuda ki zaat pe andha yaqeen tha afsos ab yaqeen bhi andha nahin raha murshid mohabbaton ke nataaij kahaan ga.e murshid meri to zindagi barbaad ho gayi murshid hamaare gaav ke bacchon ne bhi kaha murshid koon aakhi aa ke sadaa haal dekh wajan murshid hamaara koi nahin ek aap hain ye main bhi jaanta hooñ ke achha nahin hua murshid main jal raha hooñ hawaaein na deejie murshid azala keejiye duaaein na deejie murshid KHamosh rah ke pareshaan na keejiye murshid main rona rote hue andha ho gaya aur aap hain ke aap ko ehsaas tak nahin hah sabr kijeye sabr ka fal meetha hota hai murshid main bhonkdai haan jo kaii she vi nahin bachi murshid wahaan yazidiyat aage nikal gayi aur paarsa namaaz ke peeche pade rahe murshid kisi ke haath men sab kuchh to hai magar murshid kisi ke haath men kuchh bhi nahin raha murshid main lad nahin sakaa par cheekhta raha KHaamosh rah ke zulm ka haami nahin banaa murshid jo mere yaar bhala chhodein rahne den achchhe the jaise bhi the KHuda un ko KHush rakhen murshid hamaari raunakein doori nigal gayi murshid hamaari dosti subhaat kha ga.e murshid ai photo pichhle maheene chhikaya ham hooñ mekun dekh lagda ai jo ai photo meda ai ye kis ne khel khel men sab kuchh ult diya murshid ye kya ke mar ke ha men zindagi mile murshid hamaare virse men kuchh bhi nahin so ham bemausmi wafaat ka dukh chhod jaayenge murshid kisi ki zaat se koi gilaa nahin apna naseeb apni kharaabi se mar gaya murshid vo jis ke haath men har ek cheez hai shaayad hamaare saath vahii haath kar gaya murshid duaaein chhod teraa pol khul gaya tu bhi meri tarah hai tere bas men kuchh nahin insaan meraa dard samajh sakte hi nahin main apne saare zakhm KHuda ko dikhaaunga ai rabbe kaaynaat idhar dekh main fakeer jo teri sarparasti men barbaad ho gaya parvardigaar bol kahaan jaayen tere log tujh tak pahunchne ko bhi wasila zaroori hai parvardigaar aave ka aawa bigad gaya ye kisko tere deen ke theke diye ga.e har shaKHs apne baap ke firke men band hai parvardigaar tere sahife nahin khule kuchh aur bhej tere guzishta sahifon se maqsad hi hal hue hain masaail nahin hue jo ho gaya so ho gaya ab mukhtiyaari cheen parvardigaar apne khaleefe ko rassi daal jo tere paas vaqt se pahle pahunch ga.e parvardigaar unke masaail ka hal nikaal parvardigaar sirf banaa dena kaafi nain takhleeq karke de to phir dekhbhaal kar ham log teri kun ka bharam rakhne aa.e hain parvardigaar yaar hamaara khayal kar

Afkar Alvi

78 likes

mere zakhm nahin bharte yaaron mere naakhun badhte jaate hain main tanhaa ped hoon jungle ka mere patte jhadte jaate hain main kaun hoon kya hoon kab ki hoon ek teri kab hoon sabki hoon main koel hoon shehraao ki mujhe taab nahin hai chaanv ki ek daldal hai tere vaadon ki mere pair ukhadte jaate hain mere zakhm nahin bharte yaaro mere naakhun badhte jaate hain main kis bacche ki gudiya thii main kis pinjare ki chidiya thii mere khelne waale kahaan ga.e mujhe choomne waale kahaan ga.e mere jhumke girvi mat rakhna mere kangan tod na dena main banjar hoti jaati hoon kahii dariyaa mod na dena kabhi milnaa is par sochenge ham kya manzil par pahunchenge raaston men hi ladte jaate hain mere zakhm nahin bharte yaaron mere naakhun badhte jaate hain

Tehzeeb Hafi

161 likes

lab pe aati hai dua ban ke tamannaa mirii zindagi shamaaki soorat ho khudaaya mirii door duniya ka mire dam se andhera ho jaa.e har jagah mire chamakne se ujaala ho jaa.e ho mire dam se yoonhi mire watan ki zeenat jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat zindagi ho mirii parwaane ki soorat ya-rab ilm ki shamase ho mujh ko mohabbat ya-rab ho mira kaam ghareebon ki himayat karna dard-mandon se zaifon se mohabbat karna mire allah buraai se bachaana mujh ko nek jo raah ho us rah pe chalaana mujh ko

Allama Iqbal

51 likes

kacchi umr ke pyaar ye kacchi umr ke pyaar bhi bade pakke nishaan dete hain aaj par kam dhyaan dete hain bahke bahke bayaan dete hain unko dekhe hue muddat hui aur ham ab bhi jaan dete hain kya pyaar ek baar hota hai nahin ye baar-baar hota hai to phir kyuuñ kisi ek ka intizaar hota hai vahii to saccha pyaar hota hai achha pyaar bhi kya insaan hota hai kabhi saccha kabhi jhoota be-iimaan hota hai uski ragon men bhi kya khaandaan hota hai aur maqsd-e-hayaat nafa nuqsaan hota hai pyaar to pyaar hota hai

Yasra rizvi

47 likes

saza har baar mere saamne aati rahi ho tum har baar tum se mil ke bichhadta raha hooñ main tum kaun ho yah KHud bhi nahin jaanti ho tum main kaun hooñ main KHud bhi nahin jaanta hooñ main tum mujh...ko jaan kar hi padi ho azaab men aur is tarah KHud apni saza ban gaya hooñ main tum jis zameen par ho main uskaa KHuda nahin pas sar-basar ajeeziyyat wa aazaar hi raho bejaar ho gaii ho bahut zindagi se tum jab bas men kuchh nahin hai to bezaar hi raho tum ko yahaan ke saaya wa partau se kya ghaz tum apne haq men beech ki deewaar hi raho main ibtida-e-ishq se be-mehar hi raha tum intiha-e-ishq ka meyaar hi raho tum KHoon thooktee ho yah sun kar khushi hui is rang is ada men bhi purkaar hi raho maine yah kab kaha tha mohabbat men hai najaat maine yah kab kaha tha wafadar hi raho apni mataa-e-naaz luta kar mere li.e bazaar-e-iltefaat men nadaar hi raho jab main tumhein nishaat-e-mohabbat na de sakaa gham men kabhi sukoon rafaqat na de sakaa jab mere sab charaagh-e-tamanna hawa ke hain jab mere saare khwaab kisi be-vafa ke hain phir mujh...ko chaahne ka tumhein koi haq nahin tanhaa karaahne ka tumhein koi haq nahin

Jaun Elia

44 likes

More from Navneet krishna

jay nalandaa jay nalandaa gyaan ke deepak he naman tumhein aadar aadaab aabhaar sang abhinaman tumhein jisne gyaan ka paath padhaaya prem ka sukh sandesh sunaaya jisne hai saariputra dilaayaa jisne shaanti sthoop banaya kaise bhule is prateek ko he naman tumhein jay nalandaa gyaan ke deepak he naman tumhein aadar aadaab aabhaar sang abhinaman tumhein magadh ki laaj hai jisne bachaai bhoomi peeda men jo muskuraai jyoti jag jag men failaai jis bhoomi par ektaa aayi janam li.e samraat-jarasandh aur buddh he naman tumhein jay nalandaa gyaan ke deepak he naman tumhein aadar aadaab aabhaar sang abhinaman tumhein

Navneet krishna

6 likes

yah hai ham sabka hindustan yahaañ hai hindu musalmaan yahaañ ka sarmaaya eimaan yahaañ devon jaise insaan yahaañ ka jag par hai ehsaan yah hai ham sabka hindustan yahaañ ganga yamuna ki dhaar himalaya parvat ka sardaar yahaañ ka aalaa hai kirdaar ki jis..ko maanta hai sansaar yahaañ baste hai bas insaan yah hai ham sabka hindustan yahaañ hai geeta aur quraan yahaañ ke ghalib aur raskhan yahaañ tahzeebon ka milaanna jaane kyuuñ ispar qurbaan yah hai ham sabka hindustan

Navneet krishna

5 likes

"Parichay garibi ka"

Navneet krishna

8 likes

nazm-e-zindagi zindagi habaab hai zindagi to khwaab hai zindagi kitaab hai zindagi hisaab hai zindagi sharaab bhi zindagi rabaab hai zindagi sawaal bhi aur kabhi javaab hai saans par tanee hui zindagi tanaab hai bebasi hi bebasi zindagi azaab hai haan magar kabhi kabhi zindagi rubaab hai zindagi gulaab hai zindagi itaab hai asl men ye zindagi band koii baab hai

Navneet krishna

7 likes

hin dii se hindustan hai hin dii meraa eimaan hai hin dii hi meri jaan hai main na jaanu jaati-dharm ko ye apna hindustan hai hin dii meri bhasha pyaari iski baatein ba dii niraali hin dii men rahne vaala hin dii hin dii se hindustan hai

Navneet krishna

4 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Navneet krishna.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Navneet krishna's nazm.