nazmKuch Alfaaz

kal ham ne sapna dekha hai jo apna ho nahin saka haius shaKHs ko apna dekha hai vo shaKHs ki jis ki khaatir ham is des phiren us des phiren jogi ka banaa kar bhes phiren chaahat ke niraale geet likhen jee mohne waale geet likhen dharti ke mehakte baagon se kaliyon ki jholi bhar laayein ambar ke sajeelay mandal se taaron ki doli bhar laayein haan kis ke li.e sab us ke li.e vo jis ke lab par tesoo hain vo jis ke nainaan aahu hain jo khaar bhi hai aur khushboo bhi jo dard bhi hai aur daaru bhi vo allahad si vo chanchal si vo shayar si vo paagal si log aap-hi-aap samajh jaayen ham naam na us ka batlaayein ai dekhne waalo tum ne bhius naar ki peet ki aankhoń men is dil ka teena dekha hai kal ham ne sapna dekha hai

Related Nazm

tu kisi aur hi duniya men mili thii mujhse tu kisi aur hi mausam ki mahak laai thii dar raha tha ki kahii zakham na bhar jaayen mere aur tu mutthiyaan bhar-bhar ke namak laai thii aur hi tarah ki aañkhen thii tere chehre par tu kisi aur sitaare se chamak laai thii teri awaaz hi sabkuchh thii mujhe monis-e-jaan kya karun main ki tu boli hi bahut kam mujhse teri chup se hi yahii mehsoos kiya tha maine jeet jayega teraa gham kisi roz mujhse shahar aawaazen lagata tha magar tu chup thii ye taalluq mujhe khaata tha magar tu chup thii vahii anjaam tha jo ishq ka aagaaz se hai tujhko paaya bhi nahin tha ki tujhe khona tha chali aati hai yahii rasm kaii sadiyon se yahii hota hai yahii hogaa yahii hona tha poochta rehta tha tujhse ki bataa kya dukh hai aur meri aankh men aañsu bhi nahin hote the maine andaaze lagaye ke sabab kya hogaa par mere teer taraazu bhi nahin hote the jiska dar tha mujhe maaloom pada logon se phir vo khush-bakht palat aaya teri duniya men jiske jaane pe mujhe tune jagah dii dil men meri qismat men hi jab khaali jagah likhi thii tujhse shikwa bhi agar karta to kaise karta main vo sabza tha jise raund diya jaata hai main vo jungle tha jise kaat diya jaata hai main vo dard tha jise dastak ki kamii khaati hai main vo manzil tha jahaan tooti sadak jaati hai main vo ghar tha jise aabaad nahin karta koi main to vo tha jise yaad nahin karta koi KHair is baat ko tu chhod bataa kaisi hai tune chaaha tha jise vo tere nazdeek to hai kaun se gham ne tujhe chaat liya andar se aaj kal phir se tu chup rahtii hai sab theek to hai

Tehzeeb Hafi

180 likes

mariyam main aainon se gurez karte hue pahaadon ki kokh men saans lene waali udaas jheelon men apne chehre ka aks dekhooñ to sochta hooñ ki mujh men aisa bhi kya hai mariyam tumhaari be-sakhta mohabbat zameen pe phaile hue samandar ki wusaaton se bhi maavra hai mohabbaton ke samundaron men bas ek bahira-e-hijr hai jo bura hai mariyam khala-navardon ko jo sitaare muaawze men mile the vo unki raushni men ye sochte hain ki vaqt hi to KHuda hai mariyam aur is taalluq ki gathriyon men ruki hui saatyon se hatkar mere li.e aur kya hai mariyam abhii bahut vaqt hai ki ham vaqt de zaraa ik doosre ko magar ham ik saath rahkar bhi KHush na rah sake to muaaf karna ki maine bachpan hi dukh ki dahleez par guzaara main un charaaghon ka dukh hooñ jinki love shab-e-intezaar men bujh gaii magar unse uthne vaala dhuaan zamaan-o-makaan men faila hua hai ab tak main kohsaaron aur unke jismoon se bahne waali un aabshaaron ka dukh hooñ jinko zameen ke chehron par rengte rengte zamaane guzar ga.e hain jo log dil se utar ga.e hain kitaaben aankhoñ pe rakh ke soye the mar ga.e hain main unka dukh hooñ jo jism khud-lazzatee se ukta ke aainon ki tasalliyon men pale badhe hain main unka dukh hooñ main ghar se bhaage huo ka dukh hooñ main raat jaage huo ka dukh hooñ main sahilon se bandhi hui kashtiyon ka dukh hooñ main laapata ladkiyon ka dukh hooñ khulii hue khidkiyon ka dukh hooñ mitti hui takhtiyon ka dukh hooñ thake hue baadlon ka dukh hooñ jale hue junglon ka dukh hooñ jo khul kar barsi nahin hai main us ghatta ka dukh hooñ zameen ka dukh hooñ KHuda ka dukh hooñ bala ka dukh hooñ jo shaakh saawan men foottee hai vo shaakh tum ho jo peeng baarish ke baad ban ban ke tootti hai vo peeng tum ho tumhaare hothon se saatyon ne sama'aton ka sabq liya hai tumhaari hi shaakh-e-sandlee se samundaron ne namak liya hai tumhaara meraa muaamla hi juda hai mariyam tumhein to sab kuchh pata hai mariyam

Tehzeeb Hafi

158 likes

tum hamaare li.e tum hamaare li.e archana ban gaii ham tumhaare li.e ek darpan priye tum milo to sahi haal poochho meraa ham na ro den to kah dena patthar priye pyaar milnaa nahin tha agar bhaagya men devataaon ne hamse ye chhal kyuuñ kiya mere dil men bharii ret hi ret thii deke amrit ye hamko vikal kyuuñ kiya apsara ho to ho par hamaare li.e tum hi sundar sukomal sughar ho priye devataaon ke ganitiy sansaar men aisa bhi hai nahin koii achha na tha ham agar is janam bhi nahin mil sake sab kahenge yahii pyaar sachcha na tha kaaroon ko kabhi pyaar milta nahin faisla koii le lo ki datkar priye mummy kahti theen chanda bahut door hai chaand se aage hamko sitaara laga yuñ to chehre hi chehre the duniya men par ek teraa hi chehra piyaara laga palkon pe meri rakhkar qadam tum chalo pawn men chubh na jaa.e ki kankad priye

Rakesh Mahadiuree

24 likes

tumhein ik baat kahni thii ijaazat ho to kah doon main ye bheega bheega sa mausam ye titli phool aur shabnam chamakte chaand ki baatein ye boonden aur barsaatein ye kaali raat ka aanchal hawa men naachte baadal dhadakte mausamon ka dil mehkati khushbuon ka dil ye sab jitne nazaare hain kaho kis ke ishaare hain s abhii baatein sooni tum ne phir aañkhen fer leen tum ne main tab ja kar kahii samjha ki tum ne kuchh nahin samjha main qissa mukhtasar kar ke zaraa neechi nazar kar ke ye kahtaa hooñ abhii tum se mohabbat ho gaii tum se

Zubair Ali Tabish

117 likes

kab kab ye ped hare honge phir se kab ye kaliyaan footengi aur ye phool hasenge kab ye jharne apni pyaas bharenge kab ye nadiyaan shor machaayengi kab ye azaad ki.e jaayenge sab panchi kab jungle saansey lenge kab sab jaayenge apne ghar kab haathon se zanjeeren khuli jaayeñgi kab ham aison ko poochhega koii aur ye faqeeron ko bhi kisse men laaya jaayega kab in kaanton kii bhi qeemat hogii aur miTTi sone ke bhaav men aayegi kab logon kii ghalti taali jaayegi kab ye hawaayein paayal pahne jhoomengi kab ambar se pariyaan utarengi kab pattharon se bhi KHushboo aayegi kab hanso ke joden nadiyon pe baithege barkha geet banaayegi aur mor utha ke par kathak karte dekhe jaayenge neelkamal paani se ishq ladaayenge machliyaan khushi ke gote maarengi kab koyal kii kook sunaai degi kab bhawre phir gun gun karte lautenge mozeje men aur kab ye pyaari titliyan color fekengi phir sab kuchh dooba hogaa rangon men kab ye duniya roshan hogii kab ye jugnoo apne rang men aayenge kab ye sab mumkin hai kab sabke hi sapne poore honge kab apne man ke mutaabiq hogaa sab kuchh kab ye bahaarein lotengi kab vo taarikh aayegi bas mujh...ko hi nahin sabko intzaar hai tere birthday ka

BR SUDHAKAR

16 likes

More from Ibn E Insha

ai matwaalo naaqon waalo dete ho kuchh us ka pata najd ke andar majnoon naami ek hamaara bhaai tha aaKHir us par kya kuchh beetii jaano to ahvaal kaho maut mili ya leila paai deewane ka maal kaho aql ki baatein kehne waale doston ne use samjhaayaus ko to lekin chup si lagii thii na bola na baaz aaya KHair ab us ki baat ko chhodo deewaana phir deewaana jaate jaate ham logon ka ek sandesa le jaana aawaara aawaara phirna chhod ke mandli yaaron ki dekh rahe hain dekhne waale insha ka ab haal vahii kya achha khush-baash jawaan tha jaane kyun beemaar hua uthte baithe meer ki baiten padhna us ka shiaar hua taur-tareeqa ukhada-ukhada chehra peela sakht malool raah men jaise KHaak pe koi masla masla baagh ka phool shaam savere baal bikhere baitha baitha rota hai naaqon waalo in logon ka aalam kaisa hota hai apna bhi vo dost tha ham bhi paas us ke baith aate hain idhar udhar ke qisse kah ke jee us ka bahaalate hain ukhadi-ukhadi baat kare hai bhool ke agla yaaraana kaun ho tum kis kaam se aa.e ham ne na tum ko pahchaana jaane ye kis ne chot lagaaee jaane ye kis ko pyaar karetumhi kaho ham kis ko dhunden aahen kheeche naam na le peet men aise jaan se yaaro kitne log guzarte hain peet men naahak mar nahin jaate peet to saare karte hain ai matwaalo naaqon waalo nagri nagri jaate ho kahii jo us ki jaan ka bairi mil jaa.e ye baat kaho chaak-girebaan ik deewaana firta hai hairaan hairaan patthar se sar phod marega deewane ko sabr kahaan tum chaaho to bastii chhode tum chaaho to dasht bas aa.e ai matwaalo naaqon waalo warna ik din ye hogaa tum logon se aate jaate poochhenge insha ka pata

Ibn E Insha

0 likes

munni tere daant kahaan hain daant the main ne doodh pila kar saath baras men pale aa kar un ko le ga.e chuhe lambi monchoń waale gud ka un ko maat mila tha meetha aur mazedaar laakh khushamad kar ke mujh se le li.e daant udhaar munni tere daant kahaan hain billi thii ik maami mausi chupke chupke aayi panjo par thii deg ki khurchan honton par baalaai boli gud ke maat pe main ne chuhe dekhe chaar hissa aadho-aadh rahega de do daant udhaar munni tere daant kahaan hain baa'd men boodha moti aaya ronee shakl banaaye bola bibi is billi ka kuchh to karen u paa.e doodh na chhode gosht na chhode hain buddha laachaar is ko karoon shikaar jo mujh ko de do daant udhaar achchhii munni tum ne apne itne daant ganwaaye kuchh chuhon ne kuchh billi ne kuchh moti ne paa.e baaki jo do-chaar rahe hain vo ham ko dilvaao ik daawat men aaj milenge tikke aur polaav murgi ke paa.e ka saalan baigan ka aachaar dogi ya kisi aur se maanguun haan diye udhaar baba haan haan diye udhaar munni tere daant kahaan hain

Ibn E Insha

0 likes

phailta phailta shaam-e-gham ka dhuaan ik udaasi ka tanta hua saaebaan unche unche minaaron ke sar pe ravaan dekh pahuncha hai aaKHir kahaan se kahaan jhaankta soorat-e-khel-e-aawaargaan ghurfa ghurfa bahar kaakh-o-koo shahar men dafatan sail-e-zulmaat ko cheerata jal utha door bastii ka pehla diya panchiyon ne bhi pachhim ka rastaa liya KHair jaao azeezo magar dekhna ek jugnoo bhi mish'aal si le ke chala hai use bhi koi justuju shahar men aasmaañ par ravaan sur main baadlo haan tumheen kya udo aur unche udo baagh-e-aalam ke taaza shagufta guloo be-niyaazaana mahka karo KHush raho lekin itnaa bhi socha kabhi zaalimo ham bhi hain aashiq-e-rang-o-boo shahar men koi dekhe ye majbooriyaan dooriyaan ek hi shahar men ham kahaan tum kahaan doston ne bhi chhodi hain dil-daariyaan aaj waqf-e-gham-e-ulfaat-e-raaegaan ham jo firte hain vehshat-zada sargiraan the kabhi saahib-e-aabroo shahar men log taano se kya kya jataate nahin aise raahi to manzil ko paate nahin jee se ik doosre ko bhulaate nahin saamne bhi magar aate jaate nahin aur jaayen to aañkhen milaate nahin haaye kya kya nahin guftugoo shahar men chaand niklaa hai daaghoon ki mish'aal li.e door girja ke minaaron ki ot se aa mirii jaan aa ek se do bhale aaj phere karen koocha-e-yaar ke aur hai kaun dard-aashna baawre ek main shahar men ek tu shahar men

Ibn E Insha

0 likes

dekh to gori kise pukaare bastii bastii dwaare dwaare bar men jholi haath men kaasa ghoom raha hai peet ka pyaasa dil men aag dabii hai darna aankhoñ men ashkon ka jharna lab par dard ka baara-maasa ghoom raha hai peet ka pyaasa kaanton se chhalni hain paanv dhoop mili chehre par chaanv aas mili aankhoñ men niraasa ghoom raha hai peet ka pyaasa baat hamaari maan ke gori sab duniya se chori chori ghoonghat ka pat khol zaraa sa ghoom raha hai peet ka pyaasa soorat hai insha'-ji ki si baal pareshaan aañkhen neechi naam bhi kuchh insha'-ji ka sa ghoom raha hai peet ka pyaasa soch nahin saajan ko bula le aage badh seene se laga le tujh-bin de ise kaun dilaasa ghoom raha hai peet ka pyaasa

Ibn E Insha

0 likes

ham banjaare dil waale hain aur painth men deray dale hain tum dhoka dene waali ho ham dhoka khaane waale hain is men to nahin sharmaaogi kya dhoka dene aaogi sab maal nikaalo le aao ai bastii waalo le aao ye tan ka jhoota jaadu bhi ye man ki jhooti khushboo bhi ye taal banaate aañsu bhi ye jaal bichaate gesu bhi ye larzish dolte seene ki par sach nahin bolte seene ki ye hont bhi ham se kya chori kya sach-much jhoote hain gori in ramzon men in ghaaton men in vaadon men in baaton men kuchh khot haqeeqat ka to nahin kuchh mail sadaqat ka to nahin ye saare dhoke le aao ye pyaare dhoke le aao kyun rakho KHud se door ha men jo daam kaho manzoor ha men in kaanch ke mankoń ke badle haan bolo gori kya logi tum ek jahaan ki ashrafiyaan ya dil aur jaan ki ashrafiyaan

Ibn E Insha

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ibn E Insha.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ibn E Insha's nazm.