nanhi ho tum bacchi ho tum sab aql ki kacchi ho tum aao mirii baatein suno chaalein suno ghaaten suno ustaad ki har baat ko apni girah men baandh lo jab tum jawaan ho jaayogi machhlii ki maa ho jaayogi phir yaad aayengi tumhein lahre dikhaayengi tumhein baatein hamaari machlio ai pyaari pyaari machlio rohoo ki beti kaan dhar saanval ki bacchi aa idhar aur nanhi munni tu bhi sun o thun mathunni tu bhi sun chaude dahaane waaliyo aur dum hilaane waaliyo tum bhi suno chamkeeliyo ai kaali neeli peeliyo tum ko yahaañ par dekh kar nad dii pe aa jaa.e agar koi shikaari machliyo ai pyaari pyaari machliyo jab vo kinaare baith kar dori ko fenkega idhar nanhe se kaañte par chadha hogaa maze ka kechua lapkogi tum sab be-KHabar ik tar nivaala jaan kar kaanta magar chubh jaayega bas halk men khub jaayega tadpogi aur ghabraaogi lekin sabhi fans jaayogi tum baari baari machliyo ai pyaari pyaari machliyo jab kechua kha jaao tum bas laut kar aa jaao tum lekin zaraa sa chhed do kaañte ki patli dor ko sarkanda jab khinch aayega dhoka shikaari khayega samjhega machhlii fans gaii kheenchega bansi dor ki phir shakl us ki dekhna hoti hai kaisi dekhna vo be-qaraari machliyo ai pyaari pyaari machliyo ab vo bahut jhallaayega cheekhega aur chillaayega phir kechve par kechua kaañte men bharta jaayega tum bhi isee tarkeeb se khaati hi jaana kechuve aaKHir shikaari haar kar uthega dil ko maar kar heela-gari rah jaayegi saari dhari rah jaayegi thaili pitaari machliyo ai pyaari pyaari machliyo
Related Nazm
tumhaara phone aaya hai ajab si oob shaamil ho gayi hai roz jeene men palon ko din men din ko kaat kar jeena maheene men mahj maayusiyaan jagti hain ab kaisi bhi aahat par hazaaron uljhnon ke ghonsle latke hain chaukhat par achaanak sab ki sab ye chuppiyaan ik saath pighli hain ummeedein sab simat kar haath ban jaane ko machli hain mere kamre ke sannaate ne angadaai si to dii hai meri KHaamoshiyon ne ek naghma gungunaaya hai tumhaara phone aaya hai tumhaara phone aaya hai sati ka chaitra dik jaa.e jaise roop-baari men ki jaise chhath ke mauke par jagah mil jaa.e gaa dii men meri awaaz se jaage tumhaare baam-o-dar jaise ye namumkin si hasrat hai khyaali hai magar jaise ba dii naakaamiyon ke baad himmat ki lehar jaise ba dii bechainiyon ke baad raahat ka pahar jaise ba dii gumnaamiyon ke baad shohrat ki mehr jaise subah aur shaam ko saadhe hue ik dopahar jaise bade unwaan ko baandhe hue chhoti bahar jaise nayi dulhan ke sharmate hue shaam-o-sehar jaise hatheli par rachi mehn dii achaanak muskuraai hai meri aankhoñ men aañsu ka sitaara jagmagaya hai tumhaara phone aaya hai tumhaara phone aaya hai
Kumar Vishwas
81 likes
mujh se pahli si mohabbat mirii mahboob na maang mujh se pahli si mohabbat mirii mahboob na maang main ne samjha tha ki tu hai to darkhshan hai hayaat teraa gham hai to gham-e-dehr ka jhagda kya hai teri soorat se hai aalam men bahaaron ko sabaat teri aankhoñ ke siva duniya men rakha kya hai tu jo mil jaa.e to taqdeer nigoon ho jaa.e yuñ na tha main ne faqat chaaha tha yuñ ho jaa.e aur bhi dukh hain zamaane men mohabbat ke siva raahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke siva an-ginat sadiyon ke tareek bheemaana tilism resham o atlas o kamkhaab men bunwaaye hue jaa-ba-jaa bikte hue koocha-o-baazaar men jism KHaak men luthde hue KHoon men nahlaaye hue jism nikle hue amraaz ke tannooron se peep bahti hui galte hue naasooron se laut jaati hai udhar ko bhi nazar kya kijeye ab bhi dilkash hai tira husn magar kya kijeye aur bhi dukh hain zamaane men mohabbat ke siva raahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke siva mujh se pahli si mohabbat mirii mahboob na maang
Faiz Ahmad Faiz
73 likes
bhalii si ek shakl thii bhale dinon ki baat hai bhalii si ek shakl thina ye ki husn-e-taam hona dekhne men aam sina ye ki vo chale to kahkashaan si raahguzaar lage magar vo saath ho to phir bhala bhala safar lage koi bhi rut ho us ki chhab fazaa ka rang-roop thii vo garmiyon ki chaanv thii vo sardiyon ki dhoop thii na muddaton juda rahena saath subh-o-shaam hona rishta-e-wafa pe zidna ye ki izn-e-aam ho na aisi khush-libaasiyaan ki saadgi gilaa karena itni be-takallufi ki aaina haya kare na ikhtilaat men vo ram ki bad-maza hon khwaahisheinna is qadar supurdagi ki zach karen nawaazisheinna aashiqi junoon ki ki zindagi azaab hona is qadar kathor-pan ki dosti KHaraab ho kabhi to baat bhi khafi kabhi sukoot bhi sukhun kabhi to kisht-e-zaafaran kabhi udaasiyon ka ban suna hai ek umr hai muaamalaat-e-dil ki bhi visaal-e-jan-faza to kya firaq-e-jan-gusil ki bhi so ek roz kya hua vafaa pe bahs chhid gaii main ishq ko amar kahooñ vo meri zid se chid gaii main ishq ka aseer tha vo ishq ko qafas kahe ki umr bhar ke saath ko vo bad-tar-az-hawas kahe shajar hazar nahin ki ham hamesha pa-b-gil rahenna dhor hain ki rassiyaan gale men mustaqil rahen mohabbaton ki wusaaten hamaare dast-o-pa men hain bas ek dar se nisbatein sagaan-e-ba-wafa men hain main koi painting nahin ki ik fra men men rahoon vahii jo man ka meet ho usii ke prem men rahoon tumhaari soch jo bhi ho main us mizaaj ki nahin mujhe vafaa se bair hai ye baat aaj ki nahin na us ko mujh pe maan thana mujh ko us pe zoom hi jo ahd hi koi na ho to kya gham-e-shikastagi so apna apna raasta hasi-khushi badal diya vo apni raah chal padi main apni raah chal diya bhalii si ek shakl thii bhalii si us ki dosti ab us ki yaad raat din nahin magar kabhi kabhi
Ahmad Faraz
111 likes
lab pe aati hai dua ban ke tamannaa mirii zindagi shamaaki soorat ho khudaaya mirii door duniya ka mire dam se andhera ho jaa.e har jagah mire chamakne se ujaala ho jaa.e ho mire dam se yoonhi mire watan ki zeenat jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat zindagi ho mirii parwaane ki soorat ya-rab ilm ki shamase ho mujh ko mohabbat ya-rab ho mira kaam ghareebon ki himayat karna dard-mandon se zaifon se mohabbat karna mire allah buraai se bachaana mujh ko nek jo raah ho us rah pe chalaana mujh ko
Allama Iqbal
51 likes
kacchi umr ke pyaar ye kacchi umr ke pyaar bhi bade pakke nishaan dete hain aaj par kam dhyaan dete hain bahke bahke bayaan dete hain unko dekhe hue muddat hui aur ham ab bhi jaan dete hain kya pyaar ek baar hota hai nahin ye baar-baar hota hai to phir kyuuñ kisi ek ka intizaar hota hai vahii to saccha pyaar hota hai achha pyaar bhi kya insaan hota hai kabhi saccha kabhi jhoota be-iimaan hota hai uski ragon men bhi kya khaandaan hota hai aur maqsd-e-hayaat nafa nuqsaan hota hai pyaar to pyaar hota hai
Yasra rizvi
47 likes
More from Hafeez Jalandhari
imarat aur shaaukat aur armaaye ki tasveerein ye aivaanaat sab hain haal hi ki taaza taamirein idhar kuchh faasle par chand ghar the kaasht-kaaron ke jahaan ab kaar-khaane ban ga.e sarmaaya-daaron ke maweshi ho ga.e neelaam kyun ye koi kya jaane kachehri jaane saahookaar jaane ya KHuda jaane zameen-daaron ko ja kar dekh le jo bhi koi chahe naye bhatoon men eenten thaapte firte hain halwahe yahaañ apne purane gaav ka ab kya raha baaki yahii takiya yahii ik main yahii ik jhonpadaa baaki azeemushshaan bastii hai ye nau-aabaad veeraana yahaañ ham ajnabi dono hain main aur meraa kaashaana
Hafeez Jalandhari
1 likes
lahd men so rahi hai aaj be-shak musht-e-khaak us ki magar garm-e-amal hai jaagti hai jaan-e-paak us ki vo ik faani bashar tha main ye baawar kar nahin saka bashar iqbaal ho jaa.e to hargiz mar nahin saka b-zer-e-saaya-e-deewaar-e-masjid hai jo aasooda ye khaaki jism hai sattar baras ka raah paimooda ye khaaki jism bhi us ka bahut hi besh-qeemat tha jise ham-jalwa samjhe the vo parda bhi ghaneemat tha use ham naapte the le ke aankhoñ hi ka paimaana ghazal-khwaan us ko jaana ham ne shaair us ko gardaana faqat soorat hi dekhi us ke ma'ni ham nahin samjhena dekha rang-e-tasveer aaine ko dil-nasheen samjhe ha men zof-e-basaarat se kahaan thii taab-e-nazzaara sikhaae us ke parde ne ha men aadaab-e-nazaara ye naghma kya hai zer-e-parda-ha-e-saaz kam samjhe rahe sab gosh-bar-awaaz lekin raaz kam samjhe shikast-e-paikar-e-mehsoos ne toda hijaab aaKHir tuloo-e-subh-e-mahshar ban ke chamka aftaab aaKHir muqayyad ab nahin iqbaal apne jism-e-faani men nahin vo band haa'il aaj dariyaa ki ravaani men wajood-e-marg ki qaael nahin thii zindagi us ki ta'aalaa allah ab dekhe koi pa'indagi us ki jise ham murda samjhe zinda tar paainda tar niklaa mah o khurshid se zarre ka dil taabinda tar niklaa abhii andaaza ho saka nahin us ki bulan dii ka abhii duniya ki aankhoñ par hai parda firqa-ban dii ka magar meri nigaahon men hain chehre un jawaanon ke jinhen iqbaal ne bakshe hain baazu qahr-maano'n ke
Hafeez Jalandhari
0 likes
ek be-tuki nazm aaj bistar hi men hooñ kar diya hai aaj mere muzmahil azaa ne izhaar-e-baghaavat barmala meraa jism-e-na-taawaan meraa ghulaam-e-ba-wafaa Vaaqaii maaloom hota hai thaka haara hua aur main ek sakht geer aqaa zamaane ka ghulaam kis qadar majboor hooñ pet pooja ke li.e do qadam bhi uth ke ja saka nahin mere chaa kar paanv shal hain jhuk gaya hooñ in kameenon ki raza ke saamne sar utha saka nahin aaj bistar hi men hooñ
Hafeez Jalandhari
0 likes
aaj baadal khoob barsa aur baras kar khul gaya gulsitaan ki daali daali patta patta dhul gaya dekhna kya dhul gaya saare ka saara aasmaañ udaa udaa neela neela pyaara pyaara aasmaañ hat gaya baadal ka parda mil gaii kirnon ko raah saltanat par apni phir khurshid ne daali nigaah dhoop men hai ghaas par paani ke qatron ki chamak maat hai is vaqt moti aur heere ki damak de rahi hai lutf kya sarsabz pedon ki qataar aur hari shaakhon pe hai rangeen phoolon ki bahaar kya parinde phir rahe hain chahchahaate har taraf raagini barsaat ki KHush ho ke gaate har taraf dekhna vo kya achambha hai are vo dekhna aasmaañ par in darakhton se pare vo dekhna ye koi jaadu hai ya sach-much hai ik rangeen kamaan waah vaa kaisa bhala lagta hai ye pyaara samaan kis musavvir ne bhare hain rang aise khushnuma is ka har ik rang hai aankhoñ men jaise khub gaya ik jagah kaise ikatthe kar diye hain saath rang shokh hain saaton ke saaton ik nahin hai maat rang hai ye qudrat ka nazaara aur kya kahiye ise bas yahii jee chahta hai dekhte rahiye ise nanhe nanhe jama the paani ke kuchh qatre vahaañ un pe daala aks suraj ne banaa dii ye kamaan dekho dekho ab mitti jaati hai vo pyaari dhanak dekhte hi dekhte gum ho gaii saari dhanak phir hawa men mil gaii vo sab ki sab kuchh bhi nahin aañkhen mal mal kar na dekho aao ab kuchh bhi nahin
Hafeez Jalandhari
1 likes
aage peeche daayein baayein kaayein kaayein kaayein kaayein subh-savere noor ke tadke munh dho-dha kar nanhe ladke baithe hain jab khaana khaane kawwe lagte hain mandalaane tauba tauba dheeth hain kitne kawwe hain ya kaale fitne laakh hankaao laakh udaao munh se cheekh haath hilaao ghuro ghudko ya dhutkaaro koi cheez utha kar maaro kawwe baaz nahin aate hain jaate hain phir aa jaate hain har dam hai khaane ki aadat shor machaane ki hai aadat bacchon se bilkul nahin dartaa un ki kuchh parwa nahin karta dekha nanha bholа-bhaala cheen liya haathon se nivaala koi ishaara ho ya aahat taar ke ud jaata hai jhat-pat ab karne do kaayein kaayein ham kyun apni jaan khapaayein
Hafeez Jalandhari
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hafeez Jalandhari.
Similar Moods
More moods that pair well with Hafeez Jalandhari's nazm.







