nazmKuch Alfaaz

ye daagh daagh ujaala ye shabgazeeda sehar vo intezaar tha jis ka ye vo sehar to nahin ye vo sehar to nahin jis ki aarzoo lekar chale the yaar ki mil jaayegi kahii na kahii falak ke dasht men taaron ki aakhri manzil kahii to hogaa shab-e-sust mauj ka saahil kahii to ja ke rukega safina-e-gham-e-dil jawaan lahu ki pur-asraar shaahraahon se chale jo yaar to daaman pe kitne haath pade dayaar-e-husn ki be-sabr khwaab-gaahon se pukaarti raheen baahen badan bulaate rahe bahut aziz thii lekin rukh-e-sehar ki lagan bahut qareen tha haseenaan-e-noor ka daaman subuk subuk thii tamannaa dabii dabii thii thakan suna hai ho bhi chuka hai firq-e-zulmat-e-noor suna hai ho bhi chuka hai visaal-e-manjil-o-gaam badal chuka hai bahut ahl-e-dard ka dastoor nishaat-e-wasl halaal-o-azaab-e-hijr-e-haraam jigar ki aag nazar ki umang dil ki jalan kisi pe chaara-e-hijraan ka kuchh asar hi nahin kahaan se aayi nigaar-e-saba kidhar ko gaii abhii chiragh-e-sar-e-rah ko kuchh khabar hi nahin abhii garaani-e-shab men kamii nahin aayi nijaat-e-deed-o-dil ki ghadi nahin aayi chale chalo ki vo manzil abhii nahin aayi

Related Nazm

murshid murshid please aaj mujhe vaqt deejie murshid main aaj aap ko dukhde sunaaunga murshid hamaare saath badaa zulm ho gaya murshid hamaare desh men ik jang chhid gayi murshid sabhi shareef sharaafat se mar ga.e murshid hamaare zehan girftaar ho ga.e murshid hamaari soch bhi baazaari ho gayi murshid hamaari fauj kya ladti hareef se murshid use to ham se hi furqat nahin mili murshid bahut se maar ke ham KHud bhi mar ga.e murshid ha men zirh nahin talwaar dii gayi murshid hamaari zaat pe bohtan chad ga.e murshid hamaari zaat palandon men dab gayi murshid hamaare vaaste bas ek shaKHs tha murshid vo ek shaKHs bhi taqdeer le udri murshid KHuda ki zaat pe andha yaqeen tha afsos ab yaqeen bhi andha nahin raha murshid mohabbaton ke nataaij kahaan ga.e murshid meri to zindagi barbaad ho gayi murshid hamaare gaav ke bacchon ne bhi kaha murshid koon aakhi aa ke sadaa haal dekh wajan murshid hamaara koi nahin ek aap hain ye main bhi jaanta hooñ ke achha nahin hua murshid main jal raha hooñ hawaaein na deejie murshid azala keejiye duaaein na deejie murshid KHamosh rah ke pareshaan na keejiye murshid main rona rote hue andha ho gaya aur aap hain ke aap ko ehsaas tak nahin hah sabr kijeye sabr ka fal meetha hota hai murshid main bhonkdai haan jo kaii she vi nahin bachi murshid wahaan yazidiyat aage nikal gayi aur paarsa namaaz ke peeche pade rahe murshid kisi ke haath men sab kuchh to hai magar murshid kisi ke haath men kuchh bhi nahin raha murshid main lad nahin sakaa par cheekhta raha KHaamosh rah ke zulm ka haami nahin banaa murshid jo mere yaar bhala chhodein rahne den achchhe the jaise bhi the KHuda un ko KHush rakhen murshid hamaari raunakein doori nigal gayi murshid hamaari dosti subhaat kha ga.e murshid ai photo pichhle maheene chhikaya ham hooñ mekun dekh lagda ai jo ai photo meda ai ye kis ne khel khel men sab kuchh ult diya murshid ye kya ke mar ke ha men zindagi mile murshid hamaare virse men kuchh bhi nahin so ham bemausmi wafaat ka dukh chhod jaayenge murshid kisi ki zaat se koi gilaa nahin apna naseeb apni kharaabi se mar gaya murshid vo jis ke haath men har ek cheez hai shaayad hamaare saath vahii haath kar gaya murshid duaaein chhod teraa pol khul gaya tu bhi meri tarah hai tere bas men kuchh nahin insaan meraa dard samajh sakte hi nahin main apne saare zakhm KHuda ko dikhaaunga ai rabbe kaaynaat idhar dekh main fakeer jo teri sarparasti men barbaad ho gaya parvardigaar bol kahaan jaayen tere log tujh tak pahunchne ko bhi wasila zaroori hai parvardigaar aave ka aawa bigad gaya ye kisko tere deen ke theke diye ga.e har shaKHs apne baap ke firke men band hai parvardigaar tere sahife nahin khule kuchh aur bhej tere guzishta sahifon se maqsad hi hal hue hain masaail nahin hue jo ho gaya so ho gaya ab mukhtiyaari cheen parvardigaar apne khaleefe ko rassi daal jo tere paas vaqt se pahle pahunch ga.e parvardigaar unke masaail ka hal nikaal parvardigaar sirf banaa dena kaafi nain takhleeq karke de to phir dekhbhaal kar ham log teri kun ka bharam rakhne aa.e hain parvardigaar yaar hamaara khayal kar

Afkar Alvi

78 likes

mujh se pahli si mohabbat mirii mahboob na maang mujh se pahli si mohabbat mirii mahboob na maang main ne samjha tha ki tu hai to darkhshan hai hayaat teraa gham hai to gham-e-dehr ka jhagda kya hai teri soorat se hai aalam men bahaaron ko sabaat teri aankhoñ ke siva duniya men rakha kya hai tu jo mil jaa.e to taqdeer nigoon ho jaa.e yuñ na tha main ne faqat chaaha tha yuñ ho jaa.e aur bhi dukh hain zamaane men mohabbat ke siva raahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke siva an-ginat sadiyon ke tareek bheemaana tilism resham o atlas o kamkhaab men bunwaaye hue jaa-ba-jaa bikte hue koocha-o-baazaar men jism KHaak men luthde hue KHoon men nahlaaye hue jism nikle hue amraaz ke tannooron se peep bahti hui galte hue naasooron se laut jaati hai udhar ko bhi nazar kya kijeye ab bhi dilkash hai tira husn magar kya kijeye aur bhi dukh hain zamaane men mohabbat ke siva raahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke siva mujh se pahli si mohabbat mirii mahboob na maang

Faiz Ahmad Faiz

73 likes

lab pe aati hai dua ban ke tamannaa mirii zindagi shamaaki soorat ho khudaaya mirii door duniya ka mire dam se andhera ho jaa.e har jagah mire chamakne se ujaala ho jaa.e ho mire dam se yoonhi mire watan ki zeenat jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat zindagi ho mirii parwaane ki soorat ya-rab ilm ki shamase ho mujh ko mohabbat ya-rab ho mira kaam ghareebon ki himayat karna dard-mandon se zaifon se mohabbat karna mire allah buraai se bachaana mujh ko nek jo raah ho us rah pe chalaana mujh ko

Allama Iqbal

51 likes

safed shirt thii tum seediyon pe baithe the main jab class se nikli thii muskuraate hue hamaari pahli mulaqaat yaad hai na tumhein ishaare karte the tum mujh...ko aate jaate hue tamaam raat ko aankhe na bhoolti theen mujhe ki jin men mere li.e izzat aur vaqaar dikhe mujhe ye duniya bayaabaan thii magar ik din tum ek baar dikhe aur beshumaar dikhe mujhe ye dar tha ki tum bhi kahii vo hi to nahin jo jism par hi tamannaa ke daag chhodte hain KHuda ka shukr ki tum unse mukhtalif nikle jo phool tod ke ghusse men baag chhodte hain ziyaada waqt na guzra tha is muqaddam ko ki uske baad vo lamha kareen kareen aaya chhua tha tumne mujhe aur mujhe mohabbat par yaqeen aaya tha lekin kabhi nahin aaya phir uske baad meraa naksha-e-sukoot gaya main kashmakash men thii tum mere kaun lagte ho main amrita tumhein sochun to mere saahir ho main faariha tumhein dekhooñ to john lagte ho ham ek saath rahe aur ha men pata na chala taalluqaat ki had bandiyaan bhi hoti hain mohabbaton ke safar men jo raaste hain wahin havas ki simt men pagdandiyaan bhi hoti hain tumhaare vaaste jo mere dil men hai haafi tumhein ye kaash main sab kuchh kabhi bataa paati aur ab mazid na milne ki koi wajah nahin bas apni maa se main aañkhen nahin mila paati

Tehzeeb Hafi

92 likes

saza har baar mere saamne aati rahi ho tum har baar tum se mil ke bichhadta raha hooñ main tum kaun ho yah KHud bhi nahin jaanti ho tum main kaun hooñ main KHud bhi nahin jaanta hooñ main tum mujh...ko jaan kar hi padi ho azaab men aur is tarah KHud apni saza ban gaya hooñ main tum jis zameen par ho main uskaa KHuda nahin pas sar-basar ajeeziyyat wa aazaar hi raho bejaar ho gaii ho bahut zindagi se tum jab bas men kuchh nahin hai to bezaar hi raho tum ko yahaan ke saaya wa partau se kya ghaz tum apne haq men beech ki deewaar hi raho main ibtida-e-ishq se be-mehar hi raha tum intiha-e-ishq ka meyaar hi raho tum KHoon thooktee ho yah sun kar khushi hui is rang is ada men bhi purkaar hi raho maine yah kab kaha tha mohabbat men hai najaat maine yah kab kaha tha wafadar hi raho apni mataa-e-naaz luta kar mere li.e bazaar-e-iltefaat men nadaar hi raho jab main tumhein nishaat-e-mohabbat na de sakaa gham men kabhi sukoon rafaqat na de sakaa jab mere sab charaagh-e-tamanna hawa ke hain jab mere saare khwaab kisi be-vafa ke hain phir mujh...ko chaahne ka tumhein koi haq nahin tanhaa karaahne ka tumhein koi haq nahin

Jaun Elia

44 likes

More from Faiz Ahmad Faiz

vo jis ki deed men laakhon masarratein painhaan vo husn jis ki tamannaa men jannaten painhaan hazaar fitne tah-e-pa-e-naaz khaak-nasheen har ik nigaah khumaar-e-shabaab se rangeen shabaab jis se takhayyul pae bijliyaan barse vaqaar jis ki rafaqat ko shokhiyaan tarsen ada-e-laghzish-e-pa paar qayaamaatein qurbaan bayaaz-rukh pae sehar ki sabahtein qurbaan siyaah zulfon men waarfta nikhaton ka hujoom taveel raaton ki khwaabida raahaton ka hujoom vo aankh jis ke banaav pa khaaliq itr aa.e zabaan-e-sher ko taa'riif karte sharm aa.e vo hont faiz se jin ke bahaar laala-farosh behisht o kausar o tasneem o salsabeel b-dosh gudaaz jism qaba jis pae saj ke naaz kare daraaz qad jise sarv-e-sahi namaaz kare garz vo husn jo mohtaaj-e-wasf-o-naam nahin vo hasan jis ka tasavvur bashar ka kaam nahin kisi zamaane men is rah-guzar se guzra tha b-sad ghuroor o tajammul idhar se guzra tha aur ab ye raah-guzar bhi hai dil-fareb o haseen hai is ki KHaak men kaif-e-sharaab-o-sheer makeen hawa men shokhi-e-raftaar ki adaayein hain fazaa men narmi-e-guftaar ki sadaaein hain garz vo husn ab is rah ka juzw-e-manzar hai niyaaz-e-ishq ko ik sajda-gah muyassar hai

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

yaad dast-e-tanhaai men ai jaan-e-jahaan larzaan hain teri awaaz ke saa.e tire honton ke saraab dast-e-tanhaai men doori ke khas-o-khaak tale khil rahe hain tire pahluu ke saman aur gulaab uth rahi hai kahiin qurbat se tiri saans kii aanch apni KHushboo men sulagti hui madhham madhham door ufuq paar chamakti hui qatra qatra gir rahi hai tiri dildaar nazar kii shabnam is qadar pyaar se ai jaan-e-jahaan rakkha hai dil ke rukhsaar pe is vaqt tiri yaad ne haath yuñ gumaan hota hai garche hai abhii subh-e-firaq dhal gaya hijr ka din aa bhi gaii vasl kii raat

Faiz Ahmad Faiz

3 likes

darbaar-e-watan men jab ik din sab jaane waale jaayenge kuchh apni saza ko pahunchege kuchh apni jazaa le jaayenge ai khaak-nashino uth baitho vo vaqt qareeb aa pahuncha hai jab takht giraaye jaayenge jab taaj uchaale jaayenge ab toot girengi zanjeeren ab zindaanon ki KHair nahin jo dariyaa jhoom ke utthe hain tinkon se na taale jaayenge kate bhi chalo badhte bhi chalo baazu bhi bahut hain sar bhi bahut chalte bhi chalo ki ab deray manzil hi pe dale jaayenge ai zulm ke maato lab kholo chup rahne waalo chup kab tak kuchh hashr to un se uthhega kuchh door to naale jaayenge

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

guzar rahe hain shab o roz tum nahin aati riyaaz-e-zeest hai aazurda-e-bahaar abhii mire khayal ki duniya hai sogwaar abhii jo hasratein tire gham ki kafeel hain pyaari abhii talak mirii tanhaaiyon men bastii hain taveel raatein abhii tak taveel hain pyaari udaas aañkhen tiri deed ko tarasti hain bahaar-e-husn pe paabandi-e-jafaa kab tak ye aazmaaish-e-sabr-e-gurez-paa kab tak qasam tumhaari bahut gham utha chuka hooñ main galat tha daava-e-sabr-o-shakeb aa jaao qaraar-e-khaatir-e-betaab thak gaya hooñ main

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

ham parvarish-e-lauh-o-qalam karte rahenge jo dil pe guzarti hai raqam karte rahenge asbaab-e-gham-e-ishq bahm karte rahenge veeraani-e-dauraan pe karam karte rahenge haan talkhi-e-ayyaam abhii aur badhegi haan ahl-e-sitam mashq-e-sitam karte rahenge manzoor ye talkhi ye sitam ham ko gawara dam hai to mudaava-e-alam karte rahenge may-khaana salaamat hai to ham surkhi-e-may se tazain-e-dar-o-baam-e-haram karte rahenge baaki hai lahu dil men to har ashk se paida rang-e-lab-o-rukhsaar-e-sanam karte rahenge ik tarz-e-taghaful hai so vo un ko mubarak ik arz-e-tamanna hai so ham karte rahenge

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Faiz Ahmad Faiz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Faiz Ahmad Faiz's nazm.