gunahgar to rahmat ko munh dikha na saka jo be-gunah tha vo bhi nazar mila na saka
Related Sher
kore kaagaz par ro rahe ho tum main to samjha padhe likhe ho tum kya kaha mujhse door jaana hai iska matlab hai ja chuke ho tum
Zubair Ali Tabish
113 likes
kaash vo raaste men mil jaa.e mujh ko munh fer kar guzarna hai
Fahmi Badayuni
111 likes
vo jispar uski rahmat ho vo daulat maangtaa hai kya mohabbat karne vaala dil mohabbat maangte hai kya tumhaara dil kahe jab bhi ujaala ban ke aa jaana kabhi ugta hua suraj izazat maangtaa hai kya
Ankita Singh
98 likes
ye kis ne baagh se us shaKHs ko bula liya hai parind ud ga.e pedon ne munh banaa liya hai use pata tha main choone men vaqt leta hooñ so us ne vasl ka doraaniya badha liya hai
Tehzeeb Hafi
110 likes
main ne mehnat se hatheli pe lakeeren kheenchin vo jinhen kaatib-e-taqdeer nahin kheench sakaa
Umair Najmi
50 likes
More from Nushur Wahidi
hazaar shama' farozaan ho raushni ke li.e nazar nahin to andhera hai aadmi ke li.e
Nushur Wahidi
4 likes
ik nazar ka fasana hai duniya sau kahaanii hai ik kahaanii se
Nushur Wahidi
14 likes
badi hasrat se insaan bachpane ko yaad karta hai ye phal pak kar dobara chahta hai khaam ho jaa.e
Nushur Wahidi
16 likes
anjaam-e-wafa ye hai jisne bhi mohabbat kii marne kii dua maangi jeene kii saza paai
Nushur Wahidi
11 likes
jo bismil banaa de vo qaateel tabassum jo qaateel banaa de vo dilkash nazaara mohabbat ka bhi khel naazuk hai kitna nazar mil gaii aap jeete main haara
Nushur Wahidi
22 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nushur Wahidi.
Similar Moods
More moods that pair well with Nushur Wahidi's sher.







