maa jaise dekhti ho tum magar main tumhaari aankh ka taara nahin hooñ
Related Sher
koi dikkat nahin hai gar tumhein uljha sa lagta hooñ main pahli martaba milne men sabko aisa lagta hooñ zaroori to nahin ham saath hain to koi chakkar ho vo meri dost hai aur main use bas achha lagta hooñ
Ali Zaryoun
521 likes
hazaar ishq karo lekin itnaa dhyaan rahe ki tum ko pahli mohabbat ki baddua na lage
Abbas Tabish
179 likes
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
bichhad ga.e to ye dil umr bhar lagega nahin lagega lagne laga hai magar lagega nahin nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
1244 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
More from Divy Kamaldhwaj
is ran men jay aur paraajay meri hai tu gaandeev utha kar hamla aage badh
Divy Kamaldhwaj
3 likes
nahin lagta kahii bhi dil hamaara sabhi ko aazmaate phir rahe hain
Divy Kamaldhwaj
12 likes
bharat ke upkaar ko maan rahe sab log rog ghataane ke li.e diya vishwa ko yog
Divy Kamaldhwaj
18 likes
rote bacche pooch rahe hain mummy se kitna paani aur milaaya jaayega
Divy Kamaldhwaj
22 likes
rang ko malne se hi raunaq nain aati har ik nuskha yaar kitaabi hota hai dekho sharmaana bhi bahut zaroori hai sharmane se rang gulaabi hota hai
Divy Kamaldhwaj
31 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Divy Kamaldhwaj.
Similar Moods
More moods that pair well with Divy Kamaldhwaj's sher.







