agar bazm-e-hasti mein aurat na hoti
agar bazm-e-hasti men aurat na hoti khayalon ki rangin jannat na hoti sitaron ke dilkash fasane na hote baharon ki nazuk haqiqat na hoti jabinon pe nur-e-masarrat na khilta nigahon men shan-e-muravvat na hoti ghataon ki aamad ko savan taraste fazaon men bahki baghhavat na hoti faqiron ko irfan-e-hasti na milta ata zahidon ko ibadat na hoti musafir sada manzilon par bhatakte safinon ko sahil ki qurbat na hoti har ik phuul ka rang phika sa rahta nasim-e-baharan men nikhat na hoti khudai ka insaf khamosh rahta suna hai kisi ki shafaat na hoti agar bazm-e-hasti mein aurat na hoti khayalon ki rangin jannat na hoti sitaron ke dilkash fasane na hote bahaaron ki nazuk haqiqat na hoti jabinon pe nur-e-masarrat na khilta nigahon mein shan-e-murawwat na hoti ghataon ki aamad ko sawan taraste fazaon mein bahki baghawat na hoti faqiron ko irfan-e-hasti na milta ata zahidon ko ibaadat na hoti musafir sada manzilon par bhatakte safinon ko sahil ki qurbat na hoti har ek phul ka rang phika sa rahta nasim-e-bahaaran mein nikhat na hoti khudai ka insaf khamosh rahta suna hai kisi ki shafaat na hoti