wajud-e-zan se hai taswir-e-kaenat mein rang isi ke saz se hai zindagi ka soz-e-darun allama iqbal presents woman as a source of both outward beauty and inward life-force. the “picture of the universe” becomes vivid through her presence, suggesting completion and harmony. the metaphor of “saz” (instrument) implies a subtle, creative influence whose music becomes life’s inner fervor. the couplet honors womanhood as the giver of meaning, warmth, and intensity to existence.
Poetry Collection
Aurat
A woman is half the world. She is also a paragon of beauty as well as a symbol humility. She also stands out as a figure of strength and forbearance. In fact, the richness of her being cannot be ever exhausted in words. Some examples are here for you to appreciate the various facets of woman.
Total
54
Sher
49
Ghazal
5
Nazm
0
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
chalti phirti hui aaankhon se azan dekhi hai main ne jannat to nahin dekhi hai man dekhi hai
tere mathe pe ye aanchal bahut hi khub hai lekin tu is aanchal se ek parcham bana leti to achchha tha यह शे’र इसरार-उल-हक़ मजाज़ के मशहूर अशआर में से एक है। माथे पे आँचल होने के कई मायने हैं। उदाहरण के लिए शर्म व लाज का होना, मूल्यों का रख रखाव होना आदि और भारतीय समाज में इन चीज़ों को नारी का शृंगार समझा जाता है। मगर जब नारी के इस शृंगार को पुरुष सत्तात्मक समाज में नारी की कमज़ोरी समझा जाता है तो नारी का व्यक्तित्व संकट में पड़ जाता है। इसी तथ्य को शायर ने अपने शे’र का विषय बनाया है। शायर नारी को सम्बोधित करते हुए कहते हैं कि यद्यपि तुम्हारे माथे पर शर्म व हया का आँचल ख़ूब लगता है मगर उसे अपनी कमज़ोरी मत बना। वक़्त का तक़ाज़ा है कि आप अपने इस आँचल से क्रांति का झंडा बनाएं और इस ध्वज को अपने अधिकारों के लिए उठाएं। shafaq sopori
wajud-e-zan se hai taswir-e-kaenat mein rang isi ke saz se hai zindagi ka soz-e-darun allama iqbal presents woman as a source of both outward beauty and inward life-force. the “picture of the universe” becomes vivid through her presence, suggesting completion and harmony. the metaphor of “saz” (instrument) implies a subtle, creative influence whose music becomes life’s inner fervor. the couplet honors womanhood as the giver of meaning, warmth, and intensity to existence.
chalti phirti hui aaankhon se azan dekhi hai main ne jannat to nahin dekhi hai man dekhi hai
tere mathe pe ye aanchal bahut hi khub hai lekin tu is aanchal se ek parcham bana leti to achchha tha यह शे’र इसरार-उल-हक़ मजाज़ के मशहूर अशआर में से एक है। माथे पे आँचल होने के कई मायने हैं। उदाहरण के लिए शर्म व लाज का होना, मूल्यों का रख रखाव होना आदि और भारतीय समाज में इन चीज़ों को नारी का शृंगार समझा जाता है। मगर जब नारी के इस शृंगार को पुरुष सत्तात्मक समाज में नारी की कमज़ोरी समझा जाता है तो नारी का व्यक्तित्व संकट में पड़ जाता है। इसी तथ्य को शायर ने अपने शे’र का विषय बनाया है। शायर नारी को सम्बोधित करते हुए कहते हैं कि यद्यपि तुम्हारे माथे पर शर्म व हया का आँचल ख़ूब लगता है मगर उसे अपनी कमज़ोरी मत बना। वक़्त का तक़ाज़ा है कि आप अपने इस आँचल से क्रांति का झंडा बनाएं और इस ध्वज को अपने अधिकारों के लिए उठाएं। shafaq sopori
ek muddat se meri man nahin soi 'tabish' main ne ek bar kaha tha mujhe dar lagta hai
dua ko hat uthate hue larazta hun kabhi dua nahin mangi thi man ke hote hue
aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya jab ji chaha masla kuchla jab ji chaha dhutkar diya
betiyan bap ki aankhon mein chhupe khwab ko pahchanti hain aur koi dusra is khwab ko padh le to bura manti hain
kal apne-ap ko dekha tha man ki aankhon mein ye aaina hamein budha nahin batata hai
talaq de to rahe ho itab-o-qahr ke sath mera shabab bhi lauta do meri mahr ke sath
bataun kya tujhe ai ham-nashin kis se mohabbat hai main jis duniya mein rahta hun wo is duniya ki aurat hai
ek aurat se wafa karne ka ye tohfa mila jaane kitni auraton ki bad-duaen sath hain
kaun badan se aage dekhe aurat ko sab ki aankhen girwi hain is nagri mein
shahr ka tabdil hona shad rahna aur udas raunaqen jitni yahan hain auraton ke dam se hain
sab ne mana marne wala dahshat-gard aur qatil tha man ne phir bhi qabr pe us ki raj-dulara likkha tha
aurat ke khuda do hain haqiqi o majazi par us ke liye koi bhi achchha nahin hota
ek ke ghar ki khidmat ki aur ek ke dil se mohabbat ki donon farz nibha kar us ne sari umr ibaadat ki
mitti pe numudar hain pani ke zakhire in mein koi aurat se ziyaada nahin gahra
tamam paikar-e-badsurti hai mard ki zat mujhe yaqin hai khuda mard ho nahin sakta
ye 'auraton mein tawaif to dhund lete hain tawaifon mein inhen 'auraten nahin miltin
tu aag mein ai aurat zinda bhi jali barson sanche mein har ek gham ke chup-chap dhali barson
aurat ko samajhta tha jo mardon ka khilauna us shakhs ko damad bhi waisa hi mila hai
abhi raushan hua jata hai rasta wo dekho ek aurat aa rahi hai
raushni bhi nahin hawa bhi nahin man ka nemul-badal khuda bhi nahin
aurten kaam pe nikli thin badan ghar rakh kar jism khali jo nazar aae to mard aa baithe
ghar mein rahte hue ghairon ki tarah hoti hain ladkiyan dhan ke paudon ki tarah hoti hain
aurat apna aap bachae tab bhi mujrim hoti hai aurat apna aap ganwae tab bhi mujrim hoti hai
aurat hun magar surat-e-kohsar khadi hun ek sach ke tahaffuz ke liye sab se ladi hun
bint-e-hawwa hun main ye mera jurm hai aur phir shaeri to kada jurm hai
use hum par to dete hain magar udne nahin dete hamari beti bulbul hai magar pinjre mein rahti hai
tum bhi aakhir ho mard kya jaano ek aurat ka dard kya jaano
Explore Similar Collections
Aurat FAQs
Aurat collection me kya milega?
Aurat se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.