dil gham se bhi bezar hai malum nahin kyon
dil ghham se bhi bezar hai maalum nahin kyon ye aish bhi ab yaar hai maalum nahin kyon aalam hama dildar hai maalum nahin kyon jo ghham hai ghham-e-yar hai maalum nahin kyon ab husn bhi kuchh samne aane men hai mohtat ab ishq bhi khuddar hai maalum nahin kyon vo ishq jo har jalva-e-rangin pe fida hai khud apna talabgar hai maalum nahin kyon kuchh roz se vo 'kaif' jo ik gosha-nashin tha rusva sar-e-bazar hai maalum nahin kyon dil gham se bhi bezar hai malum nahin kyon ye aish bhi ab yar hai malum nahin kyon aalam hama dildar hai malum nahin kyon jo gham hai gham-e-yar hai malum nahin kyon ab husn bhi kuchh samne aane mein hai mohtat ab ishq bhi khuddar hai malum nahin kyon wo ishq jo har jalwa-e-rangin pe fida hai khud apna talabgar hai malum nahin kyon kuchh roz se wo 'kaif' jo ek gosha-nashin tha ruswa sar-e-bazar hai malum nahin kyon