dil mohabbat se bhar gaya 'bekhud' ab kisi par fida nahin hota
Top 20 Sher Series
Top 20 Sher by Bekhud Dehlvi
Bekhud Dehlvi ke selected Top 20 sher ek clean reading flow me, writer aur full-detail links ke saath.
Total
20
Sher
20
Ghazal
0
Nazm
0
Featured Picks
Series se pehle kuch standout sher padhein.
dil mohabbat se bhar gaya 'bekhud' ab kisi par fida nahin hota
adaen dekhne baithe ho kya aaine mein apni diya hai jis ne tum jaise ko dil us ka jigar dekho
jadu hai ya tilism tumhaari zaban mein tum jhut kah rahe the mujhe e'tibar tha
baat wo kahiye ki jis baat ke sau pahlu hon koi pahlu to rahe baat badalne ke liye शे’र में जिस बिंदु का वर्णन किया गया है उसी ने इसे दिलचस्प बनाया है। इसमें शब्द बात की यद्यपि तीन बार और पहलू की दो बार पुनरावृत्ति हुई है मगर शब्दों की तुकबंदी और अभिव्यक्ति के प्रवाह की विशेषता ने शे’र में आनंद पैदा किया है। पहलू के अनुरूप शब्द बदलने से शे’र की स्थिति का आभास होता है। दरअसल शे’र में जिस बिंदु का वर्णन किया गया है, हालांकि इसकी कोई विशेषता नहीं बल्कि सामान्य है मगर जिस अंदाज़ से शायर ने इस बिंदु को व्यक्त किया है वो सरल होने के बावजूद इस बिंदु को दुर्लभ बना देता है। शे’र का अर्थ यह है कि बात को कुछ ऐसे प्रतीकात्मक ढंग से कहना चाहिए कि इससे सौ तरह के विभिन्न अर्थ निकलते हों। क्योंकि अर्थ की दृष्टि से एकहरी बात कहना बुद्धिमान लोगों की शैली नहीं बल्कि वे एक बात में सौ बिंदुओं का सार व्यक्त करते हैं। इस तरह से सुनने वालों को बहस करने या स्पष्टीकरण मांगने के लिए कोई न कोई पहलू हाथ आजाता है। और जब बात के पहलू प्रचुर हों तो बात बदलने में आसानी होजाती है। अर्थात बिंदु से बिंदु बरामद होता है। shafaq sopori
sun ke sari dastan-e-ranj-o-gham kah diya us ne ki phir hum kya karen
dil to lete ho magar ye bhi rahe yaad tumhein jo hamara na hua kab wo tumhaara hoga
rah mein baitha hun main tum sang-e-rah samjho mujhe aadmi ban jaunga kuchh thokaren khane ke baad
mujh ko na dil pasand na wo bewafa pasand donon hain khud-gharaz mujhe donon hain na-pasand
aaina dekh kar wo ye samjhe mil gaya husn-e-be-misal hamein
hamein pine se matlab hai jagah ki qaid kya 'bekhud' usi ka nam jannat rakh diya botal jahan rakh di
wo kuchh muskurana wo kuchh jhenp jaana jawani adaen sikhati hain kya kya
na dekhna kabhi aaina bhul kar dekho tumhaare husn ka paida jawab kar dega
chashm-e-bad-dur wo bhole bhi hain nadan bhi hain zulm bhi mujh pe kabhi soch-samajh kar na hua
huron se na hogi ye mudaraat kisi ki yaad aaegi jannat mein mulaqat kisi ki
baat karne ki shab-e-wasl ijazat de do mujh ko dam bhar ke liye ghair ki qismat de do
munh mein waiz ke bhi bhar aata hai pani aksar jab kabhi tazkira-e-jam-e-sharab aata hai
tum ko aashufta-mizajon ki khabar se kya kaam tum sanwara karo baithe hue gesu apne
di qasam wasl mein us but ko khuda ki to kaha tujh ko aata hai khuda yaad hamare hote
jhuta jo kaha main ne to sharma ke wo bole allah bigade na bani baat kisi ki
chalne ki nahin aaj koi ghat kisi ki sunne ke nahin wasl mein hum baat kisi ki
You have reached the end.
Explore Similar Collections
Top 20 Sher by Bekhud Dehlvi FAQs
Bekhud Dehlvi Top 20 me kya milega?
Bekhud Dehlvi ke selected sher readable cards, internal detail links, aur writer discovery ke saath milenge.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.