khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi
khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi
na to tu raha na to main raha jo rahi so be-khabari rahi
shah-e-be-khudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi
na khirad ki bakhiya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi
chali samt-e-ghhaib siin kya hava ki chaman zuhur ka jal gaya
magar ek shakh-e-nihal-e-ghham jise dil kaho so hari rahi
nazar-e-taghhaful-e-yar ka gila kis zaban siin bayan karun
ki sharab-e-sad-qadah aarzu khum-e-dil men thi so bhari rahi
vo ajab ghadi thi main jis ghadi liya dars nuskha-e-ishq ka
ki kitab aql ki taaq par juun dhari thi tyuun hi dhari rahi
tire josh-e-hairat-e-husn ka asar is qadar siin yahan hua
ki na aaine men rahi jila na pari kuun jalvagari rahi
kiya khaak atish-e-ishq ne dil-e-be-nava-e-'siraj' kuun
na khatar raha na hazar raha magar ek be-khatari rahi
khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi
na to tu raha na to main raha jo rahi so be-khabari rahi
shah-e-be-khudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi
na khirad ki bakhiya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi
chali samt-e-ghaib sin kya hawa ki chaman zuhur ka jal gaya
magar ek shakh-e-nihaal-e-gham jise dil kaho so hari rahi
nazar-e-taghaful-e-yar ka gila kis zaban sin bayan karun
ki sharab-e-sad-qadah aarzu khum-e-dil mein thi so bhari rahi
wo ajab ghadi thi main jis ghadi liya dars nuskha-e-ishq ka
ki kitab aql ki taq par jun dhari thi tyun hi dhari rahi
tere josh-e-hairat-e-husn ka asar is qadar sin yahan hua
ki na aaine mein rahi jila na pari kun jalwagari rahi
kiya khak aatish-e-ishq ne dil-e-be-nawa-e-'siraj' kun
na khatar raha na hazar raha magar ek be-khatari rahi
kiya mujh ishq ne zalim kun aab aahista-ahista
kiya mujh ishq ne zalim kuun aab ahista-ahista
ki atish gul kuun karti hai gulab ahista-ahista
vafadari ne dilbar ki bujhaya atish-e-ghham kuun
ki garmi dafaa karta hai gulab ahista-ahista
ajab kuchh lutf rakhta hai shab-e-khalvat men gul-ru suun
khitab ahista-ahista javab ahista-ahista
mire dil kuun kiya be-khud tiri ankhiyan ne akhir kuun
ki jyuun behosh karti hai sharab ahista-ahista
hua tujh ishq suun ai atishin-ru dil mira paani
ki jyuun galta hai atish suun gulab ahista-ahista
ada-o-naz suun aata hai vo raushan-jabin ghar suun
ki jyuun mashriq suun nikle aftab ahista-ahista
kiya mujh ishq ne zalim kun aab aahista-ahista
ki aatish gul kun karti hai gulab aahista-ahista
wafadari ne dilbar ki bujhaya aatish-e-gham kun
ki garmi dafa karta hai gulab aahista-ahista
ajab kuchh lutf rakhta hai shab-e-khalwat mein gul-ru sun
khitab aahista-ahista jawab aahista-ahista
mere dil kun kiya be-khud teri ankhiyan ne aakhir kun
ki jyun behosh karti hai sharab aahista-ahista
hua tujh ishq sun ai aatishin-ru dil mera pani
ki jyun galta hai aatish sun gulab aahista-ahista
ada-o-naz sun aata hai wo raushan-jabin ghar sun
ki jyun mashriq sun nikle aaftab aahista-ahista
nain tere shikar karte hain
nain tere shikar karte hain
dil hamara figar karte hain
khub-ru jab singar karte hain
aarsi par bahar karte hain
kisi bedad suun chaman men aaj
phuul saare pukar karte hain
khush-nigah aur bar men sabz libas
sarv kuun sharmsar karte hain
ahl-e-dil girya-e-nadamat sen
sair abr-e-bahar karte hain
chashm-e-bad-dur dil-baran saare
apne 'nasir' kuun pyaar karte hain
nain tere shikar karte hain
dil hamara figar karte hain
khub-ru jab singar karte hain
aarsi par bahaar karte hain
kisi bedad sun chaman mein aaj
phul sare pukar karte hain
khush-nigah aur bar mein sabz libas
sarw kun sharmsar karte hain
ahl-e-dil girya-e-nadamat sen
sair abr-e-bahaar karte hain
chashm-e-bad-dur dil-baran sare
apne 'nasir' kun pyar karte hain
~ Nawab Nizamuddaula Bahadur
ab dil pe yahi hai jo dukhan chhod na jaana
ab dil pe yahi hai jo dukhan chhod na jaana
jone u dukhan khan ke ratan chhod na jaana
yogan bhare dilbar u nazar-baz u majlis
u phuul u bulbul u chaman chhod na jaana
j dost jo hai jot ho diide kuun dukhan ki
so yuun kahin har-dam jo ham chhod na jaana
gar koi bakhshta hai bula kar iram inaam
bulbul ke achchhe man men jo ban chhod na jaana
sat khan na ki junun laal har yak mulk na bhagna
junun suur gagan yaani vatan chhod na jaana
taqdir kahan khinch lijagi so na jaano
pan jiiv ke gul-lot jo tan chhod na jaana
'bahri' kuun dukhan yuun hai ki junun nal kuun daman hai
pas nal kuun hai lazim jo daman chhod na jaana
ab dil pe yahi hai jo dukhan chhod na jaana
jone u dukhan khan ke ratan chhod na jaana
yogan bhare dilbar u nazar-baz u majlis
u phul u bulbul u chaman chhod na jaana
j dost jo hai jot ho dide kun dukhan ki
so yun kahin har-dam jo hum chhod na jaana
gar koi bakhshta hai bula kar iram inam
bulbul ke achchhe man mein jo ban chhod na jaana
sat khan na ki junun lal har yak mulk na bhagna
junun sur gagan yani watan chhod na jaana
taqdir kahan khinch lijagi so na jaano
pan jiw ke gul-lot jo tan chhod na jaana
'bahri' kun dukhan yun hai ki junun nal kun daman hai
pas nal kun hai lazim jo daman chhod na jaana
مد عشق میں پیا سو چڑیا ہے اثر منجے
مد عشق میں پیا سو چڑیا ہے اثر منجے
سد عقل فہم چھین کیا بے خبر منجے
دھن مکھ اگن میں پڑنے سمندر ہوا ہوں آج
طوطی نہیں ہوں میں کہ جو بھاوے شکر منجے
ہاتف خبر دے بیگ اگر دوست ہے مرا
کس رات آ ملے گی وہ چنچل سندھر منجے
بادل ہو باو ناد پھروں دشت میں اتال
نا بھاوے سنگ چک کسی کا نہ گھر منجے
اپ بھاوتا ہوا ہوں سبھیں بھاوتیاں کوں چھوڑ
دھن بھاوتے وو کھینچ لے اپنے ادھر منجے
پھسلا کے خوبی سونچ لجاتا بلا اے کر
شاندے یو عشق آج کدھر کا کدھر منجے
araq jab us pari ke chehra-e-pur-nur se tapke
araq jab us pari ke chehra-e-pur-nur se tapke
khajil ho gul se shabnam juun lahu nasur se tapke
miri ankhon se khunin ashk yuun girte hain palkon par
lahu suuli ke uupar juun sar-e-mansur se tapke
agar kaif-e-sukhan mera nihal-e-tak ko pahunche
surahi shakh ban jaave sharab angur se tapke
agar us zulf-mushk-amez se chunni men baal aave
ajab main itr-o-ambar kasa-e-naghhfur se tapke
karun fariyad ro ro yaar ko jab yaad kar 'ajiz'
dam israfil ka lohu ho bang-e-sur se tapke
araq jab us pari ke chehra-e-pur-nur se tapke
khajil ho gul se shabnam jun lahu nasur se tapke
meri aankhon se khunin ashk yun girte hain palkon par
lahu suli ke upar jun sar-e-mansur se tapke
agar kaif-e-sukhan mera nihaal-e-tak ko pahunche
surahi shakh ban jawe sharab angur se tapke
agar us zulf-mushk-amez se chunni mein baal aawe
ajab main itr-o-ambar kasa-e-naghfur se tapke
karun fariyaad ro ro yar ko jab yaad kar 'ajiz'
dam israfil ka lohu ho bang-e-sur se tapke
piw sat rij rahna lazzat ise kate hain
piv saat riij rahna lazzat ise kate hain
ap riij phir rijhana sanat ise kate hain
muj nain ke nagar men lalan vatan kiye hain
jab anjuman ke logan khalvat use kate hain
main chhanv ho piya sang laagi rahi huun daaem
yak pal juda na hona vaslat use kate hain
gul hor gulab miyane naiin kuch farq azal se
u piv suun mil rahi huun ulfat ise kutte hain
hit chor chit bhulave main aapne piya kuun
aaqil jahan ke bolen hikmat use kate hain
charon pahar piya sang kai bhant kar madan ke
sanjog ho rahi huun ishrat use kate hain
ruun ruun rasan kari main 'shahi' ka nanon lene
phir phir vo naam lena rahat ise kate hain
piw sat rij rahna lazzat ise kate hain
ap rij phir rijhana sanat ise kate hain
muj nain ke nagar mein lalan watan kiye hain
jab anjuman ke logan khalwat use kate hain
main chhanw ho piya sang lagi rahi hun daem
yak pal juda na hona waslat use kate hain
gul hor gulab miyane nain kuch farq azal se
u piw sun mil rahi hun ulfat ise kutte hain
hit chor chit bhulawe main aapne piya kun
aaqil jahan ke bolen hikmat use kate hain
chaaron pahar piya sang kai bhant kar madan ke
sanjog ho rahi hun ishrat use kate hain
run run rasan kari main 'shahi' ka nanon lene
phir phir wo nam lena rahat ise kate hain
اونو آویں تو پردے سے گھڑی بھر بھار بیٹھوں گی
اونو آویں تو پردے سے گھڑی بھر بھار بیٹھوں گی
بہانا کر کے موتیاں کے پروتے ہار بیٹھوں گی
اونو یاں آو کیں گے تو کہوں گی کام کرتی ہوں
اٹھلتی ہور مٹھلتی چپ گھڑی دوچار بیٹھوں گی
نزک میں دوڑ جانے کوں خوشی ہوں چپ اچھل رہوں گی
ولے لوگاں میں دکھلانے کو ہو بیزار بیٹھوں گی
پکڑ کر ہاتھ پردے میں لیجاویں گے تو جھڑکوں گی
گھنگھٹ میں مکھ چپا کرٹک میں تڑکا مار بیٹھوں گی
بلایاں جیوں کے جیوں میں لے پڑوں گی پاؤں میں دل سوں
ولے ظاہر میں دکھلانے کو ہو اغیار بیٹھوں گی
کروں گی ظاہرانہ چپ غصہ اور مان ہٹ لیکن
سریجن پرتے جیو اپنا میں جیو میں وار بیٹھوں گی
کتی بیزاری دیتے ووئی جو بیٹھی تو نزک آکر
مجھے سو گند جو آکر یوں دسری بار بیٹھوں گی
کنے کو چپ کتی ہوں میں ولے یوں جی میں گھٹ کی یوں
نزک ہو ہاشمی کے مل میں آٹھوں پھار بیٹھوں گی
tujh rukh pe mujhe nur-e-ilahi nazar aaya
tujh rukh pe mujhe nur-e-ilahi nazar aaya
jo asl men hai so hi kamahi nazar aaya
jab chashm kiya teri taraf ahl-e-nazar ne
had-darja fuzun rutba-o-jahi nazar aaya
tujh zulf-e-pareshan pe nazar jis ki padi hai
dil-jami use naiin vo tabahi nazar aaya
mujh ishq ki saugand hai jab ishq ko khola
kuchh aur na dekha vo sipahi nazar aaya
'arshad' mira dildar kahin mujh se juda naiin
har vaqt vo mujh dil men basa hi nazar aaya
tujh rukh pe mujhe nur-e-ilahi nazar aaya
jo asl mein hai so hi kamahi nazar aaya
jab chashm kiya teri taraf ahl-e-nazar ne
had-darja fuzun rutba-o-jahi nazar aaya
tujh zulf-e-pareshan pe nazar jis ki padi hai
dil-jami use nain wo tabahi nazar aaya
mujh ishq ki saugand hai jab ishq ko khola
kuchh aur na dekha wo sipahi nazar aaya
'arshad' mera dildar kahin mujh se juda nain
har waqt wo mujh dil mein basa hi nazar aaya
junun ke hat ab main kya kahun dil sakht hairan hai
junun ke haat ab main kya kahun dil sakht hairan hai
gareban kar chuka huun nazr aage ab ye daman hai
tujhe vajib hai jaana urs men apne shahidon ke
suna huun main ki un ka aaj sandal kal charaghhan hai
raha gar astan par aa ke main fart-e-aqidat se
takalluf bartaraf sarkar ka kya is men nuqsan hai
lage kyunkar na dil kunj-e-qafas men andalibon ka
jahan men aj-kal abad gar kuchh hai to zindan hai
nahin lazim hai dena haath se sheva tarahhum ka
hui vaaqe 'zaka' se kuchh agar taqsir insan hai
junun ke hat ab main kya kahun dil sakht hairan hai
gareban kar chuka hun nazr aage ab ye daman hai
tujhe wajib hai jaana urs mein apne shahidon ke
suna hun main ki un ka aaj sandal kal charaghan hai
raha gar aastan par aa ke main fart-e-aqidat se
takalluf bartaraf sarkar ka kya is mein nuqsan hai
lage kyunkar na dil kunj-e-qafas mein andalibon ka
jahan mein aaj-kal aabaad gar kuchh hai to zindan hai
nahin lazim hai dena hath se shewa tarahhum ka
hui waqe 'zaka' se kuchh agar taqsir insan hai
kiya aankhon ko nazr uski kaha dil hai so wo bahla
kiya ankhon ko nazr us ki kaha dil hai so vo bahla
hua huun sarf-e-farmaish kabhi ye la kabhi vo la
jo khush-chashmon ki ulfat men diya barbad ji apna
lagao us ki turbat par laja kar nargis-e-shahla
gaya huun bhuul apne ko payam-o-nama kya bhejun
khayal-e-dil ka qasid in dinon men aah kyon chahla
ye tifl-e-ashk daman-gir hai har aan men mujh se
bahane se main ladke ko rakhun kis tarah kar bahla
tumhen aram zindan men divanon is sabab se hai
diya zanjir nen shayad tumhare paanv ko sahla
junun ke ilm ko aalim huun mera rutba mat puchho
ki majnun dars-e-vahshat ka mire shagird hai pahla
kiya aankhon ko nazr us ki kaha dil hai so wo bahla
hua hun sarf-e-farmaish kabhi ye la kabhi wo la
jo khush-chashmon ki ulfat mein diya barbaad ji apna
lagao us ki turbat par laja kar nargis-e-shahla
gaya hun bhul apne ko payam-o-nama kya bhejun
khayal-e-dil ka qasid in dinon mein aah kyon chahla
ye tifl-e-ashk daman-gir hai har aan mein mujh se
bahane se main ladke ko rakhun kis tarah kar bahla
tumhein aaram zindan mein diwanon is sabab se hai
diya zanjir nen shayad tumhaare panw ko sahla
junun ke ilm ko aalim hun mera rutba mat puchho
ki majnun dars-e-wahshat ka mere shagird hai pahla
mere man mane aaj u dhyan hai
mire man mane aaj uu dhyan hai
ki us mast khun-rez ka dhyan hai
jadan te tira zulf dekhya huun main
tadan te mira man pareshan hai
hua bad-o-baran mira jiiv aaj
tire ishq ka dil men tufan hai
tujhe jivte men ziyada mangun
tire par mira jiiv qurban hai
diya huun mohabbat mane jiiv main
mohabbat mira jiiv iman hai
gunah kya hua hai so maalum naiin
mujhe dekh ke aaj anjan hai
suraj tilmilata hai khane ugaal
jo dekhya tire mukh mane paan hai
zamin par suraj koi dekhya nahin
'ayaghhi' tujhe dekh hairan hai
mere man mane aaj u dhyan hai
ki us mast khun-rez ka dhyan hai
jadan te tera zulf dekhya hun main
tadan te mera man pareshan hai
hua baad-o-baran mera jiw aaj
tere ishq ka dil mein tufan hai
tujhe jiwte mein ziyaada mangun
tere par mera jiw qurban hai
diya hun mohabbat mane jiw main
mohabbat mera jiw iman hai
gunah kya hua hai so malum nain
mujhe dekh ke aaj anjaan hai
suraj tilmilata hai khane ugal
jo dekhya tere mukh mane pan hai
zamin par suraj koi dekhya nahin
'ayaghi' tujhe dekh hairan hai
عاشق ہوں لڑ تیرا سکھی منج سات بولیا رات چاند
عاشق ہوں لڑ تیرا سکھی منج سات بولیا رات چاند
دیک رخ یک تل منے ہو کر رہیا شہ مات چاند
سس پھول جرت کا سیس پر دیک سد ساری سٹی
یارب یو کیا ہے معجزا ایک رات میں چھے سات چاند
قدرت کہاں ہے چاند کوں جو لاف مارے تج انگے
یک نگ سوں تیرے اے سکی کرنے نہ سکسے بات چاند
یہ نقش مھیندی کا اہے جو ہات میں دستا ہے تج
سارے ستاریاں سات مل سپڑا ہے تیرے ہات چاند
مکٹے چھپاں کے چیربند کیتی سو کسوت دھن عجب
کس دھات سروناز کوں لاگیا ہے پاتے پات چاند
کہا کیا عیب ہے بولو جو سینہ ہت سوں چھینے کا
کہا کیا عیب ہے بولو جو سینہ ہت سوں چھینے کا
کہی میں جیوچ دیونگی ہو جو لیں گے نانوں سینے کا
کہا میں کچھ دغا کر کے پکڑنے میں کریں گے کیا
کہی میں موئی سو سپڑوں گی موئے کیا ایسے جینے کا
کہا کچھ بھی زرینہ میں منگا دیتا ہوں راضی ہو
کہی لونڈیاں للچتیاں ہیں یوں ناؤں سن زرینے کا
کہا کیا عیب ہے بولو مٹھی تاڑی سیندھی پینا
کہی اوئی عیب کوگے نئیں موئی عورت کوں پینے کا
کہا پشواز میں چولی اوپر پھر شال کے سٹتی
کہی کچھ بھی دھرے جو کوئی اسے لگ ہے دفینے کا
dil hamara gauhar-e-ghaltan-e-bahr-e-ishq hai
dil hamara gauhar-e-ghhaltan-e-bahr-e-ishq hai
dam hamara shorish-e-tufan-e-bahr-e-ishq hai
duub jaata hai dil us ki mauj-e-betabi kuun dekh
be-tarah ai bul-havas unvan-e-bahr-e-ishq hai
ashk ne girdab bandha hai hamare as-pas
kyunki nikla jaae ye zindan-e-bahr-e-ishq hai
dil dubana ishq ke dariya ka haiga ibtida
ghharq karna jaan ko payan-e-bahr-e-ishq hai
siipi ankhen ashk moti dil hai marjan machhli aah
ham hain 'ajiz' kya bala saman-e-bahr-e-ishq hai
dil hamara gauhar-e-ghaltan-e-bahr-e-ishq hai
dam hamara shorish-e-tufan-e-bahr-e-ishq hai
dub jata hai dil us ki mauj-e-betabi kun dekh
be-tarah ai bul-hawas unwan-e-bahr-e-ishq hai
ashk ne girdab bandha hai hamare aas-pas
kyunki nikla jae ye zindan-e-bahr-e-ishq hai
dil dubana ishq ke dariya ka haiga ibtida
gharq karna jaan ko payan-e-bahr-e-ishq hai
sipi aankhen ashk moti dil hai marjaan machhli aah
hum hain 'ajiz' kya bala saman-e-bahr-e-ishq hai
اہے تازہ چمن پیوستہ میرا
اہے تازہ چمن پیوستہ میرا
شگفتہ ہے سدا گلدستہ میرا
لطافت میں ہے جیوں خوباں کی ابرو
ہر یک مصرع جو ہے برجستہ میرا
دیا ہے جگ کوں رونق یک طرف تے
ہے یو بازار جو دو رستہ میرا
بوہت خون جگر کھا کو کھلیا گل
کلی نمنے جو تھا فن بستہ میرا
کرم سوں حق کے پایا آج راحت
فلک سوں تھا جو خاطر خستہ میرا
~ ابن نشاطی
زلف میں مونہہ کو چھپایا نہ کرو
زلف میں مونہہ کو چھپایا نہ کرو
شام کو صبح میں لایا نہ کرو
ننگ رکھتے ہو اگر آنے سے
کوئی بولا کے بلایا نہ کرو
تم کو گر عشق سے میرے ہے عار
یوں تم اپنے کو بنایا نہ کرو
دل سے آئینہ کو ہے کیا نسبت
یوں اسے مونہہ کو لگایا نہ کرو
غمزہ سے نیزہ مژہ سے لے خدنگ
ہم ضعیفوں کو ملایا نہ کرو
سخت بے کل ہیں وے طفل سرشک
ان یتیموں کو رولایا نہ کرو
وہم ہستی سے اگر ہو آگاہؔ
یوں تم اپنے جو جتایا نہ کرو
جیکچ ہے سو خدا سوں ہے نیں یہاں کچ میرا بھاتا
جیکچ ہے سو خدا سوں ہے نیں یھاں کچ میرا بھاتا
جو او منگتا ہے کرنے کوں وہی دل میں میرے آتا
خدا سوں کچ جدائی نیں ولے یھاں ہے تیرا بھانا
کریں نیکی بدی آپیں خدا پر چوک کہوں لاتا
عجب پیراں پکڑنا یھاں ازل میں ہے سو یہ جانا
انو کی بھاگ سوں کیا ہے گنہ میرا نہیں جاتا
خدا قادر ہے لوگاں بوسیؤ عقلی دلیلا سب
کریں نیکی بدی اپیں تو لعنت کس پو فرماتا
عجب ہے بوج ان کا سو سمجھتا نہیں کسی کوں کچ
نکو کہہ شاہ برہان تو نکوئی اس راز کوں پاتا
mera dil lala-ru ke gham ke rahne ki haweli hai
mira dil lala-ru ke ghham ke rahne ki haveli hai
jigar daghhon sen tausi gulistan-e-gandhili hai
uchhala gend saucer ko agar mansur ne haq par
khadi ho ru-ba-ru suuli bhi kya khuub us ko jheli hai
na samjhe koi ki hai mansuri ka haq ke kahne men
qasam haq ki ki us ke saath suuli bhi akeli hai
kahan se qafiya la la ke apne she'r men dhala
hai 'ajiz' dil men tere daaghh ya tuun shaikh-chilli hai
mera dil lala-ru ke gham ke rahne ki haweli hai
jigar daghon sen tausi gulistan-e-gandhili hai
uchhaala gend saucer ko agar mansur ne haq par
khadi ho ru-ba-ru suli bhi kya khub us ko jheli hai
na samjhe koi ki hai mansuri ka haq ke kahne mein
qasam haq ki ki us ke sath suli bhi akeli hai
kahan se qafiya la la ke apne she'r mein dhaala
hai 'ajiz' dil mein tere dagh ya tun shaikh-chilli hai
سکی تجھ بن کہ جوں با او بگولا ہر کدر پھرتا
سکی تجھ بن کہ جوں با او بگولا ہر کدر پھرتا
جو لیلیٰ بن کے جوں مجنوں دیوانہ ہر کدر پھرتا
سکی تجھ تے کہ دل ہر چند پھر اووں ہر طرف اپنا
نہیں پھرتا کہ جوں قبلے نما قبلے اودھر پھرتا
موہن پیارے کے نیناں کرد کردی میں کہ جیو میرا
پھرے تس دن کہ جیوں بن کا سدا بھوکے بھنور پھرتا
سکی دلبر کہ تجھ بن اب مجرد جیو ہوا سب تے
کہ جوں جوگی سنیاسی بھی مسافر ہے سفر پھرتا
پھرے تجھ مکھ اوپر تل تل کہ من میرا ہوا پھرکی
اوتی سورج کنول گل پر کہ چندا ہو بھنور پھرتا
قریشی کوں بلا پیارے انجل اوجل کہے ہنس کر
سیانا ہو اپس سیتی کہ کیوں توں بے خبر پھرتا