bar-sar-e-dashna-o-shamshir-o-tabar katta hai
bar-sar-e-dashna-o-shamshir-o-tabar katta hai zakhm siine se ulajhte hain to dar katta hai rone lagta huun to aa jaati hai chehre pe kharash zabt karta huun to andar se jigar katta hai sar jhukata huun to marta hai 'aqida mera aur 'aqide ko bachata huun to sar katta hai she'r vo lafz-tarashi ka 'amal hai jis men harf-rezon se mira dast-e-hunar katta hai koi divar utha rakhti hai chhat kandhon par kisi divar ke uthne se bhi ghar katta hai ab vo chaupal ke qisse na vo fursat na vo log ab to har gaanv se bargad ka shajar katta hai bar-sar-e-dashna-o-shamshir-o-tabar katta hai zakhm sine se ulajhte hain to dar katta hai rone lagta hun to aa jati hai chehre pe kharash zabt karta hun to andar se jigar katta hai sar jhukata hun to marta hai 'aqida mera aur 'aqide ko bachata hun to sar katta hai she'r wo lafz-tarashi ka 'amal hai jis mein harf-rezon se mera dast-e-hunar katta hai koi diwar utha rakhti hai chhat kandhon par kisi diwar ke uthne se bhi ghar katta hai ab wo chaupal ke qisse na wo fursat na wo log ab to har ganw se bargad ka shajar katta hai