تو شاہیں ہے پرواز ہے کام تیرا ترے سامنے آسماں اور بھی ہیں
Poetry Collection
Hausla
What worth is life without confidence and courage, or even without the will to live? In fact, life is worth living because there is some courage in us to live it in whatever condition we are. Some of these shers will unveil the real meaning of life lived with nerve, perseverance, poise and self-assurance. You may go through this selection to get some lessons of life.
Total
59
Sher
44
Ghazal
15
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
safar mein dhup to hogi jo chal sako to chalo
safar men dhuup to hogi jo chal sako to chalo sabhi hain bhiid men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaste rahen kahan badalti hain tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo yahan kisi ko koi rasta nahin deta mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo kahin nahin koi suraj dhuan dhuan hai faza khud apne aap se bahar nikal sako to chalo yahi hai zindagi kuchh khvab chand ummiden inhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalo safar mein dhup to hogi jo chal sako to chalo sabhi hain bhid mein tum bhi nikal sako to chalo kisi ke waste rahen kahan badalti hain tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo yahan kisi ko koi rasta nahin deta mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo kahin nahin koi suraj dhuan dhuan hai faza khud apne aap se bahar nikal sako to chalo yahi hai zindagi kuchh khwab chand ummiden inhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalo
ہزار برق گرے لاکھ آندھیاں اٹھیں وہ پھول کھل کے رہیں گے جو کھلنے والے ہیں
ہم کو مٹا سکے یہ زمانہ میں دم نہیں ہم سے زمانہ خود ہے زمانے سے ہم نہیں
تندیٔ باد مخالف سے نہ گھبرا اے عقاب یہ تو چلتی ہے تجھے اونچا اڑانے کے لیے
mitti mein mila de ki juda ho nahin sakta
mitti men mila de ki juda ho nahin sakta ab is se ziyada main tira ho nahin sakta dahliz pe rakh di hain kisi shakhs ne ankhen raushan kabhi itna to diya ho nahin sakta bas tu miri avaz se avaz mila de phir dekh ki is shahr men kya ho nahin sakta ai maut mujhe tu ne musibat se nikala sayyad samajhta tha riha ho nahin sakta is khak-e-badan ko kabhi pahuncha de vahan bhi kya itna karam bad-e-saba ho nahin sakta peshani ko sajde bhi ata kar mire maula ankhon se to ye qarz ada ho nahin sakta darbar men jaana mira dushvar bahut hai jo shakhs qalandar ho gada ho nahin sakta mitti mein mila de ki juda ho nahin sakta ab is se ziyaada main tera ho nahin sakta dahliz pe rakh di hain kisi shakhs ne aankhen raushan kabhi itna to diya ho nahin sakta bas tu meri aawaz se aawaz mila de phir dekh ki is shahr mein kya ho nahin sakta ai maut mujhe tu ne musibat se nikala sayyaad samajhta tha riha ho nahin sakta is khak-e-badan ko kabhi pahuncha de wahan bhi kya itna karam baad-e-saba ho nahin sakta peshani ko sajde bhi ata kar mere maula aankhon se to ye qarz ada ho nahin sakta darbar mein jaana mera dushwar bahut hai jo shakhs qalandar ho gada ho nahin sakta
kaam ab koi na aaega bas ek dil ke siwa
kaam ab koi na aaega bas ik dil ke siva raste band hain sab kucha-e-qatil ke siva bais-e-rashk hai tanha-ravi-e-rah-rav-e-shauq ham-safar koi nahin duri-e-manzil ke siva ham ne duniya ki har ik shai se uthaya dil ko lekin ek shokh ke hangama-e-mahfil ke siva teghh munsif ho jahan dar-o-rasan hon shahid be-gunah kaun hai us shahr men qatil ke siva jaane kis rang se aai hai gulistan men bahar koi naghhma hi nahin shor-e-salasil ke siva kaam ab koi na aaega bas ek dil ke siwa raste band hain sab kucha-e-qatil ke siwa bais-e-rashk hai tanha-rawi-e-rah-raw-e-shauq ham-safar koi nahin duri-e-manzil ke siwa hum ne duniya ki har ek shai se uthaya dil ko lekin ek shokh ke hangama-e-mahfil ke siwa tegh munsif ho jahan dar-o-rasan hon shahid be-gunah kaun hai us shahr mein qatil ke siwa jaane kis rang se aai hai gulistan mein bahaar koi naghma hi nahin shor-e-salasil ke siwa
اب ہوائیں ہی کریں گی روشنی کا فیصلہ جس دئیے میں جان ہوگی وہ دیا رہ جائے گا
ab ye sochun to bhanwar zehn mein pad jate hain
ab ye sochun to bhanvar zehn men pad jaate hain kaise chehre hain jo milte hi bichhad jaate hain kyuun tire dard ko den tohmat-e-virani-e-dil zalzalon men to bhare shahr ujad jaate hain mausam-e-zard men ik dil ko bachaun kaise aisi rut men to ghane ped bhi jhad jaate hain ab koi kya mire qadmon ke nishan dhundega tez andhi men to kheme bhi ukhad jaate hain shaghhl-e-arbab-e-hunar puchhte kya ho ki ye log pattharon men bhi kabhi aaine jad jaati hain soch ka aaina dhundla ho to phir vaqt ke saath chand chehron ke khad-o-khal bigad jaate hain shiddat-e-ghham men bhi zinda huun to hairat kaisi kuchh diye tund havaon se bhi lad jaate hain vo bhi kya log hain 'mohsin' jo vafa ki khatir khud-tarashida usulon pe bhi ad jaate hain ab ye sochun to bhanwar zehn mein pad jate hain kaise chehre hain jo milte hi bichhad jate hain kyun tere dard ko den tohmat-e-virani-e-dil zalzalon mein to bhare shahr ujad jate hain mausam-e-zard mein ek dil ko bachaun kaise aisi rut mein to ghane ped bhi jhad jate hain ab koi kya mere qadmon ke nishan dhundega tez aandhi mein to kheme bhi ukhad jate hain shaghl-e-arbab-e-hunar puchhte kya ho ki ye log pattharon mein bhi kabhi aaine jad jati hain soch ka aaina dhundla ho to phir waqt ke sath chand chehron ke khad-o-khal bigad jate hain shiddat-e-gham mein bhi zinda hun to hairat kaisi kuchh diye tund hawaon se bhi lad jate hain wo bhi kya log hain 'mohsin' jo wafa ki khatir khud-tarashida usulon pe bhi ad jate hain
شہ زور اپنے زور میں گرتا ہے مثل برق وہ طفل کیا گرے گا جو گھٹنوں کے بل چلے
ساحل کے سکوں سے کسے انکار ہے لیکن طوفان سے لڑنے میں مزا اور ہی کچھ ہے
واقف کہاں زمانہ ہماری اڑان سے وہ اور تھے جو ہار گئے آسمان سے
aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat
aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat dhalte dhalte ap-apni maut mar jaegi raat zindagi men aur bhi kuchh zahr bhar jaegi raat ab agar thahri rag-o-pai men utar jaegi raat jo bhi hain parvarda-e-shab jo bhi hain zulmat parast vo to jaenge usi janib jidhar jaegi raat ahl-e-tufan be-hisi ka gar yahi aalam raha mauj-e-khun ban kar har ik sar se guzar jaegi raat hai ufuq se ek sang-e-aftab aane ki der tuut kar manind-e-aina bikhar jaegi raat ham to jaane kab se hain avara-e-zulmat magar tum thahar jaao to pal bhar men guzar jaegi raat raat ka anjam bhi maalum hai mujh ko 'surur' laakh apni had se guzre ta-sahar jaegi raat aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat dhalte dhalte aap-apni maut mar jaegi raat zindagi mein aur bhi kuchh zahr bhar jaegi raat ab agar thahri rag-o-pai mein utar jaegi raat jo bhi hain parwarda-e-shab jo bhi hain zulmat parast wo to jaenge usi jaanib jidhar jaegi raat ahl-e-tufan be-hisi ka gar yahi aalam raha mauj-e-khun ban kar har ek sar se guzar jaegi raat hai ufuq se ek sang-e-aftab aane ki der tut kar manind-e-aina bikhar jaegi raat hum to jaane kab se hain aawara-e-zulmat magar tum thahar jao to pal bhar mein guzar jaegi raat raat ka anjam bhi malum hai mujh ko 'surur' lakh apni had se guzre ta-sahar jaegi raat
لوگ کہتے ہیں بدلتا ہے زمانہ سب کو مرد وہ ہیں جو زمانے کو بدل دیتے ہیں
نہیں تیرا نشیمن قصر سلطانی کے گنبد پر تو شاہیں ہے بسیرا کر پہاڑوں کی چٹانوں میں
dariya ho ya pahad ho takrana chahiye
dariya ho ya pahad ho takrana chahiye jab tak na saans tuute jiye jaana chahiye yuun to qadam qadam pe hai divar samne koi na ho to khud se ulajh jaana chahiye jhukti hui nazar ho ki simta hua badan har ras-bhari ghata ko baras jaana chahiye chaurahe baaghh buildingen sab shahr to nahin kuchh aise vaise logon se yarana chahiye apni talash apni nazar apna tajraba rasta ho chahe saaf bhatak jaana chahiye chup chup makan raste gum-sum nidhal vaqt is shahr ke liye koi divana chahiye bijli ka qumquma na ho kaala dhuan to ho ye bhi agar nahin ho to bujh jaana chahiye dariya ho ya pahad ho takrana chahiye jab tak na sans tute jiye jaana chahiye yun to qadam qadam pe hai diwar samne koi na ho to khud se ulajh jaana chahiye jhukti hui nazar ho ki simta hua badan har ras-bhari ghata ko baras jaana chahiye chaurahe bagh buildingen sab shahr to nahin kuchh aise waise logon se yarana chahiye apni talash apni nazar apna tajraba rasta ho chahe saf bhatak jaana chahiye chup chup makan raste gum-sum nidhaal waqt is shahr ke liye koi diwana chahiye bijli ka qumquma na ho kala dhuan to ho ye bhi agar nahin ho to bujh jaana chahiye
اپنا زمانہ آپ بناتے ہیں اہل دل ہم وہ نہیں کہ جن کو زمانہ بنا گیا
har ek ghar mein diya bhi jale anaj bhi ho
har ek ghar men diya bhi jale anaaj bhi ho agar na ho kahin aisa to ehtijaj bhi ho rahegi vaadon men kab tak asiir khush-hali har ek baar hi kal kyuun kabhi to aaj bhi ho na karte shor-sharaba to aur kya karte tumhare shahr men kuchh aur kam-kaj bhi ho hukumaton ko badalna to kuchh muhal nahin hukumaten jo badalta hai vo samaj bhi ho badal rahe hain kai aadmi darindon men maraz purana hai is ka naya ilaaj bhi ho akele ghham se nai shairi nahin hoti zaban-e-'mir' men 'ghhalib' ka imtizaj bhi ho har ek ghar mein diya bhi jale anaj bhi ho agar na ho kahin aisa to ehtijaj bhi ho rahegi wadon mein kab tak asir khush-haali har ek bar hi kal kyun kabhi to aaj bhi ho na karte shor-sharaba to aur kya karte tumhaare shahr mein kuchh aur kaam-kaj bhi ho hukumaton ko badalna to kuchh muhaal nahin hukumaten jo badalta hai wo samaj bhi ho badal rahe hain kai aadmi darindon mein maraz purana hai is ka naya ilaj bhi ho akele gham se nai shairi nahin hoti zaban-e-'mir' mein 'ghaalib' ka imtizaj bhi ho
دیکھ زنداں سے پرے رنگ چمن جوش بہار رقص کرنا ہے تو پھر پاؤں کی زنجیر نہ دیکھ
masti-e-rindana hum sairabi-e-mai-khana hum
masti-e-rindana ham sairabi-e-mai-khana ham gardish-e-taqdir se hain gardish-e-paimana ham khun-e-dil se chashm-e-tar tak chashm-e-tar se ta-ba-khak kar gae akhir gul-o-gulzar har virana ham kya bala jabr-e-asiri hai ki azadi men bhi dosh par apne liye phirte hain zindan-khana ham raah men faujon ke pahre sar pe talvaron ki chhanv aae hain zindan men bhi ba-shaukat-e-shahana ham mitte mitte de gae ham zindagi ko rang-o-nur rafta rafta ban gae is ahd ka afsana ham ya jaga dete hain zarron ke dilon men mai-kade ya bana lete hain mehr-o-mah ko paimana ham qaid ho kar aur bhi zindan men udta hai khayal raqs zanjiron men bhi karte hain azadana ham masti-e-rindana hum sairabi-e-mai-khana hum gardish-e-taqdir se hain gardish-e-paimana hum khun-e-dil se chashm-e-tar tak chashm-e-tar se ta-ba-khak kar gae aakhir gul-o-gulzar har virana hum kya bala jabr-e-asiri hai ki aazadi mein bhi dosh par apne liye phirte hain zindan-khana hum rah mein faujon ke pahre sar pe talwaron ki chhanw aae hain zindan mein bhi ba-shaukat-e-shahana hum mitte mitte de gae hum zindagi ko rang-o-nur rafta rafta ban gae is ahd ka afsana hum ya jaga dete hain zarron ke dilon mein mai-kade ya bana lete hain mehr-o-mah ko paimana hum qaid ho kar aur bhi zindan mein udta hai khayal raqs zanjiron mein bhi karte hain aazadana hum
تو شاہیں ہے پرواز ہے کام تیرا ترے سامنے آسماں اور بھی ہیں
safar mein dhup to hogi jo chal sako to chalo
safar men dhuup to hogi jo chal sako to chalo sabhi hain bhiid men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaste rahen kahan badalti hain tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo yahan kisi ko koi rasta nahin deta mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo kahin nahin koi suraj dhuan dhuan hai faza khud apne aap se bahar nikal sako to chalo yahi hai zindagi kuchh khvab chand ummiden inhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalo safar mein dhup to hogi jo chal sako to chalo sabhi hain bhid mein tum bhi nikal sako to chalo kisi ke waste rahen kahan badalti hain tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo yahan kisi ko koi rasta nahin deta mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo kahin nahin koi suraj dhuan dhuan hai faza khud apne aap se bahar nikal sako to chalo yahi hai zindagi kuchh khwab chand ummiden inhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalo
mere junun ka natija zarur niklega
mire junun ka natija zarur niklega isi siyah samundar se nuur niklega gira diya hai to sahil pe intizar na kar agar vo duub gaya hai to duur niklega usi ka shahr vahi muddai vahi munsif hamen yaqin tha hamara qusur niklega yaqin na aae to ik baat puchh kar dekho jo hans raha hai vo zakhmon se chuur niklega us astin se ashkon ko pochhne vaale us astin se khanjar zarur niklega mere junun ka natija zarur niklega isi siyah samundar se nur niklega gira diya hai to sahil pe intizar na kar agar wo dub gaya hai to dur niklega usi ka shahr wahi muddai wahi munsif hamein yaqin tha hamara qusur niklega yaqin na aae to ek baat puchh kar dekho jo hans raha hai wo zakhmon se chur niklega us aastin se ashkon ko pochhne wale us aastin se khanjar zarur niklega
ہزار برق گرے لاکھ آندھیاں اٹھیں وہ پھول کھل کے رہیں گے جو کھلنے والے ہیں
ہم کو مٹا سکے یہ زمانہ میں دم نہیں ہم سے زمانہ خود ہے زمانے سے ہم نہیں
hum karen baat dalilon se to rad hoti hai
ham karen baat dalilon se to rad hoti hai us ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai saans lete hue insan bhi hain lashon ki tarah ab dhadakte hue dil ki bhi lahad hoti hai jis ki gardan men hai phanda vahi insan bada suliyon se yahan paimaish-e-qad hoti hai shoabda-gar bhi pahante hain khatibon ka libas bolta jahl hai bad-nam khirad hoti hai kuchh na kahne se bhi chhin jaata hai ejaz-e-sukhan zulm sahne se bhi zalim ki madad hoti hai hum karen baat dalilon se to rad hoti hai us ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai sans lete hue insan bhi hain lashon ki tarah ab dhadakte hue dil ki bhi lahad hoti hai jis ki gardan mein hai phanda wahi insan bada suliyon se yahan paimaish-e-qad hoti hai shoabda-gar bhi pahante hain khatibon ka libas bolta jahl hai bad-nam khirad hoti hai kuchh na kahne se bhi chhin jata hai ejaz-e-sukhan zulm sahne se bhi zalim ki madad hoti hai
mitti mein mila de ki juda ho nahin sakta
mitti men mila de ki juda ho nahin sakta ab is se ziyada main tira ho nahin sakta dahliz pe rakh di hain kisi shakhs ne ankhen raushan kabhi itna to diya ho nahin sakta bas tu miri avaz se avaz mila de phir dekh ki is shahr men kya ho nahin sakta ai maut mujhe tu ne musibat se nikala sayyad samajhta tha riha ho nahin sakta is khak-e-badan ko kabhi pahuncha de vahan bhi kya itna karam bad-e-saba ho nahin sakta peshani ko sajde bhi ata kar mire maula ankhon se to ye qarz ada ho nahin sakta darbar men jaana mira dushvar bahut hai jo shakhs qalandar ho gada ho nahin sakta mitti mein mila de ki juda ho nahin sakta ab is se ziyaada main tera ho nahin sakta dahliz pe rakh di hain kisi shakhs ne aankhen raushan kabhi itna to diya ho nahin sakta bas tu meri aawaz se aawaz mila de phir dekh ki is shahr mein kya ho nahin sakta ai maut mujhe tu ne musibat se nikala sayyaad samajhta tha riha ho nahin sakta is khak-e-badan ko kabhi pahuncha de wahan bhi kya itna karam baad-e-saba ho nahin sakta peshani ko sajde bhi ata kar mere maula aankhon se to ye qarz ada ho nahin sakta darbar mein jaana mera dushwar bahut hai jo shakhs qalandar ho gada ho nahin sakta
وقت آنے دے دکھا دیں گے تجھے اے آسماں ہم ابھی سے کیوں بتائیں کیا ہمارے دل میں ہے
اب ہوائیں ہی کریں گی روشنی کا فیصلہ جس دئیے میں جان ہوگی وہ دیا رہ جائے گا
jala ke mishal-e-jaan hum junun-sifat chale
jala ke mishal-e-jan ham junun-sifat chale jo ghar ko aag lagae hamare saath chale dayar-e-sham nahin manzil-e-sahar bhi nahin ajab nagar hai yahan din chale na raat chale hamare lab na sahi vo dahan-e-zakhm sahi vahin pahunchti hai yaaro kahin se baat chale sutun-e-dar pe rakhte chalo saron ke charaghh jahan talak ye sitam ki siyah raat chale hua asiir koi ham-nava to duur talak ba-pas-e-tarz-e-nava ham bhi saath saath chale bacha ke laae ham ai yaar phir bhi naqd-e-vafa agarche lutte rahe rahzanon ke haath chale phir aai fasl ki manind barg-e-avara hamare naam gulon ke muraslat chale qatar-e-shisha hai ya karvan-e-ham-safaran khiram-e-jam hai ya jaise kaenat chale bhula hi baithe jab ahl-e-haram to ai 'majruh' baghhal men ham bhi liye ik sanam ka haath chale jala ke mishal-e-jaan hum junun-sifat chale jo ghar ko aag lagae hamare sath chale dayar-e-sham nahin manzil-e-sahar bhi nahin ajab nagar hai yahan din chale na raat chale hamare lab na sahi wo dahan-e-zakhm sahi wahin pahunchti hai yaro kahin se baat chale sutun-e-dar pe rakhte chalo saron ke charagh jahan talak ye sitam ki siyah raat chale hua asir koi ham-nawa to dur talak ba-pas-e-tarz-e-nawa hum bhi sath sath chale bacha ke lae hum ai yar phir bhi naqd-e-wafa agarche lutte rahe rahzanon ke hath chale phir aai fasl ki manind barg-e-awara hamare nam gulon ke muraslat chale qatar-e-shisha hai ya karwan-e-ham-safaran khiram-e-jam hai ya jaise kaenat chale bhula hi baithe jab ahl-e-haram to ai 'majruh' baghal mein hum bhi liye ek sanam ka hath chale
ab ye sochun to bhanwar zehn mein pad jate hain
ab ye sochun to bhanvar zehn men pad jaate hain kaise chehre hain jo milte hi bichhad jaate hain kyuun tire dard ko den tohmat-e-virani-e-dil zalzalon men to bhare shahr ujad jaate hain mausam-e-zard men ik dil ko bachaun kaise aisi rut men to ghane ped bhi jhad jaate hain ab koi kya mire qadmon ke nishan dhundega tez andhi men to kheme bhi ukhad jaate hain shaghhl-e-arbab-e-hunar puchhte kya ho ki ye log pattharon men bhi kabhi aaine jad jaati hain soch ka aaina dhundla ho to phir vaqt ke saath chand chehron ke khad-o-khal bigad jaate hain shiddat-e-ghham men bhi zinda huun to hairat kaisi kuchh diye tund havaon se bhi lad jaate hain vo bhi kya log hain 'mohsin' jo vafa ki khatir khud-tarashida usulon pe bhi ad jaate hain ab ye sochun to bhanwar zehn mein pad jate hain kaise chehre hain jo milte hi bichhad jate hain kyun tere dard ko den tohmat-e-virani-e-dil zalzalon mein to bhare shahr ujad jate hain mausam-e-zard mein ek dil ko bachaun kaise aisi rut mein to ghane ped bhi jhad jate hain ab koi kya mere qadmon ke nishan dhundega tez aandhi mein to kheme bhi ukhad jate hain shaghl-e-arbab-e-hunar puchhte kya ho ki ye log pattharon mein bhi kabhi aaine jad jati hain soch ka aaina dhundla ho to phir waqt ke sath chand chehron ke khad-o-khal bigad jate hain shiddat-e-gham mein bhi zinda hun to hairat kaisi kuchh diye tund hawaon se bhi lad jate hain wo bhi kya log hain 'mohsin' jo wafa ki khatir khud-tarashida usulon pe bhi ad jate hain
شہ زور اپنے زور میں گرتا ہے مثل برق وہ طفل کیا گرے گا جو گھٹنوں کے بل چلے
اپنا زمانہ آپ بناتے ہیں اہل دل ہم وہ نہیں کہ جن کو زمانہ بنا گیا
har ek ghar mein diya bhi jale anaj bhi ho
har ek ghar men diya bhi jale anaaj bhi ho agar na ho kahin aisa to ehtijaj bhi ho rahegi vaadon men kab tak asiir khush-hali har ek baar hi kal kyuun kabhi to aaj bhi ho na karte shor-sharaba to aur kya karte tumhare shahr men kuchh aur kam-kaj bhi ho hukumaton ko badalna to kuchh muhal nahin hukumaten jo badalta hai vo samaj bhi ho badal rahe hain kai aadmi darindon men maraz purana hai is ka naya ilaaj bhi ho akele ghham se nai shairi nahin hoti zaban-e-'mir' men 'ghhalib' ka imtizaj bhi ho har ek ghar mein diya bhi jale anaj bhi ho agar na ho kahin aisa to ehtijaj bhi ho rahegi wadon mein kab tak asir khush-haali har ek bar hi kal kyun kabhi to aaj bhi ho na karte shor-sharaba to aur kya karte tumhaare shahr mein kuchh aur kaam-kaj bhi ho hukumaton ko badalna to kuchh muhaal nahin hukumaten jo badalta hai wo samaj bhi ho badal rahe hain kai aadmi darindon mein maraz purana hai is ka naya ilaj bhi ho akele gham se nai shairi nahin hoti zaban-e-'mir' mein 'ghaalib' ka imtizaj bhi ho
tu samajhta hai hawadis hain satane ke liye
tu samajhta hai havadis hain satane ke liye ye hua karte hain zahir azmane ke liye tundi-e-bad-e-mukhalif se na ghabra ai uqaab ye to chalti hai tujhe uncha udane ke liye kamyabi ki hua karti hai nakami dalil ranj aate hain tujhe rahat dilane ke liye charkh-e-kaj-raftar hai phir mail-e-jaur-o-sitam bijliyan shahid hain khirman ko jalane ke liye nim-jan hai kis liye hal-e-khilafat dekh kar dhund le koi dava is ko bachane ke liye chain se rahne na de in ko na khud aram kar mustaid hain jo khilafat ko mitane ke liye dast-o-pa rakhte hain aur be-kar kyon baithe rahen ham uthenge apni qismat ko banane ke liye tu samajhta hai hawadis hain satane ke liye ye hua karte hain zahir aazmane ke liye tundi-e-baad-e-mukhalif se na ghabra ai uqab ye to chalti hai tujhe uncha udane ke liye kaamyabi ki hua karti hai nakaami dalil ranj aate hain tujhe rahat dilane ke liye charkh-e-kaj-raftar hai phir mail-e-jaur-o-sitam bijliyan shahid hain khirman ko jalane ke liye nim-jaan hai kis liye haal-e-khilafat dekh kar dhund le koi dawa is ko bachane ke liye chain se rahne na de in ko na khud aaram kar mustaid hain jo khilafat ko mitane ke liye dast-o-pa rakhte hain aur be-kar kyon baithe rahen hum uthenge apni qismat ko banane ke liye
واقف کہاں زمانہ ہماری اڑان سے وہ اور تھے جو ہار گئے آسمان سے
دیکھ زنداں سے پرے رنگ چمن جوش بہار رقص کرنا ہے تو پھر پاؤں کی زنجیر نہ دیکھ
masti-e-rindana hum sairabi-e-mai-khana hum
masti-e-rindana ham sairabi-e-mai-khana ham gardish-e-taqdir se hain gardish-e-paimana ham khun-e-dil se chashm-e-tar tak chashm-e-tar se ta-ba-khak kar gae akhir gul-o-gulzar har virana ham kya bala jabr-e-asiri hai ki azadi men bhi dosh par apne liye phirte hain zindan-khana ham raah men faujon ke pahre sar pe talvaron ki chhanv aae hain zindan men bhi ba-shaukat-e-shahana ham mitte mitte de gae ham zindagi ko rang-o-nur rafta rafta ban gae is ahd ka afsana ham ya jaga dete hain zarron ke dilon men mai-kade ya bana lete hain mehr-o-mah ko paimana ham qaid ho kar aur bhi zindan men udta hai khayal raqs zanjiron men bhi karte hain azadana ham masti-e-rindana hum sairabi-e-mai-khana hum gardish-e-taqdir se hain gardish-e-paimana hum khun-e-dil se chashm-e-tar tak chashm-e-tar se ta-ba-khak kar gae aakhir gul-o-gulzar har virana hum kya bala jabr-e-asiri hai ki aazadi mein bhi dosh par apne liye phirte hain zindan-khana hum rah mein faujon ke pahre sar pe talwaron ki chhanw aae hain zindan mein bhi ba-shaukat-e-shahana hum mitte mitte de gae hum zindagi ko rang-o-nur rafta rafta ban gae is ahd ka afsana hum ya jaga dete hain zarron ke dilon mein mai-kade ya bana lete hain mehr-o-mah ko paimana hum qaid ho kar aur bhi zindan mein udta hai khayal raqs zanjiron mein bhi karte hain aazadana hum
aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat
aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat dhalte dhalte ap-apni maut mar jaegi raat zindagi men aur bhi kuchh zahr bhar jaegi raat ab agar thahri rag-o-pai men utar jaegi raat jo bhi hain parvarda-e-shab jo bhi hain zulmat parast vo to jaenge usi janib jidhar jaegi raat ahl-e-tufan be-hisi ka gar yahi aalam raha mauj-e-khun ban kar har ik sar se guzar jaegi raat hai ufuq se ek sang-e-aftab aane ki der tuut kar manind-e-aina bikhar jaegi raat ham to jaane kab se hain avara-e-zulmat magar tum thahar jaao to pal bhar men guzar jaegi raat raat ka anjam bhi maalum hai mujh ko 'surur' laakh apni had se guzre ta-sahar jaegi raat aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat dhalte dhalte aap-apni maut mar jaegi raat zindagi mein aur bhi kuchh zahr bhar jaegi raat ab agar thahri rag-o-pai mein utar jaegi raat jo bhi hain parwarda-e-shab jo bhi hain zulmat parast wo to jaenge usi jaanib jidhar jaegi raat ahl-e-tufan be-hisi ka gar yahi aalam raha mauj-e-khun ban kar har ek sar se guzar jaegi raat hai ufuq se ek sang-e-aftab aane ki der tut kar manind-e-aina bikhar jaegi raat hum to jaane kab se hain aawara-e-zulmat magar tum thahar jao to pal bhar mein guzar jaegi raat raat ka anjam bhi malum hai mujh ko 'surur' lakh apni had se guzre ta-sahar jaegi raat
لوگ کہتے ہیں بدلتا ہے زمانہ سب کو مرد وہ ہیں جو زمانے کو بدل دیتے ہیں
Explore Similar Collections
Hausla FAQs
Hausla collection me kya milega?
Hausla se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.