kuchh faede bhi hote hain ujde makan ke
kuchh faede bhi hote hain ujde makan ke
alfaz is men gunjte hain raftagan ke
ai chand is men teri bhi sazish zarur hai
taare kidhar gae hain mire asman ke
ud jaega yaqin ke pinjre ko tod kar
thode se par nikalne do vahm-o-guman ke
ghhazlen miri bacha lo bure vaqt ke liye
alfaz bech dalna mujh be-zaban ke
karbal ki ret dekh ke itne the mutmain
jaise ki muntazir hon isi imtihan ke
ik baar mere lafzon ko padh kar zaban se
kirdar zinda kar do miri dastan ke
itna asar to rakhti hai maan ki du'a 'ali'
dekhe hain main ne khulte kivad asman ke
kuchh faede bhi hote hain ujde makan ke
alfaz is mein gunjte hain raftagan ke
ai chand is mein teri bhi sazish zarur hai
tare kidhar gae hain mere aasman ke
ud jaega yaqin ke pinjre ko tod kar
thode se par nikalne do wahm-o-guman ke
ghazlen meri bacha lo bure waqt ke liye
alfaz bech dalna mujh be-zaban ke
karbal ki ret dekh ke itne the mutmain
jaise ki muntazir hon isi imtihan ke
ek bar mere lafzon ko padh kar zaban se
kirdar zinda kar do meri dastan ke
itna asar to rakhti hai man ki du'a 'ali'
dekhe hain main ne khulte kiwad aasman ke
us ki bhi meri tarah thi ek apni kahani
us ko bhi nibhana pada kirdar mujhe bhi
sadaqat ka jo paighambar raha hai
sadaqat ka jo paighhambar raha hai
vo ab sach bolne se dar raha hai
kahani ho rahi hai khatm shayad
koi kirdar mujh men mar raha hai
zara si der ko andhi ruki hai
parinda phir udanen bhar raha hai
mire ahbab kho jaenge ik din
mujhe ye vahm sa aksar raha hai
lagi hai raushni ki shart shab se
sitara jugnuon se dar raha hai
sadaqat ka jo paighambar raha hai
wo ab sach bolne se dar raha hai
kahani ho rahi hai khatm shayad
koi kirdar mujh mein mar raha hai
zara si der ko aandhi ruki hai
parinda phir udanen bhar raha hai
mere ahbab kho jaenge ek din
mujhe ye wahm sa aksar raha hai
lagi hai raushni ki shart shab se
sitara jugnuon se dar raha hai
main agar khud ko mar dalun to
kya bachega teri kahani mein
kisi bhi hashr se mahrum hi raha wo bhi
meri tarah ka jo kirdar tha kahani mein
aawaz hum uthaenge kirdar dekh kar
avaz ham uthaenge kirdar dekh kar
darte nahin hain haath men talvar dekh kar
kuchh to bataen jin ko hukumat pe naaz hai
kya bolna hai kucha-o-bazar dekh kar
aae the mere qatl ko taiyyariyon ke saath
teghhen palat gaiin mujhe tayyar dekh kar
karne lage qalam yahan dar ki ghhulamiyan
boli lagi zaban ki kharidar dekh kar
manzil qarib ho ke bhi lagta hai duur hai
thakne lage hain paaon chaman-zar dekh kar
rakhte the ham khilaune yahin titliyon ke biich
ghar yaad aa gaya dar-o-divar dekh kar
'razi' se ham-kalam to aksar hue magar
ham guftugu karen unhen ik baar dekh kar
aawaz hum uthaenge kirdar dekh kar
darte nahin hain hath mein talwar dekh kar
kuchh to bataen jin ko hukumat pe naz hai
kya bolna hai kucha-o-bazar dekh kar
aae the mere qatl ko taiyyariyon ke sath
teghen palat gain mujhe tayyar dekh kar
karne lage qalam yahan dar ki ghulamiyan
boli lagi zaban ki kharidar dekh kar
manzil qarib ho ke bhi lagta hai dur hai
thakne lage hain paon chaman-zar dekh kar
rakhte the hum khilaune yahin titliyon ke bich
ghar yaad aa gaya dar-o-diwar dekh kar
'raazi' se ham-kalam to aksar hue magar
hum guftugu karen unhen ek bar dekh kar
nazar badal ke hamari jaanib jab usne dekha to log samjhe
nazar badal ke hamari janib jab us ne dekha to log samjhe
mohabbaton ka hasin rishta jo pal men tuuta to log samjhe
jahalaton ka dil-o-nazar se ghhubar utra to log samjhe
ki hain qayamat ke ye nazare zamir jaaga to log samjhe
samajh rahe the ki main samundar ki tez maujon men bah raha huun
ki sath-e-sahil pe der tak bhi jo main na ubhra to log samjhe
kisi ko pahle khabar nahin thi ki rishta kaisa hai mera us se
vo mere pahlu men jab achanak hi aa ke baitha to log samjhe
kahan pata tha kisi ko kuchh bhi ki kaisa kirdar hai hamara
jab apne andar ki khamiyon ko hamin ne samjha to log samjhe
samajh na paaya koi bhi 'najmi' jo baat narmi se ki hai main ne
buland avaz apni kar ke main jab bhi bola to log samjhe
nazar badal ke hamari jaanib jab us ne dekha to log samjhe
mohabbaton ka hasin rishta jo pal mein tuta to log samjhe
jahaalaton ka dil-o-nazar se ghubar utra to log samjhe
ki hain qayamat ke ye nazare zamir jaga to log samjhe
samajh rahe the ki main samundar ki tez maujon mein bah raha hun
ki sath-e-sahil pe der tak bhi jo main na ubhra to log samjhe
kisi ko pahle khabar nahin thi ki rishta kaisa hai mera us se
wo mere pahlu mein jab achanak hi aa ke baitha to log samjhe
kahan pata tha kisi ko kuchh bhi ki kaisa kirdar hai hamara
jab apne andar ki khamiyon ko hamin ne samjha to log samjhe
samajh na paya koi bhi 'najmi' jo baat narmi se ki hai main ne
buland aawaz apni kar ke main jab bhi bola to log samjhe
hum pe ye raaz khula bhi to bahut der ke ba'd
asl kirdar kahani mein kisi aur ka hai
alfaz ki taswir bahut rang bhari hai
alfaz ki tasvir bahut rang bhari hai
mafhum ke paikar men 'ajab jalva-gari hai
ankhen jo khuli hain to mila dars-e-haqiqi
nai khvab ki duniya hai na vo be-khabari hai
bech aae hain kirdar bhi daulat ke 'evaz men
is shahr men alfaz ki kya sauda-gari hai
ik 'umr hui aaj bhi guldasta-e-dil ke
sukhe hue patton ki koi shakh hari hai
kaafi hai junun hakim-e-dauran ke muqabil
kaghhaz hai qalam hai miri ashufta-sari hai
raushan bhi nazar aae to suraj ki chamak se
vo chand ki basti jo sitaron se bhari hai
tuuta hua dalan hai dar hai na dariche
mashhur magar aaj bhi vo bara-dari hai
ghar 'alam-e-arvah hai duniya ho ki jannat
'razi' badi dil-chasp tiri dar-badari hai
alfaz ki taswir bahut rang bhari hai
mafhum ke paikar mein 'ajab jalwa-gari hai
aankhen jo khuli hain to mila dars-e-haqiqi
nai khwab ki duniya hai na wo be-khabari hai
bech aae hain kirdar bhi daulat ke 'ewaz mein
is shahr mein alfaz ki kya sauda-gari hai
ek 'umr hui aaj bhi guldasta-e-dil ke
sukhe hue patton ki koi shakh hari hai
kafi hai junun hakim-e-dauran ke muqabil
kaghaz hai qalam hai meri aashufta-sari hai
raushan bhi nazar aae to suraj ki chamak se
wo chand ki basti jo sitaron se bhari hai
tuta hua dalan hai dar hai na dariche
mashhur magar aaj bhi wo bara-dari hai
ghar 'alam-e-arwah hai duniya ho ki jannat
'raazi' badi dil-chasp teri dar-badari hai
daur-e-hazir mein bhi qissa wahi inkar ka hai
daur-e-hazir men bhi qissa vahi inkar ka hai
ye jo jhagda hai saron ka nahin dastar ka hai
laakh dikhlate rahe jauhar-e-afkar-o-hunar
tazkira bazm men fan ka nahin fankar ka hai
'umr bhar ke liye jo dil men utar jaata hai
rukh-e-raushan ka nahin husn vo kirdar ka hai
kis ki takhliq hai kaisi hai kahin naam nahin
zikr mahfil men har ik samt adakar ka hai
dhuup se nafs ki bachne ke liye kaafi hai
mere angan men jo saaya tiri divar ka hai
daur-e-hazir mein bhi qissa wahi inkar ka hai
ye jo jhagda hai saron ka nahin dastar ka hai
lakh dikhlate rahe jauhar-e-afkar-o-hunar
tazkira bazm mein fan ka nahin fankar ka hai
'umr bhar ke liye jo dil mein utar jata hai
rukh-e-raushan ka nahin husn wo kirdar ka hai
kis ki takhliq hai kaisi hai kahin nam nahin
zikr mahfil mein har ek samt adakar ka hai
dhup se nafs ki bachne ke liye kafi hai
mere aangan mein jo saya teri diwar ka hai
You have reached the end.