hangama hai kyun barpa thodi si jo pi li hai
hangama hai kyuun barpa thodi si jo pi li hai
daaka to nahin maara chori to nahin ki hai
barely have i sipped a bit, why should this uproar be
it's not that i've commited theft or daylight robbery
na-tajraba-kari se vaaiz ki ye hain baten
is rang ko kya jaane puchho to kabhi pi hai
the preachers prattle can be to inexerience ascribed
how does he know the joys thereof, has he ever imbibed
us mai se nahin matlab dil jis se hai begana
maqsud hai us mai se dil hi men jo khinchti hai
that wine is of little use which causes loss of sense
i seek the wine that imbues the heart with love intense
ai shauq vahi mai pi ai hosh zara so ja
mehman-e-nazar is dam ik barq-e-tajalli hai
her heart wishes to torture, mine wants to tolerate
a strange heart she possesses, an odd one i do rate
vaan dil men ki sadme do yaan ji men ki sab sah lo
un ka bhi ajab dil hai mera bhi ajab ji hai
each speck does glitter with heavens brilliant glare
each breath proclaims if i, exist god too is there
har zarra chamakta hai anvar-e-ilahi se
har saans ye kahti hai ham hain to khuda bhi hai
stains besmirch the sun, it's nature's miracle
idols call me a heretic, it too must be god's will
suraj men lage dhabba fitrat ke karishme hain
but ham ko kahen kafir allah ki marzi hai
taalim ka shor aisa tahzib ka ghhul itna
barkat jo nahin hoti niyyat ki kharabi hai
sach kahte hain shaikh 'akbar' hai taat-e-haq lazim
haan tark-e-mai-o-shahid ye un ki buzurgi hai
hangama hai kyun barpa thodi si jo pi li hai
daka to nahin mara chori to nahin ki hai
barely have i sipped a bit, why should this uproar be
it's not that i've commited theft or daylight robbery
na-tajraba-kari se waiz ki ye hain baaten
is rang ko kya jaane puchho to kabhi pi hai
the preachers prattle can be to inexerience ascribed
how does he know the joys thereof, has he ever imbibed
us mai se nahin matlab dil jis se hai begana
maqsud hai us mai se dil hi mein jo khinchti hai
that wine is of little use which causes loss of sense
i seek the wine that imbues the heart with love intense
ai shauq wahi mai pi ai hosh zara so ja
mehman-e-nazar is dam ek barq-e-tajalli hai
her heart wishes to torture, mine wants to tolerate
a strange heart she possesses, an odd one i do rate
wan dil mein ki sadme do yan ji mein ki sab sah lo
un ka bhi ajab dil hai mera bhi ajab ji hai
each speck does glitter with heavens brilliant glare
each breath proclaims if i, exist god too is there
har zarra chamakta hai anwar-e-ilahi se
har sans ye kahti hai hum hain to khuda bhi hai
stains besmirch the sun, it's nature's miracle
idols call me a heretic, it too must be god's will
suraj mein lage dhabba fitrat ke karishme hain
but hum ko kahen kafir allah ki marzi hai
talim ka shor aisa tahzib ka ghul itna
barkat jo nahin hoti niyyat ki kharabi hai
sach kahte hain shaikh 'akbar' hai taat-e-haq lazim
han tark-e-mai-o-shahid ye un ki buzurgi hai
main talkhi-e-hayat se ghabra ke pi gaya
main talkhi-e-hayat se ghabra ke pi gaya
ghham ki siyah raat se ghabra ke pi gaya
itni daqiq shai koi kaise samajh sake
yazdan ke vaqiat se ghabra ke pi gaya
chhalke hue the jaam pareshan thi zulf-e-yar
kuchh aise hadsat se ghabra ke pi gaya
main aadmi huun koi farishta nahin huzur
main aaj apni zaat se ghabra ke pi gaya
duniya-e-hadsat hai ik dardnak giit
duniya-e-hadsat se ghabra ke pi gaya
kante to khair kante hain is ka gila hi kya
phulon ki vardat se ghabra ke pi gaya
'saghhar' vo kah rahe the ki pi lijiye huzur
un ki guzarishat se ghabra ke pi gaya
main talkhi-e-hayat se ghabra ke pi gaya
gham ki siyah raat se ghabra ke pi gaya
itni daqiq shai koi kaise samajh sake
yazdan ke waqiat se ghabra ke pi gaya
chhalke hue the jam pareshan thi zulf-e-yar
kuchh aise hadsat se ghabra ke pi gaya
main aadmi hun koi farishta nahin huzur
main aaj apni zat se ghabra ke pi gaya
duniya-e-hadsat hai ek dardnak git
duniya-e-hadsat se ghabra ke pi gaya
kante to khair kante hain is ka gila hi kya
phulon ki wardat se ghabra ke pi gaya
'saghar' wo kah rahe the ki pi lijiye huzur
un ki guzarishat se ghabra ke pi gaya
kab thahrega dard ai dil kab raat basar hogi
kab thahrega dard ai dil kab raat basar hogi
sunte the vo aenge sunte the sahar hogi
kab jaan lahu hogi kab ashk guhar hoga
kis din tiri shunvai ai dida-e-tar hogi
kab mahkegi fasl-e-gul kab bahkega mai-khana
kab subh-e-sukhan hogi kab sham-e-nazar hogi
vaaiz hai na zahid hai naseh hai na qatil hai
ab shahr men yaron ki kis tarah basar hogi
kab tak abhi rah dekhen ai qamat-e-janana
kab hashr muayyan hai tujh ko to khabar hogi
kab thahrega dard ai dil kab raat basar hogi
sunte the wo aaenge sunte the sahar hogi
kab jaan lahu hogi kab ashk guhar hoga
kis din teri shunwai ai dida-e-tar hogi
kab mahkegi fasl-e-gul kab bahkega mai-khana
kab subh-e-sukhan hogi kab sham-e-nazar hogi
waiz hai na zahid hai naseh hai na qatil hai
ab shahr mein yaron ki kis tarah basar hogi
kab tak abhi rah dekhen ai qamat-e-jaanana
kab hashr muayyan hai tujh ko to khabar hogi
khaali hai abhi jam main kuchh soch raha hun
khali hai abhi jaam main kuchh soch raha huun
ai gardish-e-ayyam main kuchh soch raha huun
saaqi tujhe ik thodi si taklif to hogi
saghhar ko zara thaam main kuchh soch raha huun
pahle badi raghhbat thi tire naam se mujh ko
ab sun ke tira naam main kuchh soch raha huun
idrak abhi puura taavun nahin karta
dai bada-e-gulfam main kuchh soch raha huun
hal kuchh to nikal aaega halat ki zid ka
ai kasrat-e-alam main kuchh soch raha huun
phir aaj 'adam' shaam se ghhamgin hai tabiat
phir aaj sar-e-sham main kuchh soch raha huun
khali hai abhi jam main kuchh soch raha hun
ai gardish-e-ayyam main kuchh soch raha hun
saqi tujhe ek thodi si taklif to hogi
saghar ko zara tham main kuchh soch raha hun
pahle badi raghbat thi tere nam se mujh ko
ab sun ke tera nam main kuchh soch raha hun
idrak abhi pura taawun nahin karta
dai baada-e-gulfam main kuchh soch raha hun
hal kuchh to nikal aaega haalat ki zid ka
ai kasrat-e-alam main kuchh soch raha hun
phir aaj 'adam' sham se ghamgin hai tabiat
phir aaj sar-e-sham main kuchh soch raha hun
lahra ke jhum jhum ke la muskura ke la
lahra ke jhuum jhuum ke la muskura ke la
phulon ke ras men chand ki kirnen mila ke la
kahte hain umr-e-rafta kabhi lautti nahin
ja mai-kade se meri javani utha ke la
saghhar-shikan hai shaikh-e-bala-nosh ki nazar
shishe ko zer-e-daman-e-rangin chhupa ke la
kyuun ja rahi hai ruuth ke rangini-e-bahar
ja ek martaba use phir varghhala ke la
dekhi nahin hai tu ne kabhi zindagi ki lahr
achchha to ja 'adam' ki surahi utha ke la
lahra ke jhum jhum ke la muskura ke la
phulon ke ras mein chand ki kirnen mila ke la
kahte hain umr-e-rafta kabhi lautti nahin
ja mai-kade se meri jawani utha ke la
saghar-shikan hai shaikh-e-bala-nosh ki nazar
shishe ko zer-e-daman-e-rangin chhupa ke la
kyun ja rahi hai ruth ke rangini-e-bahaar
ja ek martaba use phir warghala ke la
dekhi nahin hai tu ne kabhi zindagi ki lahr
achchha to ja 'adam' ki surahi utha ke la
kal humne bazm-e-yar mein kya kya sharab pi
kal ham ne bazm-e-yar men kya kya sharab pi
sahra ki tishnagi thi so dariya sharab pi
apnon ne taj diya hai to ghhairon men ja ke baith
ai khanuman-kharab na tanha sharab pi
tu ham-safar nahin hai to kya sair-e-gulsitan
to ham-subu nahin hai to phir kya sharab pi
ai dil-girafta-e-ghham-e-janan subu utha
ai kushta-e-jafa-e-zamana sharab pi
ik mehrban buzurg ne ye mashvara diya
dukh ka koi 'ilaj nahin ja sharab pi
badal garaj raha tha idhar mohtasib udhar
phir jab talak ye uqda na suljha sharab pi
ai tu ki tere dar pe hain rindon ke jamghate
ik roz us faqir ke ghar aa sharab pi
do jaam un ke naam bhi ai pir-e-mai-kada
jin raftagan ke saath hamesha sharab pi
kal ham se apna yaar khafa ho gaya 'faraz'
shayad ki ham ne had se ziyada sharab pi
kal hum ne bazm-e-yar mein kya kya sharab pi
sahra ki tishnagi thi so dariya sharab pi
apnon ne taj diya hai to ghairon mein ja ke baith
ai khanuman-kharab na tanha sharab pi
tu ham-safar nahin hai to kya sair-e-gulsitan
to ham-subu nahin hai to phir kya sharab pi
ai dil-girafta-e-gham-e-jaanan subu utha
ai kushta-e-jafa-e-zamana sharab pi
ek mehrban buzurg ne ye mashwara diya
dukh ka koi 'ilaj nahin ja sharab pi
baadal garaj raha tha idhar mohtasib udhar
phir jab talak ye uqda na suljha sharab pi
ai tu ki tere dar pe hain rindon ke jamghate
ek roz us faqir ke ghar aa sharab pi
do jam un ke nam bhi ai pir-e-mai-kada
jin raftagan ke sath hamesha sharab pi
kal hum se apna yar khafa ho gaya 'faraaz'
shayad ki hum ne had se ziyaada sharab pi
taron se mera jam bharo main nashe mein hun
taron se mera jaam bharo main nashe men huun
ai sakinan-e-khuld suno main nashe men huun
kuchh phuul khil rahe hain sar-e-shakh-e-mai-kada
tum hi zara ye phuul chuno main nashe men huun
thahro abhi to subh ka maara hai zau-fishan
dekho mujhe fareb na do main nashe men huun
nashsha to maut hai ghham-e-hasti ki dhuup men
bikhra ke zulf saath chalo main nashe men huun
mela yuun hi rahe ye sar-e-rahguzar-e-zist
ab jaam samne hi rakho main nashe men huun
paael chhanak rahi hai nigar-e-khayal ki
kuchh ehtimam-e-raqs karo main nashe men huun
main dagmaga raha huun bayaban-e-hosh men
mere abhi qarib raho main nashe men huun
hai sirf ik tabassum-e-rangin bahut mujhe
'saghhar' ba-dosh lala-rukho main nashe men huun
taron se mera jam bharo main nashe mein hun
ai sakinan-e-khuld suno main nashe mein hun
kuchh phul khil rahe hain sar-e-shakh-e-mai-kada
tum hi zara ye phul chuno main nashe mein hun
thahro abhi to subh ka mara hai zau-fishan
dekho mujhe fareb na do main nashe mein hun
nashsha to maut hai gham-e-hasti ki dhup mein
bikhra ke zulf sath chalo main nashe mein hun
mela yun hi rahe ye sar-e-rahguzar-e-zist
ab jam samne hi rakho main nashe mein hun
pael chhanak rahi hai nigar-e-khayal ki
kuchh ehtimam-e-raqs karo main nashe mein hun
main dagmaga raha hun bayaban-e-hosh mein
mere abhi qarib raho main nashe mein hun
hai sirf ek tabassum-e-rangin bahut mujhe
'saghar' ba-dosh lala-rukho main nashe mein hun
man mausam ka kaha chhai ghata jam utha
maan mausam ka kaha chhai ghata jaam utha
aag se aag bujha phuul khila jaam utha
pi mire yaar tujhe apni qasam deta huun
bhuul ja shikva gila haath mila jaam utha
haath men chand jahan aaya muqaddar chamka
sab badal jaega qismat ka likha jaam utha
ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa
der kya karna yahan haath badha jaam utha
pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahan
mai-kade men koi chhota na bada jaam utha
man mausam ka kaha chhai ghata jam utha
aag se aag bujha phul khila jam utha
pi mere yar tujhe apni qasam deta hun
bhul ja shikwa gila hath mila jam utha
hath mein chand jahan aaya muqaddar chamka
sab badal jaega qismat ka likha jam utha
ek pal bhi kabhi ho jata hai sadiyon jaisa
der kya karna yahan hath badha jam utha
pyar hi pyar hai sab log barabar hain yahan
mai-kade mein koi chhota na bada jam utha
tauba ki nazishon pe sitam dha ke pi gaya
tauba ki nazishon pe sitam dha ke pi gaya
''pi''! us ne jab kaha to main ghabra ke pi gaya
dil hi to hai uthae kahan tak ghham-o-alam
main roz ke malal se ukta ke pi gaya
thiin laakh garche mahshar o marqad ki uljhanen
gutthi ko zabt-e-shauq ki suljha ke pi gaya
mai-khana-e-bahar men muddat ka tishna-lab
saaqi khata-muaf! khata kha ke pi gaya
niyyat nahin kharab na aadi huun ai nadim!
''alam-e-rozgar se tang aa ke pi gaya''!
saaqi ke husn-e-dida-e-mai-gun ke samne
main jalva-e-bahisht ko thukra ke pi gaya
uttha jo abr dil ki umangen chamak uthin
lahrain bijliyan to main lahra ke pi gaya
dil kuchh subut-e-hifz-e-shariat na de saka
saaqi ke lutf-e-khas pe itra ke pi gaya
tauba ki nazishon pe sitam dha ke pi gaya
pi! us ne jab kaha to main ghabra ke pi gaya
dil hi to hai uthae kahan tak gham-o-alam
main roz ke malal se ukta ke pi gaya
thin lakh garche mahshar o marqad ki uljhanen
gutthi ko zabt-e-shauq ki suljha ke pi gaya
mai-khana-e-bahaar mein muddat ka tishna-lab
saqi khata-muaf! khata kha ke pi gaya
niyyat nahin kharab na aadi hun ai nadim!
aalam-e-rozgar se tang aa ke pi gaya!
saqi ke husn-e-dida-e-mai-gun ke samne
main jalwa-e-bahisht ko thukra ke pi gaya
uttha jo abr dil ki umangen chamak uthin
lahrain bijliyan to main lahra ke pi gaya
dil kuchh subut-e-hifz-e-shariat na de saka
saqi ke lutf-e-khas pe itra ke pi gaya
raqs karta hun jam pita hun
raqs karta huun jaam piita huun
aam milti hai aam piita huun
jhuut main ne kabhi nahin bola
zahidan-e-kiram piita huun
rukh hai pur-nur to taajjub kya
bada-e-lala-fam piita huun
itni tezi bhi kya pilane men
abgine ko thaam piita huun
kaam bhi ik namaz hai meri
khatm karte hi kaam piita huun
tere hathon se kis ko milti hai?
mere mah-e-tamam piita huun
zindagi ka safar hi aisa hai
dam-ba-dam gaam gaam piita huun
mujh ko mai se badi mohabbat hai
main ba-sad-ehtiram piita huun
mai mire hont chuum leti hai
le ke jab tera naam piita huun
shaikh o mufti 'adam' jab aa jaaen
ban ke un ka imaam piita huun
raqs karta hun jam pita hun
aam milti hai aam pita hun
jhut main ne kabhi nahin bola
zahidan-e-kiram pita hun
rukh hai pur-nur to tajjub kya
baada-e-lala-fam pita hun
itni tezi bhi kya pilane mein
aabgine ko tham pita hun
kaam bhi ek namaz hai meri
khatm karte hi kaam pita hun
tere hathon se kis ko milti hai?
mere mah-e-tamam pita hun
zindagi ka safar hi aisa hai
dam-ba-dam gam gam pita hun
mujh ko mai se badi mohabbat hai
main ba-sad-ehtiram pita hun
mai mere hont chum leti hai
le ke jab tera nam pita hun
shaikh o mufti 'adam' jab aa jaen
ban ke un ka imam pita hun
jawan hai raat saqiya sharab la sharab la
javan hai raat saqiya sharab la sharab la
zara si pyaas to bujha sharab la sharab la
tire shabab par sada karam rahe bahar ka
tujhe lage miri dua sharab la sharab la
yahan koi na ji saka na ji sakega hosh men
mita de naam hosh ka sharab la sharab la
tira bada hi shukriya pilae ja pilae ja
na zikr kar hisab ka sharab la sharab la
jawan hai raat saqiya sharab la sharab la
zara si pyas to bujha sharab la sharab la
tere shabab par sada karam rahe bahaar ka
tujhe lage meri dua sharab la sharab la
yahan koi na ji saka na ji sakega hosh mein
mita de nam hosh ka sharab la sharab la
tera bada hi shukriya pilae ja pilae ja
na zikr kar hisab ka sharab la sharab la
aaftab aae chamak kar jo sar-e-jam-e-sharab
aftab aae chamak kar jo sar-e-jam-e-sharab
rind samjhen ki hai sadiq sahar-e-jam-e-sharab
sab ke hathon pe tha shab-bhar safar-e-jam-e-sharab
har khat-e-dast bana rah-guzar-e-jam-e-sharab
dukhtar-e-raz pe giren mast patangon ki tarah
sham-e-mahfil ho ye lakht-e-jigar-e-jam-e-sharab
thaam le dast-e-subu aae jo chalne men lachak
khat-e-baghhdad ho mu-e-kamar-e-jam-e-sharab
tur-e-sina ka guman ho khum-e-mai par sab ko
is tarah hosh udaao asar-e-jam-e-sharab
saghhar-e-mai men nahin partav-e-khal-e-saqi
hai kaf-e-dukhtar-e-raz men sipar-e-jam-e-sharab
khaak mai-khane ki ban jaati qayamat pis kar
har qadam par jo lachakti kamar-e-jam-e-sharab
aaj mai-noshon ka majmaa hai kahan ai saaqi
kaun si bazm men hai shor-o-shar-e-jam-e-sharab
jitne mai-khvar hain saaqi se gale milte hain
sahar-e-id bani hai khabar-e-jam-e-sharab
shisha-e-mai se uda kaag kabutar ki tarah
naama pahunchane chala nama-bar-e-jam-e-sharab
mauj-e-sahba pe gira sapna-e-mina ud kar
hai mire samne teghh-o-sipar-e-jam-e-sharab
mai pilata hai agar dhanp le siina saaqi
tere joban ko lagegi nazar-e-jam-e-sharab
aftab aa ke sikhata hai chalan shab-bhar ka
raat ko hota hai aksar guzar-e-jam-e-sharab
dast-e-saqi men rahe dast-e-qadah-kash men rahe
gardan-e-shisha-e-sahba kamar-e-jam-e-sharab
mast karte hain do-alam ko yahi do khud-mast
lazzat-e-naghhma-e-mutrib asar-e-jam-e-sharab
kya ghhazab hai ki tira honth na chuse 'mail'
aur ho tere labon tak guzar-e-jam-e-sharab
aaftab aae chamak kar jo sar-e-jam-e-sharab
rind samjhen ki hai sadiq sahar-e-jam-e-sharab
sab ke hathon pe tha shab-bhar safar-e-jam-e-sharab
har khat-e-dast bana rah-guzar-e-jam-e-sharab
dukhtar-e-raz pe giren mast patangon ki tarah
sham-e-mahfil ho ye lakht-e-jigar-e-jam-e-sharab
tham le dast-e-subu aae jo chalne mein lachak
khat-e-baghdad ho mu-e-kamar-e-jam-e-sharab
tur-e-sina ka guman ho khum-e-mai par sab ko
is tarah hosh udao asar-e-jam-e-sharab
saghar-e-mai mein nahin partaw-e-khal-e-saqi
hai kaf-e-dukhtar-e-raz mein sipar-e-jam-e-sharab
khak mai-khane ki ban jati qayamat pis kar
har qadam par jo lachakti kamar-e-jam-e-sharab
aaj mai-noshon ka majma hai kahan ai saqi
kaun si bazm mein hai shor-o-shar-e-jam-e-sharab
jitne mai-khwar hain saqi se gale milte hain
sahar-e-id bani hai khabar-e-jam-e-sharab
shisha-e-mai se uda kag kabutar ki tarah
nama pahunchane chala nama-bar-e-jam-e-sharab
mauj-e-sahba pe gira sapna-e-mina ud kar
hai mere samne tegh-o-sipar-e-jam-e-sharab
mai pilata hai agar dhanp le sina saqi
tere joban ko lagegi nazar-e-jam-e-sharab
aaftab aa ke sikhata hai chalan shab-bhar ka
raat ko hota hai aksar guzar-e-jam-e-sharab
dast-e-saqi mein rahe dast-e-qadah-kash mein rahe
gardan-e-shisha-e-sahba kamar-e-jam-e-sharab
mast karte hain do-alam ko yahi do khud-mast
lazzat-e-naghma-e-mutrib asar-e-jam-e-sharab
kya ghazab hai ki tera honth na chuse 'mail'
aur ho tere labon tak guzar-e-jam-e-sharab
You have reached the end.