main talkhi-e-hayat se ghabra ke pi gaya
main talkhi-e-hayat se ghabra ke pi gaya
ghham ki siyah raat se ghabra ke pi gaya
itni daqiq shai koi kaise samajh sake
yazdan ke vaqiat se ghabra ke pi gaya
chhalke hue the jaam pareshan thi zulf-e-yar
kuchh aise hadsat se ghabra ke pi gaya
main aadmi huun koi farishta nahin huzur
main aaj apni zaat se ghabra ke pi gaya
duniya-e-hadsat hai ik dardnak giit
duniya-e-hadsat se ghabra ke pi gaya
kante to khair kante hain is ka gila hi kya
phulon ki vardat se ghabra ke pi gaya
'saghhar' vo kah rahe the ki pi lijiye huzur
un ki guzarishat se ghabra ke pi gaya
main talkhi-e-hayat se ghabra ke pi gaya
gham ki siyah raat se ghabra ke pi gaya
itni daqiq shai koi kaise samajh sake
yazdan ke waqiat se ghabra ke pi gaya
chhalke hue the jam pareshan thi zulf-e-yar
kuchh aise hadsat se ghabra ke pi gaya
main aadmi hun koi farishta nahin huzur
main aaj apni zat se ghabra ke pi gaya
duniya-e-hadsat hai ek dardnak git
duniya-e-hadsat se ghabra ke pi gaya
kante to khair kante hain is ka gila hi kya
phulon ki wardat se ghabra ke pi gaya
'saghar' wo kah rahe the ki pi lijiye huzur
un ki guzarishat se ghabra ke pi gaya
main nazar se pi raha hun ye saman badal na jae
main nazar se pi raha huun ye saman badal na jaae
na jhukao tum nigahen kahin raat dhal na jaae
i am feasting from thine eyes, pray let this aspect be
lower not your eyes my love, or else this night may flee
mire ashk bhi hain is men ye sharab ubal na jaae
mira jaam chhune vaale tira haath jal na jaae
my tears too this does contain,this wine may start to boil
be careful for my goblet burns with rare intensity
abhi raat kuchh hai baaqi na utha naqab saaqi
tira rind girte girte kahin phir sambhal na jaae
as yet the night does linger on do not remove your veil
lest your besotten follower re-gains stability
miri zindagi ke malik mire dil pe haath rakhna
tire aane ki khushi men mira dam nikal na jaae
place your hand upon my heart, o master of my life
lest the joy of your approach becomes the end of me
mujhe phunkne se pahle mira dil nikal lena
ye kisi ki hai amanat mire saath jal na jaae
please remove my heart before i am consigned to flames
as it belongs to someone else it should not burn with me
main nazar se pi raha hun ye saman badal na jae
na jhukao tum nigahen kahin raat dhal na jae
i am feasting from thine eyes, pray let this aspect be
lower not your eyes my love, or else this night may flee
mere ashk bhi hain is mein ye sharab ubal na jae
mera jam chhune wale tera hath jal na jae
my tears too this does contain,this wine may start to boil
be careful for my goblet burns with rare intensity
abhi raat kuchh hai baqi na utha naqab saqi
tera rind girte girte kahin phir sambhal na jae
as yet the night does linger on do not remove your veil
lest your besotten follower re-gains stability
meri zindagi ke malik mere dil pe hath rakhna
tere aane ki khushi mein mera dam nikal na jae
place your hand upon my heart, o master of my life
lest the joy of your approach becomes the end of me
mujhe phunkne se pahle mera dil nikal lena
ye kisi ki hai amanat mere sath jal na jae
please remove my heart before i am consigned to flames
as it belongs to someone else it should not burn with me
yaro mujhe muaf rakho main nashe mein hun
yaaro mujhe muaaf rakho main nashe men huun
ab do to jaam khali hi do main nashe men huun
pardon me my friends- i am in a drunken stupor
give me just an empty cup, now if you serve me more
ek ek qurt daur men yuun hi mujhe bhi do
jam-e-sharab pur na karo main nashe men huun
just a drop or two in every round you should now pour
fill not my goblet to the brim, i should drink no more
masti se darhami hai miri guftugu ke biich
jo chaho tum bhi mujh ko kaho main nashe men huun
drunkenness makes my speech incoherent today
as i'm not in my senses, say what you wish to say
ya hathon haath lo mujhe manind-e-jam-e-mai
ya thodi duur saath chalo main nashe men huun
either hold me by your hand as like a glass you would
or else walk with me a while lest stumble, fall i should
maazur huun jo paanv mira be-tarah pade
tum sargiran to mujh se na ho main nashe men huun
i am helpless that my feet don't tread in a proper way
do not be annoyed with me i've had too much today
bhagi namaz-e-juma to jaati nahin hai kuchh
chalta huun main bhi tuk to raho main nashe men huun
friday prayers won't run away, they can surely wait
i shall come, hold on a while, i'm in a drunken state
nazuk-mizaj aap qayamat hain 'mir' ji
juun shisha mere munh na lago main nashe men huun
miirji the frailty of your temperament is truly such
brush not my lips like a cup for i've drunk too much
yaro mujhe muaf rakho main nashe mein hun
ab do to jam khali hi do main nashe mein hun
pardon me my friends- i am in a drunken stupor
give me just an empty cup, now if you serve me more
ek ek qurt daur mein yun hi mujhe bhi do
jam-e-sharab pur na karo main nashe mein hun
just a drop or two in every round you should now pour
fill not my goblet to the brim, i should drink no more
masti se darhami hai meri guftugu ke bich
jo chaho tum bhi mujh ko kaho main nashe mein hun
drunkenness makes my speech incoherent today
as i'm not in my senses, say what you wish to say
ya hathon hath lo mujhe manind-e-jam-e-mai
ya thodi dur sath chalo main nashe mein hun
either hold me by your hand as like a glass you would
or else walk with me a while lest stumble, fall i should
mazur hun jo panw mera be-tarah pade
tum sargiran to mujh se na ho main nashe mein hun
i am helpless that my feet don't tread in a proper way
do not be annoyed with me i've had too much today
bhagi namaz-e-juma to jati nahin hai kuchh
chalta hun main bhi tuk to raho main nashe mein hun
friday prayers won't run away, they can surely wait
i shall come, hold on a while, i'm in a drunken state
nazuk-mizaj aap qayamat hain 'mir' ji
jun shisha mere munh na lago main nashe mein hun
miirji the frailty of your temperament is truly such
brush not my lips like a cup for i've drunk too much
halka halka surur hai saqi
halka halka surur hai saaqi
baat koi zarur hai saaqi
teri ankhon ko kar diya sajda
mera pahla qusur hai saaqi
tere rukh par hai ye pareshani
ik andhere men nuur hai saaqi
teri ankhen kisi ko kya dengi
apna apna surur hai saaqi
piine valon ko bhi nahin maalum
mai-kada kitni duur hai saaqi
halka halka surur hai saqi
baat koi zarur hai saqi
teri aankhon ko kar diya sajda
mera pahla qusur hai saqi
tere rukh par hai ye pareshani
ek andhere mein nur hai saqi
teri aankhen kisi ko kya dengi
apna apna surur hai saqi
pine walon ko bhi nahin malum
mai-kada kitni dur hai saqi
koi pas aaya sawere sawere
koi paas aaya savere savere
mujhe azmaya savere savere
meri dastan ko zara sa badal kar
mujhe hi sunaya savere savere
jo kahta tha kal shab sambhalna sambhalna
vahi ladkhadaya savere savere
kati raat saari miri mai-kade men
khuda yaad aaya savere savere
koi pas aaya sawere sawere
mujhe aazmaya sawere sawere
meri dastan ko zara sa badal kar
mujhe hi sunaya sawere sawere
jo kahta tha kal shab sambhalna sambhalna
wahi ladkhadaya sawere sawere
kati raat sari meri mai-kade mein
khuda yaad aaya sawere sawere
main uski aankhon se chhalki sharab pita hun
main us ki ankhon se chhalki sharab piita huun
ghharib ho ke bhi mahngi sharab piita huun
mujhe nashe men bahakte kabhi nahin dekha
vo janta hai main kitni sharab piita huun
use bhi dekhun to pahchanne men der lage
kabhi kabhi to main itni sharab piita huun
purane chahne valon ki yaad aane lage
isi liye main purani sharab piita huun
main us ki aankhon se chhalki sharab pita hun
gharib ho ke bhi mahngi sharab pita hun
mujhe nashe mein bahakte kabhi nahin dekha
wo jaanta hai main kitni sharab pita hun
use bhi dekhun to pahchanne mein der lage
kabhi kabhi to main itni sharab pita hun
purane chahne walon ki yaad aane lage
isi liye main purani sharab pita hun
kal humne bazm-e-yar mein kya kya sharab pi
kal ham ne bazm-e-yar men kya kya sharab pi
sahra ki tishnagi thi so dariya sharab pi
apnon ne taj diya hai to ghhairon men ja ke baith
ai khanuman-kharab na tanha sharab pi
tu ham-safar nahin hai to kya sair-e-gulsitan
to ham-subu nahin hai to phir kya sharab pi
ai dil-girafta-e-ghham-e-janan subu utha
ai kushta-e-jafa-e-zamana sharab pi
ik mehrban buzurg ne ye mashvara diya
dukh ka koi 'ilaj nahin ja sharab pi
badal garaj raha tha idhar mohtasib udhar
phir jab talak ye uqda na suljha sharab pi
ai tu ki tere dar pe hain rindon ke jamghate
ik roz us faqir ke ghar aa sharab pi
do jaam un ke naam bhi ai pir-e-mai-kada
jin raftagan ke saath hamesha sharab pi
kal ham se apna yaar khafa ho gaya 'faraz'
shayad ki ham ne had se ziyada sharab pi
kal hum ne bazm-e-yar mein kya kya sharab pi
sahra ki tishnagi thi so dariya sharab pi
apnon ne taj diya hai to ghairon mein ja ke baith
ai khanuman-kharab na tanha sharab pi
tu ham-safar nahin hai to kya sair-e-gulsitan
to ham-subu nahin hai to phir kya sharab pi
ai dil-girafta-e-gham-e-jaanan subu utha
ai kushta-e-jafa-e-zamana sharab pi
ek mehrban buzurg ne ye mashwara diya
dukh ka koi 'ilaj nahin ja sharab pi
baadal garaj raha tha idhar mohtasib udhar
phir jab talak ye uqda na suljha sharab pi
ai tu ki tere dar pe hain rindon ke jamghate
ek roz us faqir ke ghar aa sharab pi
do jam un ke nam bhi ai pir-e-mai-kada
jin raftagan ke sath hamesha sharab pi
kal hum se apna yar khafa ho gaya 'faraaz'
shayad ki hum ne had se ziyaada sharab pi
jhum kar gao main sharabi hun
jhuum kar gaao main sharabi huun
raqs farmao main sharabi huun
ek sajda ba-nam-e-mai-khana
dosto aao main sharabi huun
log kahte hain raat bait chuki
mujh ko samjhao main sharabi huun
aaj in reshmi ghataon ko
yuun na bikhrao main sharabi huun
hadse roz hote rahte hain
bhuul bhi jaao main sharabi huun
mujh pe zahir hai aap ka batin
munh na khulvao main sharabi huun
jhum kar gao main sharabi hun
raqs farmao main sharabi hun
ek sajda ba-nam-e-mai-khana
dosto aao main sharabi hun
log kahte hain raat bait chuki
mujh ko samjhao main sharabi hun
aaj in reshmi ghataon ko
yun na bikhrao main sharabi hun
hadse roz hote rahte hain
bhul bhi jao main sharabi hun
mujh pe zahir hai aap ka baatin
munh na khulwao main sharabi hun
taron se mera jam bharo main nashe mein hun
taron se mera jaam bharo main nashe men huun
ai sakinan-e-khuld suno main nashe men huun
kuchh phuul khil rahe hain sar-e-shakh-e-mai-kada
tum hi zara ye phuul chuno main nashe men huun
thahro abhi to subh ka maara hai zau-fishan
dekho mujhe fareb na do main nashe men huun
nashsha to maut hai ghham-e-hasti ki dhuup men
bikhra ke zulf saath chalo main nashe men huun
mela yuun hi rahe ye sar-e-rahguzar-e-zist
ab jaam samne hi rakho main nashe men huun
paael chhanak rahi hai nigar-e-khayal ki
kuchh ehtimam-e-raqs karo main nashe men huun
main dagmaga raha huun bayaban-e-hosh men
mere abhi qarib raho main nashe men huun
hai sirf ik tabassum-e-rangin bahut mujhe
'saghhar' ba-dosh lala-rukho main nashe men huun
taron se mera jam bharo main nashe mein hun
ai sakinan-e-khuld suno main nashe mein hun
kuchh phul khil rahe hain sar-e-shakh-e-mai-kada
tum hi zara ye phul chuno main nashe mein hun
thahro abhi to subh ka mara hai zau-fishan
dekho mujhe fareb na do main nashe mein hun
nashsha to maut hai gham-e-hasti ki dhup mein
bikhra ke zulf sath chalo main nashe mein hun
mela yun hi rahe ye sar-e-rahguzar-e-zist
ab jam samne hi rakho main nashe mein hun
pael chhanak rahi hai nigar-e-khayal ki
kuchh ehtimam-e-raqs karo main nashe mein hun
main dagmaga raha hun bayaban-e-hosh mein
mere abhi qarib raho main nashe mein hun
hai sirf ek tabassum-e-rangin bahut mujhe
'saghar' ba-dosh lala-rukho main nashe mein hun
jab tak nigar-e-dasht ka sina dukha na tha
jab tak nigar-e-dasht ka siina dukha na tha
sahra men koi lala-e-sahra khila na tha
do jhilen us ki ankhon men lahra ke so gaiin
us vaqt meri 'umr ka dariya chadha na tha
jaagi na thiin nason men tamanna ki naginen
us gandumi sharab ko jab tak chakha na tha
dhunda karo jahan-e-tahayyur men 'umr bhar
vo chalti phirti chhanv hai main ne kaha na tha
ik bevafa ke samne aansu bahate ham
itna hamari aankh ka paani mara na tha
vo kaale hont jaam samajh kar chadha gae
vo aab jis se main ne vuzu tak kiya na tha
sab log apne apne khudaon ko laae the
ik ham hi aise the ki hamara khuda na tha
vo kaali ankhen shahr men mashhur thiin bahut
tab un pe mote shishon ka chashma chadha na tha
main sahib-e-ghhazal tha hasinon ki bazm men
sar par ghanere baal the matha khula na tha
jab tak nigar-e-dasht ka sina dukha na tha
sahra mein koi lala-e-sahra khila na tha
do jhilen us ki aankhon mein lahra ke so gain
us waqt meri 'umr ka dariya chadha na tha
jagi na thin nason mein tamanna ki naginen
us gandumi sharab ko jab tak chakha na tha
dhunda karo jahan-e-tahayyur mein 'umr bhar
wo chalti phirti chhanw hai main ne kaha na tha
ek bewafa ke samne aansu bahate hum
itna hamari aankh ka pani mara na tha
wo kale hont jam samajh kar chadha gae
wo aab jis se main ne wuzu tak kiya na tha
sab log apne apne khudaon ko lae the
ek hum hi aise the ki hamara khuda na tha
wo kali aankhen shahr mein mashhur thin bahut
tab un pe mote shishon ka chashma chadha na tha
main sahib-e-ghazal tha hasinon ki bazm mein
sar par ghanere baal the matha khula na tha
rahat na mil saki mujhe mai-khana chhod kar
rahat na mil saki mujhe mai-khana chhod kar
gardish men huun main gardish-e-paimana chhod kar
khum men subu men jaam men niyyat lagi rahi
mai-khane hi men ham rahe mai-khana chhod kar
ankhon ko chhod jaun ilahi main kya karun
hatti nahin nazar rukh-e-janana chhod kar
aata hai ji men saqi-e-mah-vash pe baar baar
lab chuum luun tira lab-e-paimana chhod kar
hoti kahan hai dil se juda dil ki aarzu
jaata kahan hai shama ko parvana chhod kar
do ghunt ne badha diye rindon ke hausle
miina o khum pe jhuk pade paimana chhod kar
phir bu-e-zulf-e-yar ne aa kar sitam kiya
phir chal diya mujhe dil-e-divana chhod kar
yaad aai kis ki aankh ki rind uth khade hue
paimana tod kar mai o mai-khana chhod kar
duniya men afiyat ki jagah hai yahi 'jalil'
jaana kahin na gosha-e-mai-khana chhod kar
rahat na mil saki mujhe mai-khana chhod kar
gardish mein hun main gardish-e-paimana chhod kar
khum mein subu mein jam mein niyyat lagi rahi
mai-khane hi mein hum rahe mai-khana chhod kar
aankhon ko chhod jaun ilahi main kya karun
hatti nahin nazar rukh-e-jaanana chhod kar
aata hai ji mein saqi-e-mah-wash pe bar bar
lab chum lun tera lab-e-paimana chhod kar
hoti kahan hai dil se juda dil ki aarzu
jata kahan hai shama ko parwana chhod kar
do ghunt ne badha diye rindon ke hausle
mina o khum pe jhuk pade paimana chhod kar
phir bu-e-zulf-e-yar ne aa kar sitam kiya
phir chal diya mujhe dil-e-diwana chhod kar
yaad aai kis ki aankh ki rind uth khade hue
paimana tod kar mai o mai-khana chhod kar
duniya mein aafiyat ki jagah hai yahi 'jalil'
jaana kahin na gosha-e-mai-khana chhod kar
aahan ki surkh tal pe hum raqs kar gae
aahan ki surkh taal pe ham raqs kar gae
taqdir teri chaal pe ham raqs kar gae
panchhi bane to rifat-e-aflak par ude
ahl-e-zamin ke haal pe ham raqs kar gae
kanton se ehtijaj kiya hai kuchh is tarah
gulshan ki daal daal pe ham raqs kar gae
vaaiz fareb-e-shauq ne ham ko lubha liya
firdaus ke khayal pe ham raqs kar gae
har e'tibar-e-husn-e-nazar se guzar gae
har halqa-ha-e-jal pe ham raqs kar gae
manga bhi kya to qatra-e-chashm-e-tasarrufat
'saghhar' tire saval pe ham raqs kar gae
aahan ki surkh tal pe hum raqs kar gae
taqdir teri chaal pe hum raqs kar gae
panchhi bane to rifat-e-aflak par ude
ahl-e-zamin ke haal pe hum raqs kar gae
kanton se ehtijaj kiya hai kuchh is tarah
gulshan ki dal dal pe hum raqs kar gae
waiz fareb-e-shauq ne hum ko lubha liya
firdaus ke khayal pe hum raqs kar gae
har e'tibar-e-husn-e-nazar se guzar gae
har halqa-ha-e-jal pe hum raqs kar gae
manga bhi kya to qatra-e-chashm-e-tasarrufat
'saghar' tere sawal pe hum raqs kar gae
jawan hai raat saqiya sharab la sharab la
javan hai raat saqiya sharab la sharab la
zara si pyaas to bujha sharab la sharab la
tire shabab par sada karam rahe bahar ka
tujhe lage miri dua sharab la sharab la
yahan koi na ji saka na ji sakega hosh men
mita de naam hosh ka sharab la sharab la
tira bada hi shukriya pilae ja pilae ja
na zikr kar hisab ka sharab la sharab la
jawan hai raat saqiya sharab la sharab la
zara si pyas to bujha sharab la sharab la
tere shabab par sada karam rahe bahaar ka
tujhe lage meri dua sharab la sharab la
yahan koi na ji saka na ji sakega hosh mein
mita de nam hosh ka sharab la sharab la
tera bada hi shukriya pilae ja pilae ja
na zikr kar hisab ka sharab la sharab la
dil hai badi khushi se ise paemal kar
dil hai badi khushi se ise paemal kar
lekin tire nisar zara dekh-bhal kar
itna to dil-fareb na tha dam-e-zindagi
le aae e'tibar ke sanche men dhaal kar
saaqi mire khulus ki shiddat ko dekhna
phir aa gaya huun gardish-e-dauran ko taal kar
ai dost teri zulf-e-pareshan ki khair ho
meri tabahiyon ka na itna khayal kar
aaya huun yuun bacha ke havadis se ziist ko
laate hain jaise koh se chashma nikal kar
thode se fasle men bhi haael hain laghhzishen
saaqi sambhal kar mire saaqi sambhal kar
ham se 'adam' chhupao to khud bhi na pi sako
rakkha hai tum ne kuchh to surahi men daal kar
dil hai badi khushi se ise paemal kar
lekin tere nisar zara dekh-bhaal kar
itna to dil-fareb na tha dam-e-zindagi
le aae e'tibar ke sanche mein dhaal kar
saqi mere khulus ki shiddat ko dekhna
phir aa gaya hun gardish-e-dauran ko tal kar
ai dost teri zulf-e-pareshan ki khair ho
meri tabahiyon ka na itna khayal kar
aaya hun yun bacha ke hawadis se zist ko
late hain jaise koh se chashma nikal kar
thode se fasle mein bhi hael hain laghzishen
saqi sambhaal kar mere saqi sambhaal kar
hum se 'adam' chhupao to khud bhi na pi sako
rakkha hai tum ne kuchh to surahi mein dal kar
humse chunan-chunin na karo hum nashe mein hain
ham se chunan-chunin na karo ham nashe men hain
ham jo kahen nahin na karo ham nashe men hain
nashsha koi dhaki-chhupi tahrik to nahin
har-chand tum yaqin na karo ham nashe men hain
aisa na ho ki aap ki banhon men aa giren
ankhon ko khashmagin na karo ham nashe men hain
baten karo nigar o bahar o sharab ki
azkar-e-shar-o-din na karo ham nashe men hain
ye vaqt hai 'adam' ki tavazoa ka sahibo
tang apni astin na karo ham nashe men hain
hum se chunan-chunin na karo hum nashe mein hain
hum jo kahen nahin na karo hum nashe mein hain
nashsha koi dhaki-chhupi tahrik to nahin
har-chand tum yaqin na karo hum nashe mein hain
aisa na ho ki aap ki banhon mein aa giren
aankhon ko khashmagin na karo hum nashe mein hain
baaten karo nigar o bahaar o sharab ki
azkar-e-shar-o-din na karo hum nashe mein hain
ye waqt hai 'adam' ki tawazoa ka sahibo
tang apni aastin na karo hum nashe mein hain
mujhse chunan-chunin na karo main nashe main hun
mujh se chunan-chunin na karo main nashe main huun
main jo kahun nahin na karo main nashe men huun
insan nashe men ho to vo chhupta nahin kabhi
har-chand tum yaqin na karo main nashe men huun
ye vaqt hai farakh-dili ke suluk ka
tang apni astin na karo main nashe men huun
be-ikhtiyar chuum na luun main kahin inhen
ankhon ko khashmagin na karo main nashe men huun
har-chand mere haq men hai ye rahmat-e-khuda
anchal mire qarin na karo main nashe men huun
nashshe men surkh rang tahi-az-khatar nahi.?
honton ko ahmarin na karo main nashe men huun
dekho main kah raha huun tumhen pai-ba-pai 'adam'
mujh ko bahut hazin na karo main nashe men huun
mujh se chunan-chunin na karo main nashe main hun
main jo kahun nahin na karo main nashe mein hun
insan nashe mein ho to wo chhupta nahin kabhi
har-chand tum yaqin na karo main nashe mein hun
ye waqt hai farakh-dili ke suluk ka
tang apni aastin na karo main nashe mein hun
be-ikhtiyar chum na lun main kahin inhen
aankhon ko khashmagin na karo main nashe mein hun
har-chand mere haq mein hai ye rahmat-e-khuda
aanchal mere qarin na karo main nashe mein hun
nashshe mein surkh rang tahi-az-khatar nahi?
honton ko ahmarin na karo main nashe mein hun
dekho main kah raha hun tumhein pai-ba-pai 'adam'
mujh ko bahut hazin na karo main nashe mein hun
aaftab aae chamak kar jo sar-e-jam-e-sharab
aftab aae chamak kar jo sar-e-jam-e-sharab
rind samjhen ki hai sadiq sahar-e-jam-e-sharab
sab ke hathon pe tha shab-bhar safar-e-jam-e-sharab
har khat-e-dast bana rah-guzar-e-jam-e-sharab
dukhtar-e-raz pe giren mast patangon ki tarah
sham-e-mahfil ho ye lakht-e-jigar-e-jam-e-sharab
thaam le dast-e-subu aae jo chalne men lachak
khat-e-baghhdad ho mu-e-kamar-e-jam-e-sharab
tur-e-sina ka guman ho khum-e-mai par sab ko
is tarah hosh udaao asar-e-jam-e-sharab
saghhar-e-mai men nahin partav-e-khal-e-saqi
hai kaf-e-dukhtar-e-raz men sipar-e-jam-e-sharab
khaak mai-khane ki ban jaati qayamat pis kar
har qadam par jo lachakti kamar-e-jam-e-sharab
aaj mai-noshon ka majmaa hai kahan ai saaqi
kaun si bazm men hai shor-o-shar-e-jam-e-sharab
jitne mai-khvar hain saaqi se gale milte hain
sahar-e-id bani hai khabar-e-jam-e-sharab
shisha-e-mai se uda kaag kabutar ki tarah
naama pahunchane chala nama-bar-e-jam-e-sharab
mauj-e-sahba pe gira sapna-e-mina ud kar
hai mire samne teghh-o-sipar-e-jam-e-sharab
mai pilata hai agar dhanp le siina saaqi
tere joban ko lagegi nazar-e-jam-e-sharab
aftab aa ke sikhata hai chalan shab-bhar ka
raat ko hota hai aksar guzar-e-jam-e-sharab
dast-e-saqi men rahe dast-e-qadah-kash men rahe
gardan-e-shisha-e-sahba kamar-e-jam-e-sharab
mast karte hain do-alam ko yahi do khud-mast
lazzat-e-naghhma-e-mutrib asar-e-jam-e-sharab
kya ghhazab hai ki tira honth na chuse 'mail'
aur ho tere labon tak guzar-e-jam-e-sharab
aaftab aae chamak kar jo sar-e-jam-e-sharab
rind samjhen ki hai sadiq sahar-e-jam-e-sharab
sab ke hathon pe tha shab-bhar safar-e-jam-e-sharab
har khat-e-dast bana rah-guzar-e-jam-e-sharab
dukhtar-e-raz pe giren mast patangon ki tarah
sham-e-mahfil ho ye lakht-e-jigar-e-jam-e-sharab
tham le dast-e-subu aae jo chalne mein lachak
khat-e-baghdad ho mu-e-kamar-e-jam-e-sharab
tur-e-sina ka guman ho khum-e-mai par sab ko
is tarah hosh udao asar-e-jam-e-sharab
saghar-e-mai mein nahin partaw-e-khal-e-saqi
hai kaf-e-dukhtar-e-raz mein sipar-e-jam-e-sharab
khak mai-khane ki ban jati qayamat pis kar
har qadam par jo lachakti kamar-e-jam-e-sharab
aaj mai-noshon ka majma hai kahan ai saqi
kaun si bazm mein hai shor-o-shar-e-jam-e-sharab
jitne mai-khwar hain saqi se gale milte hain
sahar-e-id bani hai khabar-e-jam-e-sharab
shisha-e-mai se uda kag kabutar ki tarah
nama pahunchane chala nama-bar-e-jam-e-sharab
mauj-e-sahba pe gira sapna-e-mina ud kar
hai mere samne tegh-o-sipar-e-jam-e-sharab
mai pilata hai agar dhanp le sina saqi
tere joban ko lagegi nazar-e-jam-e-sharab
aaftab aa ke sikhata hai chalan shab-bhar ka
raat ko hota hai aksar guzar-e-jam-e-sharab
dast-e-saqi mein rahe dast-e-qadah-kash mein rahe
gardan-e-shisha-e-sahba kamar-e-jam-e-sharab
mast karte hain do-alam ko yahi do khud-mast
lazzat-e-naghma-e-mutrib asar-e-jam-e-sharab
kya ghazab hai ki tera honth na chuse 'mail'
aur ho tere labon tak guzar-e-jam-e-sharab
You have reached the end.