Poetry Collection

Religion

Religion par curated selection jahan sher, ghazal aur nazm ko readable format me discover kiya ja sakta hai.

Total

10

Sher

10

Ghazal

0

Nazm

0

Featured Picks

Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.

leader jab aansoo bahaa kar logon se kahte hain ki mazhab khatre mein hai to ismein koi haqeeqat nahi hoti. mazhab aisi cheez hi nahi ki khatre mein pad sake, agar kisi baat ka khatra hai to woh leaderon ka hai jo apna ulloo seedha karne ke liye mazhab ko khatre mein daalte hain.

~ Saadat Hasan Manto

jo mulk jitna ghurbat-zada hoga utna hi aaloo aur mazhab ka chalan ziyaada hoga.

~ Mushtaq Ahmad Yusufi

pahle mazhab seenon mein hota tha, aaj-kal topiyon mein hota hai. siyaasat bhi ab topiyon mein chali aayi hai. zindaabaad topiyaan.

~ Saadat Hasan Manto

leader jab aansoo bahaa kar logon se kahte hain ki mazhab khatre mein hai to ismein koi haqeeqat nahi hoti. mazhab aisi cheez hi nahi ki khatre mein pad sake, agar kisi baat ka khatra hai to woh leaderon ka hai jo apna ulloo seedha karne ke liye mazhab ko khatre mein daalte hain.

~ Saadat Hasan Manto

pahle mazhab seenon mein hota tha, aaj-kal topiyon mein hota hai. siyaasat bhi ab topiyon mein chali aayi hai. zindaabaad topiyaan.

~ Saadat Hasan Manto

hindustan ko un leaderon se bachaao jo mulk ki fiza bigaad rahe hain aur awaam ko gumraah kar rahe hain.

~ Saadat Hasan Manto

agar hum saabun aur lavender ka zikr kar sakte hain to un mauryon aur badruon ka zikr kyun nahi kar sakte jo hamaare badan ka mail peeti hain. agar hum mandiron aur masjidon ka zikr kar sakte hain to un qahba-khaanon ka zikr kyun nahi kar sakte jahaan se laut kar kaee insaan mandiron aur masjidon ka rukh karte hain... hum afyun, charas, bhang aur sharaab ke thekon ka zikr kar sakte hain to un kothon ka zikr kyun nahi kar sakte jahaan har qism ka nasha istemaal kiya jaata hai.

~ Saadat Hasan Manto

jo mulk jitna ghurbat-zada hoga utna hi aaloo aur mazhab ka chalan ziyaada hoga.

~ Mushtaq Ahmad Yusufi

yeh log jinhein urf-e-aam mein leader kahaa jaata hai, siyaasat aur mazhab ko langda, loolda aur zakhmi aadmi tasawwur karte hain.

~ Saadat Hasan Manto

siyaasat aur mazhab ki laash hamaare naam-war leader apne kandhe par uthaae phirte hain aur seedhe-saade logon ko jo har baat maan lene ke aadi hote hain ye kahte-phirte hain ki woh is laash ko az sar-e-nau zindagi bakhsh rahe hain.

~ Saadat Hasan Manto

mazhab khud eik bahut bada mas'ala hai, agar isme lapet kar kisi aur mas'ale ko dekha jaye to hamein bahut hu maghz-dardi karni paregi.

~ Saadat Hasan Manto

mizaah, mazhab aur alcohol har cheez mein ba-aasaani mil jaate hain.

~ Mushtaq Ahmad Yusufi

ruhaaniyat yaqeenan koi cheez hai, aaj ke science ke zamaane mein jismein atom bum tayyaar kiya ja sakta hai aur jaraaseem phailaaye ja sakte hain, ye cheez baaz ashaab ke nazdeek muhmal ho sakti hai lekin woh log jo namaaz aur roze, aarti aur keertan se roohaani tahaarat haasil karte hain hum unhein paagal nahi kah sakte. aur main samajhta hun ki bad-kirdaaron, qaatilon aur saffaakon ki najaat ka raasta sirf roohaani taaleem hai, mullaaee tareeq par nahi, taraqqi-pasand usoolon par.

~ Saadat Hasan Manto

You have reached the end.

Explore Similar Collections

Religion FAQs

Religion collection me kya milega?

Religion se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.

Kya is page ki links internal hain?

Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.

Collection ko kaise explore karein?

Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.