bichhad ke tujh se na dekha gaya kisi ka milap uda diye hain parinde shajar pe baithe hue
Poetry Collection
Shajar
Shajar par curated selection jahan sher, ghazal aur nazm ko readable format me discover kiya ja sakta hai.
Total
35
Sher
33
Ghazal
2
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
jab khizan aae to patte na samar bachta hai
jab khizan aae to patte na samar bachta hai khali jholi liye viran shajar bachta hai nukta-chin shauq se din raat mire 'aib nikal kyunki jab 'aib nikal jaaen hunar bachta hai saare dar bas isi dar se hain ki kho jaae na yaar yaar kho jaae to phir kaun sa dar bachta hai roz pathrav bahut karte hain duniya vaale roz mar mar ke mira khvab-nagar bachta hai ghham vo rasta hai ki shab bhar use tai karne ke baad subh-dam dekhen to utna hi safar bachta hai bas yahi soch ke aaya huun tiri chaukhat par dar-ba-dar hone ke baa'd ik yahi dar bachta hai ab mare 'aib zada shahr ke shar se sahib shaz-o-nadir hi koi ahl-e-hunar bachta hai 'ishq vo 'ilm-e-riyazi hai ki jis men faris do se jab ek nikalen to sifar bachta hai jab khizan aae to patte na samar bachta hai khali jholi liye viran shajar bachta hai nukta-chin shauq se din raat mere 'aib nikal kyunki jab 'aib nikal jaen hunar bachta hai sare dar bas isi dar se hain ki kho jae na yar yar kho jae to phir kaun sa dar bachta hai roz pathraw bahut karte hain duniya wale roz mar mar ke mera khwab-nagar bachta hai gham wo rasta hai ki shab bhar use tai karne ke baad subh-dam dekhen to utna hi safar bachta hai bas yahi soch ke aaya hun teri chaukhat par dar-ba-dar hone ke ba'd ek yahi dar bachta hai ab mare 'aib zada shahr ke shar se sahib shaz-o-nadir hi koi ahl-e-hunar bachta hai 'ishq wo 'ilm-e-riyazi hai ki jis mein faris do se jab ek nikalen to sifar bachta hai
bar-sar-e-dashna-o-shamshir-o-tabar katta hai
bar-sar-e-dashna-o-shamshir-o-tabar katta hai zakhm siine se ulajhte hain to dar katta hai rone lagta huun to aa jaati hai chehre pe kharash zabt karta huun to andar se jigar katta hai sar jhukata huun to marta hai 'aqida mera aur 'aqide ko bachata huun to sar katta hai she'r vo lafz-tarashi ka 'amal hai jis men harf-rezon se mira dast-e-hunar katta hai koi divar utha rakhti hai chhat kandhon par kisi divar ke uthne se bhi ghar katta hai ab vo chaupal ke qisse na vo fursat na vo log ab to har gaanv se bargad ka shajar katta hai bar-sar-e-dashna-o-shamshir-o-tabar katta hai zakhm sine se ulajhte hain to dar katta hai rone lagta hun to aa jati hai chehre pe kharash zabt karta hun to andar se jigar katta hai sar jhukata hun to marta hai 'aqida mera aur 'aqide ko bachata hun to sar katta hai she'r wo lafz-tarashi ka 'amal hai jis mein harf-rezon se mera dast-e-hunar katta hai koi diwar utha rakhti hai chhat kandhon par kisi diwar ke uthne se bhi ghar katta hai ab wo chaupal ke qisse na wo fursat na wo log ab to har ganw se bargad ka shajar katta hai
ye ik shajar ki jis pe na kanta na phuul hai saae men us ke baith ke rona fuzul hai
ghhamon se bair tha so ham ne khud-kushi kar li shajar gira ke parindon se intiqam liya
har shakhs par kiya na karo itna e'timad har saya-dar shai ko shajar mat kaha karo
aa mujhe chhu ke hara rang bichha de mujh par main bhi ik shakh si rakhta huun shajar karne ko
ud gae saare parinde mausamon ki chaah men intizar un ka magar budhe shajar karte rahe
ajiib dard ka rishta tha sab ke sab roe shajar gira to parinde tamam shab roe
main ik shajar ki tarah rah-guzar men thahra huun thakan utaar ke tu kis taraf ravana hua
tum lagate chalo ashjar jidhar se guzro us ke saae men jo baithega dua hi dega
bhale hi chhanv na de aasra to deta hai ye aarzu ka shajar hai khizan-rasida sahi
us shajar ke saae men baitha huun main jis ki shakhon par koi patta nahin
parinde lad hi pade jaedad par akhir shajar pe likkha hua hai shajar barae-farokht
'arsh' baharon men bhi aaya ek nazara patjhad ka sabz shajar ke sabz tane par ik sukhi si daali thi
lagaya mohabbat ka jab yaan shajar shajar lag gaya aur samar jal gaya
barson se is men phal nahin aae to kya hua saaya to ab bhi sahn ke kohna shajar men hai
jo saya-dar shajar the vo sarf-e-dar hue dikhai dete nahin duur duur tak saae
purane ahd ke qisse sunata rahta hai bacha hua hai jo budha shajar hamari taraf
palat gae jo parinde to phir gila kya hai har ek shakh-e-shajar par bichhe hain jaal bahut
bichhad ke tujh se na dekha gaya kisi ka milap uda diye hain parinde shajar pe baithe hue
jab khizan aae to patte na samar bachta hai
jab khizan aae to patte na samar bachta hai khali jholi liye viran shajar bachta hai nukta-chin shauq se din raat mire 'aib nikal kyunki jab 'aib nikal jaaen hunar bachta hai saare dar bas isi dar se hain ki kho jaae na yaar yaar kho jaae to phir kaun sa dar bachta hai roz pathrav bahut karte hain duniya vaale roz mar mar ke mira khvab-nagar bachta hai ghham vo rasta hai ki shab bhar use tai karne ke baad subh-dam dekhen to utna hi safar bachta hai bas yahi soch ke aaya huun tiri chaukhat par dar-ba-dar hone ke baa'd ik yahi dar bachta hai ab mare 'aib zada shahr ke shar se sahib shaz-o-nadir hi koi ahl-e-hunar bachta hai 'ishq vo 'ilm-e-riyazi hai ki jis men faris do se jab ek nikalen to sifar bachta hai jab khizan aae to patte na samar bachta hai khali jholi liye viran shajar bachta hai nukta-chin shauq se din raat mere 'aib nikal kyunki jab 'aib nikal jaen hunar bachta hai sare dar bas isi dar se hain ki kho jae na yar yar kho jae to phir kaun sa dar bachta hai roz pathraw bahut karte hain duniya wale roz mar mar ke mera khwab-nagar bachta hai gham wo rasta hai ki shab bhar use tai karne ke baad subh-dam dekhen to utna hi safar bachta hai bas yahi soch ke aaya hun teri chaukhat par dar-ba-dar hone ke ba'd ek yahi dar bachta hai ab mare 'aib zada shahr ke shar se sahib shaz-o-nadir hi koi ahl-e-hunar bachta hai 'ishq wo 'ilm-e-riyazi hai ki jis mein faris do se jab ek nikalen to sifar bachta hai
bar-sar-e-dashna-o-shamshir-o-tabar katta hai
bar-sar-e-dashna-o-shamshir-o-tabar katta hai zakhm siine se ulajhte hain to dar katta hai rone lagta huun to aa jaati hai chehre pe kharash zabt karta huun to andar se jigar katta hai sar jhukata huun to marta hai 'aqida mera aur 'aqide ko bachata huun to sar katta hai she'r vo lafz-tarashi ka 'amal hai jis men harf-rezon se mira dast-e-hunar katta hai koi divar utha rakhti hai chhat kandhon par kisi divar ke uthne se bhi ghar katta hai ab vo chaupal ke qisse na vo fursat na vo log ab to har gaanv se bargad ka shajar katta hai bar-sar-e-dashna-o-shamshir-o-tabar katta hai zakhm sine se ulajhte hain to dar katta hai rone lagta hun to aa jati hai chehre pe kharash zabt karta hun to andar se jigar katta hai sar jhukata hun to marta hai 'aqida mera aur 'aqide ko bachata hun to sar katta hai she'r wo lafz-tarashi ka 'amal hai jis mein harf-rezon se mera dast-e-hunar katta hai koi diwar utha rakhti hai chhat kandhon par kisi diwar ke uthne se bhi ghar katta hai ab wo chaupal ke qisse na wo fursat na wo log ab to har ganw se bargad ka shajar katta hai
ye ik shajar ki jis pe na kanta na phuul hai saae men us ke baith ke rona fuzul hai
shajar ne puchha ki tujh men ye kis ki khushbu hai hava-e-sham-e-alam ne kaha udasi ki
ghhamon se bair tha so ham ne khud-kushi kar li shajar gira ke parindon se intiqam liya
ik shajar aisa mohabbat ka lagaya jaae jis ka ham-sae ke angan men bhi saaya jaae
aa mujhe chhu ke hara rang bichha de mujh par main bhi ik shakh si rakhta huun shajar karne ko
thakan bahut thi magar saya-e-shajar men 'jamal' main baithta to mira ham-safar chala jaata
ajiib dard ka rishta tha sab ke sab roe shajar gira to parinde tamam shab roe
chale jo dhuup men manzil thi un ki hamen to kha gaya saaya shajar ka
tum lagate chalo ashjar jidhar se guzro us ke saae men jo baithega dua hi dega
safar ho shaah ka ya qafila faqiron ka shajar mizaj samajhte hain rahgiron ka
us shajar ke saae men baitha huun main jis ki shakhon par koi patta nahin
makan banate hue chhat bahut zaruri hai bacha ke sehn men lekin shajar bhi rakhna hai
'arsh' baharon men bhi aaya ek nazara patjhad ka sabz shajar ke sabz tane par ik sukhi si daali thi
jal kar gira huun sukhe shajar se uda nahin main ne vahi kiya jo taqaza vafa ka tha
barson se is men phal nahin aae to kya hua saaya to ab bhi sahn ke kohna shajar men hai
us ko khizan ke daur men baghhi samajh ke chuum jo bhi shajar pe akhiri patta dikhai de
purane ahd ke qisse sunata rahta hai bacha hua hai jo budha shajar hamari taraf
Explore Similar Collections
Shajar FAQs
Shajar collection me kya milega?
Shajar se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.