rabte bhi rakhta hun raste bhi rakhta hun
rabte bhi rakhta huun raste bhi rakhta huun
har kisi se milta huun fasle bhi rakhta huun
ghham kahan manata huun chhod jaane valon ka
tod kar ta'alluq main dar khule bhi rakhta huun
mausamon ki gardish se main nikal to aaya huun
yaad par khizaon ke hadse bhi rakhta huun
vaqt ke mutabiq ab khud ko hai agar badla
vaqt ko badalne ke hausle bhi rakhta huun
bhar ke ek din ghaav saare bhuul jaate hain
zakhm so purane kuchh an-sile bhi rakhta huun
go kisi bhi manzil ki ab nahin talab mujh ko
har ghadi main pairon men aable bhi rakhta huun
manta huun 'abrak' main baat yaar logon ki
soch ke magar apne zaviye bhi rakhta huun
rabte bhi rakhta hun raste bhi rakhta hun
har kisi se milta hun fasle bhi rakhta hun
gham kahan manata hun chhod jaane walon ka
tod kar ta'alluq main dar khule bhi rakhta hun
mausamon ki gardish se main nikal to aaya hun
yaad par khizaon ke hadse bhi rakhta hun
waqt ke mutabiq ab khud ko hai agar badla
waqt ko badalne ke hausle bhi rakhta hun
bhar ke ek din ghaw sare bhul jate hain
zakhm so purane kuchh an-sile bhi rakhta hun
go kisi bhi manzil ki ab nahin talab mujh ko
har ghadi main pairon mein aable bhi rakhta hun
manta hun 'abrak' main baat yar logon ki
soch ke magar apne zawiye bhi rakhta hun
zakhm laga kar us ka bhi kuchh hath khula
main bhi dhoka kha kar kuchh chaalak hua
ajab ek parda hael hai jo sarkaya nahin jata
'ajab ik parda haael hai jo sarkaya nahin jaata
bahut sidhi si baton ko bhi samjhaya nahin jaata
kabhi ye naaz tha khud par ki mir-e-karvan ham hain
lute phir qafile aise ki itraya nahin jaata
bahut va'de hue ham se mudava lazmi hoga
magar hai vaqt aisa qarz lautaya nahin jaata
baharen jab nahin apni to phir kya aarzu rakhna
ye gulshan mange ki khushbu se mahkaya nahin jaata
na-jane kyuun sabhi rishte hue jaate hain ab laghhar
ki duuri do qadam ki ho magar aaya nahin jaata
kisi se mashvara kaisa kisi se puchhna kya ab
mohabbat hai hunar aisa jo batlaya nahin jaata
mire sayyad se keh do nahin ab lautna mumkin
samundar men gire qatre ko phir paaya nahin jaata
ab aage dhundte ho kya mujhe tum is kahani men
main huun kirdar jo anjam tak laaya nahin jaata
kahenge kya mujhe apne kahega ye zamana kya
ho 'abrak' sach agar likhna to ghabraya nahin jaata
'ajab ek parda hael hai jo sarkaya nahin jata
bahut sidhi si baaton ko bhi samjhaya nahin jata
kabhi ye naz tha khud par ki mir-e-karwan hum hain
lute phir qafile aise ki itraya nahin jata
bahut wa'de hue hum se mudawa lazmi hoga
magar hai waqt aisa qarz lautaya nahin jata
bahaaren jab nahin apni to phir kya aarzu rakhna
ye gulshan mange ki khushbu se mahkaya nahin jata
na-jaane kyun sabhi rishte hue jate hain ab laghar
ki duri do qadam ki ho magar aaya nahin jata
kisi se mashwara kaisa kisi se puchhna kya ab
mohabbat hai hunar aisa jo batlaya nahin jata
mere sayyaad se keh do nahin ab lautna mumkin
samundar mein gire qatre ko phir paya nahin jata
ab aage dhundte ho kya mujhe tum is kahani mein
main hun kirdar jo anjam tak laya nahin jata
kahenge kya mujhe apne kahega ye zamana kya
ho 'abrak' sach agar likhna to ghabraya nahin jata
hamari rah se patthar utha kar phenk mat dena
lagi hain thokaren tab ja ke chalna sikh pae hain
jo bujh rahe hain diye un ko ye khabar karna
jo bujh rahe hain diye un ko ye khabar karna
unhi ke dam se hai mumkin hua sahar karna
jo qafilon men na the manzilon ko ja pahunche
koi sikhae hamen is tarah safar karna
bharose dil ke jo kiin hijraten to ye jaana
hai is ka mashghhala basti ko dar-ba-dar karna
ganva di zindagi manzil ki chaah men ham ne
magar na chaha kabhi raston ko ghar karna
dilon ke faisle hote nahin dimaghhon se
so ham ne chhod diya hai agar magar karna
gar apne sham-o-sahar dekh len to ham janen
du'a ne chhod diya ab hai kyuun asar karna
bas apne aap ki baton men aae rahte hain
kisi ke bas men kahan khun-e-dil jigar karna
qusur vaqt bhala kab mu'af karta hai
khamir men hi nahin is ke darguzar karna
rahe vo shaad zamane men sab ki hasrat hai
magar ye khvab hai aaya kise basar karna
jo bujh rahe hain diye un ko ye khabar karna
unhi ke dam se hai mumkin hua sahar karna
jo qafilon mein na the manzilon ko ja pahunche
koi sikhae hamein is tarah safar karna
bharose dil ke jo kin hijraten to ye jaana
hai is ka mashghala basti ko dar-ba-dar karna
ganwa di zindagi manzil ki chah mein hum ne
magar na chaha kabhi raston ko ghar karna
dilon ke faisle hote nahin dimaghon se
so hum ne chhod diya hai agar magar karna
gar apne sham-o-sahar dekh len to hum jaanen
du'a ne chhod diya ab hai kyun asar karna
bas apne aap ki baaton mein aae rahte hain
kisi ke bas mein kahan khun-e-dil jigar karna
qusur waqt bhala kab mu'af karta hai
khamir mein hi nahin is ke darguzar karna
rahe wo shad zamane mein sab ki hasrat hai
magar ye khwab hai aaya kise basar karna
bhale hi lakh hawalon ke sath kahte hain
magar wo sirf kitabon ki baat kahte hain
isi liye to safar mukhtasar nahin hote
isi liye to safar mukhtasar nahin hote
ham aise khana-ba-doshon ke ghar nahin hote
tamam 'umr vo chahkar ko taraste hain
jin 'alishan gharon men shajar nahin hote
nai dalil do is baar jitne ke liye
purane harbe sada kargar nahin hote
hamen khayal kahan aata zor-e-bazu ka
hamare naale agar be-asar nahin hote
main ziist se unhen minha shumar karta huun
tumhare saath jo lamhe basar nahin hote
jahan jahan bhi zaruri ho un ka hona vahin
mire rafiq mire charagar nahin hote
hava ke haath pe bai'at ka sochne lage hain
kuchh is liye bhi diye baam par nahin hote
bahut si nisbaten hoti hain sharm ka ba'is
havale saare kabhi mo'tabar nahin hote
kabhi kabhi jinhen ham apna maan lete hain
dikhai dete hain apne magar nahin hote
jo bachpane hi men jazbon ko thes lag jaae
to marne lagte hain phir jan-bar nahin hote
muqable ke liye saaf khuun lazim hai
munafiqin to sina-sipar nahin hote
janab chahne valon se duur hote nahin
jo ho bhi jaaen agar is qadar nahin hote
dikhai dena kahan hota hai 'umuq-nazari
jo dekh sakte hain sab dida-var nahin hote
isi liye to safar mukhtasar nahin hote
hum aise khana-ba-doshon ke ghar nahin hote
tamam 'umr wo chahkar ko taraste hain
jin 'alishan gharon mein shajar nahin hote
nai dalil do is bar jitne ke liye
purane harbe sada kargar nahin hote
hamein khayal kahan aata zor-e-bazu ka
hamare nale agar be-asar nahin hote
main zist se unhen minha shumar karta hun
tumhaare sath jo lamhe basar nahin hote
jahan jahan bhi zaruri ho un ka hona wahin
mere rafiq mere chaaragar nahin hote
hawa ke hath pe bai'at ka sochne lage hain
kuchh is liye bhi diye baam par nahin hote
bahut si nisbaten hoti hain sharm ka ba'is
hawale sare kabhi mo'tabar nahin hote
kabhi kabhi jinhen hum apna man lete hain
dikhai dete hain apne magar nahin hote
jo bachpane hi mein jazbon ko thes lag jae
to marne lagte hain phir jaan-bar nahin hote
muqable ke liye saf khun lazim hai
munafiqin to sina-sipar nahin hote
janab chahne walon se dur hote nahin
jo ho bhi jaen agar is qadar nahin hote
dikhai dena kahan hota hai 'umuq-nazari
jo dekh sakte hain sab dida-war nahin hote
pahad sar kiye tab ja ke itna kaam hua
pahad sar kiye tab ja ke itna kaam hua
zara si der main fitrat se ham-kalam hua
baghhair is ke bata kya hua hai duniya men
hamari baat hui ya tumhara naam hua
hamen to ranj uthane ki yuun bhi 'adat thi
hamare saath khajil ek khush-khiram hua
ye fath-e-sina-e-yaran tumhen mubarak ho
ye dil jo mera nahin tha tira ghhulam hua
ham ek phuul ki sangat men ye bhi bhuul gae
kahan safar tha hamara kahan qayam hua
hazar koshish-e-paiham ke ba-vajud kabhi
ghhanim-e-shahr ka mujh se na ehtiram hua
pahad sar kiye tab ja ke itna kaam hua
zara si der main fitrat se ham-kalam hua
baghair is ke bata kya hua hai duniya mein
hamari baat hui ya tumhaara nam hua
hamein to ranj uthane ki yun bhi 'adat thi
hamare sath khajil ek khush-khiram hua
ye fath-e-sina-e-yaran tumhein mubarak ho
ye dil jo mera nahin tha tera ghulam hua
hum ek phul ki sangat mein ye bhi bhul gae
kahan safar tha hamara kahan qayam hua
hazar koshish-e-paiham ke ba-wajud kabhi
ghanim-e-shahr ka mujh se na ehtiram hua
kahe jate hain wo aisa nahin hai
kahe jaate hain vo aisa nahin hai
sukun dil ko magar hota nahin hai
nahin aisa na tha vaisa nahin hai
bahana par koi achchha nahin hai
har ik ke masale hain is jahan men
tumhara masala anqa nahin hai
ba-juz tifli javani aur piiri
yahan rasta koi chautha nahin hai
tire chehre ki ye jo tamkanat hai
pareshan dil hai ye gahna nahin hai
ghata ankhon ke niche ghul rahi hai
thakan se husn bhi bachta nahin hai
na hairan ho jo paani ghar men utre
ba-juz pasti ke ye bahta nahin hai
kahe jate hain wo aisa nahin hai
sukun dil ko magar hota nahin hai
nahin aisa na tha waisa nahin hai
bahana par koi achchha nahin hai
har ek ke masale hain is jahan mein
tumhaara masala anqa nahin hai
ba-juz tifli jawani aur piri
yahan rasta koi chautha nahin hai
tere chehre ki ye jo tamkanat hai
pareshan dil hai ye gahna nahin hai
ghata aankhon ke niche ghul rahi hai
thakan se husn bhi bachta nahin hai
na hairan ho jo pani ghar mein utre
ba-juz pasti ke ye bahta nahin hai
You have reached the end.