kis ne bhige hue baalon se ye jhatka pani jhum ke aai ghata tut ke barsa pani
Poetry Collection
Water
Water par curated selection jahan sher, ghazal aur nazm ko readable format me discover kiya ja sakta hai.
Total
39
Sher
28
Ghazal
11
Nazm
0
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
kis ne bhige hue baalon se ye jhatka pani jhum ke aai ghata tut ke barsa pani
agar fursat mile pani ki tahriron ko padh lena har ek dariya hazaron sal ka afsana likhta hai
tum us ke pas ho jis ko tumhaari chah na thi kahan pe pyas thi dariya kahan banaya gaya
ye pani khamushi se bah raha hai ise dekhen ki is mein dub jaen
main ne apni khushk aankhon se lahu chhalka diya ek samundar kah raha tha mujh ko pani chahiye
wo jo pyasa lagta tha sailab-zada tha pani pani kahte kahte dub gaya hai
hum intizar karen hum ko itni tab nahin pila do tum hamein pani agar sharab nahin
ubalte waqt pani sochta hoga zarur agar bartan na hota to batata aag ko
dur tak phaila hua pani hi pani har taraf ab ke baadal ne bahut ki mehrbani har taraf
aisi pyas aur aisa sabr dariya pani pani hai
andar andar khokhle ho jate hain ghar jab diwaron mein pani bhar jata hai
hairan mat ho tairti machhli ko dekh kar pani mein raushni ko utarte hue bhi dekh
agar ai nakhuda tufan se ladne ka dam-kham hai idhar kashti na le aana yahan pani bahut kam hai
wo majburi maut hai jis mein kase ko buniyaad mile pyas ki shiddat jab badhti hai dar lagta hai pani se
us se kahna ki dhuan dekhne laeq hoga aag pahne hue jaunga main pani ki taraf
harf apne hi maani ki tarah hota hai pyas ka zaiqa pani ki tarah hota hai
hansta pani rota pani mujh ko aawazen deta tha
dosto dhund ke hum sa koi pyasa lao hum to aansu bhi jo pite hain to pani ki tarah
wo dhup thi ki zamin jal ke rakh ho jati baras ke ab ke bada kaam kar gaya pani
qisse se tere meri kahani se ziyaada pani mein hai kya aur bhi pani se ziyaada
anginat safinon mein dip jagmagate hain raat ne lutaya hai rang-o-nur pani par
jinhen hum bulbula pani ka dikhte hain kaho un se nazar ho dekhne wali to bahr-e-be-karan hum hain
khak hun udta hun sach hai ki main aawara-mizaj pani hota bhi to sailab mein dekha jata
kaunsa nam den aisi barsat ko jis ke daman mein pani bhi hai aag bhi huk uthti rahi ruh jalti rahi dil pighalta raha ashk dhalte rahe
pani ne jise dhup ki mitti se banaya wo daera-e-rabt bigadne ke liye tha
jo tu aaina rakh kar samne zewar pahanta hai teri baali ki machhli tairti hai yar pani mein
kisi bhi pyas ke mare ki pyas bujh na saki samundaron mein to aate rahe uchhaal bahut
wo pani mein jab apni chhab dekhta hai to main bhi nadi chandni mein nahate hue dekhta hun
You have reached the end.
Explore Similar Collections
Water FAQs
Water collection me kya milega?
Water se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.