ras un aankhon ka hai kahne ko zara sa pani
ras un ankhon ka hai kahne ko zara sa paani
sainkadon duub gae phir bhi hai itna paani
aankh se bah nahin sakta hai bharam ka paani
phuut bhi jaega chhala to na dega paani
chaah men paun kahan aas ka mitha paani
pyaas bhadki hui hai aur nahin milta paani
dil se lauka jo utha aankh se tapka paani
aag se aaj nikalte hue dekha paani
kis ne bhige hue balon se ye jhatka paani
jhuum kar aai ghata tuut ke barsa paani
phailti dhuup ka hai ruup ladakpan ka uthan
dopahar dhalte hi utrega ye chadhta paani
tiktiki bandhe vo takte hain main is ghaat men huun
kahin khane lage chakkar na ye thahra paani
koi matvali ghata thi ki javani ki umang
ji baha le gaya barsat ka pahla paani
haath jal jaega chhala na kaleje ka chhuo
aag mutthi men dabi hai na samajhna paani
ras hi ras jin men hai phir sail zara si bhi nahin
mangta hai kahin un ankhon ka maara paani
na sata us ko jo chup rah ke bhare thandi saans
ye hava karti hai patthar ka kaleja paani
ye pasina vahi aansu hain jo pi jaate the ham
'arzu' lo vo khula bhed vo tuuta paani
ras un aankhon ka hai kahne ko zara sa pani
sainkadon dub gae phir bhi hai itna pani
aankh se bah nahin sakta hai bharam ka pani
phut bhi jaega chhaala to na dega pani
chah mein paun kahan aas ka mitha pani
pyas bhadki hui hai aur nahin milta pani
dil se lauka jo utha aankh se tapka pani
aag se aaj nikalte hue dekha pani
kis ne bhige hue baalon se ye jhatka pani
jhum kar aai ghata tut ke barsa pani
phailti dhup ka hai rup ladakpan ka uthan
dopahar dhalte hi utrega ye chadhta pani
tiktiki bandhe wo takte hain main is ghat mein hun
kahin khane lage chakkar na ye thahra pani
koi matwali ghata thi ki jawani ki umang
ji baha le gaya barsat ka pahla pani
hath jal jaega chhaala na kaleje ka chhuo
aag mutthi mein dabi hai na samajhna pani
ras hi ras jin mein hai phir sail zara si bhi nahin
mangta hai kahin un aankhon ka mara pani
na sata us ko jo chup rah ke bhare thandi sans
ye hawa karti hai patthar ka kaleja pani
ye pasina wahi aansu hain jo pi jate the hum
'arzu' lo wo khula bhed wo tuta pani
ajib manzar hai barishon ka makan pani mein bah raha hai
ajiib manzar hai barishon ka makan paani men bah raha hai
falak zamin ki hudud men hai nishan paani men bah raha hai
tamam faslen ujad chuki hain na hal bacha hai na bail baaqi
kisan girvi rakha hua hai lagan paani men bah raha hai
azaab utra to paanv sab ke zamin ki sathon se aa lage hain
hava ke ghar men nahin hai koi machan paani men bah raha hai
koi kisi ko nahin bachata sab apni khatir hi tairte hain
ye din qayamat ka din ho jaise jahan paani men bah raha hai
udaas ankhon ke badalon ne dilon ke gard-o-ghhubar dhoe
yaqin patthar bana khada hai guman paani men bah raha hai
ajib manzar hai barishon ka makan pani mein bah raha hai
falak zamin ki hudud mein hai nishan pani mein bah raha hai
tamam faslen ujad chuki hain na hal bacha hai na bail baqi
kisan girwi rakha hua hai lagan pani mein bah raha hai
azab utra to panw sab ke zamin ki sathon se aa lage hain
hawa ke ghar mein nahin hai koi machan pani mein bah raha hai
koi kisi ko nahin bachata sab apni khatir hi tairte hain
ye din qayamat ka din ho jaise jahan pani mein bah raha hai
udas aankhon ke baadalon ne dilon ke gard-o-ghubar dhoe
yaqin patthar bana khada hai guman pani mein bah raha hai
sham aankhon mein aankh pani mein
shaam ankhon men aankh paani men
aur paani sara-e-fani men
jhilmilate hain kashtiyon men diye
pul khade so rahe hain paani men
khaak ho jaegi zamin ik din
asmanon ki asmani men
vo hava hai use kahan dhundun
aag men khaak men ki paani men
aa pahadon ki tarah samne aa
in dinon main bhi huun ravani men
sham aankhon mein aankh pani mein
aur pani sara-e-fani mein
jhilmilate hain kashtiyon mein diye
pul khade so rahe hain pani mein
khak ho jaegi zamin ek din
aasmanon ki aasmani mein
wo hawa hai use kahan dhundun
aag mein khak mein ki pani mein
aa pahadon ki tarah samne aa
in dinon main bhi hun rawani mein
baithe hain sunahri kashti mein aur samne nila pani hai
baithe hain sunahri kashti men aur samne niila paani hai
vo hansti ankhen puchhti hain ye kitna gahra paani hai
betab hava ke jhonkon ki fariyad sune to kaun sune
maujon pe tadapti kashti hai aur gunga bahra paani hai
har mauj men giryan rahta hai girdab men raqsan rahta hai
betab bhi hai be-khvab bhi hai ye kaisa zinda paani hai
basti ke gharon ko kya dekhe buniyad ki hurmat kya jaane
sailab ka shikva kaun kare sailab to andha paani hai
is basti men is dharti par sairabi-e-jan ka haal na puchh
yaan ankhon ankhon aansu hain aur dariya dariya paani hai
ye raaz samajh men kab aata ankhon ki nami se samjha huun
is gard-o-ghhubar ki duniya men har chiiz se sachcha paani hai
baithe hain sunahri kashti mein aur samne nila pani hai
wo hansti aankhen puchhti hain ye kitna gahra pani hai
betab hawa ke jhonkon ki fariyaad sune to kaun sune
maujon pe tadapti kashti hai aur gunga bahra pani hai
har mauj mein giryan rahta hai girdab mein raqsan rahta hai
betab bhi hai be-khwab bhi hai ye kaisa zinda pani hai
basti ke gharon ko kya dekhe buniyaad ki hurmat kya jaane
sailab ka shikwa kaun kare sailab to andha pani hai
is basti mein is dharti par sairabi-e-jaan ka haal na puchh
yan aankhon aankhon aansu hain aur dariya dariya pani hai
ye raaz samajh mein kab aata aankhon ki nami se samjha hun
is gard-o-ghubar ki duniya mein har chiz se sachcha pani hai
ujla tera bartan hai aur saf tera pani
ujla tira bartan hai aur saaf tira paani
ik umr ka pyasa huun mujh ko bhi pila paani
hai ik khat-e-nadida dariya-e-mohabbat men
hota hai jahan aa kar paani se juda paani
donon hi to sachche the ilzam kise dete
kanon ne kaha sahra ankhon ne suna paani
kya kya na mili mitti kya kya na dhuan phaila
kaala na hua sabza maila na hua paani
jab shaam utarti hai kya dil pe guzarti hai
sahil ne bahut puchha khamosh raha paani
phir dekh ki ye duniya kaisi nazar aati hai
'mushtaq' mai-e-ghham men thoda sa mila paani
ujla tera bartan hai aur saf tera pani
ek umr ka pyasa hun mujh ko bhi pila pani
hai ek khat-e-nadida dariya-e-mohabbat mein
hota hai jahan aa kar pani se juda pani
donon hi to sachche the ilzam kise dete
kanon ne kaha sahra aankhon ne suna pani
kya kya na mili mitti kya kya na dhuan phaila
kala na hua sabza maila na hua pani
jab sham utarti hai kya dil pe guzarti hai
sahil ne bahut puchha khamosh raha pani
phir dekh ki ye duniya kaisi nazar aati hai
'mushtaq' mai-e-gham mein thoda sa mila pani
kya kahte kya ji mein tha
kya kahte kya ji men tha
shor bahut basti men tha
pahli buund giri tap se
phir sab kuchh paani men tha
chhaten girin ghar baith gae
zor aisa andhi men tha
maujen sahil phand gaiin
dariya gali gali men tha
meri laash nahin hai ye
kya itna bhari main tha
akhir tufan guzar gaya
dekha to baaqi main tha
chhod gaya mujh ko 'alvi'
shayad vo jaldi men tha
kya kahte kya ji mein tha
shor bahut basti mein tha
pahli bund giri tap se
phir sab kuchh pani mein tha
chhaten girin ghar baith gae
zor aisa aandhi mein tha
maujen sahil phand gain
dariya gali gali mein tha
meri lash nahin hai ye
kya itna bhaari main tha
aakhir tufan guzar gaya
dekha to baqi main tha
chhod gaya mujh ko 'alwi'
shayad wo jaldi mein tha
sahra sagar sab pani
sahra sagar sab paani
sabza banjar sab paani
avval avval paani tha
akhir akhir sab paani
paani paani shahr-panah
masjid mandar sab paani
koi din aisa hoga
sahra sagar sab paani
mustaqbil mitti ka dher
maazi khandar sab paani
aag dhamake khuun dhuan
neze lashkar sab paani
saari duniya danvadol
dharti sagar sab paani
andar andar aag dhuan
jism ke bahar sab paani
saare movahhid paani ke
phuul mujavar sab paani
sahra sagar sab pani
sabza banjar sab pani
awwal awwal pani tha
aakhir aakhir sab pani
pani pani shahr-panah
masjid mandar sab pani
koi din aisa hoga
sahra sagar sab pani
mustaqbil mitti ka dher
mazi khandar sab pani
aag dhamake khun dhuan
neze lashkar sab pani
sari duniya danwadol
dharti sagar sab pani
andar andar aag dhuan
jism ke bahar sab pani
sare mowahhid pani ke
phul mujawar sab pani
tamam raat chhaton par baras gaya pani
tamam raat chhaton par baras gaya paani
savera hote hi basti men bas gaya paani
piya ki banhon men dulhan ko kas gaya paani
andheri raat men birhan ko das gaya paani
bada hi naaz tha apni khunuk-mizaji par
zamin ke tapte tave par jhulas gaya paani
vo napta raha dharti ke sab nasheb-o-faraz
fareb-e-rahat-e-mandan men phans gaya paani
nahane aai thi ganda hai kah ke laut gai
kisi ko chhune ki khatir taras gaya paani
tamam raat chhaton par baras gaya pani
sawera hote hi basti mein bas gaya pani
piya ki banhon mein dulhan ko kas gaya pani
andheri raat mein birhan ko das gaya pani
bada hi naz tha apni khunuk-mizaji par
zamin ke tapte tawe par jhulas gaya pani
wo napta raha dharti ke sab nasheb-o-faraaz
fareb-e-rahat-e-mandan mein phans gaya pani
nahane aai thi ganda hai kah ke laut gai
kisi ko chhune ki khatir taras gaya pani
duboegi buto ye jism dariya-bar pani mein
duboegi buto ye jism dariya-bar paani men
banegi mauj bhi mere liye zunnar paani men
ghhubar-e-dida-tar se takaddur dil ka zahir hai
tamasha hai uthi mitti ki ik divar paani men
tan-e-be-jan men jaan aai hai abru ke ishare se
bujhi thi chashma-e-haivan ki ye talvar paani men
yahi rona hai furqat men to jaan ankhon se niklegi
hai murghh-e-abi udne ke liye tayyar paani men
hamen kya ghhair ke kheton pe jo abr-e-karam barsa
na aai apni janib to kabhi bauchhar paani men
tadapta huun main ro ro ke khayal-e-mushaf-rukh men
ki ghhusl-e-irtimasi karte hain din-dar paani men
mire rone pe vo hanste hain to aghhyar jalte hain
tilism-e-taza hai bad-gil hue finnar paani men
hue ghharq-e-araq jo sharm-e-isyan se vo paak utthe
hua karte hain paida gauhar-e-shahvar paani men
na hogi abru-e-arzi to jauhar-e-zati
piyen sone ka paani bhi agar zardar paani men
jo tu aina rakh kar samne zevar pahanta hai
tiri baali ki machhli tairti hai yaar paani men
sharab-e-nab hai ik qism ka paani hai ai zahid
abas kyuun hai tujhe ai na samajh inkar paani men
latifuttaba juz rahat nahin dete kabhi iiza
nahin mumkin ki paida ho chhuri ki dhaar paani men
bana dete hain dam men saikdon gumbad hababon ke
khuda ki shaan rahte hain ajab meamar paani men
duboegi buto ye jism dariya-bar pani mein
banegi mauj bhi mere liye zunnar pani mein
ghubar-e-dida-tar se takaddur dil ka zahir hai
tamasha hai uthi mitti ki ek diwar pani mein
tan-e-be-jaan mein jaan aai hai abru ke ishaare se
bujhi thi chashma-e-haiwan ki ye talwar pani mein
yahi rona hai furqat mein to jaan aankhon se niklegi
hai murgh-e-abi udne ke liye tayyar pani mein
hamein kya ghair ke kheton pe jo abr-e-karam barsa
na aai apni jaanib to kabhi bauchhaar pani mein
tadapta hun main ro ro ke khayal-e-mushaf-rukh mein
ki ghusl-e-irtimasi karte hain din-dar pani mein
mere rone pe wo hanste hain to aghyar jalte hain
tilism-e-taza hai bad-gil hue finnar pani mein
hue gharq-e-araq jo sharm-e-isyan se wo pak utthe
hua karte hain paida gauhar-e-shahwar pani mein
na hogi aabru-e-arzi to jauhar-e-zati
piyen sone ka pani bhi agar zardar pani mein
jo tu aaina rakh kar samne zewar pahanta hai
teri baali ki machhli tairti hai yar pani mein
sharab-e-nab hai ek qism ka pani hai ai zahid
abas kyun hai tujhe ai na samajh inkar pani mein
latifuttaba juz rahat nahin dete kabhi iza
nahin mumkin ki paida ho chhuri ki dhaar pani mein
bana dete hain dam mein saikdon gumbad hababon ke
khuda ki shan rahte hain ajab meamar pani mein
har-chand be-nawa hai kore ghade ka pani
har-chand be-nava hai kore ghade ka paani
divan 'mir' ka hai kore ghade ka paani
uplon ki aag ab tak hathon se jhankti hai
ankhon men jagta hai kore ghade ka paani
jab mangte hain saare angur ke sharare
apni yahi sada hai kore ghade ka paani
kaghhaz pe kaise thahren misre miri ghhazal ke
lafzon men bah raha hai kore ghade ka paani
khana-ba-dosh chhori takti hai chori chori
us ka to aaina hai kore ghade ka paani
chidiyon si chahchahaen panghat pe jab bhi sakhiyan
chup-chap ro diya hai kore ghade ka paani
us ke lahu men shayad tasir ho vafa ki
jis ne kabhi piya hai kore ghade ka paani
izzat zamir mehnat danish hunar mohabbat
lekin kabhi bika hai kore ghade ka paani
dekhun jo chandni men lagta hai mujh ko 'aslam'
pighli hui dua hai kore ghade ka paani
har-chand be-nawa hai kore ghade ka pani
diwan 'mir' ka hai kore ghade ka pani
uplon ki aag ab tak hathon se jhankti hai
aankhon mein jagta hai kore ghade ka pani
jab mangte hain sare angur ke sharare
apni yahi sada hai kore ghade ka pani
kaghaz pe kaise thahren misre meri ghazal ke
lafzon mein bah raha hai kore ghade ka pani
khana-ba-dosh chhori takti hai chori chori
us ka to aaina hai kore ghade ka pani
chidiyon si chahchahaen panghat pe jab bhi sakhiyan
chup-chap ro diya hai kore ghade ka pani
us ke lahu mein shayad tasir ho wafa ki
jis ne kabhi piya hai kore ghade ka pani
izzat zamir mehnat danish hunar mohabbat
lekin kabhi bika hai kore ghade ka pani
dekhun jo chandni mein lagta hai mujh ko 'aslam'
pighli hui dua hai kore ghade ka pani
bala ki pyas thi hadd-e-nazar mein pani tha
bala ki pyaas thi hadd-e-nazar men paani tha
ki aaj khvab men sahra tha ghar men paani tha
phir is ke baad miri raat be-misal hui
udhar vo shoala-badan tha idhar men paani tha
na jaane khaak ke mizhgan pe abshar tha kya
mira qusur tha mere sharar men paani tha
tamam umr ye uqda na va hua mujh par
ki haath men tha ya chashm-e-khizar men paani tha
ajiib dasht-e-tamanna se tha guzar 'khalid'
badan men reg-e-ravan thi safar men paani tha
bala ki pyas thi hadd-e-nazar mein pani tha
ki aaj khwab mein sahra tha ghar mein pani tha
phir is ke baad meri raat be-misal hui
udhar wo shoala-badan tha idhar mein pani tha
na jaane khak ke mizhgan pe aabshaar tha kya
mera qusur tha mere sharar mein pani tha
tamam umr ye uqda na wa hua mujh par
ki hath mein tha ya chashm-e-khizar mein pani tha
ajib dasht-e-tamanna se tha guzar 'khalid'
badan mein reg-e-rawan thi safar mein pani tha
You have reached the end.