kis ne bhige hue baalon se ye jhatka pani jhum ke aai ghata tut ke barsa pani
Poetry Collection
Water
Water par curated selection jahan sher, ghazal aur nazm ko readable format me discover kiya ja sakta hai.
Total
39
Sher
28
Ghazal
11
Nazm
0
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
agar fursat mile pani ki tahriron ko padh lena har ek dariya hazaron sal ka afsana likhta hai
ajib manzar hai barishon ka makan pani mein bah raha hai
ajiib manzar hai barishon ka makan paani men bah raha hai falak zamin ki hudud men hai nishan paani men bah raha hai tamam faslen ujad chuki hain na hal bacha hai na bail baaqi kisan girvi rakha hua hai lagan paani men bah raha hai azaab utra to paanv sab ke zamin ki sathon se aa lage hain hava ke ghar men nahin hai koi machan paani men bah raha hai koi kisi ko nahin bachata sab apni khatir hi tairte hain ye din qayamat ka din ho jaise jahan paani men bah raha hai udaas ankhon ke badalon ne dilon ke gard-o-ghhubar dhoe yaqin patthar bana khada hai guman paani men bah raha hai ajib manzar hai barishon ka makan pani mein bah raha hai falak zamin ki hudud mein hai nishan pani mein bah raha hai tamam faslen ujad chuki hain na hal bacha hai na bail baqi kisan girwi rakha hua hai lagan pani mein bah raha hai azab utra to panw sab ke zamin ki sathon se aa lage hain hawa ke ghar mein nahin hai koi machan pani mein bah raha hai koi kisi ko nahin bachata sab apni khatir hi tairte hain ye din qayamat ka din ho jaise jahan pani mein bah raha hai udas aankhon ke baadalon ne dilon ke gard-o-ghubar dhoe yaqin patthar bana khada hai guman pani mein bah raha hai
kis ne bhige hue baalon se ye jhatka pani jhum ke aai ghata tut ke barsa pani
ras un aankhon ka hai kahne ko zara sa pani
ras un ankhon ka hai kahne ko zara sa paani sainkadon duub gae phir bhi hai itna paani aankh se bah nahin sakta hai bharam ka paani phuut bhi jaega chhala to na dega paani chaah men paun kahan aas ka mitha paani pyaas bhadki hui hai aur nahin milta paani dil se lauka jo utha aankh se tapka paani aag se aaj nikalte hue dekha paani kis ne bhige hue balon se ye jhatka paani jhuum kar aai ghata tuut ke barsa paani phailti dhuup ka hai ruup ladakpan ka uthan dopahar dhalte hi utrega ye chadhta paani tiktiki bandhe vo takte hain main is ghaat men huun kahin khane lage chakkar na ye thahra paani koi matvali ghata thi ki javani ki umang ji baha le gaya barsat ka pahla paani haath jal jaega chhala na kaleje ka chhuo aag mutthi men dabi hai na samajhna paani ras hi ras jin men hai phir sail zara si bhi nahin mangta hai kahin un ankhon ka maara paani na sata us ko jo chup rah ke bhare thandi saans ye hava karti hai patthar ka kaleja paani ye pasina vahi aansu hain jo pi jaate the ham 'arzu' lo vo khula bhed vo tuuta paani ras un aankhon ka hai kahne ko zara sa pani sainkadon dub gae phir bhi hai itna pani aankh se bah nahin sakta hai bharam ka pani phut bhi jaega chhaala to na dega pani chah mein paun kahan aas ka mitha pani pyas bhadki hui hai aur nahin milta pani dil se lauka jo utha aankh se tapka pani aag se aaj nikalte hue dekha pani kis ne bhige hue baalon se ye jhatka pani jhum kar aai ghata tut ke barsa pani phailti dhup ka hai rup ladakpan ka uthan dopahar dhalte hi utrega ye chadhta pani tiktiki bandhe wo takte hain main is ghat mein hun kahin khane lage chakkar na ye thahra pani koi matwali ghata thi ki jawani ki umang ji baha le gaya barsat ka pahla pani hath jal jaega chhaala na kaleje ka chhuo aag mutthi mein dabi hai na samajhna pani ras hi ras jin mein hai phir sail zara si bhi nahin mangta hai kahin un aankhon ka mara pani na sata us ko jo chup rah ke bhare thandi sans ye hawa karti hai patthar ka kaleja pani ye pasina wahi aansu hain jo pi jate the hum 'arzu' lo wo khula bhed wo tuta pani
agar fursat mile pani ki tahriron ko padh lena har ek dariya hazaron sal ka afsana likhta hai
ajib manzar hai barishon ka makan pani mein bah raha hai
ajiib manzar hai barishon ka makan paani men bah raha hai falak zamin ki hudud men hai nishan paani men bah raha hai tamam faslen ujad chuki hain na hal bacha hai na bail baaqi kisan girvi rakha hua hai lagan paani men bah raha hai azaab utra to paanv sab ke zamin ki sathon se aa lage hain hava ke ghar men nahin hai koi machan paani men bah raha hai koi kisi ko nahin bachata sab apni khatir hi tairte hain ye din qayamat ka din ho jaise jahan paani men bah raha hai udaas ankhon ke badalon ne dilon ke gard-o-ghhubar dhoe yaqin patthar bana khada hai guman paani men bah raha hai ajib manzar hai barishon ka makan pani mein bah raha hai falak zamin ki hudud mein hai nishan pani mein bah raha hai tamam faslen ujad chuki hain na hal bacha hai na bail baqi kisan girwi rakha hua hai lagan pani mein bah raha hai azab utra to panw sab ke zamin ki sathon se aa lage hain hawa ke ghar mein nahin hai koi machan pani mein bah raha hai koi kisi ko nahin bachata sab apni khatir hi tairte hain ye din qayamat ka din ho jaise jahan pani mein bah raha hai udas aankhon ke baadalon ne dilon ke gard-o-ghubar dhoe yaqin patthar bana khada hai guman pani mein bah raha hai
tum us ke pas ho jis ko tumhaari chah na thi kahan pe pyas thi dariya kahan banaya gaya
sham aankhon mein aankh pani mein
shaam ankhon men aankh paani men aur paani sara-e-fani men jhilmilate hain kashtiyon men diye pul khade so rahe hain paani men khaak ho jaegi zamin ik din asmanon ki asmani men vo hava hai use kahan dhundun aag men khaak men ki paani men aa pahadon ki tarah samne aa in dinon main bhi huun ravani men sham aankhon mein aankh pani mein aur pani sara-e-fani mein jhilmilate hain kashtiyon mein diye pul khade so rahe hain pani mein khak ho jaegi zamin ek din aasmanon ki aasmani mein wo hawa hai use kahan dhundun aag mein khak mein ki pani mein aa pahadon ki tarah samne aa in dinon main bhi hun rawani mein
ye pani khamushi se bah raha hai ise dekhen ki is mein dub jaen
baithe hain sunahri kashti mein aur samne nila pani hai
baithe hain sunahri kashti men aur samne niila paani hai vo hansti ankhen puchhti hain ye kitna gahra paani hai betab hava ke jhonkon ki fariyad sune to kaun sune maujon pe tadapti kashti hai aur gunga bahra paani hai har mauj men giryan rahta hai girdab men raqsan rahta hai betab bhi hai be-khvab bhi hai ye kaisa zinda paani hai basti ke gharon ko kya dekhe buniyad ki hurmat kya jaane sailab ka shikva kaun kare sailab to andha paani hai is basti men is dharti par sairabi-e-jan ka haal na puchh yaan ankhon ankhon aansu hain aur dariya dariya paani hai ye raaz samajh men kab aata ankhon ki nami se samjha huun is gard-o-ghhubar ki duniya men har chiiz se sachcha paani hai baithe hain sunahri kashti mein aur samne nila pani hai wo hansti aankhen puchhti hain ye kitna gahra pani hai betab hawa ke jhonkon ki fariyaad sune to kaun sune maujon pe tadapti kashti hai aur gunga bahra pani hai har mauj mein giryan rahta hai girdab mein raqsan rahta hai betab bhi hai be-khwab bhi hai ye kaisa zinda pani hai basti ke gharon ko kya dekhe buniyaad ki hurmat kya jaane sailab ka shikwa kaun kare sailab to andha pani hai is basti mein is dharti par sairabi-e-jaan ka haal na puchh yan aankhon aankhon aansu hain aur dariya dariya pani hai ye raaz samajh mein kab aata aankhon ki nami se samjha hun is gard-o-ghubar ki duniya mein har chiz se sachcha pani hai
main ne apni khushk aankhon se lahu chhalka diya ek samundar kah raha tha mujh ko pani chahiye
ujla tera bartan hai aur saf tera pani
ujla tira bartan hai aur saaf tira paani ik umr ka pyasa huun mujh ko bhi pila paani hai ik khat-e-nadida dariya-e-mohabbat men hota hai jahan aa kar paani se juda paani donon hi to sachche the ilzam kise dete kanon ne kaha sahra ankhon ne suna paani kya kya na mili mitti kya kya na dhuan phaila kaala na hua sabza maila na hua paani jab shaam utarti hai kya dil pe guzarti hai sahil ne bahut puchha khamosh raha paani phir dekh ki ye duniya kaisi nazar aati hai 'mushtaq' mai-e-ghham men thoda sa mila paani ujla tera bartan hai aur saf tera pani ek umr ka pyasa hun mujh ko bhi pila pani hai ek khat-e-nadida dariya-e-mohabbat mein hota hai jahan aa kar pani se juda pani donon hi to sachche the ilzam kise dete kanon ne kaha sahra aankhon ne suna pani kya kya na mili mitti kya kya na dhuan phaila kala na hua sabza maila na hua pani jab sham utarti hai kya dil pe guzarti hai sahil ne bahut puchha khamosh raha pani phir dekh ki ye duniya kaisi nazar aati hai 'mushtaq' mai-e-gham mein thoda sa mila pani
wo jo pyasa lagta tha sailab-zada tha pani pani kahte kahte dub gaya hai
kya kahte kya ji mein tha
kya kahte kya ji men tha shor bahut basti men tha pahli buund giri tap se phir sab kuchh paani men tha chhaten girin ghar baith gae zor aisa andhi men tha maujen sahil phand gaiin dariya gali gali men tha meri laash nahin hai ye kya itna bhari main tha akhir tufan guzar gaya dekha to baaqi main tha chhod gaya mujh ko 'alvi' shayad vo jaldi men tha kya kahte kya ji mein tha shor bahut basti mein tha pahli bund giri tap se phir sab kuchh pani mein tha chhaten girin ghar baith gae zor aisa aandhi mein tha maujen sahil phand gain dariya gali gali mein tha meri lash nahin hai ye kya itna bhaari main tha aakhir tufan guzar gaya dekha to baqi main tha chhod gaya mujh ko 'alwi' shayad wo jaldi mein tha
sahra sagar sab pani
sahra sagar sab paani sabza banjar sab paani avval avval paani tha akhir akhir sab paani paani paani shahr-panah masjid mandar sab paani koi din aisa hoga sahra sagar sab paani mustaqbil mitti ka dher maazi khandar sab paani aag dhamake khuun dhuan neze lashkar sab paani saari duniya danvadol dharti sagar sab paani andar andar aag dhuan jism ke bahar sab paani saare movahhid paani ke phuul mujavar sab paani sahra sagar sab pani sabza banjar sab pani awwal awwal pani tha aakhir aakhir sab pani pani pani shahr-panah masjid mandar sab pani koi din aisa hoga sahra sagar sab pani mustaqbil mitti ka dher mazi khandar sab pani aag dhamake khun dhuan neze lashkar sab pani sari duniya danwadol dharti sagar sab pani andar andar aag dhuan jism ke bahar sab pani sare mowahhid pani ke phul mujawar sab pani
hum intizar karen hum ko itni tab nahin pila do tum hamein pani agar sharab nahin
ubalte waqt pani sochta hoga zarur agar bartan na hota to batata aag ko
tamam raat chhaton par baras gaya pani
tamam raat chhaton par baras gaya paani savera hote hi basti men bas gaya paani piya ki banhon men dulhan ko kas gaya paani andheri raat men birhan ko das gaya paani bada hi naaz tha apni khunuk-mizaji par zamin ke tapte tave par jhulas gaya paani vo napta raha dharti ke sab nasheb-o-faraz fareb-e-rahat-e-mandan men phans gaya paani nahane aai thi ganda hai kah ke laut gai kisi ko chhune ki khatir taras gaya paani tamam raat chhaton par baras gaya pani sawera hote hi basti mein bas gaya pani piya ki banhon mein dulhan ko kas gaya pani andheri raat mein birhan ko das gaya pani bada hi naz tha apni khunuk-mizaji par zamin ke tapte tawe par jhulas gaya pani wo napta raha dharti ke sab nasheb-o-faraaz fareb-e-rahat-e-mandan mein phans gaya pani nahane aai thi ganda hai kah ke laut gai kisi ko chhune ki khatir taras gaya pani
dur tak phaila hua pani hi pani har taraf ab ke baadal ne bahut ki mehrbani har taraf
duboegi buto ye jism dariya-bar pani mein
duboegi buto ye jism dariya-bar paani men banegi mauj bhi mere liye zunnar paani men ghhubar-e-dida-tar se takaddur dil ka zahir hai tamasha hai uthi mitti ki ik divar paani men tan-e-be-jan men jaan aai hai abru ke ishare se bujhi thi chashma-e-haivan ki ye talvar paani men yahi rona hai furqat men to jaan ankhon se niklegi hai murghh-e-abi udne ke liye tayyar paani men hamen kya ghhair ke kheton pe jo abr-e-karam barsa na aai apni janib to kabhi bauchhar paani men tadapta huun main ro ro ke khayal-e-mushaf-rukh men ki ghhusl-e-irtimasi karte hain din-dar paani men mire rone pe vo hanste hain to aghhyar jalte hain tilism-e-taza hai bad-gil hue finnar paani men hue ghharq-e-araq jo sharm-e-isyan se vo paak utthe hua karte hain paida gauhar-e-shahvar paani men na hogi abru-e-arzi to jauhar-e-zati piyen sone ka paani bhi agar zardar paani men jo tu aina rakh kar samne zevar pahanta hai tiri baali ki machhli tairti hai yaar paani men sharab-e-nab hai ik qism ka paani hai ai zahid abas kyuun hai tujhe ai na samajh inkar paani men latifuttaba juz rahat nahin dete kabhi iiza nahin mumkin ki paida ho chhuri ki dhaar paani men bana dete hain dam men saikdon gumbad hababon ke khuda ki shaan rahte hain ajab meamar paani men duboegi buto ye jism dariya-bar pani mein banegi mauj bhi mere liye zunnar pani mein ghubar-e-dida-tar se takaddur dil ka zahir hai tamasha hai uthi mitti ki ek diwar pani mein tan-e-be-jaan mein jaan aai hai abru ke ishaare se bujhi thi chashma-e-haiwan ki ye talwar pani mein yahi rona hai furqat mein to jaan aankhon se niklegi hai murgh-e-abi udne ke liye tayyar pani mein hamein kya ghair ke kheton pe jo abr-e-karam barsa na aai apni jaanib to kabhi bauchhaar pani mein tadapta hun main ro ro ke khayal-e-mushaf-rukh mein ki ghusl-e-irtimasi karte hain din-dar pani mein mere rone pe wo hanste hain to aghyar jalte hain tilism-e-taza hai bad-gil hue finnar pani mein hue gharq-e-araq jo sharm-e-isyan se wo pak utthe hua karte hain paida gauhar-e-shahwar pani mein na hogi aabru-e-arzi to jauhar-e-zati piyen sone ka pani bhi agar zardar pani mein jo tu aaina rakh kar samne zewar pahanta hai teri baali ki machhli tairti hai yar pani mein sharab-e-nab hai ek qism ka pani hai ai zahid abas kyun hai tujhe ai na samajh inkar pani mein latifuttaba juz rahat nahin dete kabhi iza nahin mumkin ki paida ho chhuri ki dhaar pani mein bana dete hain dam mein saikdon gumbad hababon ke khuda ki shan rahte hain ajab meamar pani mein
aisi pyas aur aisa sabr dariya pani pani hai
har-chand be-nawa hai kore ghade ka pani
har-chand be-nava hai kore ghade ka paani divan 'mir' ka hai kore ghade ka paani uplon ki aag ab tak hathon se jhankti hai ankhon men jagta hai kore ghade ka paani jab mangte hain saare angur ke sharare apni yahi sada hai kore ghade ka paani kaghhaz pe kaise thahren misre miri ghhazal ke lafzon men bah raha hai kore ghade ka paani khana-ba-dosh chhori takti hai chori chori us ka to aaina hai kore ghade ka paani chidiyon si chahchahaen panghat pe jab bhi sakhiyan chup-chap ro diya hai kore ghade ka paani us ke lahu men shayad tasir ho vafa ki jis ne kabhi piya hai kore ghade ka paani izzat zamir mehnat danish hunar mohabbat lekin kabhi bika hai kore ghade ka paani dekhun jo chandni men lagta hai mujh ko 'aslam' pighli hui dua hai kore ghade ka paani har-chand be-nawa hai kore ghade ka pani diwan 'mir' ka hai kore ghade ka pani uplon ki aag ab tak hathon se jhankti hai aankhon mein jagta hai kore ghade ka pani jab mangte hain sare angur ke sharare apni yahi sada hai kore ghade ka pani kaghaz pe kaise thahren misre meri ghazal ke lafzon mein bah raha hai kore ghade ka pani khana-ba-dosh chhori takti hai chori chori us ka to aaina hai kore ghade ka pani chidiyon si chahchahaen panghat pe jab bhi sakhiyan chup-chap ro diya hai kore ghade ka pani us ke lahu mein shayad tasir ho wafa ki jis ne kabhi piya hai kore ghade ka pani izzat zamir mehnat danish hunar mohabbat lekin kabhi bika hai kore ghade ka pani dekhun jo chandni mein lagta hai mujh ko 'aslam' pighli hui dua hai kore ghade ka pani
andar andar khokhle ho jate hain ghar jab diwaron mein pani bhar jata hai
bala ki pyas thi hadd-e-nazar mein pani tha
bala ki pyaas thi hadd-e-nazar men paani tha ki aaj khvab men sahra tha ghar men paani tha phir is ke baad miri raat be-misal hui udhar vo shoala-badan tha idhar men paani tha na jaane khaak ke mizhgan pe abshar tha kya mira qusur tha mere sharar men paani tha tamam umr ye uqda na va hua mujh par ki haath men tha ya chashm-e-khizar men paani tha ajiib dasht-e-tamanna se tha guzar 'khalid' badan men reg-e-ravan thi safar men paani tha bala ki pyas thi hadd-e-nazar mein pani tha ki aaj khwab mein sahra tha ghar mein pani tha phir is ke baad meri raat be-misal hui udhar wo shoala-badan tha idhar mein pani tha na jaane khak ke mizhgan pe aabshaar tha kya mera qusur tha mere sharar mein pani tha tamam umr ye uqda na wa hua mujh par ki hath mein tha ya chashm-e-khizar mein pani tha ajib dasht-e-tamanna se tha guzar 'khalid' badan mein reg-e-rawan thi safar mein pani tha
hairan mat ho tairti machhli ko dekh kar pani mein raushni ko utarte hue bhi dekh
agar ai nakhuda tufan se ladne ka dam-kham hai idhar kashti na le aana yahan pani bahut kam hai
wo majburi maut hai jis mein kase ko buniyaad mile pyas ki shiddat jab badhti hai dar lagta hai pani se
us se kahna ki dhuan dekhne laeq hoga aag pahne hue jaunga main pani ki taraf
harf apne hi maani ki tarah hota hai pyas ka zaiqa pani ki tarah hota hai
hansta pani rota pani mujh ko aawazen deta tha
dosto dhund ke hum sa koi pyasa lao hum to aansu bhi jo pite hain to pani ki tarah
wo dhup thi ki zamin jal ke rakh ho jati baras ke ab ke bada kaam kar gaya pani
Explore Similar Collections
Water FAQs
Water collection me kya milega?
Water se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.