ghazalKuch Alfaaz

tu qarib aae to qurbat ka yuun izhar karun aaina samne rakh kar tira didar karun samne tere karun haar ka apni elaan aur akele men tiri jiit se inkar karun pahle sochun use phir us ki banaun tasvir aur phir us men hi paida dar-o-divar karun mire qabze men na mitti hai na badal na hava phir bhi chahat hai ki har shakh samar-bar karun subh hote hi ubhar aati hai salim ho kar vahi divar jise roz main mismar karun tu qarib aae to qurbat ka yun izhaar karun aaina samne rakh kar tera didar karun samne tere karun haar ka apni elan aur akele mein teri jit se inkar karun pahle sochun use phir us ki banaun taswir aur phir us mein hi paida dar-o-diwar karun mere qabze mein na mitti hai na baadal na hawa phir bhi chahat hai ki har shakh samar-bar karun subh hote hi ubhar aati hai salim ho kar wahi diwar jise roz main mismar karun

Related Ghazal

gale to lagana hai usse kaho abhii lag jaa.e yahii na ho meraa uske baghair jee lag jaa.e main aa raha hooñ tere paas ye na ho ki kahii teraa mazaak ho aur meri zindagi lag jaa.e agar koi teri raftaar maapne nikle dimaagh kya hai jahaanon ki raushni lag jaa.e tu haath utha nahin saka to meraa haath pakad tujhe dua nahin lagti to shayari lag jaa.e pata karunga andhere men kis se milta hai aur is amal men mujhe chahe aag bhi lag jaa.e hamaare haath hi jalte rahenge cigarette se k abhii tumhaare bhi kapdon pe istree lag jaa.e har ek baat ka matlab nikaalne waalon tumhaare naam ke aage na matlabi lag jaa.e classroom ho ya hashr kaise mumkin hai hamaare hote teri ghair-haaziri lag jaa.e main pichhle bees baras se teri girift men hooñ ke itne der men to koi aayi jee lag jaa.e

Tehzeeb Hafi

124 likes

kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin milta kahii zameen kahii aasmaañ nahin milta tamaam shahar men aisa nahin khuloos na ho jahaan umeed ho is ki vahaañ nahin milta kahaan charaaghh jalaaen kahaan gulaab rakhen chaten to milti hain lekin makaan nahin milta ye kya azaab hai sab apne aap men gum hain zabaan mili hai magar ham-zabaan nahin milta charaaghhh jalte hi beenaai bujhne lagti hai KHud apne ghar men hi ghar ka nishaan nahin milta

Nida Fazli

37 likes

har ek baat pe kahte ho tum ki tu kya hai tumheen kaho ki ye andaaz-e-guftugu kya hai na shole men ye karishma na barq men ye ada koi batao ki vo shokh-e-tund-khoo kya hai ye rashk hai ki vo hota hai hum-sukhan tum se vagarna khauf-e-bad-aamoozi-e-adu kya hai chipak raha hai badan par lahu se pairaahan hamaare jaib ko ab haajat-e-rafu kya hai jala hai jism jahaan dil bhi jal gaya hogaa kuredte ho jo ab raakh justuju kya hai ragon men daudte firne ke ham nahin qaail jab aankh hi se na tapka to phir lahu kya hai vo cheez jis ke li.e ham ko ho behisht aziz sivaae baada-e-gulfaam-e-mushk-boo kya hai piyuun sharaab agar khum bhi dekh luun do-chaar ye sheesha o qadah o kuzaa o suboo kya hai rahi na taqat-e-guftaar aur agar ho bhi to kis umeed pe kahiye ki aarzoo kya hai hua hai shah ka musahib phire hai itraata vagarna shahar men ghalib ki aabroo kya hai

Mirza Ghalib

32 likes

hamaara dil savere ka sunhara jaam ho jaa.e charaaghon ki tarah aañkhen jalen jab shaam ho jaa.e kabhi to aasmaañ se chaand utre jaam ho jaa.e tumhaare naam ki ik KHoob-soorat shaam ho jaa.e ajab haalaat the yuñ dil ka sauda ho gaya aaKHir mohabbat ki haveli jis tarah neelaam ho jaa.e samundar ke safar men is tarah awaaz de ham ko hawaaein tez hon aur kashtiyon men shaam ho jaa.e mujhe maaloom hai us ka thikaana phir kahaan hogaa parinda aasmaañ choone men jab naakaam ho jaa.e ujaale apni yaadon ke hamaare saath rahne dona jaane kis gali men zindagi ki shaam ho jaa.e

Bashir Badr

22 likes

ye saath aath padosi kahaan se aa.e mere tumhaare dil men to koi na tha sivaae mere kisi ne paas bithaaya bas aage yaad nahin mujhe to dost vahaañ se utha ke l aa.e mere ye soch kar na ki.e apne dard uske supurd vo laalchi hai asaase na bech kh aa.e mere idhar kidhar tu naya hai yahaañ ki paagal hai kisi ne kya tujhe qisse nahin sun aa.e mere vo aazm aa.e mere dost ko zaroor magar use kaho ki tarike na aazm aa.e mere

Umair Najmi

59 likes

More from Nida Fazli

din saleeqe se ugaa raat thikaane se rahi dosti apni bhi kuchh roz zamaane se rahi chand lamhon ko hi banti hain musavvir aañkhen zindagi roz to tasveer banaane se rahi is andhere men to thokar hi ujaala degi raat jungle men koi shama' jalane se rahi fasla chaand banaa deta hai har patthar ko door ki raushni nazdeek to aane se rahi shahar men sab ko kahaan milti hai rone ki jagah apni izzat bhi yahaañ hansne hansaane se rahi

Nida Fazli

0 likes

jaane waalon se raabta rakhna dosto rasm-e-faatihah rakhna ghar ki ta'aamir chahe jaisi hous men rone ki kuchh jagah rakhna masjidein hain namaaziyo ke li.e apne ghar men kahii KHuda rakhna jism men failne laga hai shahar apni tanhaaiyaan bacha rakhna milna-julna jahaan zaroori hai milne-julne ka hausla rakhna umr karne ko hai pachaas ko paar kaun hai kis jagah pata rakhna

Nida Fazli

1 likes

chahten mausami parinde hain rut badalte hi laut jaate hain ghonsle ban ke toot jaate hain daagh shaakhon pe chahchahaate hain aane waale bayaaz men apni jaane waalon ke naam likhte hain sab hi auron ke khaali kamron ko apni apni tarah sajaate hain maut ik waahima hai nazaron ka saath chhutta kahaan hai apnon ka jo zameen par nazar nahin aate chaand taaron men jagmagate hain ye musavvir ajeeb hote hain aap apne habeeb hote hain doosron ki shabahtein le kar apni tasveer hi banaate hain yuñ hi chaltaa hai kaarobaar-e-jahaan hai zaroori har ek cheez yahaañ jin darakhton men phal nahin aate vo jalane ke kaam aate hain

Nida Fazli

0 likes

har ghadi KHud se uljhana hai muqaddar meraa main hi kashtii hooñ mujhi men hai samundar meraa kis se poochoon ki kahaan gum hooñ kaii barson se har jagah dhoondhta firta hai mujhe ghar meraa ek se ho ga.e mausamon ke chehre saare meri aankhoñ se kahii kho gaya manzar meraa muddatein beet gaiin KHvaab suhaana dekhe jaagta rehta hai har neend men bistar meraa aaina dekh ke niklaa tha main ghar se baahar aaj tak haath men mahfooz hai patthar meraa

Nida Fazli

1 likes

tu qareeb aa.e to qurbat ka yuñ izhaar karoon aaina saamne rakh kar tira deedaar karoon saamne tere karoon haar ka apni elaan aur akelaa men tiri jeet se inkaar karoon pahle sochun use phir us ki banaaun tasveer aur phir us men hi paida dar-o-deewar karoon mire qabze men na miTTi hai na baadal na hawa phir bhi chaahat hai ki har shaakh samar-baar karoon subh hote hi ubhar aati hai saalim ho kar vahii deewaar jise roz main mismar karoon

Nida Fazli

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nida Fazli.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.