Poetry Collection

Aahat

Footfalls tell many stories. They represent hope as well as despair. They are also real and hallucinatory. While the real ones are forebodings of a delightful meeting, the illusory ones only bring suffering and pain. Many moods of those in waiting are associated with footfalls. Verses in this selection will bring you many experiences around the reality and illusion of footfalls.

Total

28

Sher

26

Ghazal

2

Nazm

0

Featured Picks

Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.

GhazalRead Full

bahut pahle se un qadmon ki aahat jaan lete hain

bahut pahle se un qadmon ki aahat jaan lete hain tujhe ai zindagi ham duur se pahchan lete hain miri nazren bhi aise qatilon ka jaan o iman hain nigahen milte hi jo jaan aur iman lete hain jise kahti hai duniya kamyabi vaae na-dani use kin qimaton par kamyab insan lete hain nigah-e-bada-gun yuun to tiri baton ka kya kahna tiri har baat lekin ehtiyatan chhan lete hain tabiat apni ghabrati hai jab sunsan raton men ham aise men tiri yadon ki chadar taan lete hain khud apna faisla bhi ishq men kaafi nahin hota use bhi kaise kar guzren jo dil men thaan lete hain hayat-e-ishq ka ik ik nafas jam-e-shahadat hai vo jan-e-naz-bardaran koi asan lete hain ham-ahangi men bhi ik chashni hai ikhtilafon ki miri baten ba-unvan-e-digar vo maan lete hain tiri maqbuliyat ki vajh vahid teri ramziyyat ki us ko mante hi kab hain jis ko jaan lete hain ab is ko kufr manen ya bulandi-e-nazar janen khuda-e-do-jahan ko de ke ham insan lete hain jise surat batate hain pata deti hai sirat ka ibarat dekh kar jis tarah maani jaan lete hain tujhe ghata na hone denge karobar-e-ulfat men ham apne sar tira ai dost har ehsan lete hain hamari har nazar tujh se nai saugandh khati hai to teri har nazar se ham naya paiman lete hain rafiq-e-zindagi thi ab anis-e-vaqt-e-akhir hai tira ai maut ham ye dusra ehsan lete hain zamana vardat-e-qalb sunne ko tarasta hai isi se to sar ankhon par mira divan lete hain 'firaq' aksar badal kar bhes milta hai koi kafir kabhi ham jaan lete hain kabhi pahchan lete hain bahut pahle se un qadmon ki aahat jaan lete hain tujhe ai zindagi hum dur se pahchan lete hain meri nazren bhi aise qatilon ka jaan o iman hain nigahen milte hi jo jaan aur iman lete hain jise kahti hai duniya kaamyabi wae na-dani use kin qimaton par kaamyab insan lete hain nigah-e-baada-gun yun to teri baaton ka kya kahna teri har baat lekin ehtiyatan chhan lete hain tabiat apni ghabraati hai jab sunsan raaton mein hum aise mein teri yaadon ki chadar tan lete hain khud apna faisla bhi ishq mein kafi nahin hota use bhi kaise kar guzren jo dil mein than lete hain hayat-e-ishq ka ek ek nafas jam-e-shahadat hai wo jaan-e-naz-bardaran koi aasan lete hain ham-ahangi mein bhi ek chashni hai ikhtilafon ki meri baaten ba-unwan-e-digar wo man lete hain teri maqbuliyat ki wajh wahid teri ramziyyat ki us ko mante hi kab hain jis ko jaan lete hain ab is ko kufr manen ya bulandi-e-nazar jaanen khuda-e-do-jahan ko de ke hum insan lete hain jise surat batate hain pata deti hai sirat ka ibarat dekh kar jis tarah mani jaan lete hain tujhe ghata na hone denge karobar-e-ulfat mein hum apne sar tera ai dost har ehsan lete hain hamari har nazar tujh se nai saugandh khati hai to teri har nazar se hum naya paiman lete hain rafiq-e-zindagi thi ab anis-e-waqt-e-akhir hai tera ai maut hum ye dusra ehsan lete hain zamana wardat-e-qalb sunne ko tarasta hai isi se to sar aankhon par mera diwan lete hain 'firaq' aksar badal kar bhes milta hai koi kafir kabhi hum jaan lete hain kabhi pahchan lete hain

GhazalRead Full

andaz hu-ba-hu teri aawaz-e-pa ka tha

andaz hu-ba-hu tiri avaz-e-pa ka tha dekha nikal ke ghar se to jhonka hava ka tha is husn-e-ittifaq pe lut kar bhi shaad huun teri raza jo thi vo taqaza vafa ka tha dil raakh ho chuka to chamak aur badh gai ye teri yaad thi ki amal kimiya ka tha is rishta-e-latif ke asrar kya khulen tu samne tha aur tasavvur khuda ka tha chhup chhup ke rouun aur sar-e-anjuman hansun mujh ko ye mashvara mire dard-ashna ka tha uttha ajab tazad se insan ka khamir aadi fana ka tha to pujari baqa ka tha tuuta to kitne aina-khanon pe zad padi atka hua gale men jo patthar sada ka tha hairan huun ki vaar se kaise bacha 'nadim' vo shakhs to ghharib o ghhayur intiha ka tha andaz hu-ba-hu teri aawaz-e-pa ka tha dekha nikal ke ghar se to jhonka hawa ka tha is husn-e-ittifaq pe lut kar bhi shad hun teri raza jo thi wo taqaza wafa ka tha dil rakh ho chuka to chamak aur badh gai ye teri yaad thi ki amal kimiya ka tha is rishta-e-latif ke asrar kya khulen tu samne tha aur tasawwur khuda ka tha chhup chhup ke roun aur sar-e-anjuman hansun mujh ko ye mashwara mere dard-ashna ka tha uttha ajab tazad se insan ka khamir aadi fana ka tha to pujari baqa ka tha tuta to kitne aaina-khanon pe zad padi atka hua gale mein jo patthar sada ka tha hairan hun ki war se kaise bacha 'nadim' wo shakhs to gharib o ghayur intiha ka tha

You have reached the end.

Explore Similar Collections

Aahat FAQs

Aahat collection me kya milega?

Aahat se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.

Kya is page ki links internal hain?

Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.

Collection ko kaise explore karein?

Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.