tu nahin to zindagi mein aur kya rah jaega
tu nahin to zindagi men aur kya rah jaega duur tak tanhaiyon ka silsila rah jaega kijiye kya guftugu kya un se mil kar sochiye dil-shikasta khvahishon ka zaiqa rah jaega dard ki saari tahen aur saare guzre hadse sab dhuan ho jaenge ik vaqia rah jaega ye bhi hoga vo mujhe dil se bhula dega magar yuun bhi hoga khud usi men ik khala rah jaega daere inkar ke iqrar ki sargoshiyan ye agar tuute kabhi to fasla rah jaega tu nahin to zindagi mein aur kya rah jaega dur tak tanhaiyon ka silsila rah jaega kijiye kya guftugu kya un se mil kar sochiye dil-shikasta khwahishon ka zaiqa rah jaega dard ki sari tahen aur sare guzre hadse sab dhuan ho jaenge ek waqia rah jaega ye bhi hoga wo mujhe dil se bhula dega magar yun bhi hoga khud usi mein ek khala rah jaega daere inkar ke iqrar ki sargoshiyan ye agar tute kabhi to fasla rah jaega