kuchh tumhaari nigah kafir thi kuchh mujhe bhi kharab hona tha
Top 20 Sher Series
Top 20 Sher by Asrarul Haq Majaz
Asrarul Haq Majaz ke selected Top 20 sher ek clean reading flow me, writer aur full-detail links ke saath.
Total
20
Sher
20
Ghazal
0
Nazm
0
Featured Picks
Series se pehle kuch standout sher padhein.
tere mathe pe ye aanchal bahut hi khub hai lekin tu is aanchal se ek parcham bana leti to achchha tha यह शे’र इसरार-उल-हक़ मजाज़ के मशहूर अशआर में से एक है। माथे पे आँचल होने के कई मायने हैं। उदाहरण के लिए शर्म व लाज का होना, मूल्यों का रख रखाव होना आदि और भारतीय समाज में इन चीज़ों को नारी का शृंगार समझा जाता है। मगर जब नारी के इस शृंगार को पुरुष सत्तात्मक समाज में नारी की कमज़ोरी समझा जाता है तो नारी का व्यक्तित्व संकट में पड़ जाता है। इसी तथ्य को शायर ने अपने शे’र का विषय बनाया है। शायर नारी को सम्बोधित करते हुए कहते हैं कि यद्यपि तुम्हारे माथे पर शर्म व हया का आँचल ख़ूब लगता है मगर उसे अपनी कमज़ोरी मत बना। वक़्त का तक़ाज़ा है कि आप अपने इस आँचल से क्रांति का झंडा बनाएं और इस ध्वज को अपने अधिकारों के लिए उठाएं। shafaq sopori
mujh ko ye aarzu wo uthaen naqab khud un ko ye intizar taqaza kare koi i had hoped she would unveil at her own behest and she waits for someone to make a request

ishq ka zauq-e-nazara muft mein badnam hai husn khud be-tab hai jalwa dikhane ke liye love is needlessly defamed that for vision it is keen beauty is impatient too for its splendour to be seen
dafn kar sakta hun sine mein tumhaare raaz ko aur tum chaho to afsana bana sakta hun main
ye mere ishq ki majburiyan maaz-allah tumhaara raaz tumhin se chhupa raha hun main
bahut mushkil hai duniya ka sanwarna teri zulfon ka pech-o-kham nahin hai
roen na abhi ahl-e-nazar haal pe mere hona hai abhi mujh ko kharab aur ziyaada
bataun kya tujhe ai ham-nashin kis se mohabbat hai main jis duniya mein rahta hun wo is duniya ki aurat hai
kya kya hua hai hum se junun mein na puchhiye uljhe kabhi zamin se kabhi aasman se hum
ye aana koi aana hai ki bas rasman chale aae ye milna khak milna hai ki dil se dil nahin milta
is mahfil-e-kaif-o-masti mein is anjuman-e-irfani mein sab jam-ba-kaf baithe hi rahe hum pi bhi gae chhalka bhi gae
aankh se aankh jab nahin milti dil se dil ham-kalam hota hai
rudad-e-gham-e-ulfat un se hum kya kahte kyunkar kahte ek harf na nikla honton se aur aankh mein aansu aa bhi gae
tumhin to ho jise kahti hai nakhuda duniya bacha sako to bacha lo ki dubta hun main
hae wo waqt ki jab be-piye mad-hoshi thi hae ye waqt ki ab pi ke bhi makhmur nahin
sab ka to mudawa kar dala apna hi mudawa kar na sake sab ke to gareban si dale apna hi gareban bhul gae
phir kisi ke samne chashm-e-tamanna jhuk gai shauq ki shokhi mein rang-e-ehtaram aa hi gaya
kyun jawani ki mujhe yaad aai main ne ek khwab sa dekha kya tha
tum ne to hukm-e-tark-e-tamanna suna diya kis dil se aah tark-e-tamanna kare koi
You have reached the end.
Explore Similar Collections
Top 20 Sher by Asrarul Haq Majaz FAQs
Asrarul Haq Majaz Top 20 me kya milega?
Asrarul Haq Majaz ke selected sher readable cards, internal detail links, aur writer discovery ke saath milenge.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.