ghar ki buniyaaden diwaren baam-o-dar the babu ji
ghar ki buniyaden divaren bam-o-dar the baabu ji sab ko bandh ke rakhne vaala khaas hunar the baabu ji tiin mohallon men un jaisi qad kathi ka koi na tha achchhe-khase unche puure qad-avar the baabu ji ab to us suune mathe par kore-pan ki chadar hai amma ji ki saari saj-dhaj sab zevar the baabu ji bhitar se khalis jazbati aur uupar se theth pita alag anutha anbujha sa ik tevar the baabu ji kabhi bada sa hath-kharch the kabhi hatheli ki sujan mere man ka aadha sahas aadha dar the baabu ji ghar ki buniyaaden diwaren baam-o-dar the babu ji sab ko bandh ke rakhne wala khas hunar the babu ji tin mohallon mein un jaisi qad kathi ka koi na tha achchhe-khase unche pure qad-awar the babu ji ab to us sune mathe par kore-pan ki chadar hai amma ji ki sari saj-dhaj sab zewar the babu ji bhitar se khalis jazbaati aur upar se theth pita alag anutha anbujha sa ek tewar the babu ji kabhi bada sa hath-kharch the kabhi hatheli ki sujan mere man ka aadha sahas aadha dar the babu ji