mausam khushbu rang dhanak ke manzar sare uske the
mausam khushbu rang dhanak ke manzar saare us ke the
raat ki kaali chhaya meri chand sitare us ke the
biich samundar bakht hamara sahil tak ye aata kab
mauj-e-hava pe naam tha us ka duur kinare us ke the
sahmi sahmi gungi bahri ek gujarya meri thi
hanste gaate dhuul udate raj-dulare us ke the
ik chhoti si chhat ki khatir kya kya khvab ganva baithi
bhuul gai ki inten us ki mitti gaare us ke the
zanjiron ke badle ab bhi gahne paati huun jaise
sadiyon se ye jabr ke bandhan biich hamare us ke the
kitni ajab taqsim 'tabassum' karti hai ye duniya bhi
mera hissa zahr-e-halahal amrit dhare us ke the
mausam khushbu rang dhanak ke manzar sare us ke the
raat ki kali chhaya meri chand sitare us ke the
bich samundar bakht hamara sahil tak ye aata kab
mauj-e-hawa pe nam tha us ka dur kinare us ke the
sahmi sahmi gungi bahri ek gujarya meri thi
hanste gate dhul udate raj-dulare us ke the
ek chhoti si chhat ki khatir kya kya khwab ganwa baithi
bhul gai ki inten us ki mitti gare us ke the
zanjiron ke badle ab bhi gahne pati hun jaise
sadiyon se ye jabr ke bandhan bich hamare us ke the
kitni ajab taqsim 'tabassum' karti hai ye duniya bhi
mera hissa zahr-e-halahal amrit dhaare us ke the
husn ho mera dil-nawaz husn ki dil-nawaz main
husn ho mera dil-navaz husn ki dil-navaz main
mere uthaen naaz vo us ke uthaun naaz main
kaun huun aur kya huun main koi na ye samajh saka
bazm-e-jahan men aate hi ban gai ek raaz main
husn men aur ishq men kaise nibhegi ai khuda
husn jafa-shiar hai aur vafa-navaz main
mere shab-e-firaq men kaash ajal ho mehman
phir to tilism-e-zindagi khol duun tera raaz main
khugar-e-ghham jo ho gai is men mira qusur kya
aap ne ghham diye mujhe ban gai ghham-navaz main
aaj vo mast-e-naz jo dil men hua hai mehman
ab ye jigar ko rashk hai banta harim-e-naz main
tujh men chhupi hui huun main mujh men chhupa hua hai tu
saaz jo tu hai naghhma main naghhma jo tu hai saaz main
ban ke mitun to haan mitun husn-e-shah-e-hijaz par
mit ke agar banun to huun khak-e-rah-e-hijaz main
hech miri nigah men daulat-e-kaenat hai
kyunki azal ke din se huun banda-e-be-niyaz main
husn ho mera dil-nawaz husn ki dil-nawaz main
mere uthaen naz wo us ke uthaun naz main
kaun hun aur kya hun main koi na ye samajh saka
bazm-e-jahan mein aate hi ban gai ek raaz main
husn mein aur ishq mein kaise nibhegi ai khuda
husn jafa-shiar hai aur wafa-nawaz main
mere shab-e-firaq mein kash ajal ho mehman
phir to tilism-e-zindagi khol dun tera raaz main
khugar-e-gham jo ho gai is mein mera qusur kya
aap ne gham diye mujhe ban gai gham-nawaz main
aaj wo mast-e-naz jo dil mein hua hai mehman
ab ye jigar ko rashk hai banta harim-e-naz main
tujh mein chhupi hui hun main mujh mein chhupa hua hai tu
saz jo tu hai naghma main naghma jo tu hai saz main
ban ke mitun to han mitun husn-e-shah-e-hijaz par
mit ke agar banun to hun khak-e-rah-e-hijaz main
hech meri nigah mein daulat-e-kaenat hai
kyunki azal ke din se hun banda-e-be-niyaz main
~ Shahzadi Kulsum
baithe baithe muskura di khud hi ghabrai kabhi
baithe baithe muskura di khud hi ghabrai kabhi
pyaar ke mausam men aisi bhi ghadi aai kabhi
aap ka daman to sahil ret ka sabit hua
mauj-e-ashk-e-khun bhi jis ko tar na kar paai kabhi
apne sar le kar zamane bhar ki saari tohmaten
dafn kar di apni khamoshi men goyai kabhi
saath guzre chand lamhon ki sunahri yaad se
chalne lagti hai mire sanson men purvai kabhi
zindagi bhar aap apne aaine men gum rahe
shakhsiyat ya shakl meri bhi nazar aai kabhi
chhodiye ye to hamare pyaar ka hai moajiza
duur ab se aap bhi hote the harjai kabhi
ik kiran hi chand ki ban kar main ho jaati nisar
aarzu lekin 'ayan' apni na bar aai kabhi
baithe baithe muskura di khud hi ghabrai kabhi
pyar ke mausam mein aisi bhi ghadi aai kabhi
aap ka daman to sahil ret ka sabit hua
mauj-e-ashk-e-khun bhi jis ko tar na kar pai kabhi
apne sar le kar zamane bhar ki sari tohmaten
dafn kar di apni khamoshi mein goyai kabhi
sath guzre chand lamhon ki sunahri yaad se
chalne lagti hai mere sanson mein purwai kabhi
zindagi bhar aap apne aaine mein gum rahe
shakhsiyat ya shakl meri bhi nazar aai kabhi
chhodiye ye to hamare pyar ka hai moajiza
dur ab se aap bhi hote the harjai kabhi
ek kiran hi chand ki ban kar main ho jati nisar
aarzu lekin 'ayan' apni na bar aai kabhi
~ Rasheeda Ayan
kaba banaiye na kalisa banaiye
kaaba banaiye na kalisa banaiye
dil ko tasavvurat ki duniya banaiye
tasvir-e-husn khinchiye majnun ke bhes men
aina-e-khayal ko laila banaiye
hirs-o-hava-e-dar-e-fana se ghharaz nahin
duniya se khoiye mujhe apna banaiye
divangi-e-ishq ko rusva na kijiye
laila ko qais qais ko laila banaiye
hai fitrat-e-nazar ka taqaza ye baar baar
muusa banaiye mujhe muusa banaiye
kyuun nazm-e-husn-o-ishq ko tabdil kar diya
kis ne kaha tha qais ko laila banaiye
pahle nazar ko taqat-e-nazzara dijiye
phir ikhtiyar hai mujhe muusa banaiye
sidq-o-safa ke sanche men phir dil ko dhaal kar
mehr-o-vafa ka gauhar-e-yakta banaiye
jal kar bhi soz-e-ishq men uf tak na kijiye
dil ko sukun-o-zabt ka putla banaiye
'kulsum' zindagi ka guzarna muhal hai
duniya ko ik hasin tamasha banaiye
kaba banaiye na kalisa banaiye
dil ko tasawwuraat ki duniya banaiye
taswir-e-husn khinchiye majnun ke bhes mein
aaina-e-khayal ko laila banaiye
hirs-o-hawa-e-dar-e-fana se gharaz nahin
duniya se khoiye mujhe apna banaiye
diwangi-e-ishq ko ruswa na kijiye
laila ko qais qais ko laila banaiye
hai fitrat-e-nazar ka taqaza ye bar bar
musa banaiye mujhe musa banaiye
kyun nazm-e-husn-o-ishq ko tabdil kar diya
kis ne kaha tha qais ko laila banaiye
pahle nazar ko taqat-e-nazzara dijiye
phir ikhtiyar hai mujhe musa banaiye
sidq-o-safa ke sanche mein phir dil ko dhaal kar
mehr-o-wafa ka gauhar-e-yakta banaiye
jal kar bhi soz-e-ishq mein uf tak na kijiye
dil ko sukun-o-zabt ka putla banaiye
'kulsum' zindagi ka guzarna muhaal hai
duniya ko ek hasin tamasha banaiye
~ Shahzadi Kulsum
zamin ke tukde kiye aasman bantega
zamin ke tukde kiye asman bantega
vo shah-e-vaqt hai saara jahan bantega
rakhe rahega vo tiron pe dastaras apni
hamare biich to khali kaman bantega
jo kaat le gaya fasl-e-yaqin kheton se
palat ke aaega shakh-e-guman bantega
katar ke pankh hamare daron ko khol diya
khabar mili thi ki unchi udaan bantega
kahan vo dard ka rishta raha salamat ab
jo haath thaam ke saari takan bantega
tamam chehre dhuan ho gae 'tabassum' jab
to kis ke biich vo shahr-e-aman bantega
zamin ke tukde kiye aasman bantega
wo shah-e-waqt hai sara jahan bantega
rakhe rahega wo tiron pe dastaras apni
hamare bich to khali kaman bantega
jo kat le gaya fasl-e-yaqin kheton se
palat ke aaega shakh-e-guman bantega
katar ke pankh hamare daron ko khol diya
khabar mili thi ki unchi udan bantega
kahan wo dard ka rishta raha salamat ab
jo hath tham ke sari takan bantega
tamam chehre dhuan ho gae 'tabassum' jab
to kis ke bich wo shahr-e-aman bantega
lahu ki mauj mein jina mere hisse mein aaya hai
lahu ki mauj men jiina mire hisse men aaya hai
bhanvar banta hua dariya mire hisse men aaya hai
sunahri ahd-e-mazi ki rivayat ham se thi lekin
faqat dimak laga panna mire hisse men aaya hai
parinde ashiyana chhod ke kis samt ja nikle
dukhon ka ik shajar tanha mire hisse men aaya hai
rupahli chandni us ko amir-e-shahr ki bakhshish
sulagti dhuup ka sahra mire hisse men aaya hai
dariche khol ke bhi rut ka andaza na kar paun
ajab dahshat-zada lamha mire hisse men aaya hai
'tabassum' haath men jugnu liye dar-dar bhatakti huun
ki ghayal raat ka nauha mire hisse men aaya hai
lahu ki mauj mein jina mere hisse mein aaya hai
bhanwar banta hua dariya mere hisse mein aaya hai
sunahri ahd-e-mazi ki riwayat hum se thi lekin
faqat dimak laga panna mere hisse mein aaya hai
parinde aashiyana chhod ke kis samt ja nikle
dukhon ka ek shajar tanha mere hisse mein aaya hai
rupahli chandni us ko amir-e-shahr ki bakhshish
sulagti dhup ka sahra mere hisse mein aaya hai
dariche khol ke bhi rut ka andaza na kar paun
ajab dahshat-zada lamha mere hisse mein aaya hai
'tabassum' hath mein jugnu liye dar-dar bhatakti hun
ki ghayal raat ka nauha mere hisse mein aaya hai
rehl pe hathon ki rakh kar main rukh ka sahifa sochun hun
rehl pe hathon ki rakh kar main rukh ka sahifa sochun huun
aur agar kuchh ban nahin padta chupke chupke ro luun huun
moti ashk sitare aansu zardaron ki tashbihat
bhuuk men palkon par goya main jvaar ke daane tolun huun
jab koi zardar mile hai raah men apni chaal men mast
patthar se kya takrana main ek kinare ho luun huun
nanhe nanhe hathon men jab bhiik ka kaasa dekhun main
der talak main haath samete khali jeb tatolun huun
sarson ke khaliyan pe qabiz andhiyaron ke shaki hain
main to lahu ke diip jala kar chain se shab bhar so luun huun
munim jab tahqir se dekhe mere sukhe sukhe haath
ponchh ke peshani se pasina apne haath bhigo luun huun
sher kahan ye dil ke darvaze par halki dastak hai
ek kani almas ki jis se patthar men dar kholun huun
rehl pe hathon ki rakh kar main rukh ka sahifa sochun hun
aur agar kuchh ban nahin padta chupke chupke ro lun hun
moti ashk sitare aansu zardaron ki tashbihat
bhuk mein palkon par goya main jwar ke dane tolun hun
jab koi zardar mile hai rah mein apni chaal mein mast
patthar se kya takrana main ek kinare ho lun hun
nanhe nanhe hathon mein jab bhik ka kasa dekhun main
der talak main hath samete khali jeb tatolun hun
sarson ke khaliyan pe qabiz andhiyaron ke shaki hain
main to lahu ke dip jala kar chain se shab bhar so lun hun
munim jab tahqir se dekhe mere sukhe sukhe hath
ponchh ke peshani se pasina apne hath bhigo lun hun
sher kahan ye dil ke darwaze par halki dastak hai
ek kani almas ki jis se patthar mein dar kholun hun
~ Rasheeda Ayan
mange hai ek sitara sar-e-asman phir
mange hai ik sitara sar-e-asman phir
dil ko ye zid ki su-e-ufuq ho udaan phir
ab ai qafas nashinon uthao du'a ko haath
hai shakh-shakh mausam-e-vahm-o-guman phir
har lamha kis mahaz ki janib safar men hai
khinche hue ragon men lahu ki kaman phir
dariyaon ka ye chup to khatarnak hai bahut
bandho buland shakh pe logo machan phir
pahle khiraj maang raha hai amir-e-vaqt
lautaega vo shahr men amn-o-aman phir
dil tang ho gaya to zamin bhi hui hai tang
ham khvab ke nagar men banaen makan phir
in hichkiyon ka kuchh to sabab hoga 'kahkashan'
shayad kisi ko aaya kahin mera dhyan phir
mange hai ek sitara sar-e-asman phir
dil ko ye zid ki su-e-ufuq ho udan phir
ab ai qafas nashinon uthao du'a ko hath
hai shakh-shakh mausam-e-wahm-o-guman phir
har lamha kis mahaz ki jaanib safar mein hai
khinche hue ragon mein lahu ki kaman phir
dariyaon ka ye chup to khatarnak hai bahut
bandho buland shakh pe logo machan phir
pahle khiraj mang raha hai amir-e-waqt
lautaega wo shahr mein amn-o-aman phir
dil tang ho gaya to zamin bhi hui hai tang
hum khwab ke nagar mein banaen makan phir
in hichkiyon ka kuchh to sabab hoga 'kahkashan'
shayad kisi ko aaya kahin mera dhyan phir
tamir-e-kaenat ke saman liye hue
taamir-e-kaenat ke saman liye hue
aai huun raz-e-alam-e-imkan liye hue
jaun kidhar main kashti-e-arman liye hue
har sahil-e-murad hai tufan liye hue
jalva nazar fareb hai duniya hai dil fareb
har aaina hai dida-e-hairan liye hue
khud-bin tu mere sheva-e-taslim par na ja
baithi huun raz-e-alam-e-imkan liye hue
har qatra hai talatum-e-dariya ki yadgar
har zarra hai numud-e-bayaban liye hue
shan-e-junun to dekhiye apne saron pe aaj
phirte hain mujh ko khar-e-bayaban liye hue
allah re dua-e-lab-e-zakhm ka asar
vo khud hi aa rahe hain namak-dan liye hue
pur-daghh mera dil raha bazm-e-nashat men
aaya hazar sham-e-farozan liye hue
o be-niyaz dekh tiri bazm-e-naz se
jaati huun ishq-e-be-sar-o-saman liye hue
'kulsum' kal vo guzre hain mere qarib se
ankhon men ik shararat-e-pinhan liye hue
tamir-e-kaenat ke saman liye hue
aai hun raaz-e-alam-e-imkan liye hue
jaun kidhar main kashti-e-arman liye hue
har sahil-e-murad hai tufan liye hue
jalwa nazar fareb hai duniya hai dil fareb
har aaina hai dida-e-hairan liye hue
khud-bin tu mere shewa-e-taslim par na ja
baithi hun raaz-e-alam-e-imkan liye hue
har qatra hai talatum-e-dariya ki yaadgar
har zarra hai numud-e-bayaban liye hue
shan-e-junun to dekhiye apne saron pe aaj
phirte hain mujh ko khar-e-bayaban liye hue
allah re dua-e-lab-e-zakhm ka asar
wo khud hi aa rahe hain namak-dan liye hue
pur-dagh mera dil raha bazm-e-nashat mein
aaya hazar sham-e-farozan liye hue
o be-niyaz dekh teri bazm-e-naz se
jati hun ishq-e-be-sar-o-saman liye hue
'kulsum' kal wo guzre hain mere qarib se
aankhon mein ek shararat-e-pinhan liye hue
~ Shahzadi Kulsum
baat lakhon ki sahi par wo nahin mane to
baat lakhon ki sahi par vo nahin maane to
sach ki mizan pe rakh kar bhi na gardane to
dekh kar jaate hue chikh rahi huun be-sud
shakhsiyat ko miri aa kar bhi na pahchane to
tod kar dair-o-kalisa to bana di masjid
dil men abad jo ho jaaen sanam-khane to
shama ban kar to pighalne ko ham amada hain
dar ye hai rasm-e-vafa tod den parvane to
shahr-e-be-mehr men jaana to bahut chahti hai
gar vahan log miri shakl na pahchane to
dil dhadakta hai kahin hashr na phir jaag uthe
chaunk kar khul gae do ankhon ke maikhane to
kar ke dar band 'ayan' baithi huun ghhairon ke liye
bhes men apnon ke ghar aa gae begane to
baat lakhon ki sahi par wo nahin mane to
sach ki mizan pe rakh kar bhi na gardane to
dekh kar jate hue chikh rahi hun be-sud
shakhsiyat ko meri aa kar bhi na pahchane to
tod kar dair-o-kalisa to bana di masjid
dil mein aabaad jo ho jaen sanam-khane to
shama ban kar to pighalne ko hum aamada hain
dar ye hai rasm-e-wafa tod den parwane to
shahr-e-be-mehr mein jaana to bahut chahti hai
gar wahan log meri shakl na pahchane to
dil dhadakta hai kahin hashr na phir jag uthe
chaunk kar khul gae do aankhon ke maikhane to
kar ke dar band 'ayan' baithi hun ghairon ke liye
bhes mein apnon ke ghar aa gae begane to
~ Rasheeda Ayan
phir mausam-e-yakh-basta badalne ki khabar de
phir mausam-e-yakh-basta badalne ki khabar de
rag rag men jami barf pighalne ki khabar de
ya dil ke charaghhon ko lahu aur ata kar
ya raah men phir chand nikalne ki khabar de
ya mausam-e-khush-rang koi bhej zamin par
ya gardish-e-aflak badalne ki khabar de
bas udte bagule hain sarabon ke safar men
edi koi chashme ke ubalne ki khabar de
dar band kiye log gharon men hain muqayyad
aseb-zada raat ke dhalne ki khabar de
bhigi hui lakdi huun dhuan deti huun pahron
ab mujh ko miri aag men jalne ki khabar de
akhbar bhi dahshat ka tarasha hai 'tabassum'
har subh faqat dil ke dahalne ki khabar de
phir mausam-e-yakh-basta badalne ki khabar de
rag rag mein jami barf pighalne ki khabar de
ya dil ke charaghon ko lahu aur ata kar
ya rah mein phir chand nikalne ki khabar de
ya mausam-e-khush-rang koi bhej zamin par
ya gardish-e-aflak badalne ki khabar de
bas udte bagule hain sarabon ke safar mein
edi koi chashme ke ubalne ki khabar de
dar band kiye log gharon mein hain muqayyad
aaseb-zada raat ke dhalne ki khabar de
bhigi hui lakdi hun dhuan deti hun pahron
ab mujh ko meri aag mein jalne ki khabar de
akhbar bhi dahshat ka tarasha hai 'tabassum'
har subh faqat dil ke dahalne ki khabar de
You have reached the end.