safar mein dhup to hogi jo chal sako to chalo
safar men dhuup to hogi jo chal sako to chalo
sabhi hain bhiid men tum bhi nikal sako to chalo
kisi ke vaste rahen kahan badalti hain
tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo
yahan kisi ko koi rasta nahin deta
mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo
kahin nahin koi suraj dhuan dhuan hai faza
khud apne aap se bahar nikal sako to chalo
yahi hai zindagi kuchh khvab chand ummiden
inhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalo
safar mein dhup to hogi jo chal sako to chalo
sabhi hain bhid mein tum bhi nikal sako to chalo
kisi ke waste rahen kahan badalti hain
tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo
yahan kisi ko koi rasta nahin deta
mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo
kahin nahin koi suraj dhuan dhuan hai faza
khud apne aap se bahar nikal sako to chalo
yahi hai zindagi kuchh khwab chand ummiden
inhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalo
mere junun ka natija zarur niklega
mire junun ka natija zarur niklega
isi siyah samundar se nuur niklega
gira diya hai to sahil pe intizar na kar
agar vo duub gaya hai to duur niklega
usi ka shahr vahi muddai vahi munsif
hamen yaqin tha hamara qusur niklega
yaqin na aae to ik baat puchh kar dekho
jo hans raha hai vo zakhmon se chuur niklega
us astin se ashkon ko pochhne vaale
us astin se khanjar zarur niklega
mere junun ka natija zarur niklega
isi siyah samundar se nur niklega
gira diya hai to sahil pe intizar na kar
agar wo dub gaya hai to dur niklega
usi ka shahr wahi muddai wahi munsif
hamein yaqin tha hamara qusur niklega
yaqin na aae to ek baat puchh kar dekho
jo hans raha hai wo zakhmon se chur niklega
us aastin se ashkon ko pochhne wale
us aastin se khanjar zarur niklega
dariya ho ya pahad ho takrana chahiye
dariya ho ya pahad ho takrana chahiye
jab tak na saans tuute jiye jaana chahiye
yuun to qadam qadam pe hai divar samne
koi na ho to khud se ulajh jaana chahiye
jhukti hui nazar ho ki simta hua badan
har ras-bhari ghata ko baras jaana chahiye
chaurahe baaghh buildingen sab shahr to nahin
kuchh aise vaise logon se yarana chahiye
apni talash apni nazar apna tajraba
rasta ho chahe saaf bhatak jaana chahiye
chup chup makan raste gum-sum nidhal vaqt
is shahr ke liye koi divana chahiye
bijli ka qumquma na ho kaala dhuan to ho
ye bhi agar nahin ho to bujh jaana chahiye
dariya ho ya pahad ho takrana chahiye
jab tak na sans tute jiye jaana chahiye
yun to qadam qadam pe hai diwar samne
koi na ho to khud se ulajh jaana chahiye
jhukti hui nazar ho ki simta hua badan
har ras-bhari ghata ko baras jaana chahiye
chaurahe bagh buildingen sab shahr to nahin
kuchh aise waise logon se yarana chahiye
apni talash apni nazar apna tajraba
rasta ho chahe saf bhatak jaana chahiye
chup chup makan raste gum-sum nidhaal waqt
is shahr ke liye koi diwana chahiye
bijli ka qumquma na ho kala dhuan to ho
ye bhi agar nahin ho to bujh jaana chahiye
hum karen baat dalilon se to rad hoti hai
ham karen baat dalilon se to rad hoti hai
us ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai
saans lete hue insan bhi hain lashon ki tarah
ab dhadakte hue dil ki bhi lahad hoti hai
jis ki gardan men hai phanda vahi insan bada
suliyon se yahan paimaish-e-qad hoti hai
shoabda-gar bhi pahante hain khatibon ka libas
bolta jahl hai bad-nam khirad hoti hai
kuchh na kahne se bhi chhin jaata hai ejaz-e-sukhan
zulm sahne se bhi zalim ki madad hoti hai
hum karen baat dalilon se to rad hoti hai
us ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai
sans lete hue insan bhi hain lashon ki tarah
ab dhadakte hue dil ki bhi lahad hoti hai
jis ki gardan mein hai phanda wahi insan bada
suliyon se yahan paimaish-e-qad hoti hai
shoabda-gar bhi pahante hain khatibon ka libas
bolta jahl hai bad-nam khirad hoti hai
kuchh na kahne se bhi chhin jata hai ejaz-e-sukhan
zulm sahne se bhi zalim ki madad hoti hai
mitti mein mila de ki juda ho nahin sakta
mitti men mila de ki juda ho nahin sakta
ab is se ziyada main tira ho nahin sakta
dahliz pe rakh di hain kisi shakhs ne ankhen
raushan kabhi itna to diya ho nahin sakta
bas tu miri avaz se avaz mila de
phir dekh ki is shahr men kya ho nahin sakta
ai maut mujhe tu ne musibat se nikala
sayyad samajhta tha riha ho nahin sakta
is khak-e-badan ko kabhi pahuncha de vahan bhi
kya itna karam bad-e-saba ho nahin sakta
peshani ko sajde bhi ata kar mire maula
ankhon se to ye qarz ada ho nahin sakta
darbar men jaana mira dushvar bahut hai
jo shakhs qalandar ho gada ho nahin sakta
mitti mein mila de ki juda ho nahin sakta
ab is se ziyaada main tera ho nahin sakta
dahliz pe rakh di hain kisi shakhs ne aankhen
raushan kabhi itna to diya ho nahin sakta
bas tu meri aawaz se aawaz mila de
phir dekh ki is shahr mein kya ho nahin sakta
ai maut mujhe tu ne musibat se nikala
sayyaad samajhta tha riha ho nahin sakta
is khak-e-badan ko kabhi pahuncha de wahan bhi
kya itna karam baad-e-saba ho nahin sakta
peshani ko sajde bhi ata kar mere maula
aankhon se to ye qarz ada ho nahin sakta
darbar mein jaana mera dushwar bahut hai
jo shakhs qalandar ho gada ho nahin sakta
kaam ab koi na aaega bas ek dil ke siwa
kaam ab koi na aaega bas ik dil ke siva
raste band hain sab kucha-e-qatil ke siva
bais-e-rashk hai tanha-ravi-e-rah-rav-e-shauq
ham-safar koi nahin duri-e-manzil ke siva
ham ne duniya ki har ik shai se uthaya dil ko
lekin ek shokh ke hangama-e-mahfil ke siva
teghh munsif ho jahan dar-o-rasan hon shahid
be-gunah kaun hai us shahr men qatil ke siva
jaane kis rang se aai hai gulistan men bahar
koi naghhma hi nahin shor-e-salasil ke siva
kaam ab koi na aaega bas ek dil ke siwa
raste band hain sab kucha-e-qatil ke siwa
bais-e-rashk hai tanha-rawi-e-rah-raw-e-shauq
ham-safar koi nahin duri-e-manzil ke siwa
hum ne duniya ki har ek shai se uthaya dil ko
lekin ek shokh ke hangama-e-mahfil ke siwa
tegh munsif ho jahan dar-o-rasan hon shahid
be-gunah kaun hai us shahr mein qatil ke siwa
jaane kis rang se aai hai gulistan mein bahaar
koi naghma hi nahin shor-e-salasil ke siwa
jala ke mishal-e-jaan hum junun-sifat chale
jala ke mishal-e-jan ham junun-sifat chale
jo ghar ko aag lagae hamare saath chale
dayar-e-sham nahin manzil-e-sahar bhi nahin
ajab nagar hai yahan din chale na raat chale
hamare lab na sahi vo dahan-e-zakhm sahi
vahin pahunchti hai yaaro kahin se baat chale
sutun-e-dar pe rakhte chalo saron ke charaghh
jahan talak ye sitam ki siyah raat chale
hua asiir koi ham-nava to duur talak
ba-pas-e-tarz-e-nava ham bhi saath saath chale
bacha ke laae ham ai yaar phir bhi naqd-e-vafa
agarche lutte rahe rahzanon ke haath chale
phir aai fasl ki manind barg-e-avara
hamare naam gulon ke muraslat chale
qatar-e-shisha hai ya karvan-e-ham-safaran
khiram-e-jam hai ya jaise kaenat chale
bhula hi baithe jab ahl-e-haram to ai 'majruh'
baghhal men ham bhi liye ik sanam ka haath chale
jala ke mishal-e-jaan hum junun-sifat chale
jo ghar ko aag lagae hamare sath chale
dayar-e-sham nahin manzil-e-sahar bhi nahin
ajab nagar hai yahan din chale na raat chale
hamare lab na sahi wo dahan-e-zakhm sahi
wahin pahunchti hai yaro kahin se baat chale
sutun-e-dar pe rakhte chalo saron ke charagh
jahan talak ye sitam ki siyah raat chale
hua asir koi ham-nawa to dur talak
ba-pas-e-tarz-e-nawa hum bhi sath sath chale
bacha ke lae hum ai yar phir bhi naqd-e-wafa
agarche lutte rahe rahzanon ke hath chale
phir aai fasl ki manind barg-e-awara
hamare nam gulon ke muraslat chale
qatar-e-shisha hai ya karwan-e-ham-safaran
khiram-e-jam hai ya jaise kaenat chale
bhula hi baithe jab ahl-e-haram to ai 'majruh'
baghal mein hum bhi liye ek sanam ka hath chale
ab ye sochun to bhanwar zehn mein pad jate hain
ab ye sochun to bhanvar zehn men pad jaate hain
kaise chehre hain jo milte hi bichhad jaate hain
kyuun tire dard ko den tohmat-e-virani-e-dil
zalzalon men to bhare shahr ujad jaate hain
mausam-e-zard men ik dil ko bachaun kaise
aisi rut men to ghane ped bhi jhad jaate hain
ab koi kya mire qadmon ke nishan dhundega
tez andhi men to kheme bhi ukhad jaate hain
shaghhl-e-arbab-e-hunar puchhte kya ho ki ye log
pattharon men bhi kabhi aaine jad jaati hain
soch ka aaina dhundla ho to phir vaqt ke saath
chand chehron ke khad-o-khal bigad jaate hain
shiddat-e-ghham men bhi zinda huun to hairat kaisi
kuchh diye tund havaon se bhi lad jaate hain
vo bhi kya log hain 'mohsin' jo vafa ki khatir
khud-tarashida usulon pe bhi ad jaate hain
ab ye sochun to bhanwar zehn mein pad jate hain
kaise chehre hain jo milte hi bichhad jate hain
kyun tere dard ko den tohmat-e-virani-e-dil
zalzalon mein to bhare shahr ujad jate hain
mausam-e-zard mein ek dil ko bachaun kaise
aisi rut mein to ghane ped bhi jhad jate hain
ab koi kya mere qadmon ke nishan dhundega
tez aandhi mein to kheme bhi ukhad jate hain
shaghl-e-arbab-e-hunar puchhte kya ho ki ye log
pattharon mein bhi kabhi aaine jad jati hain
soch ka aaina dhundla ho to phir waqt ke sath
chand chehron ke khad-o-khal bigad jate hain
shiddat-e-gham mein bhi zinda hun to hairat kaisi
kuchh diye tund hawaon se bhi lad jate hain
wo bhi kya log hain 'mohsin' jo wafa ki khatir
khud-tarashida usulon pe bhi ad jate hain
siyah raat nahin leti nam dhalne ka
siyah raat nahin leti naam dhalne ka
yahi to vaqt hai suraj tire nikalne ka
yahan se guzre hain guzrenge ham se ahl-e-vafa
ye rasta nahin parchhaiyon ke chalne ka
kahin na sab ko samundar baha ke le jaae
ye khel khatm karo kashtiyan badalne ka
bigad gaya jo ye naqsha havas ke hathon se
to phir kisi ke sambhale nahin sambhalne ka
zamin ne kar liya kya tirgi se samjhauta
khayal chhod chuke kya charaghh jalne ka
siyah raat nahin leti nam dhalne ka
yahi to waqt hai suraj tere nikalne ka
yahan se guzre hain guzrenge hum se ahl-e-wafa
ye rasta nahin parchhaiyon ke chalne ka
kahin na sab ko samundar baha ke le jae
ye khel khatm karo kashtiyan badalne ka
bigad gaya jo ye naqsha hawas ke hathon se
to phir kisi ke sambhaale nahin sambhalne ka
zamin ne kar liya kya tirgi se samjhauta
khayal chhod chuke kya charagh jalne ka
har ek ghar mein diya bhi jale anaj bhi ho
har ek ghar men diya bhi jale anaaj bhi ho
agar na ho kahin aisa to ehtijaj bhi ho
rahegi vaadon men kab tak asiir khush-hali
har ek baar hi kal kyuun kabhi to aaj bhi ho
na karte shor-sharaba to aur kya karte
tumhare shahr men kuchh aur kam-kaj bhi ho
hukumaton ko badalna to kuchh muhal nahin
hukumaten jo badalta hai vo samaj bhi ho
badal rahe hain kai aadmi darindon men
maraz purana hai is ka naya ilaaj bhi ho
akele ghham se nai shairi nahin hoti
zaban-e-'mir' men 'ghhalib' ka imtizaj bhi ho
har ek ghar mein diya bhi jale anaj bhi ho
agar na ho kahin aisa to ehtijaj bhi ho
rahegi wadon mein kab tak asir khush-haali
har ek bar hi kal kyun kabhi to aaj bhi ho
na karte shor-sharaba to aur kya karte
tumhaare shahr mein kuchh aur kaam-kaj bhi ho
hukumaton ko badalna to kuchh muhaal nahin
hukumaten jo badalta hai wo samaj bhi ho
badal rahe hain kai aadmi darindon mein
maraz purana hai is ka naya ilaj bhi ho
akele gham se nai shairi nahin hoti
zaban-e-'mir' mein 'ghaalib' ka imtizaj bhi ho
tu samajhta hai hawadis hain satane ke liye
tu samajhta hai havadis hain satane ke liye
ye hua karte hain zahir azmane ke liye
tundi-e-bad-e-mukhalif se na ghabra ai uqaab
ye to chalti hai tujhe uncha udane ke liye
kamyabi ki hua karti hai nakami dalil
ranj aate hain tujhe rahat dilane ke liye
charkh-e-kaj-raftar hai phir mail-e-jaur-o-sitam
bijliyan shahid hain khirman ko jalane ke liye
nim-jan hai kis liye hal-e-khilafat dekh kar
dhund le koi dava is ko bachane ke liye
chain se rahne na de in ko na khud aram kar
mustaid hain jo khilafat ko mitane ke liye
dast-o-pa rakhte hain aur be-kar kyon baithe rahen
ham uthenge apni qismat ko banane ke liye
tu samajhta hai hawadis hain satane ke liye
ye hua karte hain zahir aazmane ke liye
tundi-e-baad-e-mukhalif se na ghabra ai uqab
ye to chalti hai tujhe uncha udane ke liye
kaamyabi ki hua karti hai nakaami dalil
ranj aate hain tujhe rahat dilane ke liye
charkh-e-kaj-raftar hai phir mail-e-jaur-o-sitam
bijliyan shahid hain khirman ko jalane ke liye
nim-jaan hai kis liye haal-e-khilafat dekh kar
dhund le koi dawa is ko bachane ke liye
chain se rahne na de in ko na khud aaram kar
mustaid hain jo khilafat ko mitane ke liye
dast-o-pa rakhte hain aur be-kar kyon baithe rahen
hum uthenge apni qismat ko banane ke liye
kis harf pe tu ne gosha-e-lab ai jaan-e-jahan ghammaz kiya
kis harf pe tu ne gosha-e-lab ai jan-e-jahan ghhammaz kiya
elan-e-junun dil valon ne ab ke ba-hazar-andaz kiya
sau paikan the paivast-e-gulu jab chhedi shauq ki lai ham ne
so tiir tarazu the dil men jab ham ne raqs aghhaz kiya
be-hirs-o-hava be-khauf-o-khatar is haath pe sar is kaf pe jigar
yuun ku-e-sanam men vaqt-e-safar nazzara-e-bam-e-naz kiya
jis khaak men mil kar khaak hue vo surma-e-chashm-e-khalq bani
jis khaar pe ham ne khuun chhidka ham-rang-e-gul-e-tannaz kiya
lo vasl ki saaat aa pahunchi phir hukm-e-huzuri par ham ne
ankhon ke dariche band kiye aur siine ka dar baaz kiya
kis harf pe tu ne gosha-e-lab ai jaan-e-jahan ghammaz kiya
elan-e-junun dil walon ne ab ke ba-hazar-andaz kiya
sau paikan the paiwast-e-gulu jab chhedi shauq ki lai hum ne
so tir taraazu the dil mein jab hum ne raqs aaghaz kiya
be-hirs-o-hawa be-khauf-o-khatar is hath pe sar is kaf pe jigar
yun ku-e-sanam mein waqt-e-safar nazzara-e-baam-e-naz kiya
jis khak mein mil kar khak hue wo surma-e-chashm-e-khalq bani
jis khar pe hum ne khun chhidka ham-rang-e-gul-e-tannaz kiya
lo wasl ki saat aa pahunchi phir hukm-e-huzuri par hum ne
aankhon ke dariche band kiye aur sine ka dar baz kiya
masti-e-rindana hum sairabi-e-mai-khana hum
masti-e-rindana ham sairabi-e-mai-khana ham
gardish-e-taqdir se hain gardish-e-paimana ham
khun-e-dil se chashm-e-tar tak chashm-e-tar se ta-ba-khak
kar gae akhir gul-o-gulzar har virana ham
kya bala jabr-e-asiri hai ki azadi men bhi
dosh par apne liye phirte hain zindan-khana ham
raah men faujon ke pahre sar pe talvaron ki chhanv
aae hain zindan men bhi ba-shaukat-e-shahana ham
mitte mitte de gae ham zindagi ko rang-o-nur
rafta rafta ban gae is ahd ka afsana ham
ya jaga dete hain zarron ke dilon men mai-kade
ya bana lete hain mehr-o-mah ko paimana ham
qaid ho kar aur bhi zindan men udta hai khayal
raqs zanjiron men bhi karte hain azadana ham
masti-e-rindana hum sairabi-e-mai-khana hum
gardish-e-taqdir se hain gardish-e-paimana hum
khun-e-dil se chashm-e-tar tak chashm-e-tar se ta-ba-khak
kar gae aakhir gul-o-gulzar har virana hum
kya bala jabr-e-asiri hai ki aazadi mein bhi
dosh par apne liye phirte hain zindan-khana hum
rah mein faujon ke pahre sar pe talwaron ki chhanw
aae hain zindan mein bhi ba-shaukat-e-shahana hum
mitte mitte de gae hum zindagi ko rang-o-nur
rafta rafta ban gae is ahd ka afsana hum
ya jaga dete hain zarron ke dilon mein mai-kade
ya bana lete hain mehr-o-mah ko paimana hum
qaid ho kar aur bhi zindan mein udta hai khayal
raqs zanjiron mein bhi karte hain aazadana hum
aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat
aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat
dhalte dhalte ap-apni maut mar jaegi raat
zindagi men aur bhi kuchh zahr bhar jaegi raat
ab agar thahri rag-o-pai men utar jaegi raat
jo bhi hain parvarda-e-shab jo bhi hain zulmat parast
vo to jaenge usi janib jidhar jaegi raat
ahl-e-tufan be-hisi ka gar yahi aalam raha
mauj-e-khun ban kar har ik sar se guzar jaegi raat
hai ufuq se ek sang-e-aftab aane ki der
tuut kar manind-e-aina bikhar jaegi raat
ham to jaane kab se hain avara-e-zulmat magar
tum thahar jaao to pal bhar men guzar jaegi raat
raat ka anjam bhi maalum hai mujh ko 'surur'
laakh apni had se guzre ta-sahar jaegi raat
aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat
dhalte dhalte aap-apni maut mar jaegi raat
zindagi mein aur bhi kuchh zahr bhar jaegi raat
ab agar thahri rag-o-pai mein utar jaegi raat
jo bhi hain parwarda-e-shab jo bhi hain zulmat parast
wo to jaenge usi jaanib jidhar jaegi raat
ahl-e-tufan be-hisi ka gar yahi aalam raha
mauj-e-khun ban kar har ek sar se guzar jaegi raat
hai ufuq se ek sang-e-aftab aane ki der
tut kar manind-e-aina bikhar jaegi raat
hum to jaane kab se hain aawara-e-zulmat magar
tum thahar jao to pal bhar mein guzar jaegi raat
raat ka anjam bhi malum hai mujh ko 'surur'
lakh apni had se guzre ta-sahar jaegi raat
ghabraen hawadis se kya hum jine ke sahaare niklenge
ghabraen havadis se kya ham jiine ke sahare niklenge
dubega agar ye suraj bhi to chand sitare niklenge
andaz-e-zamana kahta hai phir mauj-e-hava rukh badlegi
angaron se gulshan phutega shabnam se sharare niklenge
firdaus-e-nazar ke divane tarik faza se kya darna
tu sham-e-nazar ko tez to kar zulmat se nazare niklenge
anjam-e-kashakash hoga kuchh dekhen to tamasha divane
ya khaak udegi gardun par ya farsh pe taare niklenge
'masrur' karen ahl-e-sahil kuchh fikr na himmat valon ki
dubenge safine jitne bhi ik din vo kinare niklenge
ghabraen hawadis se kya hum jine ke sahaare niklenge
dubega agar ye suraj bhi to chand sitare niklenge
andaz-e-zamana kahta hai phir mauj-e-hawa rukh badlegi
angaron se gulshan phutega shabnam se sharare niklenge
firdaus-e-nazar ke diwane tarik faza se kya darna
tu sham-e-nazar ko tez to kar zulmat se nazare niklenge
anjam-e-kashakash hoga kuchh dekhen to tamasha diwane
ya khak udegi gardun par ya farsh pe tare niklenge
'masrur' karen ahl-e-sahil kuchh fikr na himmat walon ki
dubenge safine jitne bhi ek din wo kinare niklenge
You have reached the end.