kuchh to hava bhi sard thi kuchh tha tira khayal bhi dil ko khushi ke saath saath hota raha malal bhi
Poetry Collection
Hawa
You would often come across wind in poetry. It blows in so many ways and so many forms that it gets the attention of poets in one way or the other. Now it blows the lamp, and now it turns into a metaphor for life. It also turns into a pleasant breeze and brings us a unique sensation with its cool touch. Have a look at the verses that move around the idea and experience of wind in various forms.
Total
43
Sher
39
Ghazal
4
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
hamara dil sawere ka sunahra jam ho jae
hamara dil savere ka sunahra jaam ho jaae charaghhon ki tarah ankhen jalen jab shaam ho jaae kabhi to asman se chand utre jaam ho jaae tumhare naam ki ik khub-surat shaam ho jaae ajab halat the yuun dil ka sauda ho gaya akhir mohabbat ki haveli jis tarah nilam ho jaae samundar ke safar men is tarah avaz de ham ko havaen tez hon aur kashtiyon men shaam ho jaae mujhe malum hai us ka thikana phir kahan hoga parinda asman chhune men jab nakam ho jaae ujale apni yadon ke hamare saath rahne do na jaane kis gali men zindagi ki shaam ho jaae hamara dil sawere ka sunahra jam ho jae charaghon ki tarah aankhen jalen jab sham ho jae kabhi to aasman se chand utre jam ho jae tumhaare nam ki ek khub-surat sham ho jae ajab haalat the yun dil ka sauda ho gaya aakhir mohabbat ki haweli jis tarah nilam ho jae samundar ke safar mein is tarah aawaz de hum ko hawaen tez hon aur kashtiyon mein sham ho jae mujhe malum hai us ka thikana phir kahan hoga parinda aasman chhune mein jab nakaam ho jae ujale apni yaadon ke hamare sath rahne do na jaane kis gali mein zindagi ki sham ho jae
main tere sang kaise chalun ham-safar tu samundar hai main sahilon ki hawa
main tire sang kaise chalun ham-safar tu samundar hai main sahilon ki hava tu kahan main kahan al-aman al-hazar tu samundar hai main sahilon ki hava tujh se hai sab ye husn-e-jahan mo'tabar tujh ko sajde kare kahkashan sar ba-sar tu harim-e-qamar main hazin-e-sahar tu samundar hai main sahilon ki hava gaah shorida-sar gaah khamosh-tar tujh men poshida hain raaz sab basta-sar tere lal-o-gohar aur main khak-sar tu samundar hai main sahilon ki hava tu baharon ki ja tu libas-e-shajar main khizan ki sada main ghhubar-e-safar tu numud-e-matar main hadis-e-digar tu samundar hai main sahilon ki hava vusat-e-be-karan makhzan-e-sim-o-zar be-had-o-be-nishan teri har rah-guzar tu ba-hadd-e-nazar main kanar-e-safar tu samundar hai main sahilon ki hava main tere sang kaise chalun ham-safar tu samundar hai main sahilon ki hawa tu kahan main kahan al-aman al-hazar tu samundar hai main sahilon ki hawa tujh se hai sab ye husn-e-jahan mo'tabar tujh ko sajde kare kahkashan sar ba-sar tu harim-e-qamar main hazin-e-sahar tu samundar hai main sahilon ki hawa gah shorida-sar gah khamosh-tar tujh mein poshida hain raaz sab basta-sar tere lal-o-gohar aur main khak-sar tu samundar hai main sahilon ki hawa tu bahaaron ki ja tu libas-e-shajar main khizan ki sada main ghubar-e-safar tu numud-e-matar main hadis-e-digar tu samundar hai main sahilon ki hawa wusat-e-be-karan makhzan-e-sim-o-zar be-had-o-be-nishan teri har rah-guzar tu ba-hadd-e-nazar main kanar-e-safar tu samundar hai main sahilon ki hawa
hava khafa thi magar itni sang-dil bhi na thi hamin ko shama jalane ka hausla na hua
charaghh ghar ka ho mahfil ka ho ki mandir ka hava ke paas koi maslahat nahin hoti
khushbu ko phailne ka bahut shauq hai magar mumkin nahin havaon se rishta kiye baghhair tho fragrance is very fond, to spread around, increase this is nigh impossible, till it befriends the breeze
kaun taqon pe raha kaun sar-e-rahguzar shahr ke saare charaghhon ko hava janti hai
mire suraj aa! mire jism pe apna saaya kar badi tez hava hai sardi aaj ghhazab ki hai
chhed kar jaise guzar jaati hai doshiza hava der se khamosh hai gahra samundar aur main
falak par udte jaate badalon ko dekhta huun main hava kahti hai mujh se ye tamasha kaisa lagta hai
tez hava ne mujh se puchha ret pe kya likhte rahte ho
hava darakhton se kahti hai dukh ke lahje men abhi mujhe kai sahraon se guzarna hai
ye hava yuun hi khaak chhanti hai ya koi chiiz kho gai hai yahan
aaj lab-e-guhar-fishan aap ne va nahin kiya tazkira-e-khajista-e-ab-o-hava nahin kiya
kyuun na apni khubi-e-qismat pe itrati hava phuul jaise ik badan ko chhu kar aai thi hava
hava chali to koi naqsh-e-motabar na bacha koi diya koi badal koi shajar na bacha
tu meri ibtida tu meri intiha main samundar hun tu sahilon ki hawa
tu miri ibtida tu miri intiha main samundar huun tu sahilon ki hava teri manzil bane mera har rasta main samundar huun tu sahilon ki hava roz-o-shab mauj-dar-mauj huun dar-ba-dar roz-o-shab sahilon par patakta huun sar haath aata nahin phir bhi daman tira main samundar huun tu sahilon ki hava meri shoridgi ke ye tufan sab meri khamoshiyon ke ye arman sab kuchh nahin ik tiri aarzu ke siva main samundar huun tu sahilon ki hava tu hi manzil miri tu hi had hai miri tujh se vabastagi nam-zad hai miri tu na ho gar to main khud men kho jaunga main samundar huun tu sahilon ki hava khushbuon se tiri ye mahakta safar yuun hi jaari rahega mire auj par tu masafat miri main tira rasta main samundar huun tu sahilon ki hava tu meri ibtida tu meri intiha main samundar hun tu sahilon ki hawa teri manzil bane mera har rasta main samundar hun tu sahilon ki hawa roz-o-shab mauj-dar-mauj hun dar-ba-dar roz-o-shab sahilon par patakta hun sar hath aata nahin phir bhi daman tera main samundar hun tu sahilon ki hawa meri shoridgi ke ye tufan sab meri khamoshiyon ke ye arman sab kuchh nahin ek teri aarzu ke siwa main samundar hun tu sahilon ki hawa tu hi manzil meri tu hi had hai meri tujh se wabastagi nam-zad hai meri tu na ho gar to main khud mein kho jaunga main samundar hun tu sahilon ki hawa khushbuon se teri ye mahakta safar yun hi jari rahega mere auj par tu masafat meri main tera rasta main samundar hun tu sahilon ki hawa
agarche zor havaon ne daal rakkha hai magar charaghh ne lau ko sambhal rakkha hai
ulat rahi thiin havaen varaq varaq us ka likhi gai thi jo mitti pe vo kitab tha vo
ek jhonka hava ka aaya 'zeb' aur phir main ghhubar bhi na raha

koi charag jalata nahin saliqe se magar sabhi ko shikayat hava se hoti hai
kaun taqon pe raha kaun sar-e-rahguzar shahr ke saare charaghhon ko hava janti hai
hava ho aisi ki hindostan se ai 'iqbal' uda ke mujh ko ghhubar-e-rah-e-hijaz kare the poet prays for a powerful, grace-like “wind” that can sweep him away from his present life in hindustan and take him to the sacred path of hijaz (the region of makkah–madinah). calling himself mere “dust” suggests humility and self-effacement, while the wind symbolizes spiritual force and destiny. the emotional core is yearning for closeness to holy places and inner renewal through the journey.
agarche zor havaon ne daal rakkha hai magar charaghh ne lau ko sambhal rakkha hai
chhed kar jaise guzar jaati hai doshiza hava der se khamosh hai gahra samundar aur main
falak par udte jaate badalon ko dekhta huun main hava kahti hai mujh se ye tamasha kaisa lagta hai
ek jhonka hava ka aaya 'zeb' aur phir main ghhubar bhi na raha
jurm-e-ulfat pe hamen log saza dete hain kaise nadan hain shoalon ko hava dete hain
tez hava ne mujh se puchha ret pe kya likhte rahte ho
hava darakhton se kahti hai dukh ke lahje men abhi mujhe kai sahraon se guzarna hai
ye hava yuun hi khaak chhanti hai ya koi chiiz kho gai hai yahan
aaj lab-e-guhar-fishan aap ne va nahin kiya tazkira-e-khajista-e-ab-o-hava nahin kiya
kyuun na apni khubi-e-qismat pe itrati hava phuul jaise ik badan ko chhu kar aai thi hava
hava chali to koi naqsh-e-motabar na bacha koi diya koi badal koi shajar na bacha
Explore Similar Collections
Hawa FAQs
Hawa collection me kya milega?
Hawa se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.