ishq mein ghairat-e-jazbaat ne rone na diya
ishq men ghhairat-e-jazbat ne rone na diya
varna kya baat thi kis baat ne rone na diya
in love i could not weep fearing loss of dignity
else for my not crying what reason could there be
aap kahte the ki rone se na badlenge nasib
umr bhar aap ki is baat ne rone na diya
you had said that weeping would alter no one's fate
coz of this advice of yours i couldn't cry to date
rone valon se kaho un ka bhi rona ro len
jin ko majburi-e-halat ne rone na diya
tell those who wish to grieve for them i will lament
whom cruel compulsions from crying did prevent
tujh se mil kar hamen rona tha bahut rona tha
tangi-e-vaqt-e-mulaqat ne rone na diya
on meeting you i wanted to cry and cry and cry
but due to lack of time this urge i couldn't satisfy
ek do roz ka sadma ho to ro len 'fakir'
ham ko har roz ke sadmat ne rone na diya
if it were but for a day or two i would have cried
but due to daily suffering this too was thus denied
ishq mein ghairat-e-jazbaat ne rone na diya
warna kya baat thi kis baat ne rone na diya
in love i could not weep fearing loss of dignity
else for my not crying what reason could there be
aap kahte the ki rone se na badlenge nasib
umr bhar aap ki is baat ne rone na diya
you had said that weeping would alter no one's fate
coz of this advice of yours i couldn't cry to date
rone walon se kaho un ka bhi rona ro len
jin ko majburi-e-haalat ne rone na diya
tell those who wish to grieve for them i will lament
whom cruel compulsions from crying did prevent
tujh se mil kar hamein rona tha bahut rona tha
tangi-e-waqt-e-mulaqat ne rone na diya
on meeting you i wanted to cry and cry and cry
but due to lack of time this urge i couldn't satisfy
ek do roz ka sadma ho to ro len 'fakir'
hum ko har roz ke sadmat ne rone na diya
if it were but for a day or two i would have cried
but due to daily suffering this too was thus denied
ye jabr bhi dekha hai tarikh ki nazron ne
lamhon ne khata ki thi sadiyon ne saza pai
chahat mein kya duniya-dari ishq mein kaisi majburi
chahat men kya duniya-dari ishq men kaisi majburi
logon ka kya samjhane do un ki apni majburi
main ne dil ki baat rakhi aur tu ne duniya valon ki
meri arz bhi majburi thi un ka hukm bhi majburi
rok sako to pahli barish ki bundon ko tum roko
kachchi mitti to mahkegi hai mitti ki majburi
zat-kade men pahron baten aur milin to mohr ba-lab
jabr-e-vaqt ne bakhshi ham ko ab ke kaisi majburi
jab tak hansta gaata mausam apna hai sab apne hain
vaqt pade to yaad aa jaati hai masnui majburi
ik avara badal se kyuun main ne saaya manga tha
meri bhi ye nadani thi us ki bhi thi majburi
muddat guzri ik vaade par aaj bhi qaaem hain 'mohsin'
ham ne saari umr nibahi apni pahli majburi
chahat mein kya duniya-dari ishq mein kaisi majburi
logon ka kya samjhane do un ki apni majburi
main ne dil ki baat rakhi aur tu ne duniya walon ki
meri arz bhi majburi thi un ka hukm bhi majburi
rok sako to pahli barish ki bundon ko tum roko
kachchi mitti to mahkegi hai mitti ki majburi
zat-kade mein pahron baaten aur milin to mohr ba-lab
jabr-e-waqt ne bakhshi hum ko ab ke kaisi majburi
jab tak hansta gata mausam apna hai sab apne hain
waqt pade to yaad aa jati hai masnui majburi
ek aawara baadal se kyun main ne saya manga tha
meri bhi ye nadani thi us ki bhi thi majburi
muddat guzri ek wade par aaj bhi qaem hain 'mohsin'
hum ne sari umr nibahi apni pahli majburi
zindagi jabr hai aur jabr ke aasar nahin
hae is qaid ko zanjir bhi darkar nahin
ittifaq apni jagah khush-qismati apni jagah
ittifaq apni jagah khush-qismati apni jagah
khud banata hai jahan men aadmi apni jagah
kah to sakta huun magar majbur kar sakta nahin
ikhtiyar apni jagah hai bebasi apni jagah
kuchh na kuchh sachchai hoti hai nihan har baat men
kahne vaale thiik kahte hain sabhi apni jagah
sirf us ke hont kaghhaz par bana deta huun main
khud bana leti hai honton par hansi apni jagah
dost kahta huun tumhen shaer nahin kahta 'shuur'
dosti apni jagah hai shaeri apni jagah
ittifaq apni jagah khush-qismati apni jagah
khud banata hai jahan mein aadmi apni jagah
kah to sakta hun magar majbur kar sakta nahin
ikhtiyar apni jagah hai bebasi apni jagah
kuchh na kuchh sachchai hoti hai nihan har baat mein
kahne wale thik kahte hain sabhi apni jagah
sirf us ke hont kaghaz par bana deta hun main
khud bana leti hai honton par hansi apni jagah
dost kahta hun tumhein shaer nahin kahta 'shuur'
dosti apni jagah hai shaeri apni jagah
main hun bhi aur nahin bhi ajib baat hai ye
ye kaisa jabr hai main jis ke ikhtiyar mein hun
mujhe pasand nahin aise karobar mein hun
mujhe pasand nahin aise karobar men huun
ye jabr hai ki main khud apne ikhtiyar men huun
hudud-e-vaqt se bahar ajab hisar men huun
main ek lamha huun sadiyon ke intizar men huun
abhi na kar miri tashkil mujh ko naam na de
tire vajud se bahar men kis shumar men huun
main ek zarra miri haisiyat hi kya hai magar
hava ke saath huun udte hue ghhubar men huun
bas as-pas ye suraj hai aur kuchh bhi nahin
mahak raha to huun lekin main regzar men huun
mujhe pasand nahin aise karobar mein hun
ye jabr hai ki main khud apne ikhtiyar mein hun
hudud-e-waqt se bahar ajab hisar mein hun
main ek lamha hun sadiyon ke intizar mein hun
abhi na kar meri tashkil mujh ko nam na de
tere wajud se bahar mein kis shumar mein hun
main ek zarra meri haisiyat hi kya hai magar
hawa ke sath hun udte hue ghubar mein hun
bas aas-pas ye suraj hai aur kuchh bhi nahin
mahak raha to hun lekin main regzar mein hun
un se tanhai mein baat hoti rahi
un se tanhai men baat hoti rahi
ghhaebana mulaqat hoti rahi
ham bulate vo tashrif laate rahe
khvab men ye karamat hoti rahi
kasa-e-chashm labrez hoti rahi
us dariche se khairat hoti rahi
dil bhi zor-azmai se haara nahin
garche har martaba maat hoti rahi
sar bachae raha sabr ka saeban
asman se to barsat hoti rahi
go mohabbat se ham ji churate rahe
zindagi bhar ye bad-zat hoti rahi
shahr bhar men phiraya gaya qais ko
kuche kuche mudarat hoti rahi
jagte aur sote rahe ham 'shuur'
din nikalta raha raat hoti rahi
un se tanhai mein baat hoti rahi
ghaebana mulaqat hoti rahi
hum bulate wo tashrif late rahe
khwab mein ye karamat hoti rahi
kasa-e-chashm labrez hoti rahi
us dariche se khairaat hoti rahi
dil bhi zor-azmai se haara nahin
garche har martaba mat hoti rahi
sar bachae raha sabr ka saeban
aasman se to barsat hoti rahi
go mohabbat se hum ji churaate rahe
zindagi bhar ye bad-zat hoti rahi
shahr bhar mein phiraya gaya qais ko
kuche kuche mudaraat hoti rahi
jagte aur sote rahe hum 'shuur'
din nikalta raha raat hoti rahi
kafi nahin khutut kisi baat ke liye
kaafi nahin khutut kisi baat ke liye
tashrif laiyega mulaqat ke liye
duniya men kya kisi se kisi ko ghharaz nahin
har koi ji raha hai faqat zaat ke liye
ham bargah-e-naz men us be-niyaz ki
paida kiye gae hain shikayat ke liye
hain pattharon ki zad pe tumhari gali men ham
kya aae the yahan isi barsat ke liye
apni taraf se kuchh bhi unhon ne nahin kaha
ham ne javab sirf savalat ke liye
raushan karo na shaam se pahle charaghh-e-jam
din ke liye ye chiiz hai ya raat ke liye
mahngai rah-e-rast pe le aai khinch kar
bachti nahin raqam buri adat ke liye
karne ke kaam kyuun nahin karte 'shuur' tum
kya zindagi mili hai khurafat ke liye
kafi nahin khutut kisi baat ke liye
tashrif laiyega mulaqat ke liye
duniya mein kya kisi se kisi ko gharaz nahin
har koi ji raha hai faqat zat ke liye
hum bargah-e-naz mein us be-niyaz ki
paida kiye gae hain shikayat ke liye
hain pattharon ki zad pe tumhaari gali mein hum
kya aae the yahan isi barsat ke liye
apni taraf se kuchh bhi unhon ne nahin kaha
hum ne jawab sirf sawalat ke liye
raushan karo na sham se pahle charagh-e-jam
din ke liye ye chiz hai ya raat ke liye
mahngai rah-e-rast pe le aai khinch kar
bachti nahin raqam buri aadat ke liye
karne ke kaam kyun nahin karte 'shuur' tum
kya zindagi mili hai khurafat ke liye
kaam is duniya mein aa kar humne kya achchha kiya
kaam is duniya men aa kar ham ne kya achchha kiya
husn ko be-parda nam-e-ishq ko rusva kiya
husn ne aur ishq ne hangama ik barpa kiya
shama ko raushan kiya parvane ko shaida kiya
be-tamannai men asuda tha yarab kya kiya
kis liye mere dil-e-divana ko daana kiya
ek jazba tha azal se gosha-e-dil men nihan
ishq ko is husn ke bazar ne rusva kiya
teri qismat ka navishta tha kisi ka kya qusur
tere aage aa gaya a dil jo tha tera kiya
naar ne ki sar-kashi roz-e-azal jab ikhtiyar
khaak ko bakhsha sharaf yaani bashar paida kiya
dil ko parvana banaya kar diya jaan ko nisar
shama-ru ke ishq men ham kya kahen kya kya kiya
jo kiya hukm-e-qaza se ham ne 'sahir' tha baja
ham ne apni raae se jo kuchh kiya be-ja kiya
kaam is duniya mein aa kar hum ne kya achchha kiya
husn ko be-parda nam-e-ishq ko ruswa kiya
husn ne aur ishq ne hangama ek barpa kiya
shama ko raushan kiya parwane ko shaida kiya
be-tamannai mein aasuda tha yarab kya kiya
kis liye mere dil-e-diwana ko dana kiya
ek jazba tha azal se gosha-e-dil mein nihan
ishq ko is husn ke bazar ne ruswa kiya
teri qismat ka nawishta tha kisi ka kya qusur
tere aage aa gaya a dil jo tha tera kiya
nar ne ki sar-kashi roz-e-azal jab ikhtiyar
khak ko bakhsha sharaf yani bashar paida kiya
dil ko parwana banaya kar diya jaan ko nisar
shama-ru ke ishq mein hum kya kahen kya kya kiya
jo kiya hukm-e-qaza se hum ne 'sahir' tha baja
hum ne apni rae se jo kuchh kiya be-ja kiya
ye log jabr pe karte jo ehtijaj nahin
ye log jabr pe karte jo ehtijaj nahin
so in se is liye milta mira mizaj nahin
jo sach batae vo pagal bataya jaata hai
yahan pe haq ko samajhne ka ab rivaj nahin
ghhanim-e-shahr ko ma'lum hi nahin ki mujhe
ba-juz khuda ke kisi ka bhi ehtiyaj nahin
samaj kya hai mire aap ke ravayye hain
bure to log hain bhaai bura samaj nahin
hamen to masnad-e-'ishq-o-vafa 'ata hui hai
hamare zehn pe chhae ye takht-o-taj nahin
sabhi ko zehni ghhulami ka ek tumor hai
maraz to kaafi purana hai la-'ilaj nahin
ye saada baat batane men kya taammul hai
vo mere kal men nahin hai main jis ka aaj nahin
kabhi-kabhar main sochun to kaanp uthta huun
zamin khuda ki hai lekin khuda ka raaj nahin
ye log jabr pe karte jo ehtijaj nahin
so in se is liye milta mera mizaj nahin
jo sach batae wo pagal bataya jata hai
yahan pe haq ko samajhne ka ab riwaj nahin
ghanim-e-shahr ko ma'lum hi nahin ki mujhe
ba-juz khuda ke kisi ka bhi ehtiyaj nahin
samaj kya hai mere aap ke rawayye hain
bure to log hain bhai bura samaj nahin
hamein to masnad-e-'ishq-o-wafa 'ata hui hai
hamare zehn pe chhae ye takht-o-taj nahin
sabhi ko zehni ghulami ka ek tumor hai
maraz to kafi purana hai la-'ilaj nahin
ye sada baat batane mein kya tammul hai
wo mere kal mein nahin hai main jis ka aaj nahin
kabhi-kabhaar main sochun to kanp uthta hun
zamin khuda ki hai lekin khuda ka raj nahin
ta’dilu i’dilu aayat pe pabandi hai
ta’dilu i’dilu ayat pe pabandi hai
is liye ek mulaqat pe pabandi hai
jaan daali hai tan-e-murda men ik anchal ne
kaun kahta hai karamat pe pabandi hai
koi gar chahe to khul kar bhi nahin ro sakta
hukm-e-hakim hai ki barsat pe pabandi hai
husn valon se javab is ka koi le aae
aap ke diin men khairat pe pabandi hai
qaid kar daala parinde ko hai pinjre men magar
kaun samjhae ki naghhmat pe pabandi hai
kaise rishton ke taqaddus ko hai pamal kiya
bas zabani hi khurafat pe pabandi hai
ghham hazaron hon to puchhega na koi ahmad
bas yahan khushiyon ki bohtat pe pabandi hai
ta’dilu i’dilu aayat pe pabandi hai
is liye ek mulaqat pe pabandi hai
jaan dali hai tan-e-murda mein ek aanchal ne
kaun kahta hai karamat pe pabandi hai
koi gar chahe to khul kar bhi nahin ro sakta
hukm-e-hakim hai ki barsat pe pabandi hai
husn walon se jawab is ka koi le aae
aap ke din mein khairaat pe pabandi hai
qaid kar dala parinde ko hai pinjre mein magar
kaun samjhae ki naghmat pe pabandi hai
kaise rishton ke taqaddus ko hai pamal kiya
bas zabani hi khurafat pe pabandi hai
gham hazaron hon to puchhega na koi ahmad
bas yahan khushiyon ki bohtat pe pabandi hai
You have reached the end.