dushman se aise kaun bhala jit paega jo dosti ke bhes mein chhup kar dagha kare
Poetry Collection
Jeet
Life is punctuated by loss and gain, victory and defeat. Sometimes, a defeat makes way for victory which brings a very special feeling to us. Defeat, as such, is not something that vanquishes us but makes way for us to wage a war better. There is a philosophy here that is so enriching.
Total
7
Sher
5
Ghazal
2
Nazm
0
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
agar ye kah do baghair mere nahin guzara to main tumhaara
agar ye kah do baghhair mere nahin guzara to main tumhara ya us pe mabni koi ta'assur koi ishara to main tumhara ghhurur-parvar ana ka malik kuchh is tarah ke hain naam mere magar qasam se jo tum ne ik naam bhi pukara to main tumhara tum apni sharton pe khel khelo main jaise chahe lagaun baazi agar main jiita to tum ho mere agar main haara to main tumhara tumhara ashiq tumhara mukhlis tumhara sathi tumhara apna raha na in men se koi duniya men jab tumhara to main tumhara tumhara hone ke faisle ko main apni qismat pe chhodta huun agar muqaddar ka koi tuuta kabhi sitara to main tumhara ye kis pe taaviz kar rahe ho ye kis ko paane ke hain vazife tamam chhodo bas ek kar lo jo istikhara to main tumhara agar ye kah do baghair mere nahin guzara to main tumhaara ya us pe mabni koi ta'assur koi ishaara to main tumhaara ghurur-parwar ana ka malik kuchh is tarah ke hain nam mere magar qasam se jo tum ne ek nam bhi pukara to main tumhaara tum apni sharton pe khel khelo main jaise chahe lagaun bazi agar main jita to tum ho mere agar main haara to main tumhaara tumhaara aashiq tumhaara mukhlis tumhaara sathi tumhaara apna raha na in mein se koi duniya mein jab tumhaara to main tumhaara tumhaara hone ke faisle ko main apni qismat pe chhodta hun agar muqaddar ka koi tuta kabhi sitara to main tumhaara ye kis pe tawiz kar rahe ho ye kis ko pane ke hain wazife tamam chhodo bas ek kar lo jo istikhara to main tumhaara
aakhiri lamhat mein kya sochne lagte ho tum jit ke nazdik aa kar haar jaya mat karo

ye ek baat samajhne mein raat ho gai hai
ye ek baat samajhne men raat ho gai hai main us se jiit gaya huun ki maat ho gai hai main ab ke saal parindon ka din manaunga miri qarib ke jangal se baat ho gai hai bichhad ke tujh se na khush rah sakunga socha tha tiri judai hi vajh-e-nashat ho gai hai badan men ek taraf din tulua main ne kiya badan ke dusre hisse men raat ho gai hai main jangalon ki taraf chal pada huun chhod ke ghar ye kya ki ghar ki udasi bhi saath ho gai hai rahega yaad madine se vapsi ka safar main nazm likhne laga tha ki naat ho gai hai ye ek baat samajhne mein raat ho gai hai main us se jit gaya hun ki mat ho gai hai main ab ke sal parindon ka din manaunga meri qarib ke jangal se baat ho gai hai bichhad ke tujh se na khush rah sakunga socha tha teri judai hi wajh-e-nashat ho gai hai badan mein ek taraf din tulua main ne kiya badan ke dusre hisse mein raat ho gai hai main jangalon ki taraf chal pada hun chhod ke ghar ye kya ki ghar ki udasi bhi sath ho gai hai rahega yaad madine se wapsi ka safar main nazm likhne laga tha ki nat ho gai hai
wo intiqam ki aatish thi mere sine mein mila na koi to khud ko pachhad aaya hun
bahut ghurur tha suraj ko apni shiddat par so ek pal hi sahi baadalon se haar gaya
dil ki bazi aisi bazi hai jis mein hum haaren bhi to jit manai ja sakti hai
You have reached the end.
Explore Similar Collections
Jeet FAQs
Jeet collection me kya milega?
Jeet se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.