khizan mein duba hua hai bahaar ka mausam
khizan men duuba hua hai bahar ka mausam bujha bujha sa hai dil ke dayar ka mausam mile hain hijr ke lamhe mata’-e-ulfat men lutae baithe hain dil ke qarar ka mausam nihal-e-umr pe aisi khizan utar aai kahin pe kho gaya rang-o-bahar ka mausam dhuan dhuan hain badan sokhta gulabon ke ravish ravish men basa hai chinar ka mausam na puchh haal ki dil ka 'ajib 'alam hai kabhi hai jabr kabhi ikhtiyar ka mausam kharosh-e-dil hai ki hai shor koi maqtal men ulajh raha hai rag-e-jan se daar ka mausam hava ki guunj men bhi tum sunai dete ho dar-e-junun ne diya hai pukar ka mausam ravana hone ko hai shauq ka har ik lamha badalne vaala hai shahr-e-nigar ka mausam nigah-e-zist abhi tak hai mehrban 'saulat' hai nakhl-e-jan pe abhi barg-o-bar ka mausam khizan mein duba hua hai bahaar ka mausam bujha bujha sa hai dil ke dayar ka mausam mile hain hijr ke lamhe mata’-e-ulfat mein lutae baithe hain dil ke qarar ka mausam nihaal-e-umr pe aisi khizan utar aai kahin pe kho gaya rang-o-bahaar ka mausam dhuan dhuan hain badan sokhta gulabon ke rawish rawish mein basa hai chinar ka mausam na puchh haal ki dil ka 'ajib 'alam hai kabhi hai jabr kabhi ikhtiyar ka mausam kharosh-e-dil hai ki hai shor koi maqtal mein ulajh raha hai rag-e-jaan se dar ka mausam hawa ki gunj mein bhi tum sunai dete ho dar-e-junun ne diya hai pukar ka mausam rawana hone ko hai shauq ka har ek lamha badalne wala hai shahr-e-nigar ka mausam nigah-e-zist abhi tak hai mehrban 'saulat' hai nakhl-e-jaan pe abhi barg-o-bar ka mausam